Lyrics: Kuch bacha hai mujhme, Jo sajaya hai tumne. Kya hai pata hai? Lo Suno(LIKHAI HAI SACCHAI) Kya yaad hai tumhe woh hamari pehli mulaqat, Baarish ho rahi thi aur tu thi mere paas. Mitti ki Khushboo ne cheena mera sara dukh aur Tere hone se laga ki puri duniya ho gayi mere sath. Teri in aankhon mein woh sacchai chupi hai, Jiski talash karke meri bhi ab saansein ruki hai. Tujhe le chalun mein uss jagah jahan se, duniya ki sari buri cheezein kafoor ho chuki hai. Ehsaas hua mujhe tere iss pyaar ka, Tujhe bhejke khuda ne chukaya karz meri haar ka. Keemat meri tu hi jaane ab iss kadar ke marham ban chuki hai tu mujhpe lage har vaar ka. Tu hi mera pyaar, Tu hi mere naal Teri hi wajah se ab Rakhun mein qaraar. Meri zindagi zawaal Usme tu meri naayab. Jab tu hai mere sath Phir kyun rakhun mein gumaan. Sari duniya ke gam ab hamare hain, Aur sitam ye hai ki ham tumhare hain. Itna lafzon se to pyaar tha bhi nahi mujhe, bas teri chahat mein ham shayar ban chuke hain. Dakhal nahi deta hun kisiki bhi tabdeeli mein. Tujhse lagaav inta ke jaane du tujhe uske paas. Meri zindagi hui bashar meri hi talash mein. Par kya karun jab mujhse zyada kareeb hai tera sat h. Teri qurbat se mein bilkul waqif nahi tha. Meri qalam se kaafir mujhe kabhi nahi hona tha. Tu bani mera woh panna jispe ishq behta hai aur iss zamane ke liye mein hareef ho chuka tha. Meri qalam bhi mujhse zyada tujhko chahne lagi hai, Bina wajah har pal bas teri tareef karne lagi hai. Pohoche tujh tak meri baat, tu sune mere alfaaz, jese teri aankhon mein hi meri duniya ab rehne lagi hai. Talha aur Elia sunke mere dil ka shayar mila, Unse hi to pyaar ka sahi arth mujhe pata chala. Meri qalam se jo ishq beh raha hai tere liye usme mujhse bhi zyada unka pyaar hai mila. Teri zulfon ki jo mehek hai usse dil khush hua, Teri sari khwahishein ban gayi hai ab meri dua. Meri saari baatein samjhe mere bina bole tu. Jese tu ban chuki hai ab mera khuda. Tu hi mera pyaar, Tujhse Ishq hua be-shu-maar. Tujhe dekhne ko aankhein tarse. Aake khol-de mere dil ka dwar. Meri Qalam hai talvaar. Jo hai sachai ki misaal. Tu ban meri kitaab aur Pyaar se kehna mujhe alfaaz. Tu hai mera pehla pyaar. Tu hai khadi mere sath. Apne in lamhon se mein Gaane likhta hun kamaal. Tere noor mein mujhe mera saya dikhta hai, Mere Urooj mein bhi mujhe tera sath milta hai. Tu hai meri hoor, na rakhun mein guroor. Maghroor hone se accha mein bas rakhun ye fitoor. Rasmon se pare hoke tujhe chaha hai, Zakhamon se zyada tera pyaar mana hai. Raqeeb tha mein khudka, shayad aaj bhi hun Par teri rehmat se mene aaj khuda ko jana hai. Tere roothne se mujhme bhi ek udaasi cha-jati hai, Itna hoke bhi mujhe aaj bhi tu pasand aati hai. Teri saadgi pe mera dil fidaa hua hai aur Teri mitthi aawaz se woh kuch baatein karta hai.
Lyrics:
Kuch bacha hai mujhme,
Jo sajaya hai tumne.
Kya hai pata hai?
Lo Suno(LIKHAI HAI SACCHAI)
Kya yaad hai tumhe woh hamari pehli mulaqat,
Baarish ho rahi thi aur tu thi mere paas.
Mitti ki Khushboo ne cheena mera sara dukh aur
Tere hone se laga ki puri duniya ho gayi mere sath.
Teri in aankhon mein woh sacchai chupi hai,
Jiski talash karke meri bhi ab saansein ruki hai.
Tujhe le chalun mein uss jagah jahan se,
duniya ki sari buri cheezein kafoor ho chuki hai.
Ehsaas hua mujhe tere iss pyaar ka,
Tujhe bhejke khuda ne chukaya karz meri haar ka.
Keemat meri tu hi jaane ab iss kadar ke marham
ban chuki hai tu mujhpe lage har vaar ka.
Tu hi mera pyaar,
Tu hi mere naal
Teri hi wajah se ab
Rakhun mein qaraar.
Meri zindagi zawaal
Usme tu meri naayab.
Jab tu hai mere sath
Phir kyun rakhun mein gumaan.
Sari duniya ke gam ab hamare hain,
Aur sitam ye hai ki ham tumhare hain.
Itna lafzon se to pyaar tha bhi nahi mujhe,
bas teri chahat mein ham shayar ban chuke hain.
Dakhal nahi deta hun kisiki bhi tabdeeli mein.
Tujhse lagaav inta ke jaane du tujhe uske paas.
Meri zindagi hui bashar meri hi talash mein.
Par kya karun jab mujhse zyada kareeb hai tera sat h.
Teri qurbat se mein bilkul waqif nahi tha.
Meri qalam se kaafir mujhe kabhi nahi hona tha.
Tu bani mera woh panna jispe ishq behta hai
aur iss zamane ke liye mein hareef ho chuka tha.
Meri qalam bhi mujhse zyada tujhko chahne lagi hai,
Bina wajah har pal bas teri tareef karne lagi hai.
Pohoche tujh tak meri baat, tu sune mere alfaaz,
jese teri aankhon mein hi meri duniya ab rehne lagi hai.
Talha aur Elia sunke mere dil ka shayar mila,
Unse hi to pyaar ka sahi arth mujhe pata chala.
Meri qalam se jo ishq beh raha hai tere liye
usme mujhse bhi zyada unka pyaar hai mila.
Teri zulfon ki jo mehek hai usse dil khush hua,
Teri sari khwahishein ban gayi hai ab meri dua.
Meri saari baatein samjhe mere bina bole tu.
Jese tu ban chuki hai ab mera khuda.
Tu hi mera pyaar,
Tujhse Ishq hua be-shu-maar.
Tujhe dekhne ko aankhein tarse.
Aake khol-de mere dil ka dwar.
Meri Qalam hai talvaar.
Jo hai sachai ki misaal.
Tu ban meri kitaab aur
Pyaar se kehna mujhe alfaaz.
Tu hai mera pehla pyaar.
Tu hai khadi mere sath.
Apne in lamhon se mein
Gaane likhta hun kamaal.
Tere noor mein mujhe mera saya dikhta hai,
Mere Urooj mein bhi mujhe tera sath milta hai.
Tu hai meri hoor, na rakhun mein guroor.
Maghroor hone se accha mein bas rakhun ye fitoor.
Rasmon se pare hoke tujhe chaha hai,
Zakhamon se zyada tera pyaar mana hai.
Raqeeb tha mein khudka, shayad aaj bhi hun
Par teri rehmat se mene aaj khuda ko jana hai.
Tere roothne se mujhme bhi ek udaasi cha-jati hai,
Itna hoke bhi mujhe aaj bhi tu pasand aati hai.
Teri saadgi pe mera dil fidaa hua hai aur
Teri mitthi aawaz se woh kuch baatein karta hai.
❤❤🎉🎉🎉 what a composition
Toooo Good!!!! 👌👌👌
So nice ❤
👌🏻👌🏻
❤❤