Likha hai ek Zaifa thi | Aaqa (S.A.W) and old woman's real story | By Divine Islamic
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 8 ก.พ. 2025
- This video describes an incident happened between Hazrat Muhammad (S.A.W) and an old woman. who alway had negative thoughts about Huzoor (S.A.W) and one day when she meets him (S.A.W) and then finally knows that he (S.A.W) is a very humble and kind person and finally accepts islam by inspiring the character of Hazrat Muhammad (S.A.W).
Here are the lyrics of this naat.
Different spellings typed for urdu words could vary for person to person. that's why here we see some different variations of spellings below.
Likha ha ik zaeefa thi.
Likha ha ek zaeefa thi.
Likha ha ik zaifa thi.
Likha hai ik zaifa thi.
Likha hai ek zaifa thi K jo makkah me rehti thi
Wo in baton ko sunti thi magar khamosh rahti thi
Wo sunti thi Muhammad hai koi hashim gharane me
Wo kahta hai khuda bas ek hai sare zamane me
Wo sunti thi hubul ki laat ki tazleel karta hai
Wo apne haq ke farmane ki yun tameel karta hai
Wo sunti thi jo uske saath hai wo hai ghulam uska
Musalman ho hi jata hai jo sunta hai kalaam uska
Likha hai wo zaifa ek din kaaba me jaa pohnchi
Hubul ke paaon par sar rakh ke usne yun dua mangi
Main tujh ko poojti hun aur khuda bhi tujh ko kehti hun
Bara afsos hai jo aaj kal main ranj sehti hun
Wo gham ye hai muhammad hai koi hashim gharane me
Wo kahta hai khuda bas ek hai saare zamane me
Mita do uski hasti ko na le phir koi naam uska (Nauzbilla)
Jigar chhalni hua jata hai sun sun kar kalam uska
Dua karke uthi sajde se aur wo apne ghar ayi
Samajhti thi ye dil me ab meri ummeed bhar ayi
Zaifa ko khushi thi ab hubul bijli gira dega
Muhammad to muhammad saathiyon ko bhi mita dega
Magar kuch din guzarne per na jab ummeed bhar ayi
Dua karke hubul se apne dil me khoob pachhtayi
Garaz tarqeeb usne soch lee ye khud hi ghar aa kar
Ke chhorungi ye basti mai rahungi aur kahin ja kar
Garaz ek din subah ko usne apni ek gathri lee
Nikal kar ghar se apne aur darwaze pe aa baithi
Zaifa sochti thi ab koi mazdoor milta hai
Use yeh kya khaber thi ek khuda ka noor milta hai
Fareeza subha ka karke ada sarkar e do aalam
Chale jaate the kaaba ki taraf wo rahmat-e-alam
Jalon me aap ke shams-o-qamar maloom hote the
paye tasleem sajde me shajar maloom hote the
Zaifa muntazir mazdoor ki baithi thi ghabrayi
Yakayak samne se chaand si surat nazar ayi
Zaifa ne kaha beta yahan aana bata kya naam hai tera
Kaha mazdoor hoon amma bata kya kaam hai tera
Kaha mazdoor hai gar tu to chal gathri meri lekar
Main khush kar dungi ay mazdoor mazdoori teri dekar
Ye sun kar aapne gathri utha kar apne sar par li
Zaifon ki madad karna ye aadat thi payamber ki
Garaz gathri ko lekar manzil-e-maqsood par ayi
Kaha dil se ke aye dil ab teri ummed bhar aayi
Kaha beta jo dil me thi tamanna ho gayi puri
Muhammad to Muhammad sathiyon se ho gayi doori
Lagi dene jo mazdoori zaifa aap ko us dam
To farmane lage us dam huzur-e-sarwar-e-aalam
Ye koi kaam hai amma mai lun ab jiski mazdoori
Koi agar our khidmat ho to wo bhi main karun poori
Ye farmate huye ki aapne jane ke tayyari
Zaifa se ijazat chahate the rahmat-e-baari
Zaifa ne kaha beta zara thehro chale jaana
Mujhe ek baat kehni hai zara sun kar chale jaana
Yaqeen jaano k ab makkah me jhagra hone wala hai
Main samjhati hun tujh ko isliye tu bhola bhala hai
Wo makke me qabeela hashmi naam-o-laqab wale
Wohi beta jo hain sardar Abdul Muttalib wale
Unhi me ek jawan hai jo suna jaata hai saahir hai
Ke is fun me magar beta wo apne khoob mahir hai
Wo sar hota hai jiske tukhm-e-ulfat bo ke rehta hai
Jo sunta hai kalam uska wo uska hoke rehta hai
Hamesha bach ke chalna usse bole koi naam uska
Naseehat hai yehi meri na sunna tu kalam uska
Nabi budhiya ke dil me noor-e-wahdat bharne wale the
Naseehat sun rahe the jo naseehat karne wale then
Zaifa ne kaha, ‘beta bhala kya naam hai tera’
Tera aaghaz kya hai aur kya anjaam hai tera
Kaha hazrat ne budhiya se, ‘tujhe kya naam batlaun’
Main kya aaghaz batlaun, main kya anjaam batlaaun
Main banda hun khuda ka aur mujassam noor-e-ezat hoon
Kaha gardan jhuka kar aapne, ‘mai hi Muhammed hun’
Main hoon maasoom duniya me mera dushman zamana hai
Khuda waahid hai aalam me mujhe bas ye batana hai
Ye sunna tha ke bas aakhon se aansu ho gaye jaari
Nabi ke ishq ki ek chot si dil per lagi kaari
Zaifa ne kaha beta karo mushkil meri aasan
Mai aisi jeet ke sadqe me aisi haar ke qurban
Hua phir haal par uske jo fazle-e-ezat-e-baari
Zaifa ke zubaan se khud ba khud kalma hua jari
LAAILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASULULAH (S.A.W)