Woh Firaaq Aur Woh Visaal Kahaan | Mirza Galib | Best Gazal
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 7 ก.พ. 2025
- Woh Firaaq Aur Woh Visaal Kahaan is a sad urdu poem, penned by Ghalib about an emotion of longing. It shows the class of Ghalib when it comes to Urdu Ghazals.
LYRICS
Woh Firaaq Aur Woh Visaal Kahaan
Woh Shab-o-Roh -o-Maah-o-Saal Kahaan
Fursat-e-Karobaar-e-Shauq Kisey?
Zauq e Nazzaraa e Jamaal Kahaan?
Dil To Dil Wo Damaagh Bhi Na Rahaa
Shor e Sauda e Khatt o Khaal Kahaan
Woh Ek Shakhs Ke Tasavur Se
Ab Woh Raanaai e Khayaal Kahaan
Aisa Aasaan Naheen Lahoo Rona
Dil Mein Taaqat, Jigar Mai Haal Kahaan
Hamsay Chootha Qamaarkhanar e Ishq
Waain Jo Jawain, Girah Main Maal Kahaan
Fikr e Duniyaan Main Sarr Khapaata Hoon
Main Kahaan Aur Yeh Wabaal Kahaan
Muzmahil Ho Gayee Quwaa Ghalib
Wo Inaasser Main Aitadaal Kahaan