Chicken tikka kabab !how to make restaurant style chicken tikka kabab

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 5 ก.พ. 2025
  • Chicken tikka kabab !how to make restaurant style chicken tikka kabab#chickentikkakabab#chickentikka
    Ingredients-
    700 gm chicken
    4 tbsp hung curd
    2 tbsp ginger garlic paste
    1 tbsp green chilli paste
    1 lemon juice
    Salt to taste
    1 tsp lal mirch
    1 tsp Kashmiri mirch
    1/2 tsp turmeric powder
    1 tsp white pepper powder
    1 tsp cumin powder
    1 tbsp coriander powder
    1 tsp mace,jayefal powder
    Oil
    1 tbsp chaat masala
    1 tsp garam masala
    1 tbsp roast kasoori methi
    How to make-
    Assalamualyikum welcome back to my channel hope you all very well aaj hum banane jarahe hai chicken tikka kabab to chale start karte hai 700 gm chicken hai without bones aur 2 inch ke pieces hai sabse pahle chicken ko wash ,dry Kare aur iska 1 st marination karte hai chicken me 2 tbsp ginger garlic paste,1 tbsp green chilli paste,1 lemon juice,salt to taste dalkar acche se mix karke 1/2 hour ke liye rest par rakhe aur 2 nd marination ke liye masala banate hai ek bowl me 4 tbsp hung curd le usme 1 tsp Kashmiri mirch,1 tsp lal mirch,1 tsp cumin powder,1 tsp mace,jayefal,1 tbsp chaat masala,1 tbsp coriander powder,1 tsp garam masala powder,2 tbsp oil,1/4 tsp orange food clr dalkar acche se mix Kare aur 1/2 hour ke baad chicken ka 2 nd marination karenge saare masale ko chicken ke upper dalkar acche se mix karde 2-3 hour ke liye fridge me rest de .3 hour ke baad ise sticks me lagaye agar wood sticks hai to bhiga le 10 minute ke lie paani me dale .isi tarah saari sticks ko ready karle aur masale ko upper se lagade ab ek tave me oil spread kar aur ek ek karke jitni sticks aaye tave par rakh de aur 2-3 minute ke liye flame medium to high rakhe ise alat palat ke sek le aur cook karne ke liye lid lagakar 8-10 minute ke liye low flame par rakhdenge beech beech side change karte rahenge .10 minute ke baad isme coal ka smoke denge jisse tandoori flavour ajaaye .ek stick ko lenge aach dikha lenge taaki isme acche marks ajaye isi tareh oil lagakar saari sticks ko aach dikha lenge aur saari sticks ko bowl me nikal kar usme 1/3 cup melted butter ,coriander leaves dalkar acche se mix Kare aur ise salat ,chutney ke saath serve Kare hope aap logo ko recipe pasand aaye to channel ko like subscribe Kare duao me yaad rakhe milte new recipe ke saath Assalamualyikum.

ความคิดเห็น •