Rampur Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 5 ก.พ. 2025
  • Rahat Indori Books - amzn.to/32vaVvN
    Raaz jo kuch ho isharon me bata bhi dena
    Haath jab usse milana to daba bhi dena
    -
    Kisne dastak di ye dil par kaun hai
    Aap to andar hain bahar kaun hai
    -
    Shehron me to barudon ka mausam hai
    Ganv chalo ye amrudon ka mausam hai
    -
    Sarhadon par bahot tanav hai kya
    Kuch pata to karo chunav hai kya
    Khauf bikhra hai dono samton me
    Tisri samt ka dabav hai kya
    -
    Kabhi akele me milkar jhanjhod dunga use
    Jaha jaha se wo tuta hai jod dunga use
    Mujhe wo chhod gaya ye kamal hai uska
    Irada maine kiya tha ke chhod dunga use
    Pasine bantta phirta hai har taraf suraj
    Kabhi jo hath laga to nichod dunga use
    Maza chakha ke hi mana hu main bhi duniya ko
    Samajh rahi thi ke aise hi chhod dunga use
    #RahatIndori #rahatkishayari

ความคิดเห็น •