Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gai - Old Nauha from Lucknow

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 28 ส.ค. 2024
  • Old Nauha from Lucknow - Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gai
    Poet: Janab Suroor Lukhnavi
    Recited by: Anjuman Garoh e Hussain, Lucknow - Tanveer Haider Naqvi (Hilal)
    ========================
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Haye woh bhi teen din ka bhooka pyaasa le gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Aag khaimon mein lagi, Asghar ka jhoola jal gaya
    Ek nishani rah gayi thi, woh bhi duniya le gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Baap ki aakhon ke aage mar gaya kadyal jawan
    Seene-e-Akbar se jab barchi kaleja le gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Shab ki bhiaye apni aakhon mein basa kar rakh chukey
    Phool mein lipta hua Dhula ka sehra le gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Apne bachchon par na roye, Bhai ke gham ke siwa
    Ashq aaye bhi to Zainab, dil ko samjha le gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Khaak par tadpey hain kya-kya gul-badan, ghuncha-dahan
    Subhe Aashoor baharen, baagh-e-Zaherra le gayin
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Qaid mein bachchi ne dam toda hai is sasadmey ke baad
    Tashnagi meri, mere Ammu ko dariya le gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Bhai ka gham das dinon tak neend aur bepardagi
    Le ke kya aaye thin Zainab aur kya le ke gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Qaid se chhut kar, Madine ja kar Bano kya karey
    Zindagi ki aakhri hasrat Sakeena le gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    Khaak par har umar ka laasha pada hai ai Suroor*
    Dopaher mein maut ghar ka ghar yeh kiska le gayi
    Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
    =====
    Please Comment / Like / Share / Subscribe.
    You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
    archive.org/de...
    Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
    #OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics

ความคิดเห็น • 10

  • @sadiqraza3823
    @sadiqraza3823 9 ปีที่แล้ว +3

    Thank for upload this Nauha and other Nauhas of Anjuman girohe Husain

  • @akhtarnaqvi4687
    @akhtarnaqvi4687 4 ปีที่แล้ว +2

    This Nauha Recited by Helal Naqvi Rasoolpuri Dist - Rae barely U.P

    • @OldNohay
      @OldNohay  4 ปีที่แล้ว

      Jazakallah. Main description mein daal doonga.

  • @OldNohay
    @OldNohay  9 ปีที่แล้ว

    Please click on "SHOW MORE" to see complete text of this old nauha from Lucknow
    Please like / comment / share / subscribe
    Please visit www.wirasatali.com for more old nauhas from lucknow

  • @syedtanvirhaidernaqvi7746
    @syedtanvirhaidernaqvi7746 6 ปีที่แล้ว +2

    Please add the name of reciter' s name i.e. syed tanvir haider naqvi( hilal).

  • @syednazarali9044
    @syednazarali9044 9 ปีที่แล้ว +3

    Recited by: Tanveer Haider Naqvi (Hilal)

    • @OldNohay
      @OldNohay  9 ปีที่แล้ว +1

      +Syed Nazarali : SA, Done!
      Thanks for the info. Corrections are always welcome.
      Please remember to subscribe.

  • @haider9081
    @haider9081 ปีที่แล้ว +1

    bhai tanveer haider ka naam dale please 🙏

    • @OldNohay
      @OldNohay  ปีที่แล้ว

      WS, Description mein Naam hai. "Tanveer Haider (Hilal)"
      Thumbnail purani hai - Tab naam nahi maloom tha.
      Koshish karenge ke usme bhi badal dein.
      Agar aap ke paas qadeemi nauhon ki audio ho to mujhe baraye meharbani bhej dein.