Raabta | INSTRUMENTAL | Jokhay | Talha Anjum | Hashim Nawaz | (Prod JOKHAY)

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 3 ม.ค. 2025

ความคิดเห็น • 7

  • @mubeenshah9470
    @mubeenshah9470 3 ปีที่แล้ว +2

    TA VERSE
    Tu likhay dard
    Tw mai agay behisaab likhu
    Tu likhay shaam, mai gham Gilay sharaab lkhun
    Tu guzra zamana lagay
    Mai tjhpy kitaab likhun
    Riyazi kamzor meri duniya garbari krti
    Hisaab mai kyun
    Khuli kitaab bhi hun
    Rehta hun khud me ek raaz sa kyun
    Urdu rap ko mai laazim hun
    Urdu rap pe mai naazil hun
    Apne khuwab kiye pure
    Apno ki umeed e naz ka qatil hu
    Apne khuwab kiye pure
    Khuwab manzil ha or me ek Musafir hun
    Khuda ne di hai ye izzat
    Kasam khuda ki me nh tha is laiq bh
    Angrezi rappers ko sunta tha
    Tooti phoothi jesi bhi smjh ayi thi
    Mai srf krna chahta shayari
    Meri kala lagi logo ko kahili
    Maa ne har khuwaish ki puri
    Zarurat mai bani baap bhi bhai bhi
    Mai likhta nahi qalam se
    Kahi ansoun se bikhar na jae shayari
    Andr se ham sab udaas hai
    Muskurahaten hai zahiri
    Came from a broken family
    Music he mera escape tha
    Murh k ab dekhta haal ajeeb tha
    Ab mai lakhon me ye gaane bechta
    Ab mai kehta hu zindagi statezi
    Jo me na krun wo nh mainstream
    Mai badtamez lekn mehnti
    Mai fans k dil mai rahun rent free
    Meri jaibo me note bhare paint ki
    I only show you what you can see
    Mene jaan lgadi k log mjhe janein
    Ab irritate kre attention
    Mjhe khoken pe log roke photo k lye
    Pasand nh ha nklna ghr se
    Zimmedari se kehta hu
    Ghusse ki asal waja aksar banti charsen
    Ham maslo ko dekhty ha face value
    Pe nh pakar paate unhen jarr se
    Mai sunany betha jo apni
    Tw puchogy kya wo dard bhi dard thay
    Parr...
    JOKHAY HOOK
    Abhi jaa nahi..
    Dil khaali ha teri zarurt hai
    Nazren bulaarahi
    Abhi jaa nahi
    Jske hone se tha saya kari dhoop me
    Jo such dhondleta tha mere har jhut mai
    Rishty amar hai ye raabte nai toot'te
    Abhi jaa nahi
    Jske hone se tha saya kari dhoop me
    Jo such dhondleta tha mere har jhut mai
    Rishty amar hai ye raabte nh toot'te

  • @mubeenshah9470
    @mubeenshah9470 3 ปีที่แล้ว +3

    Hashim nawaz verse
    tha waqt jab kehne ko lafz nhi thay
    Ab jab lafz hai waqt nahi
    Each day tera bhai karta evolve
    Baaki ye londay hein ab bhi wahen
    nahi banegi tu meri fantasy
    But still you will be my fan to see me rap
    inke lye na kabhi krta hun gaari reverse phir
    karunga mai kese inhen back
    log krte shor jin ke beech hun mein
    Jo bhi sunay mjhe uske kareeb hun mai
    rangeen hu ghareebon ki sohbat se door hoke
    smjh beta khudko ameer hun mein
    mere sath wale sath wale kamre mein
    aur is kamre mein ghair mere sath hai
    thora jaag rha ziada mein sapnay me
    awam kab tak kruga bardaasht ye
    zarf baant de bolay kalam mere hath mei
    kabhi kabhi hotay sher bina kaafiye
    mehmaan sare apne hi gharon me
    insaan ziada mohtaaj agli saans ke
    inhen khush krna lagay mehez hasrat
    mukhtalif log lete mukhtalif matlab
    in baaton ka mai waqt kese nikal ke dekhu
    ke hein ye naraz ya krte hein nafrat
    khair jo bhi hai unka shukria
    jis jis ne bhi likhnay ko lafz diya
    paas takht inke jorta par kursiyaan
    begharz thora khud ko hai kardia
    mene ghar dia inke dilon me khud ko
    jati over headlines meri khabar tm ko
    mein ek talib ilm khojta jawab
    kafi lia seekh lekn dhoond paya nhi khudko
    Khanabadosh mein do mjhe dosh nhi
    tm mjhe jaante bas ho mere dost nahi
    agar mein khalaai makhlooq tere mutabiq
    tw mere agay yun hawa mai chorr nahi
    toofaan tera bhai jab bhi kare kaam
    If i drink and drive tw traffic honi nahi jaam
    zehan pe zorr de kon mei bolde
    bhai tera koilay mein heera khultay inke nhi kaan
    Mjhe na pata kia mera hai level
    Kya ye lete hai mera naam
    me rahunga yaha par kahunga
    kiya tha rap talha anjum k saath
    mai siden nhi leta tm meri is adat ki waja se ho na naraz
    inki nazar mei hun kya kuch nahi mein
    jo nahi to bas kalakaar
    JOKHAY HOOK
    Abhi jaa nahi..
    Dil khaali ha teri zarurt hai
    Nazren bulaarahi
    Abhi jaa nahi
    Jske hone se tha saya kari dhoop me
    Jo such dhondleta tha mere har jhut mai
    Rishty amar hai ye raabte nai toot'te
    Abhi jaa nahi
    Jske hone se tha saya kari dhoop me
    Jo such dhondleta tha mere har jhut mai
    Rishty amar hai ye raabte nh toot'te

  • @Vedant_4415
    @Vedant_4415 3 ปีที่แล้ว +1

    Dope❤️❤️

  • @cupcakes4455
    @cupcakes4455 3 ปีที่แล้ว

    I can still kinda hear them but gud work

  • @zainuddin4
    @zainuddin4 3 ปีที่แล้ว

    Bhi as a background use kro to copy right issues tu nhi ho ga