Shauk Ka Rang Bhuj Gaya | Ustad Jaun Elia | Gazal |

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 7 ก.ย. 2024
  • Shauk Ka Rang Bhuj Gaya
    Yaad Ke Zakm Bhar Gaye
    Kya Meri Fasl Ho Chuki
    Kya Mere Din Guzar Gaye
    Rah-guzar-e-khayal main
    Dosh-ba-dosh the jo log
    Waqt ki gard-bad main
    Jaane kahan bikhar gae
    Shaam hai kitni be-tapak
    Shahr hai kitna sahm-nak
    Ham-nafaso kahan ho tum
    Jaane ye sab kidhar gae
    Main to safon ke darmiyan
    Kab se pada huun nim-jan
    Mere tamam jan-nisar
    Mere liye to mar gae
    Raunaq-e-bazm-e-zindagi
    Turfan hai tere log bhi
    Ek to kabhi na aaye they
    Aaye To Rooth Kar Gaye
    _Ustad Jaun Elia
    #jaunelia
    #johnelia
    #jauneliashayari
    #johneliashayari

ความคิดเห็น • 11