aankhein taras gayi hai Akbar - Ali Zia Rizvi
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 15 ต.ค. 2024
- Nouha - aankhein taras gayi hai Akbar - Ali Zia Rizvi
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar
sugra ne khat mai likha dil muztarib hai mera
reh reh ke cha raha hai aakho mai andhera
aankhein taras gayi hai...
ali akbar ali akbar...
laila ke lab pe har dam rehta tha ek naala
wo tha to us ke dam se ghar may tha ek ujaala
aankhein taras gayi hai...
ali akbar ali akbar...
bus dekh dekh usko jeetay thay ahle-yasrab
tasveer e mustufa wo moja e laba laba
aankhein taras gayi hai...
ali akbar ali akbar...
sunte hai uska chehra sab khoon may bhar gaya tha
kehte hai uske dil may naiza utar gaya tha
aankhein taras gayi hai...
ali akbar ali akbar...
zainab se hoke ruqsat jab ran ko wo chala tha
har koi badke uske maath ko choomta tha
aankhein taras gayi hai...
ali akbar ali akbar...
sub bibiyou ne usko gheray mai leliya tha
khaimay ke dar ka parda uth uth ke gir raha tha
aankhein taras gayi hai…
ali akbar ali akbar...