Petay Hain Laho | Lennin | Allama iqbal Urdu Poetry Shayari | Ghaza israel war | Hamas | Iqbaliyat

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 19 มี.ค. 2024
  • Lenin
    (Khuda Ke Hazoor Mein)
    LENIN
    (Before God)
    Ae Anfus-o-Afaq Mein Paida Tere Ayaat
    Haq Ye Hai Ke Hai Zinda-o-Paenda Teri Zaat
    All space and all that breathes bear witness; truth
    It is indeed; You are, and do not remain.
    Main Kaise Samajhta Ke Tu Hai Ya Ke Nahin Hai
    Har Dam Mutaghyyar The Khird Ke Nazariyat
    How could I know that God was or was not,
    Where Reasonʹs reckonings shifted hour by hour?
    Mehram Nahin Fitrat Ke Sarood-e-Azali Se
    Beenaye Kawakib Ho Ke Dana’ay Nabataat
    The peerer at planets, the counter‐up of plants,
    Heard nothing there of Natureʹs infinite music;
    Aj Ankh Ne Dekha To Woh Alam Huwa Sabit
    Main Jis Ko Samajhta Tha Kalisa Ke Khurafat
    To‐day I witnessing acknowledge realms
    That I once thought the mummery of the Church.
    Hum Band-e-Shab-o-Roz Mein Jakre Huwe Bande
    Tu Khaliq-e-Aasaar-o-Nigarindah’ay Aanat !
    We, manacled in the chains of day and night!
    You, moulder of all timeʹs atoms, builder of aeons!
    Ek Baat Agar Mujh Ko Ijazat Ho To Puchun
    Hal Kar Na Sake Jis Ko Hakeemon Ke Maqalat
    Let me have leave to ask this question, one
    Not answered by the subtleties of the schools,
    Jab Tak Mein Jiya Khaima-e-Aflak Ke Neeche
    Kante Ki Tarah Dil Mein Khatakti Rahi Ye Baat
    That while I lived under the sky‐tentʹs roof
    Like a thorn rankled in my heart
    Guftar Ke Asloob Pe Qaboo Nahin Rehta
    Jab Rooh Ke Andar Mutaltum Hon Khayalat
    And made such chaos in my soul of all its thoughts
    I could not keep my tumbling words in bounds.
    Woh Kon Sa Adam Hai Ke Tu Jis Ka Maabood
    Woh Adam-e-Khaki Ke Jo Hai Zair-e-Samawat?
    Oh, of what mortal race art You the God?
    Those creatures formed of dust beneath these heavens?
    Mashriq Ke Khudawand Saifedan-e-Farangi
    Maghrib Ke Khudawand Darakhshandah Filzaat
    Europeʹs pale cheeks are Asiaʹs pantheon,
    And Europeʹs pantheon her glittering metals.
    Yourap Mein Bohat Roshani-e-Ilm-o-Hunar Hai
    Haq Ye Hai Ke Be-Chashma’ay Haiwan Hai Ye Zulmat
    A blaze of art and science lights the West
    With darkness that no Fountain of Life dispels;
    Raanayi-e-Tameer Mein, Ronaq Mein, Safa Mein
    Girjon Se Kahin Barh Ke Hain Bankon Ki Amarat
    In high‐reared grace, in glory and in grandeur,
    The towering Bank out‐tops the cathedral roof;
    Zahir Mein Tajarat Hai, Haqiqat Mein Juwa Hai
    Sood Aik Ka Lakhon Ke Liye Marg-e-Mafajat
    What they call commerce is a game of dice
    For one, profit, for millions swooping death.
    Ye Ilm, Ye Hikmat, Ye Tadabur, Ye Hukumat
    Peete Hain Lahoo, Dete Hain Taleem-e-Masawat
    There science, philosophy, scholarship, government,
    Preach manʹs equality and drink menʹs blood;
    Bekari-o-Uryani-o-Maikhawari-o-Iflaas
    Kya Kaam Hain Farangi Madniyat Ke Fatuhaat
    Naked debauch, and want, and unemployment-
    Are these mean triumphs of the Frankish arts!
    Woh Qoum Ke Faizan-e-Samawi Se Ho Mehroom
    Had Uss Ke Kamalaat Ki Hai Barq-o-Bukharaat
    Denied celestial grace a nation goes
    No further than electricity or steam;
    Hai Dil Ke Liye Mout Machinon Ki Hukumat
    Ehsas-e-Marawwat Ko Kuchal Dete Hain Aalaat
    Death to the heart, machines stand sovereign,
    Engines that crush all sense of human kindness.
    Asaar To Kuch Kuch Nazar Ate Hain Ke Akhir
    Tadbeer Ko Taqdeer Ke Shatar Ne Kiya Maat
    ‐‐Yet signs are counted here and there that Fate,
    The chess‐player, has check‐mated all their cunning.
    Maikhane Ki Bunyad Mein Aya Hai Tazalzul
    Baithe Hain Issi Fikar Mein Peeran-e-Kharabat
    The Tavern shakes, its warped foundations crack,
    The Old Men of Europe sit there numb with fear;
    Chehron Pe Jo Surkhi Nazar Ati Hai Sar-e-Shaam
    Ya Ghazah Hai Ya Saghir-o-Meena Ki Karamat
    What twilight flush is left those faces now
    Is paint and powder, or lent by flask and cup.
    Tu Qadir-o-Adil Hai Magar Tere Jahan Mein
    Hain Talakh Bohat Banda’ay Mazdoor Ke Auqat
    Omnipotent, righteous, You; but bitter the hours,
    Bitter the labourerʹs chained hours in Your world!
    Kab Doobe Ga Sarmaya Prasti Ka Safina?
    Dunya Hai Teri Muntazir-e-Roz-e-Makafat !
    When shall this galley of goldʹs dominion flounder?
    Your world Your day of wrath, Lord, stands and waits.
    Allama iqbal Urdu Poetry shayari status for whatsapp | Ghazal | Israel america war | Hamas | Masjid Mosque al aqsa | Islam

ความคิดเห็น • 13

  • @QURANLovers8
    @QURANLovers8 6 วันที่ผ่านมา

    ❤❤

  • @PK.Civil.Servant
    @PK.Civil.Servant 3 หลายเดือนก่อน

    Wise man ! Allama Iqbal zindabad

  • @muhammadalghazi3730
    @muhammadalghazi3730 3 หลายเดือนก่อน

    Iqbal The Great

  • @heybro7643
    @heybro7643 3 หลายเดือนก่อน +1

    ❤❤❤❤🎉

  • @user-pn5vz5vl8o
    @user-pn5vz5vl8o 3 หลายเดือนก่อน

    Wah ❤

  • @heybro7643
    @heybro7643 3 หลายเดือนก่อน +1

    Thanks ❤

  • @user-hz9ks9fh1w
    @user-hz9ks9fh1w 3 หลายเดือนก่อน

    ❤❤❤❤❤

  • @RafiaMuhammadramzan-nj9pw
    @RafiaMuhammadramzan-nj9pw 3 หลายเดือนก่อน +3

    Jihad Farz h hum muslmanooo per Israel k khilaf.kash hum Palestine ki madad Ker sakay.lakin hum bi jasy surah infal may bayan h munafiqeen ki k jaang k waqt wooo choor jatay thy meedan.wasy hi hum log bi AJ khamoosh Han .hum kahaty Han K hum muslman han

  • @godliker.
    @godliker. 3 หลายเดือนก่อน

    Don't apply filters on voice

  • @nadeemkhan-ll3ce
    @nadeemkhan-ll3ce 3 หลายเดือนก่อน +1

    Jihad farz hai Pakistan me bhi pak army k khilaf bhi

  • @NASIMBasim-xr6wx
    @NASIMBasim-xr6wx 3 หลายเดือนก่อน

    Always blah blah 😂

    • @user-sk9wg7nn7k
      @user-sk9wg7nn7k 3 หลายเดือนก่อน

      Pussies can’t understand