Why Captain is responsible?What Happened to Shivam Malik?|Justice For Shivam Malik|Ship sailor sunil

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 8 ก.ย. 2024
  • Mujhe kafi time se kuch puche ja rahe hai ki Why Captain is responsible? Or kya captain insan nahi hai ya humne captain ka nam kyu liya n all.
    Starting se start krte hai
    21st September; Shivam ne mere father ko call kiya and bato bato me btaya ki captain kisi officer se bat kr rha hai steamer ke zariye drugs and weapons port par pohchane ka. Mere dad ne usko tabhi bola bhi ki isme involve mat hona to just like any other person usne bola dont worry me handle kr lunga.
    Then 2nd October ko jab shivam port par pohch kar hume call krne vala tha sab detail me btane usse pehle he usko dead declare kr diya gaya. Ye bat humne police ko lawyer ko and court ko pehle he bta di thi with proof.
    Aaj tak company ne hume Gibraltar UK me hui koi post mortem report nahi di. Hume kya aaj tak jitne bhi deaths hue hai onboard mostly kisi ko bhi post mortem report di he nahi hai. Bas ek letter de diya likh ke ki cause of death hanging and external neck compression.
    Shivam ka post mortem 8th oct ko hona tha usse pehle mene bohot bola ki ap internal investigation to kariye ki hua kya tha? Bina kisi investigation ke..Bina post mortem report ke company ke bhagwan ne declare kr diya suicide hai. Or ye company ne press release bhi issue kr di post mortem report tak ka wait nahi kiya jese ki inko pehle he pta tha ki post mortem me ye he aaega.
    And fir 1st January ko mene video upload kari ki kese company ne shivam ki death ko suicide dikhaya. 3rd January ko company ke do captains suddenly instagram post krne lage ki kese junior officers ship par family tension leke aate hai, and unko depression hota hai. Or vahi same captain next video me khud he btata hai ki kese usko family ki stresshoti hai ship par and vo stress uske kam par effect krti hai. Well done!!
    Ye company ke pale hue kuch captains ki post me mujhe ek chiz bohot ajeeb lagi ki vo dono captains bas Shivam ki ship ke captain ko bachane me lage hue the. To mujhe zada doubt hua.
    And uske bad humne silent investigation start ki captain ke against; humne tab bhi kisi ko nahi btaya captain kon tha. Par ye company ke pale hue captain logo ko ja ja ke DM krte rahe ki company ki side do, captain ki side do kyu uss ladki ka side le rahe ho. To Mujhe or zada doubt hua and mene ek story share ki jisme mene vo captain ka name leke sabko pucha ki jisne bhi uske sath kam kiya hai vo mujhe btae uske bare me..
    And then I got to know the truth; Sachai ye hai ki Shivam ki ship par jo captain tha ko serious anger issues hai and mood swing problem hai. Usko ek jhatke me gussa aa jata hai and vo gusse me kuch bhi kr deta hai.
    Vo ghar ka sara stress juniors ka nikalta hai and uske frustration ka shikar bhi juniors he bante hai. Now mera shak or strong hone laga.
    Then jese jese shivam ki ship ke crew members ship se utare mostly sabne ek he bat btai ki captain ko Shivam se personal problem thi kuch or vo usko bohot zada harass krta tha. Ye crew members ne Gibraltar police and P & I club ko written statement me bhi diya hai.
    To humara shakk yakeen me badal gya and fir vapas se company ke he ek joker captain ne video dali jisme btaya ki kese captains juniors ko pareshan krte hai ship par. chaku churi bhi chal jate hai and fir hum 100 % sure ho gaye ki ye kaam captain ka hai.
    Ab aati bat smugling ki to iss captain ka mostly ye he route rehta hai; Africa to Nigeria to Gibraltar ye teeno he drugs and smuggling ke hub hai everyone knows that.
    Ye ship ko bhi yard se ye he captain le kar aaya tha China se and uske he under me rehti thi ye mostly to captain ko ship ka chappa chappa pta hoga thats why uske liye ye drugs and weapons chupana badi bat nahi hai.
    Shivam ko sab pta chal gya tha and isiliye captain use itna zada pareshan kar rha tha and finally shivam uske anger issues ka shikar ban gya.
    Mujhe ek bat smjh nahi aati ki bina facts clear kare ye log social media par itni galat bate kese bol dete hai and then they mislead our new generation influenza ke naam par!!!
    And as we all know uss captain ko mental problem hai use gussa aa jata hai to usne gusse me Shivam ko mar diya.
    As always ye ladai hum dignity ke sath ladna chahte the ye sab bate court ki chaar diwari me hoti but ye fake influenza chahte the captain ka sach jan na to thik hai.
    Hum chup chap company se ladd rahe the pta nahi kaha se bich me kud gaye captain ko bachao captain ko bachao…Tumhe Shivam ke nam par views and paise he chahiye the to kuch kaam ki videos banate.
    Ye laws ki video mene banai ye banate and sabko inform krte. But all you know is cheap tricks to take people down!! Yaha nahi chalega, tumhare juniors darr jate honge tumse me nahi darne vali.
    Ye ladai tab tak chalegi jab tak hume sachai pta na chal jaye to ye fake accounts bana kar mujhe dhamkiya bhejna band krdo.
    f you know any Mariner who deserves justice just like Shivam Malik then I am here to help!!
    You can always get in touch with me on Instagram: / anchal_malik9
    #Harassmentonships #Shipsailorsunil #shivammalik

ความคิดเห็น • 278