Shabi abbas arfi brother Azaan arfi by Saye me Na Bahtugi aye merae Ali Asghar

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 14 ม.ค. 2025

ความคิดเห็น • 15

  • @samanarizvi2699
    @samanarizvi2699 2 ปีที่แล้ว +1

    Dil ko chu. Jane wala nauha aur awaz..

  • @crasbintercollegegarhanagr6708
    @crasbintercollegegarhanagr6708 3 ปีที่แล้ว

    Jiyo jiyo jiyo sher.
    Mashaallah maula salamat rakhe

  • @mohdabbas3838
    @mohdabbas3838 2 ปีที่แล้ว

    Mashallah,
    Maula salamat rakhe

  • @afjalabbas7983
    @afjalabbas7983 4 ปีที่แล้ว

    Masa Allah mere bhai

  • @rafatabbas6762
    @rafatabbas6762 4 ปีที่แล้ว

    Mashallah salamat raho jiyo

  • @sayyedafazlajafri3056
    @sayyedafazlajafri3056 3 ปีที่แล้ว

    Mashaallah moula salamat rakhe

  • @iamHasanAbbas
    @iamHasanAbbas 4 ปีที่แล้ว +2

    Aey mere Ali Asghar...
    Saaye me Na baithungi Aye mere Ali Asghar
    Ab kaise jiye maadar Aye mere Ali Asghar
    Ay maadar e mazlooma kahthi thi yahi Rokar Aey mere Ali Asghar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    1. Aey noore nazar mujhko ab chain nahi milta
    Umeed ke gulshan ka Ek phool nahi khilta
    Ay Laal har ek lamha ab Sakht hua mujhpar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    2. Mai jagti rahti thi AUR tujhko sulati thi
    Mai teri jawani ke Armaan sajati thi
    Afsos sitamgar ne khaya naa taras tujhpar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    3. Aankhon me tera chehra rahta hai mere bachhe
    Kya baat hui beta kyon ruthh gaya maa se
    Suni hai meri godi ay tashna dahaan Asghar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    4. Mai sochti rahti thi kya kah ke bulayega
    Jab bolna sikhega Maa kah ke bulayega
    De mujhko sada beta ek baar toh Maa kah kar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    5. Saaya bhi nhi koi Aur tapta hua sehra
    Chhe maah ka Sindhi hai nazook hai badan tera
    Aa so ja mere bachhe aakar mere sine par
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    6. Jab dekhti hun pani Dikhta hai tera chehra
    Jo mujhpar guzarti hai mai kaise kahu beta
    Hai zakhm bahot beta is maa ke kaleje par
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    7. Jhula to nahi baaki Par lori sunati hun
    Mai nind ke aalam me Haatho ko hilati hun
    Ujdi Hui mujh jaisi Hogi na koi madar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    8. Kyun baap ke haatho pe Palta tha mera baccha
    Sun sakte ho ay shiyo Kyu Kya tha sabab iska
    Tha teer bada lekin Chota tha mera asghar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    9. Papdaye huye wo lab Masoom gala uska
    Kya guzregi is maa par Zaalim ne nahi socha
    Jo dekha hai haal maine Dekhe na koi maadar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)
    10. Bas bas aye sharar naqvi Mar jane ko hai kaafi
    Che maah ka wo Asghar Do baar hua zakhmi
    Haaye teer chala pehle Or baad me phir khanjar
    (saaye me naa baithungi Aye mere Ali Asghar)

  • @ilhamfatimakhan8428
    @ilhamfatimakhan8428 4 ปีที่แล้ว

    Mashallah.

  • @shaguftaasmat6823
    @shaguftaasmat6823 4 ปีที่แล้ว +1

    MashaAllah

  • @sharukh_ali_Official
    @sharukh_ali_Official 3 ปีที่แล้ว +1

    Ya Ali ya husain

  • @Karbalatweets17
    @Karbalatweets17 4 ปีที่แล้ว +1

    Mashallah

  • @alebadmedia3977
    @alebadmedia3977 4 ปีที่แล้ว +1

    Jio 😭😭😭

  • @eshannaqvi6497
    @eshannaqvi6497 4 ปีที่แล้ว +1

    Mashallah

  • @hasanmehdizaidihasan6615
    @hasanmehdizaidihasan6615 4 ปีที่แล้ว

    Mashallah