maths me problem aaaa rhi hai baki toh thik hai maths ke liye batao bhaiya please hm dukhi ho chuke hai maths se smjh hi nhi aa rhai hai kya kare please mujjhe koi suggestion dijiye 😔😔🥺🥺🥺😩😩😩😩😩 mere pass last me only 20 min hote hai shaare portion ko karne ke baad phir math section ki jab bari aati hai na jaane mujjhe kya ho jata hai fumble kar jati hun ...........per mujjhe aaacha karna hai chsl bhi diye same problem only 100 marks hi bane usme bahut demotivate hui hun per jaise taise khud ko sbhali hun or cgl ke liye achha karna hai please mujjhe kuchh bataye
dekho aapko Kai saari baate samjhni padegi, batata hu ek ek karke. suno dhyaan se. aapko reasoning , English aur gk ke basics kaafi hadd tak clear hain , issliye aap attempt kar paa rhe ho, bas inme speed ka jayada issue hai , issliye aap maths ke liye sirf 20 minute hi bacha paa rhe ho last me, to aapko karna kya hai ki inn teeno subjects ke jayada se jayada mock test do jisse aapke basics aur majboot ho aur aapki speed badhe aur Kam se kam 25 minutes bacha paao maths ke liye. dusri baat, ek cheez aur samjho ki aapke maths ke basics bhi kamjor hain aur practise to hai hi nahin, jiski wajah se aap pressure aane par fumble kar rhe ho aur muskil se 5 ya 6 question hi attempt kar paa rhe hoge maths me, to Aaj se karna kya hai ki maths ko apni priority bana lo, apne har din ki taiyaari ka 50 % hissa maths ko do, apne din ki shuruaat maths se karna aur aadha din maths padho, seekho aur practise Karo, baaki ka addha din unn teen subjects ke mock tests ko do. aur aap khushkismat hain ki aapke pass time hai ye sab karne ka kyunki CGL me abhi 2 mahine hain. aur aapke pass itna bhi time nahi, ki aap demotivate feel kar sake, kyunki demotivate insaan jab feel karta hai jab uske pass time ho ye feel karne ka, aapke pass to time hi nahin ab. maths ko as a whole mat dekho. maths ko ek saath dekhoge to bahut bada dikhai dega. maths me divide and rule karo, maths ke ek chapter ko haath me lo aur mehnat ke hathode se jabardast prahaar karo, kuch hi hafto me maths aapke aage ghutne tek dega. I hope you understand.All the best.👍😊🎯
@@sscmentor Thankyou your words give me energy to achieve my goal thankyou again for motivating me 😌😌😇😇 but ek problem or bhi hai maths ki jab sir maths ko batate hai tab toh bana lete hai question ko but jab mock lagate hai toh nhi bante or sir ka method bhi shortcut hota hai or sab question ke liye agar aaise hi alag alag method use karenge toh bhul jate hai kaise solve karna hai🤔🤔🙄🙄 achha ek baat bataye abhi time bhi kam hai toh notes banau ya nhi ya pgir sir pdf dete hai ushise pratice karun so that time save ho 🙁🙁🙁
jab sir batate hai tab question ban jaata hai, isske Kai saare kaaran hain, ek to ye wo cheez taaja taaja Hume batai gyi hoti hai to dimaag me rahti hai , aur kahin naa kahin teacher ki baaton ka bhi hume sahaara hota uss time, aur question bhi uss time almost usi concept se related hota hai jo hume sikhaya gya hota hai , to kahin naa kahin hume pta hota hai uss question ko solve karne ka rasta kyunki humne turant hi waisa question solve hota hue dekha hota hai apni aankhon ke saamne aur uss time hume uss question ko solve karne ke liye 100 % apna dimaag aur effort nahin lagaya hua hota hai, dusra humara dimaag ek pen drive wali copy paste technique par kaam nahi karta, naa to hum cheezo ko ek dum se poora seekhte aur naa hi lagbhag ek dum se bhulte jaise ki pendrive me copy - paste aur delete ka option hota hai, humara dimaag repetion ki technique par kaam karta hai, jitna cheezo ko repete karoge utna hi cheezo par humara adhikaar hota jaayega, utni hi cheeze humare dimaag ki parmanent memory me save hoti jaayengi. teesri baat, ye kahin na kahin mock test me questions solve karne ka aapka pahla round hai, issliye concept apply karne ki baat to chod hi do, concept bhi yaad nahi rahta pahli baar me to, to socho, dikkat to aayengi hi. question first go me solve naa hona bahut hi normal baat hai, jab baar baar iss tarah ke question aapke saamne aayenge to acche se solve bhi hona shuru ho jaayenge, pahle shortcut samjho kya hota hai, agar koi teacher aapke har question me alag shortcut bta rha hai to samjho wo teacher sahi nahi, kisi bhi chapter me on an average 8 se 10 tarah ke concepts hote hain jinko skeehna , yaad karna, aur practise karna hota hai, aur ye concepts kahin naa kahin zero se upar tak ek dusre se interrelated hote hain, main maanta hu shorts cut hote hain par at the end , question wahi insaan solve kar paayega, jisko basic aata ho , issliye method same hoga , but kuch steps ko hum apne mann me karenge bus likhenge nahi, overall shortcut ye hota hai, aur agar aap kisi question ke solve karne ka poora method muh jubaani bol nahin sakte ,iska matlab app questions ko ratt rhe ho. jab dheere dheere normal methods se questions ko solve karna shuru karoge, aapke khud ke shortcut khud banna shuru ho jaayenge, aap khud hi wo steps ni likhoge, jo aap baar baar likh rhe ho questions me, kyunki wo steps aapko yaad ho chuke honge, aur rahi notes banaane ki baat, notes banane me koi dikkat nahin, bas dhyaan ye rakhna kisi bhi chapter ke notes 2 ya 3 page se jayada naa ho, jayada long aur extreme detailed notes mat banana, bus important concept aur formula ho usme, nahin to time waste ho jaayega aapka, notes se aapko fayada hi hoga, karna ye , ki har 4 ya 5 din me baithkar poore maths ke aapke dwara likhe gye notes ko revise karna , isse apke dimaag me chap jaayenge har chapter ke concepts aur jo problem aapko aa rhi hai maths me , wo kab door ho jaayegi aapko pta bhi nahin chalega.I hope u understand. All the best.👍😊🎯
@@sscmentor thankyou so much 😊😊😊🙏🙏 mujhhe etna achhe se smjhane ke liye 🙂 or haan ab aaisa hi karte hi jaisa ki aap bol rhe hai dekhte hai improvement hota hai ya nhi ...... I think improvement jarur hogi hm lage hue hai maths ki syllabus complete karne me or test series bhi de rhi hun ... Score jitna improve hoga hm yahi pe mention karenge # again thankyou from bottom of my heart😊😊😊
advanced maths ke chapterwise mock laga kar dekho , agar har chapter ke 10 me se 8 sawal bhi sahi kar paa rhe ho, to very good, inko hi revise Karo baar baar, agar 7 ya 8 sawalo se bhi kam kar paa rhe ho , tumhe kuch aur bhi karne ki jarurat hai.
aur gs kaise karni hai, iske ye ek video banaya hua hai maine . ki genral awareness se daro mat. dekh lo , channel PE mil jaayega aapko. All the best.❤️👍
Sir Mai SSC CGL ki preparation 1st time kar raha ho abhi shuru kar raha ho to kya mera tier 1 niklega 14 15 hours daily padhu to basic se pls reply sir
Haan bhai, bilkul niklega. waise 14 15 ghanta koi bhi practically dhang se nahi padh sakta hai har din. to issliye aap bhale hi daily 10 ghanta padho. par sahi material se aur sahi direction me padhna. aapka jarur clear hi jaayega. Trust youself and All the best❤️
@@sscmentor bhaiya maine math ke liye Aditya ranjan sir ka vod batch liya hai aur Kiran ki pyq Reasoning ke liye piyush sir ka batch aur kiran ki pyq English ke liye black book aur nitu mam vol 1 aur neetu mam ki vod batch aur gs ke liye Lucent ki book aur gk ke liye statik gk aur parmar ssc ke you tube se class sahi rahega
.. Hlo mere marks 60 a rhe h sir😢😢😢😢bhut tension ho jatti h.....mere pass sare notes bane h bs maths ka revision rehta h usi me se no.nhi a rhe maths me se....jo jo mera huya h wo sayi hota h mock me 😢but mujhe bhut dar lgda h fr v😊
tention aur Darr lagna laazmi hain , jab marks naa aa rhe ho. chinta mat karo , abhi aapke pass lagbhag 80 90 din bache hue hain exam me, aur ye time bahut hota hai . iska sahi tarike se utilise karo. apni priority notes ke revision ko banao. naaki Darr aur tention ko. jitna jayada revision aur mock analysis karoge abhi , Darr aur tention dheere dheere bilkul khatam ho jaayega. aapkpo abhi 3 mahine sirf padhai aur padhai karni hai. bas itna yaad rakhna . ye dekhte rho ki Kahan Kahan par aapse galti ho rhi hain, bas unka sudhaar karo, baaki sab accha ho jayega. All the best.👍😃
Hlo bhaiya mere parso hei BA complete ho gyi 48 % ke sath maine pahle Gagan sir sa pda tha or 50 % syllables complete kr liya or notes bhi bnai tha fer bad mai padne ka mn na kray Or mai ab sb bhul gya 😢 kyunki Mena fir pda na 5 month ho gye math Bina pda kya karu bhaiya Mera math thik hai kyunki Mena BA mathematics sa kiya hai to bhaiya mai aaj sa bhi Pdu to kya mai bhi cgl pre clear kr sakta hu ?
mubaarak ho aapne 50% syllabus kar liya hai aur notes bhi bana liye hain saath me. baaki ka syllabus bhi aap jaldi hi kar loge. mubaarak ho aapka Mann ni kiya aur aap bhool bhi jaate ho, isse saabit hota hai ki sab normal hai. sab ke saath aisa hota hi hai. mubaarak ho aapne BA mathematics se ki hai aur aapka maths accha hai, kyunki baccho ko maths me bahut problem hoti hai SSC CGL me. jabki aapke pass ek advantage rahegi , ek edge rahegi dusre baccho se. bhai aapke saath kitni saari cheege bahut acchi hain. mubaarak ho aap SSC CGL clear kar sakte ho 100% . Bas ab lamba break mat lena. With best wishes 👍❤️😃. Lage raho aur aage badhte rho.
nahin bhai, I m damn serious. main chahta to aapko ek line me bhi ye likh sakta ki ki aap bilkul clear kar sakte the. par main aapke dwara batai gyi ek ek baat se positivity dhoond kar aapko motivate karke sacchai batana chahta tha. ❤️
aur sacchai yahi hai ki aapke saath Kai saare plus point hain, jo aapko badhiya tarike se taiyaari karne ke liye motivate kar sakte hain. kyunki abhi bhi bahut se aise bacche hain, jo abhi taiyaari shuru karenge aur 90 din me pre bhi nikaalnge kyunki wo sab jaante hain ki wo aisa kar sakte hain. aapne to phir bhi 50 % syllabus already kar rakha hai to aap to bilkul clear kar sakte ho.
aap mera first reply dhyaan se dobara padho, usme aapko mehsoos hoga ki maine aapko motivate karne ki koshish ki hai, naaki aapke maje liye hain. ❤️👍All the best.
bhai ye video approximate 90 days ka hai. video upload thoda late kar paya main, record pahle se kiya hua tha. agar aapko bura laga , to uske liye maafi chahunga. 🥺
Bhai hmare to abhi mocks m 80-90nmber hi aa rhe h syllabus bhut bacha h abhi or sbse jada maths ka bacha h baki English reasoning or gk next month tak pura ho jyega to ab kya kru jisse pre har haal m qualify ho sake..first time de rha CGL baki state level exam diye h maine
theek hai, suno dhyaan se, tumhaare saath ab kya kya hone waala hai, aur usko hone se bachaane ke liye abhi tum kya kya kar sakte ho. dekho, abhi tum kisi tarah exam se pahle dukhi sukhi hokar apna syllabus complete karne ki koshish karoge, jo ki kisi tarah poora hokar bhi tumhe Aisa feel hoga ki poora nahin hua aur confidence aayega nahin. aur exam se pahle ek - do ya teen char mock dekar chale jaaoge exam me aur wahan atak jaaoge kisi question me kyunki questions ki itni jayada practise hogi nahin aur exam kharaab hone ka poora chance hai. ab suno, tumhe karna kya hai, ab jo samay bacha hua hai, uske hisaab se best cheez bata rha hu jo ab kar sakte ho. daily ek mock test solve Karo, Bina ye soche ki mera syllabus complete nahin hua hai yaa mere to sirf 90 marks aa rhe hain , main kya hi questions solve karunga, ye mat dekhna ki kitna time lag rha usko solve karne me, kitna bhi time lage, bas solve Karo, jo question nahin ho rhe unke solution dekho. aur unn questions ko solve karne ka tareeka dekho, khaaskar reasoning aur maths me aur baaki dono subjects me bhi, phir agle mocks me aapke wo question theek hona shuru ho jaayenge, aur score ek dum se badhega. to daily din ki shuruaat ek mock Dene se karo aur aur uska analysis karo aur wrong questions ka solution dekho. ye saara kaam 3 se 4 ghante maximum me ho jaayega , phir uske baad apna daily tum jaise padhna chahte ho, jaise syllabus cover karna chahte ho, karo baaki ke 5 se 6 ghante. par yaad rakhna daily ek mock test jarurur lagao, full mock test testbook se. dekhna, bahut majboot position me aa jaoge dusre baccho ke mukaable aur mock test daily karne ke baad apna syllabus bhi karne ka bahut Mann karega . iss tarah tum maximum syllabus cover kar paaoge wo bhi, ek tarah se revision ke saath , joki tumhe pta bhi nahi chalega ki kab tumne kar liya. socho, abhi tumnhe 2 mahine me 60 mock test laga liye to kitne question repeat honge, tumhe question karne ka method bhi aa jayega aur speed bhi improve ho jaayegi aur score bhi badh jayega. bahut jayada practise ho jayegi aur saath syllabus bhi complete ho jaayega. All the best ❤️👍
yes 100%. kyunki jayadatar baccho ki maths weak hoti hai shuru me, par wo exam se pahle seekh lete hain. aap bhi seekh lo aur badhiya se taiyaari kar lo. All the best.❤️👍
maine beginner ke liye sab subjects ki strategy batai hui. quants ki, English ki, gk ki, reasoning ki. aap wo videos dekh sakte ho. ek baar dekho mere channel par jaakar. thank you 😊
@AnkitaSingh-ki7wh Chances to poore 100 percent hain, par shart ye hai ki aapko apna 100 percent dena hoga taiyaari me. Bahut se bacche abhi se taiyaari shuru karenge aur selection le jaayenge. My best wishes are with you. you can definitely do it . bharosha karo khud par. Kar har maidaan fateh👍
@AnkitaSingh-ki7wh abhi time bahut hai, selection hoga , nahi hoga, kab hoga , 2024 me yaa 2025, ye aapke haath me nahin, par meri salaah ye hai ki aap abhi ye soch kar iss tarah se jabardast taiyaari karo ki ye aapka 2025 ka hi attempt hai aur aapko har haalat me selection Lena hi hai. taaki jo bura hona hai ya manchahi post ya manchaha state milna ya nahin milna hai wo isi baar hole aapke saath, taaki agli baar agar aapko jaana bhi pade exam me to jo kamiya agli baar aapke attempt me rahni hain , wo iss baar rah jaaye aur aapko isi baar wo pta chal jaaye jo aapko agli baar exam dekar pta chalega , taaki aap agli baar wo haasil kar pao , jo iss baar naa mil paaye aapko begginer hone ki wajah se. umeed hai aapko meri baat aur bhavna samjh me aai hogi , ki main aapko kya samjhana chata tha. All the best. 100 baato ki ek baat , samay ke saath nahin, samay se bhi aage chalna aur sochna hoga. taaki aap beginner naa rho. expert ban jao , jaldi .👍😊
Thanks bro kuki beginners pr koi baat ni krna chahta hai aapne kii h bss
you're most welcome bro 👍
maths me problem aaaa rhi hai baki toh thik hai maths ke liye batao bhaiya please hm dukhi ho chuke hai maths se smjh hi nhi aa rhai hai kya kare please mujjhe koi suggestion dijiye 😔😔🥺🥺🥺😩😩😩😩😩 mere pass last me only 20 min hote hai shaare portion ko karne ke baad phir math section ki jab bari aati hai na jaane mujjhe kya ho jata hai fumble kar jati hun ...........per mujjhe aaacha karna hai chsl bhi diye same problem only 100 marks hi bane usme bahut demotivate hui hun per jaise taise khud ko sbhali hun or cgl ke liye achha karna hai please mujjhe kuchh bataye
dekho aapko Kai saari baate samjhni padegi, batata hu ek ek karke. suno dhyaan se. aapko reasoning , English aur gk ke basics kaafi hadd tak clear hain , issliye aap attempt kar paa rhe ho, bas inme speed ka jayada issue hai , issliye aap maths ke liye sirf 20 minute hi bacha paa rhe ho last me, to aapko karna kya hai ki inn teeno subjects ke jayada se jayada mock test do jisse aapke basics aur majboot ho aur aapki speed badhe aur Kam se kam 25 minutes bacha paao maths ke liye. dusri baat, ek cheez aur samjho ki aapke maths ke basics bhi kamjor hain aur practise to hai hi nahin, jiski wajah se aap pressure aane par fumble kar rhe ho aur muskil se 5 ya 6 question hi attempt kar paa rhe hoge maths me, to Aaj se karna kya hai ki maths ko apni priority bana lo, apne har din ki taiyaari ka 50 % hissa maths ko do, apne din ki shuruaat maths se karna aur aadha din maths padho, seekho aur practise Karo, baaki ka addha din unn teen subjects ke mock tests ko do. aur aap khushkismat hain ki aapke pass time hai ye sab karne ka kyunki CGL me abhi 2 mahine hain. aur aapke pass itna bhi time nahi, ki aap demotivate feel kar sake, kyunki demotivate insaan jab feel karta hai jab uske pass time ho ye feel karne ka, aapke pass to time hi nahin ab. maths ko as a whole mat dekho. maths ko ek saath dekhoge to bahut bada dikhai dega. maths me divide and rule karo, maths ke ek chapter ko haath me lo aur mehnat ke hathode se jabardast prahaar karo, kuch hi hafto me maths aapke aage ghutne tek dega. I hope you understand.All the best.👍😊🎯
@@sscmentor Thankyou your words give me energy to achieve my goal thankyou again for motivating me 😌😌😇😇 but ek problem or bhi hai maths ki jab sir maths ko batate hai tab toh bana lete hai question ko but jab mock lagate hai toh nhi bante or sir ka method bhi shortcut hota hai or sab question ke liye agar aaise hi alag alag method use karenge toh bhul jate hai kaise solve karna hai🤔🤔🙄🙄 achha ek baat bataye abhi time bhi kam hai toh notes banau ya nhi ya pgir sir pdf dete hai ushise pratice karun so that time save ho 🙁🙁🙁
jab sir batate hai tab question ban jaata hai, isske Kai saare kaaran hain, ek to ye wo cheez taaja taaja Hume batai gyi hoti hai to dimaag me rahti hai , aur kahin naa kahin teacher ki baaton ka bhi hume sahaara hota uss time, aur question bhi uss time almost usi concept se related hota hai jo hume sikhaya gya hota hai , to kahin naa kahin hume pta hota hai uss question ko solve karne ka rasta kyunki humne turant hi waisa question solve hota hue dekha hota hai apni aankhon ke saamne aur uss time hume uss question ko solve karne ke liye 100 % apna dimaag aur effort nahin lagaya hua hota hai, dusra humara dimaag ek pen drive wali copy paste technique par kaam nahi karta, naa to hum cheezo ko ek dum se poora seekhte aur naa hi lagbhag ek dum se bhulte jaise ki pendrive me copy - paste aur delete ka option hota hai, humara dimaag repetion ki technique par kaam karta hai, jitna cheezo ko repete karoge utna hi cheezo par humara adhikaar hota jaayega, utni hi cheeze humare dimaag ki parmanent memory me save hoti jaayengi. teesri baat, ye kahin na kahin mock test me questions solve karne ka aapka pahla round hai, issliye concept apply karne ki baat to chod hi do, concept bhi yaad nahi rahta pahli baar me to, to socho, dikkat to aayengi hi. question first go me solve naa hona bahut hi normal baat hai, jab baar baar iss tarah ke question aapke saamne aayenge to acche se solve bhi hona shuru ho jaayenge, pahle shortcut samjho kya hota hai, agar koi teacher aapke har question me alag shortcut bta rha hai to samjho wo teacher sahi nahi, kisi bhi chapter me on an average 8 se 10 tarah ke concepts hote hain jinko skeehna , yaad karna, aur practise karna hota hai, aur ye concepts kahin naa kahin zero se upar tak ek dusre se interrelated hote hain, main maanta hu shorts cut hote hain par at the end , question wahi insaan solve kar paayega, jisko basic aata ho , issliye method same hoga , but kuch steps ko hum apne mann me karenge bus likhenge nahi, overall shortcut ye hota hai, aur agar aap kisi question ke solve karne ka poora method muh jubaani bol nahin sakte ,iska matlab app questions ko ratt rhe ho. jab dheere dheere normal methods se questions ko solve karna shuru karoge, aapke khud ke shortcut khud banna shuru ho jaayenge, aap khud hi wo steps ni likhoge, jo aap baar baar likh rhe ho questions me, kyunki wo steps aapko yaad ho chuke honge, aur rahi notes banaane ki baat, notes banane me koi dikkat nahin, bas dhyaan ye rakhna kisi bhi chapter ke notes 2 ya 3 page se jayada naa ho, jayada long aur extreme detailed notes mat banana, bus important concept aur formula ho usme, nahin to time waste ho jaayega aapka, notes se aapko fayada hi hoga, karna ye , ki har 4 ya 5 din me baithkar poore maths ke aapke dwara likhe gye notes ko revise karna , isse apke dimaag me chap jaayenge har chapter ke concepts aur jo problem aapko aa rhi hai maths me , wo kab door ho jaayegi aapko pta bhi nahin chalega.I hope u understand. All the best.👍😊🎯
@@sscmentor thankyou so much 😊😊😊🙏🙏 mujhhe etna achhe se smjhane ke liye 🙂 or haan ab aaisa hi karte hi jaisa ki aap bol rhe hai dekhte hai improvement hota hai ya nhi ...... I think improvement jarur hogi hm lage hue hai maths ki syllabus complete karne me or test series bhi de rhi hun ... Score jitna improve hoga hm yahi pe mention karenge # again thankyou from bottom of my heart😊😊😊
pleasure is all mine. 😊
RAKESH YADAV ADVANCED CLASS NOTES..IS IT ENOUGH FOR SSC CGL OR WE HAVE TO DO SOMETHING ELSE..??
advanced maths ke chapterwise mock laga kar dekho , agar har chapter ke 10 me se 8 sawal bhi sahi kar paa rhe ho, to very good, inko hi revise Karo baar baar, agar 7 ya 8 sawalo se bhi kam kar paa rhe ho , tumhe kuch aur bhi karne ki jarurat hai.
Exact date kya hai Cgl exam ki?? Mai beginner hu , GS ka problem hai...
bhai exact date to SSC hi batayega time aane par, lekin ye confirm hai ki exam ya to sep ke end me ya oct ke shuru me hoga. 👍😊
aur gs kaise karni hai, iske ye ek video banaya hua hai maine . ki genral awareness se daro mat. dekh lo , channel PE mil jaayega aapko. All the best.❤️👍
@@sscmentor Thnx 👍
welcome ❤️👍
Etna padne se Mock m marks increase hoge?
agar aap mock dete rahoge aur unka analysis karte rahoge aur jo chapters aapke kamjor hain, jinke question galat ho rahe hain, unke notes bhi revise karoge , to marks jarur increase honge. All the best.👍😊
Sir Mai SSC CGL ki preparation 1st time kar raha ho abhi shuru kar raha ho to kya mera tier 1 niklega 14 15 hours daily padhu to basic se pls reply sir
Haan bhai, bilkul niklega. waise 14 15 ghanta koi bhi practically dhang se nahi padh sakta hai har din. to issliye aap bhale hi daily 10 ghanta padho. par sahi material se aur sahi direction me padhna. aapka jarur clear hi jaayega. Trust youself and All the best❤️
@@sscmentor ohk bhaiya thnx 🤗
welcome ❤️
@@sscmentor bhaiya maine math ke liye Aditya ranjan sir ka vod batch liya hai aur Kiran ki pyq
Reasoning ke liye piyush sir ka batch aur kiran ki pyq
English ke liye black book aur nitu mam vol 1 aur neetu mam ki vod batch aur gs ke liye Lucent ki book aur gk ke liye statik gk aur parmar ssc ke you tube se class sahi rahega
Sahi rahega n bhaiya itna hojeyga n utna karu to
Sir Mara 111 marks aarahay kithna safe score target karu category EWS hay and aa Mara first attempt may sir ❤
135 se 140
..
Hlo mere marks 60 a rhe h sir😢😢😢😢bhut tension ho jatti h.....mere pass sare notes bane h bs maths ka revision rehta h usi me se no.nhi a rhe maths me se....jo jo mera huya h wo sayi hota h mock me 😢but mujhe bhut dar lgda h fr v😊
tention aur Darr lagna laazmi hain , jab marks naa aa rhe ho. chinta mat karo , abhi aapke pass lagbhag 80 90 din bache hue hain exam me, aur ye time bahut hota hai . iska sahi tarike se utilise karo. apni priority notes ke revision ko banao. naaki Darr aur tention ko. jitna jayada revision aur mock analysis karoge abhi , Darr aur tention dheere dheere bilkul khatam ho jaayega. aapkpo abhi 3 mahine sirf padhai aur padhai karni hai. bas itna yaad rakhna . ye dekhte rho ki Kahan Kahan par aapse galti ho rhi hain, bas unka sudhaar karo, baaki sab accha ho jayega. All the best.👍😃
@@sscmentor Prelims oct main hoga kya?
@@sscmentor thanks bhaiya ji
SEPTEMBER ke end me shuru ho sakta hai prelims
welcome 😊
Hlo bhaiya mere parso hei BA complete ho gyi 48 % ke sath maine pahle Gagan sir sa pda tha or 50 % syllables complete kr liya or notes bhi bnai tha fer bad mai padne ka mn na kray Or mai ab sb bhul gya 😢 kyunki Mena fir pda na 5 month ho gye math Bina pda kya karu bhaiya Mera math thik hai kyunki Mena BA mathematics sa kiya hai to bhaiya mai aaj sa bhi Pdu to kya mai bhi cgl pre clear kr sakta hu ?
mubaarak ho aapne 50% syllabus kar liya hai aur notes bhi bana liye hain saath me. baaki ka syllabus bhi aap jaldi hi kar loge.
mubaarak ho aapka Mann ni kiya aur aap bhool bhi jaate ho, isse saabit hota hai ki sab normal hai. sab ke saath aisa hota hi hai.
mubaarak ho aapne BA mathematics se ki hai aur aapka maths accha hai, kyunki baccho ko maths me bahut problem hoti hai SSC CGL me. jabki aapke pass ek advantage rahegi , ek edge rahegi dusre baccho se.
bhai aapke saath kitni saari cheege bahut acchi hain. mubaarak ho aap SSC CGL clear kar sakte ho 100% . Bas ab lamba break mat lena. With best wishes 👍❤️😃. Lage raho aur aage badhte rho.
@@sscmentor bhaiya mja le rhe ho mere ?
nahin bhai, I m damn serious. main chahta to aapko ek line me bhi ye likh sakta ki ki aap bilkul clear kar sakte the. par main aapke dwara batai gyi ek ek baat se positivity dhoond kar aapko motivate karke sacchai batana chahta tha. ❤️
aur sacchai yahi hai ki aapke saath Kai saare plus point hain, jo aapko badhiya tarike se taiyaari karne ke liye motivate kar sakte hain. kyunki abhi bhi bahut se aise bacche hain, jo abhi taiyaari shuru karenge aur 90 din me pre bhi nikaalnge kyunki wo sab jaante hain ki wo aisa kar sakte hain. aapne to phir bhi 50 % syllabus already kar rakha hai to aap to bilkul clear kar sakte ho.
aap mera first reply dhyaan se dobara padho, usme aapko mehsoos hoga ki maine aapko motivate karne ki koshish ki hai, naaki aapke maje liye hain. ❤️👍All the best.
Bhai ye batao ki
90 din kaha se he
Only 70 day he maximum
Kyu logo ko pagal bana rhe bhai
bhai ye video approximate 90 days ka hai. video upload thoda late kar paya main, record pahle se kiya hua tha. agar aapko bura laga , to uske liye maafi chahunga. 🥺
Bhai hmare to abhi mocks m 80-90nmber hi aa rhe h syllabus bhut bacha h abhi or sbse jada maths ka bacha h baki English reasoning or gk next month tak pura ho jyega to ab kya kru jisse pre har haal m qualify ho sake..first time de rha CGL baki state level exam diye h maine
theek hai, suno dhyaan se, tumhaare saath ab kya kya hone waala hai, aur usko hone se bachaane ke liye abhi tum kya kya kar sakte ho. dekho, abhi tum kisi tarah exam se pahle dukhi sukhi hokar apna syllabus complete karne ki koshish karoge, jo ki kisi tarah poora hokar bhi tumhe Aisa feel hoga ki poora nahin hua aur confidence aayega nahin. aur exam se pahle ek - do ya teen char mock dekar chale jaaoge exam me aur wahan atak jaaoge kisi question me kyunki questions ki itni jayada practise hogi nahin aur exam kharaab hone ka poora chance hai. ab suno, tumhe karna kya hai, ab jo samay bacha hua hai, uske hisaab se best cheez bata rha hu jo ab kar sakte ho. daily ek mock test solve Karo, Bina ye soche ki mera syllabus complete nahin hua hai yaa mere to sirf 90 marks aa rhe hain , main kya hi questions solve karunga, ye mat dekhna ki kitna time lag rha usko solve karne me, kitna bhi time lage, bas solve Karo, jo question nahin ho rhe unke solution dekho. aur unn questions ko solve karne ka tareeka dekho, khaaskar reasoning aur maths me aur baaki dono subjects me bhi, phir agle mocks me aapke wo question theek hona shuru ho jaayenge, aur score ek dum se badhega. to daily din ki shuruaat ek mock Dene se karo aur aur uska analysis karo aur wrong questions ka solution dekho. ye saara kaam 3 se 4 ghante maximum me ho jaayega , phir uske baad apna daily tum jaise padhna chahte ho, jaise syllabus cover karna chahte ho, karo baaki ke 5 se 6 ghante. par yaad rakhna daily ek mock test jarurur lagao, full mock test testbook se. dekhna, bahut majboot position me aa jaoge dusre baccho ke mukaable aur mock test daily karne ke baad apna syllabus bhi karne ka bahut Mann karega . iss tarah tum maximum syllabus cover kar paaoge wo bhi, ek tarah se revision ke saath , joki tumhe pta bhi nahi chalega ki kab tumne kar liya. socho, abhi tumnhe 2 mahine me 60 mock test laga liye to kitne question repeat honge, tumhe question karne ka method bhi aa jayega aur speed bhi improve ho jaayegi aur score bhi badh jayega. bahut jayada practise ho jayegi aur saath syllabus bhi complete ho jaayega. All the best ❤️👍
Bhaiyha meri math week hain kya merko cgl ke preparation karni chahiye
yes 100%. kyunki jayadatar baccho ki maths weak hoti hai shuru me, par wo exam se pahle seekh lete hain. aap bhi seekh lo aur badhiya se taiyaari kar lo. All the best.❤️👍
@@sscmentor sir main graduation second year main hu to plx strategy bataye biggner ke liye
maine beginner ke liye sab subjects ki strategy batai hui. quants ki, English ki, gk ki, reasoning ki. aap wo videos dekh sakte ho. ek baar dekho mere channel par jaakar. thank you 😊
How can I talk to you? dear
you can talk to me here in the comment section. ask me if you have any problem in your SSC CGL preparation here in the comments.
@@sscmentorsir please tell me agar abhi se preparation start kate tho selection ke chances hai kya ??
@@sscmentor sir aapne bataya nahi mai begginer hu tho mai 2025 ke liye try karoo kya ??
@AnkitaSingh-ki7wh Chances to poore 100 percent hain, par shart ye hai ki aapko apna 100 percent dena hoga taiyaari me. Bahut se bacche abhi se taiyaari shuru karenge aur selection le jaayenge. My best wishes are with you. you can definitely do it . bharosha karo khud par. Kar har maidaan fateh👍
@AnkitaSingh-ki7wh abhi time bahut hai, selection hoga , nahi hoga, kab hoga , 2024 me yaa 2025, ye aapke haath me nahin, par meri salaah ye hai ki aap abhi ye soch kar iss tarah se jabardast taiyaari karo ki ye aapka 2025 ka hi attempt hai aur aapko har haalat me selection Lena hi hai. taaki jo bura hona hai ya manchahi post ya manchaha state milna ya nahin milna hai wo isi baar hole aapke saath, taaki agli baar agar aapko jaana bhi pade exam me to jo kamiya agli baar aapke attempt me rahni hain , wo iss baar rah jaaye aur aapko isi baar wo pta chal jaaye jo aapko agli baar exam dekar pta chalega , taaki aap agli baar wo haasil kar pao , jo iss baar naa mil paaye aapko begginer hone ki wajah se. umeed hai aapko meri baat aur bhavna samjh me aai hogi , ki main aapko kya samjhana chata tha. All the best. 100 baato ki ek baat , samay ke saath nahin, samay se bhi aage chalna aur sochna hoga. taaki aap beginner naa rho. expert ban jao , jaldi .👍😊
Best strategy video ❤
thank you so much