दिवाली की कहानी | Ramayana Story | Diwali Story for Kids
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 20 ธ.ค. 2024
- दिवाली ही कहानी | Ramayana Story | Diwali Story for Kids | Hindi Moral Stories for Kids
Bahut samay pehle ki baat hai. Ayodhya me ek raja hua karte they - raja dasrath. Unki teen raniya thi - kaushalya, sumitra aur kaikeyi. Aur unke chaar putr they - ram, laxman, bharat aur shatrughan.
Unhone apne sabse bade putr ko apna uttaradhikari ghosit kia. Rani kaushalya k putr ram ko raja bante dekh rani kaikeyi naraaz ho gai. Unhone raja dasrath se bola -
Kaikeyi - jan humne aapki jaan bachai thi to aapne hume ek vachan dia tha. Aaj vo vachan poora karne ka samay aa gaya hai. Hum chahte hai k aap humare putr bharat ko raja banaaye aur ram ko 14 saal ke liye vanvaas bheje.
Raja dasrath kaafi dukhi hue, kintu vo apne vachan k kaaran majboor they. To unhone ram ko vanvaas bhej dia. Ram k sath unki dharampatni seeta aur bhai laxman bhi chal pade aur vo teeno van me rehne lage.
Ek din suparnkha naam ki rakshasi apna roop ek sundar naari me badal kar aai. Vo ram ji ko dekh kar mohit ho gai aur unhe ja kar boli ke mujhe aapse shadi karni hai.
Ram ji ne muskura kar bole - me to pehle se shadishuda hai. Devi, aap mere bhai laxman k pass jaiye aur unse puchiye k kya vo aapse shadi karenge ?
Ye sunkar suparnkha laxman k pass chal di. Lekin, suparnkha ka prastaav laxman ne bhi thukra dia.
Ye dekh kar suparnkh bahut gussa hui aur apne asli roop me aa gai. Usne sita ji ko maarna chaha.
Kintu laxman ne suparnkha ki naak aur kaan kaat diye.
Suparnkha rote rote apne bhi ravan k pass gai. Ravan lanka me rehta tha aur vo saare rakshaso ka raja tha. Usne apni behen ke apmaan ka badla lene ki thaani.
Usne ek rakshas ko ek sundar mrag bana kar junglee bheja. Us swarn jaise dikhne wale mrag ko dekh kar ram, laxman aur sita ji mohit ho gaye. Ram aur laxman us mrag k peeche peeche bhaage taaki vo use pakad kar sita ji ko de sake.
Itne me raavan apna roop badal kar ek sadhu ban kr sita ji k pass aaya. Aur sita ji ko agva karke le gaya.
Ram aur laxman jab wapas aaye to unhone dekha k sita ji ghar pe nahi hai. To dono unhe khojne lage. Khojte khojte unhe ek ghayal pakshi mila jiska naam jatayu tha.
Jatayu ne ram ji ko bataya k raavan sita ji ko agava kar ke le gaya hai. Usne ravan ko rokne ki kosis ki lekin raavan ne uske pankh kaat diye.
Ram aur laxman lanka ki aur chal pade. Raste me banaro aur bhaaluo ki sena unhe mili aur unke sath ravan se yudh karne chal padi.
Is sena me ek bandar they - hanuman. Vo kaafi shatishaali they aur ud bhi sakte they. Vo pahaado ko apne hath me utha lete they. Hanuman ud kar samundar k us paar gaye aur dekha k raavan ne sita ji ko kaid kar rakha hai.
Ye baat jaan kar ram ji ne apni sena k sath samundar par pul bnana shuru kia aur lanka pahunch gaye. Lanke me unka raavan aur uski rakshas sena k sath ghanghor yudh hua.
Aakhir me ram ji aur unki sena ne saare rakshaso ko maar bhagaya. ravan ka bhi ant ho gaya aur Ram ji yudh jeet gaye.
Jeetne k baad ram ji aur sena sita ji ko le kar wapas aa gaye.
14 saal ka vanvaas poora kar jab ram, sita aur laxman wapas ayodhya aaye to poore ayodhya me khusiya chaa gai. Sari praza ne ayodhya ko diyo aur foolon se sajaya aur bhagwaan ram ka swagat kia.
Aur ravan pe ram ji ki jeet ka bhi utsav manaya gaya.
Tabse hum har saal kartik amavasya k din bhalai ki burai par jeet ka tyohar diwali manaate hai.
Happy Diwali !!!!
We are on Spotify : spoti.fi/3fdCSPm
#diwali2022 #hindipoem #hindirhymes