Loki ke kofte ek bar jarur try kare( dudhi ke kofte)

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 19 ก.ย. 2024
  • Lauki ke kofte banane ke liye ingredients
    Lauki
    dhaniya
    mirchi
    adrak
    lahsun
    besan
    garam masala
    Lal mirch
    dhaniya powder
    jeera powder
    pyaj
    tamatar
    tel
    Sabse pahle ham lauki ke kofte banaenge uske liye ham lauki ko acche se cheel lenge ,iske bad usko kaddu kas kar lenge lauki ko kaddu kas karne ke bad extra juice bahar nikal kar usmein ham adrak, lahsun ,hari mirch ,jeera powder ,dhaniya powder, Lal mirch powder ,Namak add karke besan mix karke ham kofte ke liye batter taiyar karenge, ab ek kadhai mein Tel garm karke usmein kofte dalenge aur acche se fry kar lenge ab ek kadhai mein Tel garm karke Tej patta Khade garam masale aur hari mirch dal karke usmein ham pyaj add karenge jab pyaj acche se bhun jaaye tab usmein ham adrak lahsun add karenge Lal mirch powder dhaniya powder haldi powder garam masala add karke acche se bhunlenge ab ismein ham tamatar ki puri add karenge aur acche se bolenge 5 SE 7 minut ke liye ,jab hamara masala taiyar Ho jaaye to usmein ham Pani add karenge aur 5 SE 7 minut gravy ko pakaynge ab upar se kofte add karke 2, 3 minut pakaynge hamare lauki ke kofte Bankar ke taiyar Hain....
    #desi #loki ke kofte #indian

ความคิดเห็น • 11