ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha |Azadari Gadayan

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 15 ก.ย. 2024
  • ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha |Azadari Gadayan
    बे- सर जब अपने बाप को देखा नशेब मे || रोई बहुत यतीम सकीना नशेब में
    ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba Noha 2024 | 10 Muharram Noha 2024
    Related - New Noha Shaam E Ghareeba(ghareebo ki shaam) 1446/2024 | Muharram 1446 New Noha 2024, 10 Muharram Noha 2024 | New Noha Shahadat Mola Ali Akbar 2024
    lyrics:-
    Sunsaan ban wo raat wo uthta huwa dhuwan
    Nikli padar ko dhoondne nanhi si ek Jan
    Kahti thi baba Jaan batado ke ho kahan
    Ek laash bol uthi meri beti main hun yahan
    Lekar isi sada ka sahara paoch gai
    Rote huwe nasheb me dukhya pahoch gai
    Besar jab apne baap ko dekha nasheb me
    Roi bahot yateem sakeena nasheb me
    1
    Maqtal me lash bap ki jab sar kati mili
    Thi umr char saal ki bachi tarap gayi
    Beti jab apne baap ko pehchan na saki
    Awaz ya abaa ki yateema ne roke di
    Lasha ghareeb baap ka bola nasheb me
    2
    Likha hai rawiyo ne wo manzar bada ajeeb
    Jangal wo kali raat wo ghurbat wo gham naseeb
    Awaz sunke baap ki pohchi hai jab qareeb
    Halat padar ki dekh ke royi bohat ghareeb
    Beti ke sath baap bhi roya nasheb me
    3
    Age badhi hussain ki mazloom ghamzada
    Teero se jism bap ka dekha bhara hua
    Ghabra ke teer jism se karne lagi juda
    Kamsin thi koi teer na us se nikal saka
    Paya na jab hussain ka seena nasheb me
    4
    Khali na pai jism pe teeron se koi jaa
    Karne lagi tawaf wo baba ki laash ka
    Mayoos ho ke paiti paithi wo gam zada
    Rukhsar apna baap ke talwon pe rakh diya
    Lekar padar ke paaun ka bosa nasheb me
    5
    Apne padar ki laash pe Le le ke siskiyan
    Wo apna dard baab se karne laghi bayan
    Rukh par bani thi saaf Jo zalim ki ungliyan
    Bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo Nishan
    Zakhmi badan husain ka tadpa nasheb me
    phir ye kehne lagi ro ro ke yateema baba
    Mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba
    Mara zalim ne mujhe aisa tamacha
    baba
    Chha Gaya meri nigahon me andhera baba
    6
    Kahti thi Mai yateemi hun mujhpar na waar kar
    Ki minnaten bahot ki Zara intezaar kar
    Mai de Rahi thi shimr ko bunde utaar kar
    Chhine hain be rahem ne magar mujhko maar kar
    Ye dard jab padar ko sunaya nasheb me
    7
    Waiz likhe ga kaun yateema ki bekasi
    Lashe shahe Zaman se wo jis dam juda huwi
    Lagta tha ab jiye gi na Bachi husain ki
    Jane lagi nasheb se jab shah ki ladli
    Baba ko apne chor ke tanha nasheb me

ความคิดเห็น • 1