Ummi hai laqb ilm ka dariya hai bahaya Gungo ko bhi andaze takallum hai sikhaya Jo sabka masiha hai hr ek dil ka makeen hai Wo mera Nabi hai Allah ne jise arshe baree pr hai bulaya Meraj ka dulha jise mola ne bnaya Asra me ziyarat jise Allah ki hui hai Wo mera Nabi hai Wo saqie kausar hai wahi shafie mehshar Wo khatme rusul bhi hai wohi Qaum ka rehbar Aalam ki hidayat usi hadi se mili hai Wo mera Nabi hai Zalim ke hr ek zulm ko sehte rahe rahe Bilal Hargiz na mita paoge kehte rahe Bilal Tauheed ki jo aag mere dil me lgi hai Wo mera Nabi hai Duniya me tujhe Aaj ye kuch bhi mila hai Tarik ye muhammad ki sanai ka sila hai Ye bazme jaha jiske wasile se saji hai Wo mera Nabi hai
Ummi hai laqb ilm ka dariya hai bahaya
Gungo ko bhi andaze takallum hai sikhaya
Jo sabka masiha hai hr ek dil ka makeen hai
Wo mera Nabi hai
Allah ne jise arshe baree pr hai bulaya
Meraj ka dulha jise mola ne bnaya
Asra me ziyarat jise Allah ki hui hai
Wo mera Nabi hai
Wo saqie kausar hai wahi shafie mehshar
Wo khatme rusul bhi hai wohi Qaum ka rehbar
Aalam ki hidayat usi hadi se mili hai
Wo mera Nabi hai
Zalim ke hr ek zulm ko sehte rahe rahe Bilal
Hargiz na mita paoge kehte rahe Bilal
Tauheed ki jo aag mere dil me lgi hai
Wo mera Nabi hai
Duniya me tujhe Aaj ye kuch bhi mila hai
Tarik ye muhammad ki sanai ka sila hai
Ye bazme jaha jiske wasile se saji hai
Wo mera Nabi hai