MERE ASGHAR AA GAYI SHAAM - Qadeemi Nauha - Janab Fazil Lucknowi, Kalaam Janab Mahir Lucknowi
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 10 ก.พ. 2025
- Mere Asghar Aa Gai Shaam - Old Nauha from Lucknow
Poet : Janab Mahir Lucknowi
Recited by: Janab Fazil Hussain Naqvi Lucknowi
Anjuman: Raunak e Deen e Islam, Lucknow
====================================
Chhod ke turbat ghar mein aa ja
Goad mein kar araam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam
Baano dukhiya karti hai nauha
Khaimey mein hai korhaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam
Shaam e Gareeban pahli hui hai
Mansad e Zainab khaak bani hai
Tujhko dhoonde tere Sakina
Paani ka le kar jaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam
Mat bhoolo ulfat ke qareeney
Ghutniyon chaltey aao Madine
Khat mein likh ke bheja hai Tumko
Sughra ne paighaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam
Jal gaye khaimey lut gaya jhoola
Aah karoon toh padta hai durra
Subha se shab tak, shab se saher tak
Rona hai mera kaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam
Maa ko aa kar rukhsat kar do
Aakhon ke saagar ashkon se bhar do
Qaidi ban kar Karbobala se
Jaatey hain hum shaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam
Mahir* hain Baano ke naale
Goad mein meri kyon nahi aatey
Raat ke sannatey mein tumko
Kaise mila aaram, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam
Ya Hussain e Imaam, Noor e do aine Imaam
Mohammad ke Nawasey par durood aur Salaam
=====
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
archive.org/de...
Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
#OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics