👉About this video :- इस विडियो से, UPPCL के सभी "DISCOM" ( DVVNL, MVVNL, PVVNL, PUVVNL, KESCO, LESA, UPPTCL ) के ग्रामीण व् शहरी क्षेत्र के सभी "उपभोक्ता" घर बैठे स्वयं ही अपने "बिजली कनेक्शन" में अपनी जरूरत के अनुसार "स्वीकृत लोड/भार" बढ़ा सकते हैं, सरल और आसान तरीके से ! विद्युत कंपनी "स्वीकृत लोड" से ज्यादा बिजली के इस्तेमाल पर उपभोक्ताओं से "एनर्जी और फिक्स" चार्ज डबल ले रही हैं। बिल ज्यादा आने पर उपभोक्ता विद्युत कंपनी पर रोषारोपण करते हैं। अगर वे औसतन खपत का आकलन कर लोड बढ़वा लें तो झंझट से मुक्ति पा सकते हैं। "स्वीकृत लोड" से ज्यादा बिजली के इस्तेमाल पर ज्यादा चार्ज वसूलने की स्वीकृति डिमांड बेस्ड टैरिफ में पहले ही दे दी है। अगर आपने दो किलोवाट का कनेक्शन ले रखा है, और दोगुना लोड इस्तेमाल करते हैं, तो दो किलोवाट अतिरिक्त लोड का दोगुना फिक्स चार्ज भी लगेगा। 👉उपभोक्ता "स्वीकृत लोड" सही रखें। पांच फीसद ज्यादा लोड पर दंड नहीं है। इलेक्ट्रॉनिक मीटर से लोड को छिपाना संभव नहीं है। 👉हमारे उपभोक्ताओं के लिए :- उपभोक्ताओं की श्रेणियों में निष्पक्ष, न्यायोचित और लागत आधारित टैरिफ में उच्च उत्पादक्ता को ध्यान में रखते हुए काम करना, तर्कसंगत पर सही और समय पर बिलिंग। सही बिलिंग ही सही आपूर्ति को भी दर्शाती है, और भुगतान के लिए एक आसान प्रणाली का इस्तेमाल करना। साधारण और विशेष रूप से प्रचारित प्रक्रियाएं, उचित समय में अनुरोधित लोड की आपूर्ति, अच्छी उपस्थिति और उचित शिकायत का निवारण ही हमारा उपभोक्ताओं के प्रति लक्ष्य है। भविष्य की रणनीतियों को ध्यान में रखते हुए उचित समय पर कार्यवाही करना और उचित नियोजन और उपभोक्ता की शिकायतों पर उचित कार्यवाही करना।
Sir mere consumer ke paas 2KW ka connection hai aur mujhe 1Kw badhwana taki Mere consumer ka load 3 Kw ho jaye to website ke load enhancement option se mujhe kya 3Kw select karna padega
Sir mera present connection load 4 kw ka hai aur mujhe isey 6 kw ka karwana h jo ki online dikha raha h ki ho jaega. To kya mujhe iske baad meter change bhi karwana padega ?? Agar ha to meter change ki request kya online hi ho sakti h ?? Ya uske liye power house jana hoga ??
Sir mera 2kw ka sanctioned hai load aur main pmawas wale ghar me rhetti hu prepaid recharge hota hai to kya main geyser lagwa skti hu 2kw ka hai wo b ya mjhe 3kw karwana padega please reply
@@ayushimishra4426 1 Month Use Karke Try Kar lo, Agar Use Load 2 KW se Jyada aata hai to Load Increase Kara Lena Otherwise nhi, Bill me All details mentioned aati hai
Sir consumer name change krna hai online ho Jayega? Ek hafte phle apply Kiya tha abhi bhi service status case created dikha rha hai ..... Kitna time lega ye ? Online hoga ya bijli ghar jaana pdega?? Please reply. Thank you ❤❤❤
Sir maine load request daal di hai 4kw se 6 kw ke liye Madhyanchal distribution ke under ata hai hamara area..Load request ke kitne din baad load change ho jata hai. Maine apna account information check Kiya to 6kw dikha raha hai,, lekin jaise hi maine 2 AC ek sath chalaye to mera Genus prepaid meter overload pe trip ho gaya?? Kindly provide the solution
Bhai mera 2kw ka commercial connection hai or me use 3kw karna chahta hu mene online check kiya toh security fees rs 2400 dikha raha hai ye kya hai ? Aur kya return hoga
Load Kam Karane ke Liye Bijli Ghar Visit Karke Application Submit Karni hogi then Load Kam Ho Jayega but Most Important thing, Bijli Bill Full & Final Hona Chahiye & Load Kam Karne ke Liye Kya Kya Use Karoge Uska Proof bhi dena hota hai...
Sir.... Kilowatt badhwane ke bad bill par bhi fark padta hai kya??? Mane 3kw par 2k ka bill ata hai monthly to agar 5kw badhaya or bijli 3kw ke se hisab se kharz ki to kya tab bhi bill 2k hi ayega ya ye badh ke ayega???
Please Make a video on Meter name change as well, i did raised a request for name change but nothing happened even after 4 months, my supplier is pvvnl.
Sir plzz help to clear our doubts we increase our load to 6kw and today a notice came to my home that we had put 3 phase meter and 4 core armed cable Is there any increase cost per unit than before ( had 3kw previously and per unit cost was ₹8) My father is saying it will come under industrial/commercial and it will cost more per unit (I have selected home use option not commercial it was showing below 12kw it will not come into commercial )
@@panchayatiraj7241 we have three families living with us(on rent so including my family we are 4 family)currently we have 4ac, 2 coolers, 4 diff kitchen and other home essentials etc running Our Last electric load came 5.22kw And unit were 1070 So I am asking if their will be any increase in rate per unit Like currently we were getting around 7.5 RS per unit
Hello bro mera meter load 2kw hai lekin ajkal 3 month se zyda use ho raha hai 2kw se massage aya hai load increase ke liye kiya increase karna zaruri hai qk garmi ke bad to bijli kam hi use honi hai i mean ac wagrh band hi ho jana hai
Sir mere me prepaid meter 4kw ka install h, prepaid meter me 0 rs security deposit kri ti and online kya mai apply kr skta hu load enhancement? Muje 4 kw to 6kw load krwana h
@@panchayatiraj7241 Mai flat me rehta hu, offline pta kia ta to bhijli Ghar me builder se noc lene k lie bol rhe h, and builder per kilowatt k 30000 charge kr rha, kya ye noc lene ka koi rule h?
सर जी मेरे यहाँ घर पर 1 kw ka connection है और मुझे 1.5 टन का ac लगवाना है। पूरा प्रोसेस बता दीजियेगा सर कैसे क्या करना है। कैसे लोड बढ़ाये और कैसे मीटर चेंज करवाये। प्लीज हेल्प मे सर 🙏🏻
Sir mera 4kw h pahle se aur ab badhvane ke liye power station jakar kaha hu to o bta rhe h ki isse jyada aapko load badhvane ke liye apna connection 3phase karana hoga Aisa h kya plz reply sir ...
@@panchayatiraj7241 mera jo 4kw ka connection h O commercial pe hi hua h but isse jyada badhane par power station vale bol rhe h ki 3phase karana hoga aapko
@@panchayatiraj7241 Haanji Sir. Aaj hi kiya aur Account Information mei 4 KW show bhi krne lga turrant lekin kuch bhi badla nahi gya (Meter, wire, etc). Payment krte hi 4KW sanctioned load dikha rha.
Kya hum yaha se Load ghata bhi sakate hai. Mera 4kw ka connection hai Lekin 2 kw se jayade estemal nhi hota . Na hi Bill show karta hai. Jiske karan fix charge bhi jayade aata hai. Please help
Sir hamare miter load 8month pahale badh gaya tha tab se light bill dabal aa raha hai, kuchh bhi nahi use karo tab bhi light bill utna hi aata hai, Sir pls koi salvation batayiye🙏🏻
Hello, Bhai Capacity ke according Bill aayega hi but Bill me Confirm karo Unit kitna aa raha hai & Bill me Sabhi Charges mentioned hote hain, Check all Points for clarifying....
@@panchayatiraj7241 maine sir online krwaya h 2kw se 4kw ka kitna time lagega pls bata dijiye sir, or kya office me bhi vsisit krna padega? ya bas online se hi ho jaega pls sir reply kr dijiega mera bhi plsss sir ji
Agar sanctioned load 2 kw hai abhi , aur hum usko 3 kw kr dete hain online to phir kitna extra charge rupay dena Raha krega next month ke electricity bill par ....?
1tan(1.75kw) sirf ac ke 2 kw shai hai par apne other load jo ghar ka hai usme add kar de Paisha jo aaye pay kar do Jyada paisha dena to bijli ghar par chale jao
Hello Bhai, UPPCL Ke Login Account me Load Calculation ka Option hai, Login Karke Jo kuch Bhi use karna hai mention kar do, Confirm ho jayega Kitne Load ki Jaroorat hogi
सर मैने 1 kw से 3 kw load करवाया था इससे सिक्योरिटी मनी 1200 रुपया जमा किया था क्या मैं अब 3 kw से 2 kw करवाना है कैसे होगा और सिक्योरिटी मनी वापस होगी की नहीं
Bhaiya, hamare ghar me pahle 4 KW ka meter hi. Fir humne use change krva ker 2 kw krvaya tha. Or ab fir se 4 kw ka load krvana hi. Request already daal diya hi. Yeh kitne dino me update ho jaiga or kya hume meter bhi change krvana hoga?? Please confirm.
Yes, Load Ke According Meter bhi Change Hoga ( Jab Aapne Load Kam Karaya tha Tab Meter Change Hua tha ya nhi, Jyada Load Se Kam Load me Meter Use Ho Sakta hai But Kam Load se Jyada Load me Meter Nhi Chal Payega )
Sir humare Ghar ka load usually 1 se 2 Kw ke bich me rhta he but Ghar pr km chalne ki vajah se 3Kw chala gaya and bill me 3kw ke hisab se penalty and bill aane laga he to max. Sanction load phir se 2kw krne ke liye kya kare plz bataye. Ab to max. May ka bill aaya usme to Load 1kw se bhi km he Ghar pr.
Maximum demand har month change hota hai usage ke according. Agar is month kam use hua hai to next month ke bill me maximum demand kam aayega so extra charge aur penalty nh lgega.@@RamKumar-ul9he
sir abhi maine check kiya uppcl ki site par to wahan 20kw tak dikha rha hai online apply ke liye.... mera load 3kw hai mujhe 6kw karna hai to kya mai online apply kar sakta hun.... online me 1200₹ pay karne ka bol rha hai 6kw ke liye to koi dikkat to nhi hogi online apply karne me.... ya fir bijli ghar jana hi padega... please reply sir...
Sir, sanctioned load 2 KW hai or last month 166 unit ka Rs.1133 bill aya hai. or sir parso phone pr message aya hai uppcl ka ki past kuch months se sanctioned load se jyada bijli khapat hui hai to load increase krne ko bola hai. to hume new load kitna krwana chaiye 3KW ya 4KW ??
Meter installation Slip Milti hai jisme Meter No. & Other details mentioned hoti hai & Agar Aapko Meter No. Ki Jaroorat ho to Meter No Bijli Bill me bhi Likha hota hai
@@AdityaSingh-je7du it's not possible online, It's Completely Offline Process after No Dues Bill then Visit Bijli ghr for its Process With Consumption Proof ...
sir mere me dikha rha rha hai load extension request already open witb us pr maine kb b load extension k liye apply nhi kiya hai pr ab mujhe apna load bdhwana hai to yahi message display ho rha hai
aur powerhouse gaya tha to wo kahne lage k bijli bill k saath B&L certificate bhi lagana padega tbhi file complete hogi load badhwane wali aur is certificate k liye ye log 400 ₹ mang rhe hain unofficially to ab kya kren please reply
Sir maine abhi load 1kw se 3 kw kiya tha madhyanchl vidut nigam me to 1200 rupay ke aas paas charge kiya tha payment done ho gya hai aur is baar bill me bhi 3 kw ka sanctioned load aaya hai pr sir usme bill me Net current bill : 1732 aaya hai Prev. Due. Date rebate adj. : -14.26 Arrear amount: -1124 And payable amount 594 aaya hai To sir ye bill me arrera amount minus kyun hua hai?? Aur sir bill me sanctioned load 3kw aa gya hai online krne ke baad to to kya sir meter bhi change kraana hoga plss reply sirr..
Bill Me Main Payable Amount hota hai & Load Capacity Ke According Meter Bhi Change Hota Hai, Agar Koi Doubt hai to Helpline Number se Confirm kar lo, & Meter Change ki Request bhi Online Raise Kar sakte ho...
Koi Fayda nhi milega, Bill Jyada aaya karega Nuksan Hoga but Ye Dhyan Rakho Aapka Connection 1 KW ka hai to Month me Itna hi Use karo Kyuki Agar Isse Jyada Use karoge to Penalty lagate hai....
Nahin Lekin aap kya kya load is per chalate Hain yah dekhna hoga aapke bil per load Kitna aata hai yah dekh lo agar aadha kilo ke aaspaas aata hai to nahin badhana hoga
हेलो भाई मेरे घर पर बिजली वाले जबरदस्ती 3 किलोवाट का मीटर लगा गए हैं उसको कम करने के लिए क्या करना पड़ेगा क्योंकि मेरे यहां लोड सिर्फ 1.5kw है , please reply
@@panchayatiraj7241 Mujhe 5 Mahine Connection Liye Huaa Hai.. Aur Meter Mai Jyada MD Show Hone Laha Hai Ab Pahale Sahi Thaa.. Ab Bol Rahe Hai Sab Ki Lod Badao Lod Jyada Hain...
आपके अधिकतम डिमांड विगत स्वीकृत लोड 2.00 से अधिक प्रयोग की गयी है। असुविधा से बचने के लिए अपना स्वीकृत भार एक माह के अंदर FEB पर नियमित करा लें। sir feb ka kya matlab hai or mera load 3 hp hai 2:292:29
@@AFTABALAM-vk6nd Sabse Pahle Total Pending Bill Pay karna hoga Uske Bad hi Load Kam ho payega, Bijli Ghar Jake Ghr me Use Ka Proof do & Application Submit Kar do, Ho Jayega...
Maine payment kar diya hai 2kw se 4kw karwaya hai to kya meter bhi change hoga ki yahi meter rahega bas 4kw hojayega plz bataye... Aur ha 2kw se 4kw hua hai to kya bijli ka bill bhi jada aayega ?
Bhai mere account pe dikha rha ye option select karne pe ki load enhancement request is already open with is. Bill payment maine kar dia. Aaj pehli baar hi load jyada dikhaya hai, jabse maine 4 kw tak extend karwa dia tha office ja ke, kareeb 2 3 saal pehle. Ek baat batao since aaj reading le ke ja chuka hain to kya road wahi badha hua hi store karke rakhenga ya abse kam kharch karne par kam ho jayenga? Kyunki bill mqin warning likhi hain ki if continued for three months, system will increase the load.
सर, मेरा स्वीकृत लोड 2kV है, मैं इसे 4kV करना चाहता हूँ। तो मुझे नया लोड चुनने के लिए कौन सा विकल्प चुनना चाहिए? 2 या 4.......कृपया इस संदेह को दूर करें
Bhai aapka badha hua load show hone laga kya bill??? Agar Haan to kitne din me show hone laga tha Maine bhi apply Kiya hai but show nahi ho Raha abhi takk.... Please reply
👉About this video :-
इस विडियो से, UPPCL के सभी "DISCOM" ( DVVNL, MVVNL, PVVNL, PUVVNL, KESCO, LESA, UPPTCL ) के ग्रामीण व् शहरी क्षेत्र के सभी "उपभोक्ता" घर बैठे स्वयं ही अपने "बिजली कनेक्शन" में अपनी जरूरत के अनुसार "स्वीकृत लोड/भार" बढ़ा सकते हैं, सरल और आसान तरीके से !
विद्युत कंपनी "स्वीकृत लोड" से ज्यादा बिजली के इस्तेमाल पर उपभोक्ताओं से "एनर्जी और फिक्स" चार्ज डबल ले रही हैं। बिल ज्यादा आने पर उपभोक्ता विद्युत कंपनी पर रोषारोपण करते हैं। अगर वे औसतन खपत का आकलन कर लोड बढ़वा लें तो झंझट से मुक्ति पा सकते हैं।
"स्वीकृत लोड" से ज्यादा बिजली के इस्तेमाल पर ज्यादा चार्ज वसूलने की स्वीकृति डिमांड बेस्ड टैरिफ में पहले ही दे दी है। अगर आपने दो किलोवाट का कनेक्शन ले रखा है, और दोगुना लोड इस्तेमाल करते हैं, तो दो किलोवाट अतिरिक्त लोड का दोगुना फिक्स चार्ज भी लगेगा।
👉उपभोक्ता "स्वीकृत लोड" सही रखें। पांच फीसद ज्यादा लोड पर दंड नहीं है। इलेक्ट्रॉनिक मीटर से लोड को छिपाना संभव नहीं है।
👉हमारे उपभोक्ताओं के लिए :-
उपभोक्ताओं की श्रेणियों में निष्पक्ष, न्यायोचित और लागत आधारित टैरिफ में उच्च उत्पादक्ता को ध्यान में रखते हुए काम करना, तर्कसंगत पर सही और समय पर बिलिंग। सही बिलिंग ही सही आपूर्ति को भी दर्शाती है, और भुगतान के लिए एक आसान प्रणाली का इस्तेमाल करना। साधारण और विशेष रूप से प्रचारित प्रक्रियाएं, उचित समय में अनुरोधित लोड की आपूर्ति, अच्छी उपस्थिति और उचित शिकायत का निवारण ही हमारा उपभोक्ताओं के प्रति लक्ष्य है।
भविष्य की रणनीतियों को ध्यान में रखते हुए उचित समय पर कार्यवाही करना और उचित नियोजन और उपभोक्ता की शिकायतों पर उचित कार्यवाही करना।
Mera load 1 kW tha lekin unhone 2 kW kar dia. Ab mujhe wapas 1 kW karvana hai. Load decrease option to isme hai hi nahi. Vo kaise hoga.
Sir mere consumer ke paas 2KW ka connection hai aur mujhe 1Kw badhwana taki Mere consumer ka load 3 Kw ho jaye to website ke load enhancement option se mujhe kya 3Kw select karna padega
Sir mera present connection load 4 kw ka hai aur mujhe isey 6 kw ka karwana h jo ki online dikha raha h ki ho jaega. To kya mujhe iske baad meter change bhi karwana padega ?? Agar ha to meter change ki request kya online hi ho sakti h ?? Ya uske liye power house jana hoga ??
Yes, Change Meter According to Load Capacity, Meter Replacement ki Request bhi online kar sakte ho...
Sir mera 2kw ka sanctioned hai load aur main pmawas wale ghar me rhetti hu prepaid recharge hota hai to kya main geyser lagwa skti hu 2kw ka hai wo b ya mjhe 3kw karwana padega please reply
@@ayushimishra4426 1 Month Use Karke Try Kar lo, Agar Use Load 2 KW se Jyada aata hai to Load Increase Kara Lena Otherwise nhi, Bill me All details mentioned aati hai
Washing machine aur 1.5 ton ac aur bade refrigerator ke liye kitne kw hone chahiye sir bata dijiye mera 4kw hai
Bill me Kitna Unit Aa raha hai...
Sir consumer name change krna hai online ho Jayega?
Ek hafte phle apply Kiya tha abhi bhi service status case created dikha rha hai ..... Kitna time lega ye ?
Online hoga ya bijli ghar jaana pdega?? Please reply. Thank you ❤❤❤
Online Ho Jayega But Time Confirm nhi Hai, Bijli Ghar Jake Correction Immediately ho Jayega Bhai
@@panchayatiraj7241 thank you Bhai 🥰❤️❤️
@@ShubhamKumar-uz5qz Wlc Dear ❤️
Kya 2kilowatt se 2hp single fase 3inch water pump chalaa sakte hai
Irrigation ke liye
Please reply
2 KW =2x1000-2000 Watt
2 HP =2x746-1492 Watt
Thanks it's mean I can run without fear
Sir mera 4kw ka connection h use 6kw krvana h to kya online request submit krne ke bad kya hoga aise hi badh jayegi load ya koi team aayegi visit krne
Online Request Karne ke bad Bad Jayega...
@@panchayatiraj7241 mera 4kw hai to 8kw karane ke liye online ho jayega na (existing 4kw+ added4kw)
@@arvnd56a Yes, Ho Jayega Bhai
@@Gulshan-n6r Nhi, Aise hi Ho Jayega Bhai, Status Check Karte Rahna...
Kitna din lagta h load enhancement me?
Sir meter reading walo se pucha tha to unlog ne bataya tha ki NOC ki lagega commercial hai 3000 ka kharcha h and 2kw karna hai load 1kw hai abhi
Bijli ghr Visit Karke Directly Confirm kar lo Charge & Sab Kuch...
Online jis tarike se bataya Gaya hai usi tarike se prayas kariye load badh jaega
Very useful video
@@mcraft1 Thnx dear ❤️
Sir maine load request daal di hai 4kw se 6 kw ke liye Madhyanchal distribution ke under ata hai hamara area..Load request ke kitne din baad load change ho jata hai. Maine apna account information check Kiya to 6kw dikha raha hai,, lekin jaise hi maine 2 AC ek sath chalaye to mera Genus prepaid meter overload pe trip ho gaya?? Kindly provide the solution
Bhai, Abhi aapka Prepaid Meter 4 KW Capacity ka hoga, Ab Aap 6 KW Capacity Ka Meter ke liye Request Raise Karo Kyuki Meter bhi Change Karwana hoga...
Bhai mera 2kw ka commercial connection hai or me use 3kw karna chahta hu mene online check kiya toh security fees rs 2400 dikha raha hai ye kya hai ? Aur kya return hoga
Sir ghar par load check karne aaye koi electricity vibhag se
Connection kitne KW ka hai & Per Month Bill kitna aata hai & Unit...
1kw ka ha 2kw karna ha galat se 1kw apply online kardiya hu sir meter apply kiye hai
@@princebhaiyt318 Dobara New Correct Request Dal do...
Kya lode badhane ka charge padta hai
Sir Mera 2 kW hai 1 kW ho jayega ya nhi
Sir load kam karvane ke liye application deni hogi ya voh form bharvate hain koi plz bataiye
Load Kam Karane ke Liye Bijli Ghar Visit Karke Application Submit Karni hogi then Load Kam Ho Jayega but Most Important thing, Bijli Bill Full & Final Hona Chahiye & Load Kam Karne ke Liye Kya Kya Use Karoge Uska Proof bhi dena hota hai...
Sir.... Kilowatt badhwane ke bad bill par bhi fark padta hai kya??? Mane 3kw par 2k ka bill ata hai monthly to agar 5kw badhaya or bijli 3kw ke se hisab se kharz ki to kya tab bhi bill 2k hi ayega ya ye badh ke ayega???
Bhai, Depend Kharch Par hi hota hai...
@@panchayatiraj7241pls help
Please Make a video on Meter name change as well, i did raised a request for name change but nothing happened even after 4 months, my supplier is pvvnl.
Now Visit Substation/Bijli Ghar for quick Solution...
Sir plzz help to clear our doubts
we increase our load to 6kw
and today a notice came to my home that we had put 3 phase meter and 4 core armed cable
Is there any increase cost per unit than before ( had 3kw previously and per unit cost was ₹8)
My father is saying it will come under industrial/commercial and it will cost more per unit
(I have selected home use option not commercial it was showing below 12kw it will not come into commercial )
Tell me, Brief description of electricity Use, then will give you the best suggestions...about your concerns.
@@panchayatiraj7241 we have three families living with us(on rent so including my family we are 4 family)currently we have 4ac, 2 coolers, 4 diff kitchen and other home essentials etc running
Our Last electric load came 5.22kw
And unit were 1070
So I am asking if their will be any increase in rate per unit
Like currently we were getting around 7.5 RS per unit
4 se 3 karna hai usme bhi pay karna padega kya
Bijli ghr se hi hoga, Online Load Kam Nhi Hoga...
Hello bro mera meter load 2kw hai lekin ajkal 3 month se zyda use ho raha hai 2kw se massage aya hai load increase ke liye kiya increase karna zaruri hai qk garmi ke bad to bijli kam hi use honi hai i mean ac wagrh band hi ho jana hai
Okk But Jab Tak Jyada Aayega Uski Penalty Lagegi Jo Normal Bill se Jyada Hoti hai...
Sir mere me prepaid meter 4kw ka install h, prepaid meter me 0 rs security deposit kri ti and online kya mai apply kr skta hu load enhancement? Muje 4 kw to 6kw load krwana h
Yes Kar Sakte ho but Load Enhancement ke Jo Charges Show honge Wo Pay Karne honge, Free of Cost Nhi Hoga...
@@panchayatiraj7241 Mai flat me rehta hu, offline pta kia ta to bhijli Ghar me builder se noc lene k lie bol rhe h, and builder per kilowatt k 30000 charge kr rha, kya ye noc lene ka koi rule h?
सर जी मेरे यहाँ घर पर 1 kw ka connection है और मुझे 1.5 टन का ac लगवाना है। पूरा प्रोसेस बता दीजियेगा सर कैसे क्या करना है। कैसे लोड बढ़ाये और कैसे मीटर चेंज करवाये। प्लीज हेल्प मे सर 🙏🏻
Bhai, Immediately Load Increase & Meter Change Ke Liye Bijli Ghar Visit Karna hoga, Online Bhi Request Raise Kar sakte ho but Time Lag Sakta hai...
Sir mai hot and cold ac 1.5 ton 3 star lene wala.. Mujhe kitna load capacity karwana pdega apne meter ka.. Mera ghar pr smart meter laga hua h!?
Currently Kitne Unit ka Bill aa raha hai?
@@panchayatiraj7241 monthly 190-230 unit bill ata h( abhi ac nhi laga h).
@@sultanahamad8116 Abhi 1 KW Connection hai ?
@@panchayatiraj7241 abhi 2kw ka connection h
@@sultanahamad8116 Enough hai, Isi se AC Chal Jayega...
Sir mera 4kw h pahle se aur ab badhvane ke liye power station jakar kaha hu to o bta rhe h ki isse jyada aapko load badhvane ke liye apna connection 3phase karana hoga
Aisa h kya plz reply sir
...
Ha Bhai, Fir Aapka Commercial Category me Connection aa jayega...
@@panchayatiraj7241 mera jo 4kw ka connection h O commercial pe hi hua h but isse jyada badhane par power station vale bol rhe h ki 3phase karana hoga aapko
Sar Mera connection 1 kilo ka commercial tha
Prayagraj me rural me 2kw ka meter lagwane me kitna kharcha ayega..
Meter ke liye Apply Karo, Uske bad Visitor ki Call aayegi usse discuss kar lena...
Sir mere ko 2 kw se 3kw krwana hai online krne per agle bill me 3 kw enchant ho ke aayega n
Almost 1 Month & Check ✔️ Status Regularly...
Sir lod bdhane key bad kitna time lgta h . Update hone mey plz reply
Almost One Month...
Sir maine 1 mahine pahle ac lagwaya hai aur ab 1 kw se 3kw karwana hai to maine office me application de diya hai to wo log fine nahi lagayenge naa ?
Current Bill kab aaya tha, Usme Check Karo Fine Laga hai ya nhi, Confirm ho Jayega...
Sir mere 7.5hp ka connection h mai usko 10hp karwana chata hu kya ho jayga
Bilkul ho jayega Bhai...
New connection ke liye apply Kiya tha galti se 1 kw ki jagah 2 kw ho gaya aur je report laga diye ab usse 1 kw kaise kare
@@MusicalAshish520 Visit Bijli ghr with Use/Consumption Proof... Tabhi Kam Hoga Online Koi Tarika Nhi hai...
Sir kitne din mei ho jata hai? Kya bijli vibhag mei kuch submit krna padega? aur Status kaise check kren?
Fee Payment Ho Gaya tha
@@panchayatiraj7241 Haanji Sir. Aaj hi kiya aur Account Information mei 4 KW show bhi krne lga turrant lekin kuch bhi badla nahi gya (Meter, wire, etc). Payment krte hi 4KW sanctioned load dikha rha.
@@muhammadrizwankhan5586 Kitna pay krna pda ? Ye differential security amount kya hai ?
Turant bd gya tha kya load.. ya kuch din lge the
@@navneetchhetri11 2 se 4 KW krwaya tha. 1300 security ka + 118 additional lga tha syd. 1418 Total tha.
Kya hum yaha se Load ghata bhi sakate hai.
Mera 4kw ka connection hai
Lekin 2 kw se jayade estemal nhi hota .
Na hi Bill show karta hai.
Jiske karan fix charge bhi jayade aata hai.
Please help
Load Kam Karne ke liye Bijli ghr Jana hoga...
Kitna fixed charge difference aata h bhai? Mera 2 kw hai, 4 krwane ka soch rha hun
sir new connection liya huva 45 din huva hai 1 kw ka liya tha lakin sir load 1 kw sa jada digha raha hai to uska liya load kaise badhya
Online bhi Bad Jayega & Agar Immediate Karana hai to Bijli ghar Visit karke Application submit kar do, Ho Jayega
Sir hamare miter load 8month pahale badh gaya tha tab se light bill dabal aa raha hai, kuchh bhi nahi use karo tab bhi light bill utna hi aata hai,
Sir pls koi salvation batayiye🙏🏻
Hello, Bhai Capacity ke according Bill aayega hi but Bill me Confirm karo Unit kitna aa raha hai & Bill me Sabhi Charges mentioned hote hain, Check all Points for clarifying....
Fixed charge badh gya hoga
Right 👍🏻 yahi problem hai@@dlpme2005
Kaise kam kar sakte hai..?@@dlpme2005
Sir kitna time lagega load electricity bill mein upload hone mein ki maine 3 kw se 4 kw karaya hai
Online ya Offline karaya hai...
@@panchayatiraj7241 maine sir online krwaya h 2kw se 4kw ka kitna time lagega pls bata dijiye sir, or kya office me bhi vsisit krna padega? ya bas online se hi ho jaega pls sir reply kr dijiega mera bhi plsss sir ji
Agar sanctioned load 2 kw hai abhi , aur hum usko 3 kw kr dete hain online to phir kitna extra charge rupay dena Raha krega next month ke electricity bill par ....?
Bhai, Bill aane ke bad Charges confirm ho jayega ...
Yah baat to sabko pata hai bil aane ke bad confirm ho jaega
@@Sahidchees Okk, I agree, You Can Give Pre Charges Information...
1 ton ac ke liye kitne kilowatt ka connection karna padega abhi 2kw hai aur charge kitna lagega please reply it's urgent
M bi isiliye dekh raha hu
mebhi
1tan(1.75kw) sirf ac ke 2 kw shai hai par apne other load jo ghar ka hai usme add kar de
Paisha jo aaye pay kar do
Jyada paisha dena to bijli ghar par chale jao
bhaiya connection mera 2kw ka h aur 397 unit se bil aa rha to kitna kw kra lun??
Hello Bhai, UPPCL Ke Login Account me Load Calculation ka Option hai, Login Karke Jo kuch Bhi use karna hai mention kar do, Confirm ho jayega Kitne Load ki Jaroorat hogi
सर मैने 1 kw से 3 kw load करवाया था इससे सिक्योरिटी मनी 1200 रुपया जमा किया था
क्या मैं अब 3 kw से 2 kw करवाना है
कैसे होगा और सिक्योरिटी मनी वापस होगी की नहीं
Nhi, Bhai Security Amount non refundable hota hai
3kw se 4kw karna hai@@panchayatiraj7241
Bhaiya, hamare ghar me pahle 4 KW ka meter hi. Fir humne use change krva ker 2 kw krvaya tha. Or ab fir se 4 kw ka load krvana hi. Request already daal diya hi. Yeh kitne dino me update ho jaiga or kya hume meter bhi change krvana hoga?? Please confirm.
Yes, Load Ke According Meter bhi Change Hoga ( Jab Aapne Load Kam Karaya tha Tab Meter Change Hua tha ya nhi, Jyada Load Se Kam Load me Meter Use Ho Sakta hai But Kam Load se Jyada Load me Meter Nhi Chal Payega )
@@panchayatiraj7241 Nahi, meter change nahi huya tha us time.
@@PinkiVermaCutestOfficial3741 Okk, Fir Ab to Bilkul Bhi Jaroorat nhi hai Meter Change ki.
@@panchayatiraj7241 okay thank you..
Abhi more than 4 kW enhancement ka option aa gya h online but kitna din me hoga pata nhi
Almost One month
Multiple connection kaise le sakte hai?
Different Candidates ke through, Same Candidate se Only One Connection hi le sakte hai...
Payment sucess ho gya pr reference number nhi mila h wo dubara se kha se mil skta ya status kha se chk kr skte h
Login Karke Status Check Kar Sakte hai...
Sir 4 kilowatts se jayda 5 kilowat ka connection badwaye to 3 phlse connection lena compulsary h up mai
Sir humare Ghar ka load usually 1 se 2 Kw ke bich me rhta he but Ghar pr km chalne ki vajah se 3Kw chala gaya and bill me 3kw ke hisab se penalty and bill aane laga he to max. Sanction load phir se 2kw krne ke liye kya kare plz bataye. Ab to max. May ka bill aaya usme to Load 1kw se bhi km he Ghar pr.
Fir Try Kar lo Aise Hi Manage ho Jaye Agar
@@panchayatiraj7241 Penalty to bhar di he. Mujhe to bus itna jaana ki 3kw se 2kw karva skte he kya? And kaha se honga ye
Maximum demand har month change hota hai usage ke according. Agar is month kam use hua hai to next month ke bill me maximum demand kam aayega so extra charge aur penalty nh lgega.@@RamKumar-ul9he
Sir kitna time lagta h kilowatt badhne me?
Almost 1 Month
@@panchayatiraj7241 sir pata kaise chalega ki badh Gaya hai???
sir abhi maine check kiya uppcl ki site par to wahan 20kw tak dikha rha hai online apply ke liye.... mera load 3kw hai mujhe 6kw karna hai to kya mai online apply kar sakta hun.... online me 1200₹ pay karne ka bol rha hai 6kw ke liye to koi dikkat to nhi hogi online apply karne me.... ya fir bijli ghar jana hi padega... please reply sir...
@@harvansh100 Online & Offline Charges Same Honge Bhai, Online Better Options hai, Try it Without Any Hesitation...
@@panchayatiraj7241 thank you for reply.. 🙏
@@harvansh100 Wlc Dear ❤️
Sumbit krne me kitna time lg jata bdhne me show hone me
Almost One Month...Not Confirmed
Sir, sanctioned load 2 KW hai or last month 166 unit ka Rs.1133 bill aya hai. or sir parso phone pr message aya hai uppcl ka ki past kuch months se sanctioned load se jyada bijli khapat hui hai to load increase krne ko bola hai. to hume new load kitna krwana chaiye 3KW ya 4KW ??
Bill Download Karke Usme Check Karo, Extra Load Kitna aaya hai...
@@panchayatiraj7241 sir mene check kiya bill mein extra load kahi mention nhi tha. apko Email bheja hai kindly check...
@@viveksaini8822 Ok bhai
Mai 2021 me meter lagwaya tha to koi kagaj to nahi mila tha, koi kagaj bhi milta hai kya
Meter installation Slip Milti hai jisme Meter No. & Other details mentioned hoti hai & Agar Aapko Meter No. Ki Jaroorat ho to Meter No Bijli Bill me bhi Likha hota hai
I want to reduce from 4kv to 2 kv can you help
@@AdityaSingh-je7du it's not possible online, It's Completely Offline Process after No Dues Bill then Visit Bijli ghr for its Process With Consumption Proof ...
Payment ke kitne dino ke bad load bad jayega? Ya pehle koi vibhag se check karne aaega
Automatically Bad Jayega, Isme Checking ki need nhi hai, Agar Aap Load Kam karate ho to aapko Proof Dena hota hai..
Payment hone ke baad kya process hai?
Payment ke baad Reference number mil jayega, Status Track karne ke liye...
Payment karne ke 1 din ke bad login karke dekhiae usmein 2 kilo ka load dikhega
Mera prepaid meter hai, account no kaise check krenge??
Bhai, Account number to Meter Installation ke time Slip Me Mentioned hota hai
@@panchayatiraj7241 purana sb kho gya, agr sirf prepaid bill ho to kaise nikaale account id? Any options
Sir jaise mujhe total 3kw load Krna h aur abhi 1 chal rha h to hm Kitana select krenge new 2 pr 3 kw?
3 KW Select Karna hai
Online Jaise dikhaya Gaya hai usi tarike se prayas karke 3 kilo load badha lo
Sir meri 4kw par differential security fees bht zada a rhi h aesa kyu h?
Bijli ghar Visit karke bat kar lo...
Agar hamara 2kw ka h or humko 3kw karana h to sirf 1kw ke liye apply karenge ya 3kw ?
Total 3KW
bhai tumhe online load change kiya kya??? mujhe bhi 2 ka 3kw karwana h
Haan hogya
Maine Kiya 2 se 3 kg watt
sir differential security kya baad me return hoti hai ??
Nhi Bhai...
Security kyu jama ki jaati hai fir
Mera 1kw ka connection hai aur 2 kw add karna chahta hu to sanction load me kitna select kara hoga
Total 3KW Option
@@panchayatiraj7241 thank you
Sir ek aur batt
Bijli bill due hai to online load increase ka options ni de Raha hai ..
@@ashishgupta6691 Due Clear Karna hoga, Tabhi ho payega Load Enhancement...
Ok thank you 🙏
sir mere me dikha rha rha hai load extension request already open witb us pr maine kb b load extension k liye apply nhi kiya hai pr ab mujhe apna load bdhwana hai to yahi message display ho rha hai
online mere account me
aur powerhouse gaya tha to wo kahne lage k bijli bill k saath B&L certificate bhi lagana padega tbhi file complete hogi load badhwane wali aur is certificate k liye ye log 400 ₹ mang rhe hain unofficially to ab kya kren please reply
@@arpitsrivastava5649 Direct SDO Se bat karke, Confirm kar lo...
Sir ye pata kaise chalta hai ki meter me kilowatt badh gaya hai?
Bill me Sanctioned Load Show ho jata hai...
Iske age ke process par mvvnl par video banaiye please
Abhi kya dikkat aa rahi hai
Payment ke baad kya process hota he kitna time lagta ..kya payment ke baad bhi office jane ki jarurat padti he
@@rohanrastogi2782 Payment Complete ke bad Kya message aaya tha ?
Maine agale 8 tarikh ko ots mein register karke kist wali Bhari abhi tak uski kist nahin nahin I hai kitne dinon mein aati
Month Last me Aati hai, Check Karo Account...
Sir maine abhi load 1kw se 3 kw kiya tha madhyanchl vidut nigam me to 1200 rupay ke aas paas charge kiya tha payment done ho gya hai aur is baar bill me bhi 3 kw ka sanctioned load aaya hai pr sir usme bill me
Net current bill : 1732 aaya hai
Prev. Due. Date rebate adj. : -14.26
Arrear amount: -1124
And payable amount 594 aaya hai
To sir ye bill me arrera amount minus kyun hua hai?? Aur sir bill me sanctioned load 3kw aa gya hai online krne ke baad to to kya sir meter bhi change kraana hoga plss reply sirr..
Bill Me Main Payable Amount hota hai & Load Capacity Ke According Meter Bhi Change Hota Hai, Agar Koi Doubt hai to Helpline Number se Confirm kar lo, & Meter Change ki Request bhi Online Raise Kar sakte ho...
@@panchayatiraj7241 sir meter change hoga??
@@vanshpandit8253 Haji
@@panchayatiraj7241 pr sir jo bill dene aaya tha vo to kah rha tha 5kv tk yahi raheta hai usse uper me meter change hota hai
bill slip pr sanction load 2kw aata hai , lekin abhi online register kiya to site pr 3kw show kr raha hai , aisa kyun ho raha hai?
Load Increases Kiya tha...
@@panchayatiraj7241 no
Sir sanctioned load automatically 8kwh se bhdhakr 10kwh kr dia ..mere monthly bill maximum 6 kwh tk hi aya h phr bi automatically bhda dia
Substation visit karke problem solve ho jayegi...
@@panchayatiraj7241 thanx for ur rpl
@@praveenberagi3966 Wlc Dear ❤️
Aap ke yaha 3 phase metters laga hua tha kya
Bhaiya abhi 1kw chal rha hai aaj bil wale aye the vo bol rhe 3kw krwa lo toh krwane se fayda kya milega
Koi Fayda nhi milega, Bill Jyada aaya karega Nuksan Hoga but Ye Dhyan Rakho Aapka Connection 1 KW ka hai to Month me Itna hi Use karo Kyuki Agar Isse Jyada Use karoge to Penalty lagate hai....
@@panchayatiraj7241Penalty kitna lagta hai
Sir mere ghar ka meter 2 kw ka hai to mujhe ac lagwana 1:50 ton ka hai to mujhe 3 kw ya 4 kw ka karwana chahiye?
www.uppclonline.com/dispatch/Portal/appmanager/uppcl/wss?_nfpb=true&_windowLabel=portletInstance_consumption__consumptionCalculator_consumptionCalculator&portletInstance_consumption__consumptionCalculator_consumptionCalculator_actionOverride=%2Forg%2Fuppcl%2Fportlets%2FconsumpCalc%2FgetEquips&portletInstance_consumption__consumptionCalculator_consumptionCalculatorbutton=add&_pageLabel=uppcl_consumption_consumptionCalculator
Nahin Lekin aap kya kya load is per chalate Hain yah dekhna hoga aapke bil per load Kitna aata hai yah dekh lo agar aadha kilo ke aaspaas aata hai to nahin badhana hoga
3kw
हेलो भाई मेरे घर पर बिजली वाले जबरदस्ती 3 किलोवाट का मीटर लगा गए हैं उसको कम करने के लिए क्या करना पड़ेगा क्योंकि मेरे यहां लोड सिर्फ 1.5kw है , please reply
Bijli ghr jakar apne load ko Kam Kara sakte hai but Iske liye aapka Bijli Bill fully paid ho & Bijli use ka proof bhi ho
@@panchayatiraj7241 भाई मीटर में लोड 1.5kw दिखा रहा है, और मीटर जबरदस्ती बिजली वाले 3 किलोवाट का लगा दिए
Rehne do bhai. Baad main 1 2 ac lagaonge hi kaam aayenga. Kuch mat karo.
Kitna Time Lagta Hai Sir Lod 1 Kilowatts Se 2 Kilowatts Badhane Mai...
Kab Takk Online show karta hain
Abhi Aapko Kitne Din ho Gaye hai...
@@panchayatiraj7241 Mujhe 5 Mahine Connection Liye Huaa Hai.. Aur Meter Mai Jyada MD Show Hone Laha Hai Ab Pahale Sahi Thaa.. Ab Bol Rahe Hai Sab Ki Lod Badao Lod Jyada Hain...
@@panchayatiraj7241 3 se 4 Days.
sir ky kw badhane se bill jada aane lagta h??
@@amank00001 Haji
@@panchayatiraj7241 mtlb jitna consumption krenge to utna he aayega na..
@@amank00001 Haji, Bill Unit Rate ke according hi aayega but Load ke According Kuch Extra Charges bhi Hota hai
आपके अधिकतम डिमांड विगत स्वीकृत लोड 2.00 से अधिक प्रयोग की गयी है। असुविधा से बचने के लिए अपना स्वीकृत भार एक माह के अंदर FEB पर नियमित करा लें।
sir feb ka kya matlab hai or mera load 3 hp hai 2:29 2:29
Aapka Sanctioned/स्वीकृत Load Kitna hai
3 hp
@@asas5092 Use Kya kya karte ho ?
FEB ka kya matlab hai us ke bare me bataiye sir
@@panchayatiraj7241
lum ki Mother chalti hai
सर मेरा 2 kv का है उसको १kv करना किया करना पड़ेगा
@@AFTABALAM-vk6nd Sabse Pahle Total Pending Bill Pay karna hoga Uske Bad hi Load Kam ho payega, Bijli Ghar Jake Ghr me Use Ka Proof do & Application Submit Kar do, Ho Jayega...
@@panchayatiraj7241 thank you sir
@@AFTABALAM-vk6nd Wlc Bhai
तो क्या सिक्योरिटी मनी वापस होगी जो 2 kw ka tha
2 saal purana application pending show hora h how to make new application
Raise New Load Enhancement Request...
Wo dikha ra h application still pending with us ? What to do next ?
Load extension request for your account is already open with us.
@@pulkitgoenka3701 Ok, Now You have only Option to Visit Substation/Bijli Ghr & Submit Physical Load Enhancement Form....
Maine payment kar diya hai 2kw se 4kw karwaya hai to kya meter bhi change hoga ki yahi meter rahega bas 4kw hojayega plz bataye...
Aur ha 2kw se 4kw hua hai to kya bijli ka bill bhi jada aayega ?
@@virajsonker87 Ha Bijli Bill Jyada Aayega Load ke Accordingly, Meter Change Ki Request bhi Raise Kar do Kyuki Load Capacity increase hua hai...
@@panchayatiraj7241 ok sir.
@@panchayatiraj7241 ok to sir meter change request kaise online kare ye video banaiye aap
bahut achchha bhai
@@True.service.p Tysm Bhai
Kya 2kilowatt se moter water pump chalaa sakte hai kya
2hp ka
@@ZahidAli-lk8bv Ha Bhai, 2HP= 746x2=1492 Watt & 2KW=1000x2=2000 Watt
2kw se 3 kw karna hai..
Kya online ho jayega jaisa apne process bataya hai?
Kab tak update hota hai yeh?
Ho Jayega Online, Almost in one Month...
Kitna time bad load badha hua show karta hai...pls reply
Exactly time Confirm nhi hai, Check regularly on portal...
Ho to जाता है ना...?
@@vishalkashyap7373 Ha Bhai
Sir 5kw kese bdhye 😢 please reply
5KW ka Option nhi aa raha hai kya ?
Mera abhi 1 kw ka connection h ab mujhe 2 kw krna h to ghr pr jo metre lga hua h vo bhi change hoga ki nhi
Load Ke According Meter bhi Change hoga...
Nhi hoga ( 1 to 4 kilowatt tak kesco ek hee miter deta hai) 5 kilowatt se change hota kyonki 3 phase conections chahiye
Nahi 4 kw tak wahi rahenga. Maine karwaya hua hain 2 se 4.
Nai 4 tak same hota hain
3kwh se 10 kwh krwa lia online, show bhi krne lga 10 kwh.
iske aage bhi koi karwayi hogi??
Nhi Bhai, Ab Next Bill 10 KW ke According aayega...
bhai apka kitne time me hua tha?
@@panchayatiraj7241 meter bhi change hoga kya?
uska koi alag charge lagega kya?
@@nandeesh7886 Same day
@@sachinpandey286 Bilkul Change Hoga Bhai Capacity ke According
Sir load increase online karne ke baad adhikaari aata hai kya ghar check karne ya automatic ho jaata hai?
Load Increase me Koi Visit nhi hota hai & Load Kam karne me Proof Dena hota hai
Sir kitne din me badh jaata hai
@@_gb714_ Confirm nhi, But Jaldi hi ho jayega
Next bill me load increase ka charges bi next bill me less ho jata h
Sir mera prepaid mitar laga hua h or muje us ka kuch bhi samj nhi a rha or me use chanj karna chatata hua to me kya karu ab pls help sir
Prepaid Meter ka Mtlb Pahle Recharge karo & Jitna Unit Use karoge utna Balance deduct ho jayega Aapke Account se
bhai per unit charge kya h pvvnl ka ??
Approximately 6.50 Rs Per Unit
tq@@panchayatiraj7241
Kam karne ke liye kya karna hoga
Pahle Pending Bill Clear Karna hoga, Iske Bad Bijli ghr se Bill Kam Karne ki Request kar sakte ho...
Kitne tym mai ho jaayegi sir
Almost 1 Month or Visit Bijli ghr
How to contact you sir?
sumanrk1595@gmail.com
Sir comercial connection load kase brahe
Same Process, Abhi Currently Kitne KW Ka Connection hai...
@@panchayatiraj72411kw
Bhai mere account pe dikha rha ye option select karne pe ki load enhancement request is already open with is. Bill payment maine kar dia. Aaj pehli baar hi load jyada dikhaya hai, jabse maine 4 kw tak extend karwa dia tha office ja ke, kareeb 2 3 saal pehle. Ek baat batao since aaj reading le ke ja chuka hain to kya road wahi badha hua hi store karke rakhenga ya abse kam kharch karne par kam ho jayenga? Kyunki bill mqin warning likhi hain ki if continued for three months, system will increase the load.
Load Enhance ki Request Raise ki Hai Aapne & Bill Increase Maximum Demand Par depend karta hai ...
Bhai mujhe load increase karna ka 3kw but option me 4kw se show kar raha
Bhai, 2,3,4 KW Ka Option aa raha hai, Video, Abhi aapka Kitne KW Ka hai Connection...
Abhi 1kw hai
Mai Website open kar raha to 4kw se show kar raha
@@vishal73986 Ho Sakta hai, But Aapne Video me Dekha hoga 2,3,4 Sab Show ho rahe hai...
@@panchayatiraj7241 Ha website me update ho gaya hoga
Ye load kitne din m badh jata ha apply krne ke baad?
Exactly time Confirm nhi hai but Almost 1 Month otherwise Visit in Substation/Bijli Ghar for Load Enhancement Status...
सर, मेरा स्वीकृत लोड 2kV है, मैं इसे 4kV करना चाहता हूँ। तो मुझे नया लोड चुनने के लिए कौन सा विकल्प चुनना चाहिए? 2 या 4.......कृपया इस संदेह को दूर करें
Choose 4 KW
2 kg se 1kg me kaise Karna hai
Bijli Ghr Jake hi hoga Load Kam
Ok thanks for this information 🙏
load reduce karne ka kya tariqa hoga
Bijli ghr Visit karke hi Load Reduce hoga...
@@panchayatiraj7241 thanks
Bhai load ko kam kaise karte hai please reply ❤
Bijli ghr se Kam hoga Bhai...
@@panchayatiraj7241 app se nahi hoga
Bhai fees toh pay kardi ab account mein sahi load kab tak show karne lagega
Refference Number se Status Check kar Lena & Regular Check Kar liya karna, Ho Jayega...
@@panchayatiraj7241 kis site pe jaake check karu
Bhai mere ko toh koi reference number nhi mila bas payment receipt no. Hai 🥲🥲
Bhai koi verification ke liye bhi ayega kya
Bhai aapka badha hua load show hone laga kya bill??? Agar Haan to kitne din me show hone laga tha Maine bhi apply Kiya hai but show nahi ho Raha abhi takk.... Please reply
Are bhayya manage account nahi araha hai
Okk But Aapki Problem kya hai, Uske According Solution bataunga...
Kitna din ma ajata h apply krna ka bad
Bhai, Exactly Time Confirm nhi hai...
Sir load kese kr krwaye
Load Kam Karana hai Ya Badana hai...