Aun Naqvi - Marsiya: Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 29 ต.ค. 2024

ความคิดเห็น • 26

  • @AcceleratedTech
    @AcceleratedTech ปีที่แล้ว

    Jazakallah mola salamat rakhe zikr e ahlebait a.s. karne walo ko. Labbaik ya Hussain a.s.

  • @yasmeenkhan2359
    @yasmeenkhan2359 2 หลายเดือนก่อน

    Hye Bibi 😭

  • @seemikazmikazmi2505
    @seemikazmikazmi2505 ปีที่แล้ว

    Jazakallah moula ke ghum main khoob rulaya

  • @humazaidi37
    @humazaidi37 2 ปีที่แล้ว

    Hay meri bibi 😭

  • @mubinarangwala1926
    @mubinarangwala1926 7 ปีที่แล้ว +5

    QAID KHANE MEI
    Qayd khaane mei
    (Haay Saadat aur zindan) x2
    (Haaye sadaat haaye zindaan) x2
    (Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai) x2
    1. Dukhtare Fatema ghairat se mui jaati he
    Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
    2. Aasman door zameen sakht kidhar jaaoun mein
    Yahi behtar he ke dunya se guzar jaaoun mein
    Bibiyon milke duaa maango ke marjaaun mein
    Maut aati hi nahin jaan khichi jaati he

    3. Amaad-e-hind ka ghul itrat-e-shabbir mein he
    Shor-e-matam haram-e-saahib-e-tathir mein hein
    Kehti he jaaoun kahan paaon to zanjeer mein he
    Paaon uthta he to zanjir lipat jaati he

    4. Aa idhar bibi Sakina se ye Zainab ka bayaan
    Hind darbar se jab aayegi su-e-zindaan
    Sabr tum ko he dikhana na uthe shoro fughaan
    Haaye ye din bhi aseeri tumhe dikhlaati he

    5. Dare zindaan pe huwa itne mein ambohe kamaal
    Jaane haatim ka he zindaa(n) mein nuzoolo ijlaal
    Qaidiyon uth ke dua deke karo istikbaal
    Zawja-e-haakime doraan he jo ye aati he

    6. Hind ne dekhke raandon ki taraf di ye sada
    Kiska yusuf he ye zindaan mein giraftaare bala
    Bibiyaan kiski hai rakhti jo nahin sar pe rida
    Un ke chehron se to kuchh aur jhalak aati he

    7. Dekhti kya he ke ik sher he aahan mein niha
    Laagharo khastatanon faaqakasho Tashnadahaan
    Naa to chalne ki taqat he na koi rishtae jaan
    Ghustakhaanon se larazne ki sada aati he

    8. Aayi nazdeek jo Sajjad ke Hind-e-dilgeer
    Boli woh konsi isyan ki mili ye tazeer
    Bole dasween ki muharram ki joh pehni zanjeer
    Aaj taqdeer bhi qaidi humein kehlati he

    9. Hind ne puchha maraz kya he kaha bepadari
    Ghar jo daryaft kiya kehne lage darbadari
    Boli leta he khabar kon kaha bekhabari
    Jo khabargeer the unko to lahed bhaati he

    10. Baba sahib ke gale par jo na khanjar phirta
    Inke sar khulte na mein kaanton pe dar dar phirta
    Aur madine ki taraf sab ko mein le kar phirta
    Yaad hazrat mei watan ki humein tarpaati he

    11. Hind ne naam madine ka jo abid se suna
    Khaak par beth gayi haal ye taaqeer huwa
    Boli kya zainab-o-kulsum se nisbat he bhala
    Aise chehron se to khushbu-e-wafaa aati he

    12. Boli Zainab ke na le Zainab-o-Kulthum ke naam
    Woh nabi zaadiyan he qaid mein unka kya kaam
    Hind boli inhi baton mein hein sab un ka kalaam
    Kyun meri ruh tumhe dekh ke ghabraati he

    13. Jo bhi surat he woh maasum nazar aati he
    Qudrate khaaliq-e-qayyum nazar aati he
    Koi Zainab koi Kulsum nazar aati he
    Un se taqdeer ye kis haal mein milwaati he

    14. Gird aabid ke phiri phir woh ba haal-e-tagheer
    Bole woh kon ye chillai kaneez-e-Shabbir
    Assalaam ay rasan-o-tauq-o-salaasil ke aseer
    Nawha karti huwi qadmon mein giri jaati he

    15. Bas “Dabeer” ab gham-e-shabbir se larzaa he jigar
    Hind bhi mehw-e-azaa aaj huwi nang-e-sar
    Qaidkhaane mein huwa sina zani se mehshar
    Yehi majlis he jo khud marsiya kehlaati he
    Haaye sadaat aur zindaan

  • @sajjuu100
    @sajjuu100 5 ปีที่แล้ว +1

    Sab se khubsurat marsia ab tak ka perha... Kai bar sun chuki hu.. Qayamat ka parha ap ne. Mola salamat rakhin

  • @aawwaaqqaarr
    @aawwaaqqaarr 5 ปีที่แล้ว +1

    سید عون نقوی صاحب آپ بہت خوبصورت آواز کے مالک اور بہت شاندار انداز میں آپ نے طرز کا خیال رکھتے ہوئے بہترین ادائیگی کی ہے. اس سال میں مسلسل کئی بار اس کلام کو سن چکا ہوں. جزاک اللہ
    ولسلام .... سید دانش حیدر زیدی ... ٹورنٹو, کینیڈا

  • @zeenatnaqvi1281
    @zeenatnaqvi1281 3 ปีที่แล้ว

    JazakAllah

  • @aliakhtar5313
    @aliakhtar5313 5 ปีที่แล้ว

    Moulaa AS hamesha salamat rakhen Aameen or toufiqat me Izafa farmayen Aameen Summa Aameen

  • @kaneezebatool2901
    @kaneezebatool2901 4 ปีที่แล้ว

    Mashallah mola salamt rakhe apne azadaro ko 😍😍

  • @tanveerzehra6183
    @tanveerzehra6183 4 ปีที่แล้ว

    Thank you for uploading.

  • @sbakazmi0
    @sbakazmi0 7 ปีที่แล้ว

    mashallah bahut hi umda. maula salamat rakhe

  • @abihazaidi9595
    @abihazaidi9595 3 ปีที่แล้ว

    Mashaallh

  • @marziakhatoon
    @marziakhatoon 8 ปีที่แล้ว +2

    Bohat he allah molah aap ko zendage thay

  • @syedkaunain266
    @syedkaunain266 6 ปีที่แล้ว

    Mashallah...

  • @aqibmirza3466
    @aqibmirza3466 5 ปีที่แล้ว

    Jazakallah

  • @Akbarzaidi110
    @Akbarzaidi110 7 ปีที่แล้ว

    Haye Haye 😣😟

  • @kaneezebatool2901
    @kaneezebatool2901 4 ปีที่แล้ว

    Unlike krne walo pr lanat

  • @khilathaidar1992
    @khilathaidar1992 7 ปีที่แล้ว

    Nadeen noha

    • @Nazyaali110
      @Nazyaali110 5 ปีที่แล้ว

      It is a Mirza Dabeer marsiya

  • @yazilabbas9194
    @yazilabbas9194 9 ปีที่แล้ว

    Thankyou for uploading. May Allah bless you. Is it possible to get the full text of this Marsiya?

    • @minhalraza8791
      @minhalraza8791 8 ปีที่แล้ว

      Urdu or Eng?

    • @IsmailKhan-my9nv
      @IsmailKhan-my9nv 7 ปีที่แล้ว

      nadeem sarwar 2007 noha suno

    • @mubinarangwala1926
      @mubinarangwala1926 7 ปีที่แล้ว +4