Dagh | Bang-e-Dra:44 | Allama Iqbal Poetry With Urdu Explanation | Kalam-e-iqbal Urdu | Allamaiqqbal

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 24 ก.ย. 2021
  • Nawab Mirza Khan Daagh Dehlvi (Urdu: نواب مرزا خان داغ دہلوی‎, 25 May 1831 - 17 March 1905) was a poet known for his Urdu ghazals. He belonged to the old Delhi school of Urdu poetry.
    He wrote romantic and sensuous poems and ghazals in simple and chaste Urdu, minimising usage of Persian words. He laid great emphasis on the Urdu idiom and its usage. He wrote under the takhallus (Urdu word for nom de plume) Daagh Dehlvi (the meanings of Daagh, an Urdu noun, include stain, grief and taint while Dehlvi means belonging to or from Dehli or Delhi). He belonged to the Delhi school of thought.
    His honorific Dabeer ud Dawla, Faseeh ul Mulk, Nawab Nizam Jang Bahadur, Sipah Salar, Yar-e-Wafadar, Muqrib-us-Sultan, Bulbul-e-Hindustan, Jahan Ustad, Nazim Yar Jung, were the titles bestowed upon him by the sixth Nizam of Hyderabad Mir Mahbub Ali Khan.
    Bang-e-Dra :44
    داغ
    Dagh
    Azmat-e-Ghalib Hai Ek Muddat Se Pewand-e-Zameen
    Mehdi-e-Majrooh Hai Sheher-e-Khamoshan Ka Makeen
    Tor Dali Mout Ne Ghurbat Mein Meenaye Ameer
    Chashme-e-Mehfil Mein Hai Ab Tak Kaif-e-Sehbaye Ameer
    Aaj Lekin Hum-Nawa! Sara Chaman Matam Mein Hai
    Shama-e-Roshan Bujh Gyi, Bazm-e-Sukhan Matam Mein Hai
    Bulbul-e-Dilli Ne Bandha Iss Chaman Mein Ashiyan
    Hum Nawa Hain Sub Anadil Bagh-e-Hasti Ke Jahan
    Chal Basa Dagh! Aah! Mayyat Iss Ki Zaib-e-Dosh Hai
    Akhri Shayar Jahan Abad Ka Khamosh Hai
    Ab Kahan Woh Bankpan, Woh Soukhi-e-Tarz-e-Byaban
    Aag Thi Kafoor-e-Peeri Mein Jawani Ki Nihan
    Thi Zuban-e-Dagh Par Jo Aarzu Har Dil Mein Hai
    Laila-e-Maani Wahan Be Parda, Yaan Mehmil Mein Hai
    Ab Saba Se Kon Puche Ga Sukoot-e-Gul Ka Raaz
    Kon Samjhe Ga Chaman Mein Nala-e-Bulbul Ka Raaz
    Thi Haqiqat Se Na Ghaflat Fikar Ki Parwaz Mein
    Aankh Taeer Ki Nasheman Par Rahi Parwaz Mein
    Aur Dikhlayen Ge Mazmoon Ki Humain Bareekian
    Apne Fikr-e-Nukta Aara Ki Falak Pemaeeyan
    Talakhi-e-Doran Ke Naqhe Khainch Kar Rulwayen Ge
    Ya Takhiyul Ki Nayi Dunya Humain Dikhlayen Ge
    Iss Chaman Mein Hon Ge Paida Bulbul-e-Sheeraz Bhi
    Saikron Sahir Bhi Hon Ge, Sahib-e-Ijaz Bhi
    Uthain Ge Azar Hazaron Shair Ke Butkhane Se
    Mai Pilayen Gen Aye Saqi Naye Pemane Se
    Likhi Jaen Gi Kitab-e-Dil Ki Tafseerain Bohat
    Hon Gi Ae Khawab-e-Jawani! Teri Taabeerain Bohat
    Hu Bahu Khainche Ga Lekin Ishq Ki Tasveer Kon?
    Uth Gya Nawak Fagan, Mare Ga Dil Par Teer Kon?
    Ashak Ke Dane Zameen-e-Shair Mein Bota Hun Main
    Tu Bhi Ro Ae Khak-e-Dilli! Dagh Ko Rota Hun Main
    Ae Jahan Abad, Ae Sarmaya-e-Bazm-e-Sukhan!
    Ho Gya Phir Aaj Pamal-e-Khazan Tera Chaman
    Woh Gul-e-Rangeen Tera Rukhsat Misal-e-Bu Huwa
    Ah! Khali Dagh Se Kashana-e-Urdu Huwa
    Thi Na Shaid Kuch Kashish Aesi Watan Ki Khak Mein
    Woh Mah-e-Kamil Huwa Pinhan Dakkan Ki Khak Mein
    Uth Gye Saqi Jo The, Mai-Khana Khali Reh Gya
    Yadgar-e-Bazm-e-Dehli Aik Hali Reh Gya
    Arzoo Ko Khoon Rulati Hai Baidad-e-Ajal
    Maarta Hai Teer Tareeki Mein Sayyad-e-Ajal
    Khul Nahin Sakti Shakayat Ke Liye Lekin Zuban
    Hai Khazan Ka Rang Bhi Wajah-e-Qayam-e-Gulistan
    Aik Hi Qanoon-e-Alamgeer Ke Hain Sub Asar
    Bu-e-Gul Ka Bagh Se, Gulcheen Ka Dunya Se Safar
    📌 Poetry & Translation from: iqbalurdu.blogspot.com/
    📌 Facebook: / allamaiqqbal
    📌 Instagram: / allamaiqqbal
    #DAGH #Allamaiqqbal #Bang_e_dra #UrduPoetry #Hindu #Muslims #Kalam_e_Iqbal #D
    🎵 Music:
    Ana (Canim Annem)
    By
    Sekin Bilalova

ความคิดเห็น • 11

  • @islamedeenchannel
    @islamedeenchannel ปีที่แล้ว +1

    MAshallah very nice shering MAshallah

  • @nomannomi2878
    @nomannomi2878 ปีที่แล้ว +1

    Aapki awaaz se Dil Ro padta hai sar Allah Pak aap pure Drishti Ada kar

  • @lifetayyab
    @lifetayyab 8 หลายเดือนก่อน +1

    یاد اقبال قبر میں مجھ سے نہ چھوٹے واہ مرشد اقبال واہ 😢

  • @aftabansari7770
    @aftabansari7770 ปีที่แล้ว +1

    May Allah give us all the exact understanding for poems of Hazrat Allama Iqbal. 29/09/2022

  • @shabahatkhan2012
    @shabahatkhan2012 2 ปีที่แล้ว +2

    Allama Iqbal to amazing the hi par apki awaz ne or charchand laga diye h

  • @theactionskill9654
    @theactionskill9654 2 ปีที่แล้ว +1

    واہ

  • @maliknoman9181
    @maliknoman9181 2 ปีที่แล้ว +6

    Brother I am big fan I request sharing video waqte Fursat plz♥️

  • @mdh5114
    @mdh5114 2 ปีที่แล้ว +2

    😐😔😔😔

  • @mustak8311
    @mustak8311 ปีที่แล้ว +1

    Voice artist ka neme kya he batao koi

    • @AB-qz9ic
      @AB-qz9ic ปีที่แล้ว

      Zia Mohyeddin