Sakeena Idhar Aa Sakeena | Raza Abbas Sultanpuri Anjuman Akbariya Maniyari Sultanpur | Noha 2023

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 15 ต.ค. 2024
  • Muharram Noha 2023 | Sakeena Idhar Aa Sakeena | Raza Abbas Sultanpuri | Anjuman Akbariya Maniyari Sultanpur | Ya bunaiya Ilaiya Ilaiya Ya sakeena
    Title -- Sakeena Idhar Aa Sakeena
    Reciter -- Raza Abbas Sultanpuri
    Venue -- Hussainiya Babul Murad Imambada Maniyari Aliganj Sultanpur
    Organiser -- Anjuman Akbariya Maniyari Sultanpur
    Lyrics------
    Deti hai awaz ma awaz ma
    Sakeena idher aa sakeena
    Ya bunaiyya ilayya ilayya ya sakeena
    Sakeena idher aa sakeena
    1 dar par hai sab bibiyan zinda se hokar riha
    Bewon ne hai kar liya azme dashte nainawa
    Tadpati hai aal ko yade shahe karbala
    Lekin tere muntazir ab tak hai zainul eba
    Zainab aur kulsoom ki sunkar fariyado fuga
    Sunkar fariyado fuga
    Sakeena idher aa sakeena
    Ya bunaiyaa
    2. Tujhko hai Sadma siwa toone laakhon gham sahe
    Tere jisme pak par aada ke durre lage
    Sehmi rahti thi sada tuu zalim ke khauf se
    Tere dil me ranj hai gauhar tere chin gaye
    Tujhko fauje Sham se dilwaugi Baliyan
    Dilwauga Baliya
    Sakeena idher aa sakeena
    Ya bunaiyaa
    3 mai chalkar Abbas ko sahil se bulwaugi
    Ab tak hai tashna dahen pani bhi pilwaugi
    Rakh apne dil me yaqeen akbar se milwaugi
    Maidan se mai dhoodhkar Asghar ko bhi laugi
    Fir teri agosh me hoga tera bezuba
    Hoga tera bezuba
    Sakeena idher aa sakeena
    Ya bunaiyya
    4 . Tu kahti thi sham ko zayar jate Hain kahan
    Mai kahti thi ye chale apne apne aashiyan
    Hasrat Jane ki watan rakhti thi tashna dahan
    Zinda se fursat mili chal tu bhi apne makan
    Thahra hai Tere liye yasrab ka ye karwan
    Sakeena idher aa sakeena
    Ya bunayya
    5 ab tujhpar shimre layin durre na barsayga
    6 ma zindane sham ke dar se deti hai sada
    Sun le Meri ladli kurta hai tera phata
    Nada tera pairahan khoo me hai Dooba huwa
    Akar zad me aag ki Daman bhi hai jal Gaya
    Shah se milne ke liye jati hai Sab bibiyan
    Sakeena idher aa sakeena
    Ya bunayya
    #noha2023 #nohay #razasultanpuri #razaabbasnohay
    #nohabibisakina #nohashahadatbibisakeena
    #muharram2023 #bibisakinanoha #nohamolahussain #safanoha
    #yahussain #hussainforjustice #promoteazadari #aliwale #azadari_chitora #azadarinetwork #balisakina #shahzadisakina

ความคิดเห็น • 9