@@ziamughal9423 they were finished but now we found a bigger problem than those two khandan...Neutrals..The Actual Ghaddars..zardaris and shareefs main supporters. What to do now bro?
@@bbfloors1903 100% agree with u and its hurts to much that we were beleaving in our army more than any thing before but Now they are all undressd in front of whole nation InshAllah by the help of Allah we will be succeed one day for the future of of our upcoming generations for this we all need to do work for this and we need to chose a leader. a nation is nothing without an honest leader
Proud to be Shaheen of Iqbal ❤ Inshallah, One day I will become Shaheen of Iqbal as a true Muslim. Naaray e Taqbeer❤ Allah O Akbar❤ Naaray e Risalat❤ Ya Rasulallah ( SAW)❤ Naaray e Haideri❤ Ya Ali as ❤️
Shaan akhon mei na jajti thi ...jahadaro ki Kalima padte teh hum chaon mei talwaro ki .... Hum jo jeete teh toh jangon ki nusibat ke kiye.... Aur marte teh teri nam ki azmat ke kiye..... goosebumps 😢....aj kya hua hai..
kyuuñ ziyāñ-kār banūñ sūd-farāmosh rahūñ fikr-e-fardā na karūñ mahv-e-ġham-e-dosh rahūñ naale bulbul ke sunūñ aur hama-tan gosh rahūñ ham-navā maiñ bhī koī gul huuñ ki ḳhāmosh rahūñ jur.at-āmoz mirī tāb-e-suḳhan hai mujh ko shikva allāh se ḳhākam-ba-dahan hai mujh ko hai bajā sheva-e-taslīm meñ mash.hūr haiñ ham qissa-e-dard sunāte haiñ ki majbūr haiñ ham saaz ḳhāmosh haiñ fariyād se māmūr haiñ ham naala aatā hai agar lab pe to ma.azūr haiñ ham ai ḳhudā shikva-e-arbāb-e-vafā bhī sun le ḳhūgar-e-hamd se thoḌā sā gila bhī sun le thī to maujūd azal se hī tirī zāt-e-qadīm phuul thā zeb-e-chaman par na pareshāñ thī shamīm shart insāf hai ai sāhib-e-altāf-e-amīm bū-e-gul phailtī kis tarah jo hotī na nasīm ham ko jam.īyat-e-ḳhātir ye pareshānī thī varna ummat tire mahbūb kī dīvānī thī ham se pahle thā ajab tere jahāñ kā manzar kahīñ masjūd the patthar kahīñ ma.abūd shajar ḳhūgar-e-paikar-e-mahsūs thī insāñ kī nazar māntā phir koī an-dekhe ḳhudā ko kyūñkar tujh ko ma.alūm hai letā thā koī naam tirā quvvat-e-bāzu-e-muslim ne kiyā kaam tirā bas rahe the yahīñ saljūq bhī tūrānī bhī ahl-e-chīñ chiin meñ īrān meñ sāsānī bhī isī māmūre meñ ābād the yūnānī bhī isī duniyā meñ yahūdī bhī the nasrānī bhī par tire naam pe talvār uThā.ī kis ne baat jo bigḌī huī thī vo banā.ī kis ne the hamīñ ek tire mārka-ārāoñ meñ ḳhushkiyoñ meñ kabhī laḌte kabhī dariyāoñ meñ diiñ azāneñ kabhī europe ke kalīsāoñ meñ kabhī africa ke tapte hue sahrāoñ meñ shaan āñkhoñ meñ na jachtī thī jahāñ-dāroñ kī kalma paḌhte the hamīñ chhāñv meñ talvāroñ kī ham jo jiite the to jangoñ kī musībat ke liye aur marte the tire naam kī azmat ke liye thī na kuchh teġhzanī apnī hukūmat ke liye sar-ba-kaf phirte the kyā dahr meñ daulat ke liye qaum apnī jo zar-o-māl-e-jahāñ par martī but-faroshī ke evaz but-shikanī kyuuñ kartī Tal na sakte the agar jang meñ aḌ jaate the paañv sheroñ ke bhī maidāñ se ukhaḌ jaate the tujh se sarkash huā koī to bigaḌ jaate the teġh kyā chiiz hai ham top se laḌ jaate the naqsh-e-tauhīd kā har dil pe biThāyā ham ne zer-e-ḳhanjar bhī ye paiġhām sunāyā ham ne tū hī kah de ki ukhāḌā dar-e-ḳhaibar kis ne shahr qaisar kā jo thā us ko kiyā sar kis ne toḌe maḳhlūq ḳhudā-vandoñ ke paikar kis ne kaaT kar rakh diye kuffār ke lashkar kis ne kis ne ThanDā kiyā ātish-kada-e-īrāñ ko kis ne phir zinda kiyā tazkira-e-yazdāñ ko kaun sī qaum faqat terī talabgār huī aur tere liye zahmat-kash-e-paikār huī kis kī shamshīr jahāñgīr jahāñ-dār huī kis kī takbīr se duniyā tirī bedār huī kis kī haibat se sanam sahme hue rahte the muñh ke bal gir ke hū-allahu-ahad kahte the aa gayā ain laḌā.ī meñ agar vaqt-e-namāz qibla-rū ho ke zamīñ-bos huī qaum-e-hijāz ek hī saf meñ khaḌe ho ga.e mahmūd o ayaaz na koī banda rahā aur na koī banda-navāz banda o sāhab o mohtāj o ġhanī ek hue terī sarkār meñ pahuñche to sabhī ek hue mahfil-e-kaun-o-makāñ meñ sahar o shaam phire mai-e-tauhīd ko le kar sifat-e-jām phire koh meñ dasht meñ le kar tirā paiġhām phire aur ma.alūm hai tujh ko kabhī nākām phire dasht to dasht haiñ dariyā bhī na chhoḌe ham ne bahr-e-zulmāt meñ dauḌā diye ghoḌe ham ne safha-e-dahr se bātil ko miTāyā ham ne nau-e-insāñ ko ġhulāmī se chhuḌāyā ham ne tere ka.abe ko jabīnoñ se basāyā ham ne tere qur.ān ko sīnoñ se lagāyā ham ne phir bhī ham se ye gila hai ki vafādār nahīñ ham vafādār nahīñ tū bhī to dildār nahīñ ummateñ aur bhī haiñ un meñ gunahgār bhī haiñ ijz vaale bhī haiñ mast-e-mai-e-pindār bhī haiñ un meñ kāhil bhī haiñ ġhāfil bhī haiñ hushyār bhī haiñ saikḌoñ haiñ ki tire naam se be-zār bhī haiñ rahmateñ haiñ tirī aġhyār ke kāshānoñ par barq girtī hai to bechāre musalmānoñ par but sanam-ḳhānoñ meñ kahte haiñ musalmān ga.e hai ḳhushī un ko ki ka.abe ke nigahbān ga.e manzil-e-dahr se ūñToñ ke hudī-ḳhvān ga.e apnī baġhloñ meñ dabā.e hue qur.ān ga.e ḳhanda-zan kufr hai ehsās tujhe hai ki nahīñ apnī tauhīd kā kuchh paas tujhe hai ki nahīñ ye shikāyat nahīñ haiñ un ke ḳhazāne māmūr nahīñ mahfil meñ jinheñ baat bhī karne kā shu.ūr qahr to ye hai ki kāfir ko mileñ huur o qusūr aur bechāre musalmāñ ko faqat vāda-e-hūr ab vo altāf nahīñ ham pe ināyāt nahīñ baat ye kyā hai ki pahlī sī mudārāt nahīñ kyuuñ musalmānoñ meñ hai daulat-e-duniyā nāyāb terī qudrat to hai vo jis kī na had hai na hisāb tū jo chāhe to uThe sīna-e-sahrā se habāb rah-rav-e-dasht ho sailī-zada-e-mauj-e-sarāb tān-e-aġhyār hai rusvā.ī hai nādārī hai kyā tire naam pe marne kā evaz ḳhvārī hai banī aġhyār kī ab chāhne vaalī duniyā rah ga.ī apne liye ek ḳhayālī duniyā ham to ruḳhsat hue auroñ ne sañbhālī duniyā phir na kahnā huī tauhīd se ḳhālī duniyā ham to jiite haiñ ki duniyā meñ tirā naam rahe kahīñ mumkin hai ki saaqī na rahe jaam rahe terī mahfil bhī ga.ī chāhne vaale bhī ga.e shab kī aaheñ bhī ga.iiñ sub.h ke naale bhī ga.e dil tujhe de bhī ga.e apnā sila le bhī ga.e aa ke baiThe bhī na the aur nikāle bhī ga.e aa.e ushshāq ga.e vāda-e-fardā le kar ab unheñ DhūñD charāġh-e-ruḳh-e-zebā le kar dard-e-lailā bhī vahī qais kā pahlū bhī vahī najd ke dasht o jabal meñ ram-e-āhū bhī vahī ishq kā dil bhī vahī husn kā jaadū bhī vahī ummat-e-ahmad-e-mursil bhī vahī tū bhī vahī phir ye āzurdagi-e-ġhair sabab kyā ma.anī apne shaidāoñ pe ye chashm-e-ġhazab kyā ma.anī tujh ko chhoḌā ki rasūl-e-arabī ko chhoḌā but-garī pesha kiyā but-shikanī ko chhoḌā ishq ko ishq kī āshufta-sarī ko chhoḌā rasm-e-salmān o uvais-e-qaranī ko chhoḌā aag takbīr kī sīnoñ meñ dabī rakhte haiñ zindagī misl-e-bilāl-e-habashī rakhte haiñ ishq kī ḳhair vo pahlī sī adā bhī na sahī jāda-paimāli-e-taslīm-o-razā bhī na sahī muztarib dil sifat-e-qibla-numā bhī na sahī aur pābandi-e-ā.īn-e-vafā bhī na sahī kabhī ham se kabhī ġhairoñ se shanāsā.ī hai baat kahne kī nahīñ tū bhī to harjā.ī hai sar-e-fārāñ pe kiyā diin ko kāmil tū ne ik ishāre meñ hazāroñ ke liye dil tū ne ātish-andoz kiyā ishq kā hāsil tū ne phūñk dī garmi-e-ruḳhsār se mahfil tū ne aaj kyuuñ siine hamāre sharer-ābād nahīñ ham vahī soḳhta-sāmāñ haiñ tujhe yaad nahīñ vādī-e-najd meñ vo shor-e-salāsil na rahā qais dīvāna-e-nazzāra-e-mahmil na rahā hausle vo na rahe ham na rahe dil na rahā ghar ye ujḌā hai ki tū raunaq-e-mahfil na rahā ai ḳhushā aañ roz ki aa.ī o ba-sad naaz aa.ī be-hijābāna sū-e-mahfil-e-mā baaz aa.ī bāda-kash ġhair haiñ gulshan meñ lab-e-jū baiThe sunte haiñ jām-ba-kaf naġhma-e-kū-kū baiThe daur hañgāma-e-gulzār se yaksū baiThe tere dīvāne bhī haiñ muntazir-e-hū baiThe apne parvānoñ ko phir zauq-e-ḳhud-afrozī de barq-e-derīna ko farmān-e-jigar-sozī de qaum-e-āvāra ināñ-tāb hai phir sū-e-hijāz le uḌā bulbul-e-be-par ko mazāq-e-parvāz muztarib-e-bāġh ke har ġhunche meñ hai bū-e-niyāz tū zarā chheḌ to de tishna-e-mizrāb hai saaz naġhme betāb haiñ tāroñ se nikalne ke liye tuur muztar hai usī aag meñ jalne ke liye mushkileñ ummat-e-marhūm kī āsāñ kar de mor-e-be-māya ko ham-dosh-e-sulaimāñ kar de jins-e-nāyāb-e-mohabbat ko phir arzāñ kar de hind ke dair-nashīnoñ ko musalmāñ kar de jū-e-ḳhūñ mī chakad az hasrat-e-dairīna-e-mā mī tapad naala ba-nishtar kada-e-sīna-e-mā bū-e-gul le ga.ī bairūn-e-chaman rāz-e-chaman kyā qayāmat hai ki ḳhud phuul haiñ ġhammāz-e-chaman ahd-e-gul ḳhatm huā TuuT gayā sāz-e-chaman uḌ ga.e Dāliyoñ se zamzama-pardāz-e-chaman ek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab tak us ke siine meñ hai naġhmoñ kā talātum ab tak qumriyāñ shāḳh-e-sanobar se gurezāñ bhī huiiñ pattiyāñ phuul kī jhaḌ jhaḌ ke pareshāñ bhī huiiñ vo purānī rausheñ baaġh kī vīrāñ bhī huiiñ Dāliyāñ pairahan-e-barg se uryāñ bhī huiiñ qaid-e-mausam se tabī.at rahī āzād us kī kaash gulshan meñ samajhtā koī fariyād us kī lutf marne meñ hai baaqī na maza jiine meñ kuchh maza hai to yahī ḳhūn-e-jigar piine meñ kitne betāb haiñ jauhar mire ā.īne meñ kis qadar jalve taḌapte haiñ mire siine meñ is gulistāñ meñ magar dekhne vaale hī nahīñ daaġh jo siine meñ rakhte hoñ vo laale hī nahīñ chaak is bulbul-e-tanhā kī navā se dil hoñ jāgne vaale isī bāñg-e-darā se dil hoñ ya.anī phir zinda na.e ahd-e-vafā se dil hoñ phir isī bāda-e-dairīna ke pyāse dil hoñ ajamī ḳhum hai to kyā mai to hijāzī hai mirī naġhma hindī hai to kyā lai to hijāzī hai mirī
Donate Me, if you like my work: www.buymeacoffee.com/saqibbedar
How much?
I wish we follow Iqbal as nation..we will Rule like before
First get rid from zardari and nawaz chtias khandan than we would think about this
@@ziamughal9423 they were finished but now we found a bigger problem than those two khandan...Neutrals..The Actual Ghaddars..zardaris and shareefs main supporters. What to do now bro?
@@bbfloors1903 100% agree with u and its hurts to much that we were beleaving in our army more than any thing before but Now they are all undressd in front of whole nation InshAllah by the help of Allah we will be succeed one day for the future of of our upcoming generations for this we all need to do work for this and we need to chose a leader. a nation is nothing without an honest leader
Inshallah
@@ziamughal9423 and imran isn't that leader... Accept that too .
Allama iqbal ke words ko Zia mohideen ne golden words bana diye.
Sahi baat boli hai
Waana See One United *Muslim Ummah*❤❤❤
but allah is only one 😊
LOL he is looser against Jews
MASHALLAH
❤😊 Allah ❤
Allah hamesha A bada likha karo
لطف مرنے میں ہے باقی نہ مزہ جینے میں
کچھ مزہ تو یہی جون جگر پینے میں
I also like this شعر
Good Effort Islamic Studio
Masha Allah masha Allah bahut allama aqbal ko Allah ta.ala jannatul firdos me alase ala makam ata farmaye ameen 🌹
Mashaallah now its the time for Muslims to be blessed from Allah.....Allah o Akbar..
.وہ زمانے میں معزز تھے مسلمان ہوکر
اگر تم خوارہوے تارک قرآن ہوکر😭😭
Great respect to Iqbal and love to Islam ❤️
🌟🌟🌟 good,_ilslam zindabad___Allah ho Akbar
Miss this voice xiya mohideen😪😪😪😪
Proud to be Shaheen of Iqbal ❤
Inshallah, One day I will become Shaheen of Iqbal as a true Muslim.
Naaray e Taqbeer❤
Allah O Akbar❤
Naaray e Risalat❤
Ya Rasulallah ( SAW)❤
Naaray e Haideri❤
Ya Ali as ❤️
Great poet in over history ❤❤❤
Sir may Allah give you billion s of rahma in hereafter your king ❤❤Sir Muhammad Allama Iqbal and May Allah make us your Shaheen ❤
2:05 goosebums ❤️
Great Respect 🕌🕌🤲🤲 Allah is Great. Allahu Akbar.
Mare aansoo nhi rukta😢😢😢
Just SubhanAllah.
Allah hu Akbar wa liaahh hil hamad
Loved your effort.
May Allah forever be happy with you.
Mm
Very well composed Allah bless you and like you
keep it up as soon as possible as much as more for deen
That is inspirational, want to see others of your ventures also.
😭😭😭🤲🤲🤲Ya Allah Hum Tere Hai 🏴🏴🏴😓😓😓😪😪
I wish you could include most of them who is doing this job... One who protects Qur'an from burning....
We need to know and feel the same iman
GOOSEBUMPS ❤️❤️❤️❤️❤️
Excellent ❤️❤️❤️❤️
Bhai goosebumps
ARMY of MAHDl 🤲🌍🤲
Yes 🇮🇳
Allah ho akbar 🤲
Yes mai Intezaar Karraha hu 3 Saal se 😢😢
Correct ur words Syedna Imam Mehdi❤
Very well.. Brother please content like that.. Jazak Allah
Allah Hu Akbar ✊🏻
Saare janha se achcha
Hindustan hamara hamara
Hum bul-bule hai isaki ye
Gulistan humara.
~ Allama iqbal
Inshallah we will rise again.
may Allah unite us as a ummah ameen
beautiful edit
Iqbal great
If Muslim need to be strong then make themselves competant in every field and recite prayers
❤allah ❤️ knew everything and you will rewarded you already think again allah is understanding you without a single excuse 😊
plz write ALLAH in capital
Who the hell are we.its our RABB(swt) who gave us identity, fame,everything. Although we dont deserve anything.
Read Jawab e shikwa,
That is the answer of this poem written by the same Poet "Allama Iqbal"
Read jawab shikwa
Masha ALLAH
Dr Mohammad Iqbal , Maulana Maududi and then Dr Israr Ahmed 💘🎯
Good effort Islamic studio🙃🙃
So beautiful near to realty as you show in video
Unfortunately aj musalman ka shikwa bilkul yehi hy Allah sy. Lakin kash wo jawab i shikwa ko smj ly.
Shikwa e Iqbal same in every Era....
Masha. Allha
الله اکبر
Allama sab the great
Allah hu Akbar
Allah ham sab musalmano bhai ko ek hi islam alam ke niche ekhath hone ki hidayat de❤
Mash Allah
Editing skill osm ❤
Shaan akhon mei na jajti thi ...jahadaro ki
Kalima padte teh hum chaon mei talwaro ki ....
Hum jo jeete teh toh jangon ki nusibat ke kiye....
Aur marte teh teri nam ki azmat ke kiye..... goosebumps 😢....aj kya hua hai..
Mashaallah
Masha Allah
I miss you ALLAMA IQBAL and QUIDE AZAM
😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭
You are doing great work
Beshak ❤️
allama iqbal was a great author
insaa Allah will ottoman empire rise again🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
Inshallah 🇵🇰
allah o akbar
Profound ❤
Doctor Allama .e.lqbal🖤🖤🥺
ہم کشمیر کے ساتھ کھڑے ہیں جب تک آخری
کشمیری مر نہیں جاتا ۔۔
So welcome to India and Kashmir.
Ya Allah hame phir se ek parcham ke niche jama hone ki taufik de
We will rise again inshallah
NYC work
Ya Allah Reham
Mohammed Allah Hu Akbar
Kamal
Jhalla we teach a lesson for Israel in future
wah iqbal wah
💔💔😭😭 very sad.
What is the background music at the very start of the video?
Mashallah
O Muslims Unite Under One Flag 🏴
Or bnao bhai❤
SIR IQBAL
Massege
قران سوره اخلاض
قل هو الله احد الله الصمد لم يلد ولم يولد ولم يكن له كفوا احد👉🤓🇵🇰
👍👍👍
💯💯💯❤️❤️❤️❤️👌👌
❤❤❤❤❤
Good
Great words 🧏🤲
Great day of lader poet it's for among life story say okay 🎉
Ameen 💞
Love thisssss ♥️♥️
Today we only read iqbals poetry in books but we cant understand thier deep meanings of poetry words
❤️❤️❤️❤️👌
salahudein ayobi ki video pr kam kr k dekhen
🕌☝️🏴🏳️🌍👑
Ameen
Alla mijko kahia whahid
nice
❤❤
kyuuñ ziyāñ-kār banūñ sūd-farāmosh rahūñ
fikr-e-fardā na karūñ mahv-e-ġham-e-dosh rahūñ
naale bulbul ke sunūñ aur hama-tan gosh rahūñ
ham-navā maiñ bhī koī gul huuñ ki ḳhāmosh rahūñ
jur.at-āmoz mirī tāb-e-suḳhan hai mujh ko
shikva allāh se ḳhākam-ba-dahan hai mujh ko
hai bajā sheva-e-taslīm meñ mash.hūr haiñ ham
qissa-e-dard sunāte haiñ ki majbūr haiñ ham
saaz ḳhāmosh haiñ fariyād se māmūr haiñ ham
naala aatā hai agar lab pe to ma.azūr haiñ ham
ai ḳhudā shikva-e-arbāb-e-vafā bhī sun le
ḳhūgar-e-hamd se thoḌā sā gila bhī sun le
thī to maujūd azal se hī tirī zāt-e-qadīm
phuul thā zeb-e-chaman par na pareshāñ thī shamīm
shart insāf hai ai sāhib-e-altāf-e-amīm
bū-e-gul phailtī kis tarah jo hotī na nasīm
ham ko jam.īyat-e-ḳhātir ye pareshānī thī
varna ummat tire mahbūb kī dīvānī thī
ham se pahle thā ajab tere jahāñ kā manzar
kahīñ masjūd the patthar kahīñ ma.abūd shajar
ḳhūgar-e-paikar-e-mahsūs thī insāñ kī nazar
māntā phir koī an-dekhe ḳhudā ko kyūñkar
tujh ko ma.alūm hai letā thā koī naam tirā
quvvat-e-bāzu-e-muslim ne kiyā kaam tirā
bas rahe the yahīñ saljūq bhī tūrānī bhī
ahl-e-chīñ chiin meñ īrān meñ sāsānī bhī
isī māmūre meñ ābād the yūnānī bhī
isī duniyā meñ yahūdī bhī the nasrānī bhī
par tire naam pe talvār uThā.ī kis ne
baat jo bigḌī huī thī vo banā.ī kis ne
the hamīñ ek tire mārka-ārāoñ meñ
ḳhushkiyoñ meñ kabhī laḌte kabhī dariyāoñ meñ
diiñ azāneñ kabhī europe ke kalīsāoñ meñ
kabhī africa ke tapte hue sahrāoñ meñ
shaan āñkhoñ meñ na jachtī thī jahāñ-dāroñ kī
kalma paḌhte the hamīñ chhāñv meñ talvāroñ kī
ham jo jiite the to jangoñ kī musībat ke liye
aur marte the tire naam kī azmat ke liye
thī na kuchh teġhzanī apnī hukūmat ke liye
sar-ba-kaf phirte the kyā dahr meñ daulat ke liye
qaum apnī jo zar-o-māl-e-jahāñ par martī
but-faroshī ke evaz but-shikanī kyuuñ kartī
Tal na sakte the agar jang meñ aḌ jaate the
paañv sheroñ ke bhī maidāñ se ukhaḌ jaate the
tujh se sarkash huā koī to bigaḌ jaate the
teġh kyā chiiz hai ham top se laḌ jaate the
naqsh-e-tauhīd kā har dil pe biThāyā ham ne
zer-e-ḳhanjar bhī ye paiġhām sunāyā ham ne
tū hī kah de ki ukhāḌā dar-e-ḳhaibar kis ne
shahr qaisar kā jo thā us ko kiyā sar kis ne
toḌe maḳhlūq ḳhudā-vandoñ ke paikar kis ne
kaaT kar rakh diye kuffār ke lashkar kis ne
kis ne ThanDā kiyā ātish-kada-e-īrāñ ko
kis ne phir zinda kiyā tazkira-e-yazdāñ ko
kaun sī qaum faqat terī talabgār huī
aur tere liye zahmat-kash-e-paikār huī
kis kī shamshīr jahāñgīr jahāñ-dār huī
kis kī takbīr se duniyā tirī bedār huī
kis kī haibat se sanam sahme hue rahte the
muñh ke bal gir ke hū-allahu-ahad kahte the
aa gayā ain laḌā.ī meñ agar vaqt-e-namāz
qibla-rū ho ke zamīñ-bos huī qaum-e-hijāz
ek hī saf meñ khaḌe ho ga.e mahmūd o ayaaz
na koī banda rahā aur na koī banda-navāz
banda o sāhab o mohtāj o ġhanī ek hue
terī sarkār meñ pahuñche to sabhī ek hue
mahfil-e-kaun-o-makāñ meñ sahar o shaam phire
mai-e-tauhīd ko le kar sifat-e-jām phire
koh meñ dasht meñ le kar tirā paiġhām phire
aur ma.alūm hai tujh ko kabhī nākām phire
dasht to dasht haiñ dariyā bhī na chhoḌe ham ne
bahr-e-zulmāt meñ dauḌā diye ghoḌe ham ne
safha-e-dahr se bātil ko miTāyā ham ne
nau-e-insāñ ko ġhulāmī se chhuḌāyā ham ne
tere ka.abe ko jabīnoñ se basāyā ham ne
tere qur.ān ko sīnoñ se lagāyā ham ne
phir bhī ham se ye gila hai ki vafādār nahīñ
ham vafādār nahīñ tū bhī to dildār nahīñ
ummateñ aur bhī haiñ un meñ gunahgār bhī haiñ
ijz vaale bhī haiñ mast-e-mai-e-pindār bhī haiñ
un meñ kāhil bhī haiñ ġhāfil bhī haiñ hushyār bhī haiñ
saikḌoñ haiñ ki tire naam se be-zār bhī haiñ
rahmateñ haiñ tirī aġhyār ke kāshānoñ par
barq girtī hai to bechāre musalmānoñ par
but sanam-ḳhānoñ meñ kahte haiñ musalmān ga.e
hai ḳhushī un ko ki ka.abe ke nigahbān ga.e
manzil-e-dahr se ūñToñ ke hudī-ḳhvān ga.e
apnī baġhloñ meñ dabā.e hue qur.ān ga.e
ḳhanda-zan kufr hai ehsās tujhe hai ki nahīñ
apnī tauhīd kā kuchh paas tujhe hai ki nahīñ
ye shikāyat nahīñ haiñ un ke ḳhazāne māmūr
nahīñ mahfil meñ jinheñ baat bhī karne kā shu.ūr
qahr to ye hai ki kāfir ko mileñ huur o qusūr
aur bechāre musalmāñ ko faqat vāda-e-hūr
ab vo altāf nahīñ ham pe ināyāt nahīñ
baat ye kyā hai ki pahlī sī mudārāt nahīñ
kyuuñ musalmānoñ meñ hai daulat-e-duniyā nāyāb
terī qudrat to hai vo jis kī na had hai na hisāb
tū jo chāhe to uThe sīna-e-sahrā se habāb
rah-rav-e-dasht ho sailī-zada-e-mauj-e-sarāb
tān-e-aġhyār hai rusvā.ī hai nādārī hai
kyā tire naam pe marne kā evaz ḳhvārī hai
banī aġhyār kī ab chāhne vaalī duniyā
rah ga.ī apne liye ek ḳhayālī duniyā
ham to ruḳhsat hue auroñ ne sañbhālī duniyā
phir na kahnā huī tauhīd se ḳhālī duniyā
ham to jiite haiñ ki duniyā meñ tirā naam rahe
kahīñ mumkin hai ki saaqī na rahe jaam rahe
terī mahfil bhī ga.ī chāhne vaale bhī ga.e
shab kī aaheñ bhī ga.iiñ sub.h ke naale bhī ga.e
dil tujhe de bhī ga.e apnā sila le bhī ga.e
aa ke baiThe bhī na the aur nikāle bhī ga.e
aa.e ushshāq ga.e vāda-e-fardā le kar
ab unheñ DhūñD charāġh-e-ruḳh-e-zebā le kar
dard-e-lailā bhī vahī qais kā pahlū bhī vahī
najd ke dasht o jabal meñ ram-e-āhū bhī vahī
ishq kā dil bhī vahī husn kā jaadū bhī vahī
ummat-e-ahmad-e-mursil bhī vahī tū bhī vahī
phir ye āzurdagi-e-ġhair sabab kyā ma.anī
apne shaidāoñ pe ye chashm-e-ġhazab kyā ma.anī
tujh ko chhoḌā ki rasūl-e-arabī ko chhoḌā
but-garī pesha kiyā but-shikanī ko chhoḌā
ishq ko ishq kī āshufta-sarī ko chhoḌā
rasm-e-salmān o uvais-e-qaranī ko chhoḌā
aag takbīr kī sīnoñ meñ dabī rakhte haiñ
zindagī misl-e-bilāl-e-habashī rakhte haiñ
ishq kī ḳhair vo pahlī sī adā bhī na sahī
jāda-paimāli-e-taslīm-o-razā bhī na sahī
muztarib dil sifat-e-qibla-numā bhī na sahī
aur pābandi-e-ā.īn-e-vafā bhī na sahī
kabhī ham se kabhī ġhairoñ se shanāsā.ī hai
baat kahne kī nahīñ tū bhī to harjā.ī hai
sar-e-fārāñ pe kiyā diin ko kāmil tū ne
ik ishāre meñ hazāroñ ke liye dil tū ne
ātish-andoz kiyā ishq kā hāsil tū ne
phūñk dī garmi-e-ruḳhsār se mahfil tū ne
aaj kyuuñ siine hamāre sharer-ābād nahīñ
ham vahī soḳhta-sāmāñ haiñ tujhe yaad nahīñ
vādī-e-najd meñ vo shor-e-salāsil na rahā
qais dīvāna-e-nazzāra-e-mahmil na rahā
hausle vo na rahe ham na rahe dil na rahā
ghar ye ujḌā hai ki tū raunaq-e-mahfil na rahā
ai ḳhushā aañ roz ki aa.ī o ba-sad naaz aa.ī
be-hijābāna sū-e-mahfil-e-mā baaz aa.ī
bāda-kash ġhair haiñ gulshan meñ lab-e-jū baiThe
sunte haiñ jām-ba-kaf naġhma-e-kū-kū baiThe
daur hañgāma-e-gulzār se yaksū baiThe
tere dīvāne bhī haiñ muntazir-e-hū baiThe
apne parvānoñ ko phir zauq-e-ḳhud-afrozī de
barq-e-derīna ko farmān-e-jigar-sozī de
qaum-e-āvāra ināñ-tāb hai phir sū-e-hijāz
le uḌā bulbul-e-be-par ko mazāq-e-parvāz
muztarib-e-bāġh ke har ġhunche meñ hai bū-e-niyāz
tū zarā chheḌ to de tishna-e-mizrāb hai saaz
naġhme betāb haiñ tāroñ se nikalne ke liye
tuur muztar hai usī aag meñ jalne ke liye
mushkileñ ummat-e-marhūm kī āsāñ kar de
mor-e-be-māya ko ham-dosh-e-sulaimāñ kar de
jins-e-nāyāb-e-mohabbat ko phir arzāñ kar de
hind ke dair-nashīnoñ ko musalmāñ kar de
jū-e-ḳhūñ mī chakad az hasrat-e-dairīna-e-mā
mī tapad naala ba-nishtar kada-e-sīna-e-mā
bū-e-gul le ga.ī bairūn-e-chaman rāz-e-chaman
kyā qayāmat hai ki ḳhud phuul haiñ ġhammāz-e-chaman
ahd-e-gul ḳhatm huā TuuT gayā sāz-e-chaman
uḌ ga.e Dāliyoñ se zamzama-pardāz-e-chaman
ek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab tak
us ke siine meñ hai naġhmoñ kā talātum ab tak
qumriyāñ shāḳh-e-sanobar se gurezāñ bhī huiiñ
pattiyāñ phuul kī jhaḌ jhaḌ ke pareshāñ bhī huiiñ
vo purānī rausheñ baaġh kī vīrāñ bhī huiiñ
Dāliyāñ pairahan-e-barg se uryāñ bhī huiiñ
qaid-e-mausam se tabī.at rahī āzād us kī
kaash gulshan meñ samajhtā koī fariyād us kī
lutf marne meñ hai baaqī na maza jiine meñ
kuchh maza hai to yahī ḳhūn-e-jigar piine meñ
kitne betāb haiñ jauhar mire ā.īne meñ
kis qadar jalve taḌapte haiñ mire siine meñ
is gulistāñ meñ magar dekhne vaale hī nahīñ
daaġh jo siine meñ rakhte hoñ vo laale hī nahīñ
chaak is bulbul-e-tanhā kī navā se dil hoñ
jāgne vaale isī bāñg-e-darā se dil hoñ
ya.anī phir zinda na.e ahd-e-vafā se dil hoñ
phir isī bāda-e-dairīna ke pyāse dil hoñ
ajamī ḳhum hai to kyā mai to hijāzī hai mirī
naġhma hindī hai to kyā lai to hijāzī hai mirī
Unity is only possible with single authority, this authority based on Islām ie the Khilafah
Deen hath se de kar agar azaad ho Milat.....he aisi tijarat main musalmaan ka khasara
From the ashes we will rise again🙄
kaaaaaaaaaaaaaaaaasssssssssshhhhhhhhhhhhhh aesa ho jaye