nehr pe hazrate abbas ke laashe ke qareeb ek behan khastatano kushta jigar khufta naseeb benawa bekaso bepardao lachaar-o-ghareeb lekin uspar bhi mohamad ke gharane ki naqeeb zard chehre pe hai bikhre hue balon ki naqaab jaise juzdanu may lipti hui ismat ki kitab jabaja jism pe hai khoon ke dhabo ke nishan jaise pidi may uthayi ho koi laahshe jawan waram ankhon may kamal kham hai to khamosh zaban zapt ka phir bhi ye aalam hai ke girya na fughan kaun bibi hai jo is tarha se jaan khoti hai jis tarha laash pe bhai ke behan roti hai mehwiyat ka hai ye aalam ke nazar hat-ti nahi choomti hai kabhi shane to kabhi jhuk ke jabeen kabhi tharra-ta hai laasha kabhi maqtal ki zameen khauf hai arshe ilaahi na ulat jaye na kahin lashe abbas pe ye dukhtare hyder to nahi dekhiye dekhiye ye zainabe muztar to nahi roke kehti hai utho sahibe shamsheer utho hydere asr utho waqt ke shabbir utho aale tatheer ki soyi hui taqdeer utho kaat do abide dilgeer ki zanjeer utho aag hi aag hai bhadki hui qaimo may tamam chin gayi sar se rida jati hoo mai suye sham shane kya tere kate band gayi bazu may rasan sar pe kya gurz laga hogayi beparda behan teri kya jaan gayi maare gaye shahe zaman fasle gul aisi luti hogaya barbaad chaman chain se soyenge sab ahle sitam raton ko khaufe aada se na so paenge hum raton ko waqte ruqsat hai mere sher ijazat de mujhe qafila chalne ko tayyar hai himmat de mujhe qilmane kufr jala doo wo hararat de mujhe yani taqreer may shamsheer ki qaslat de mujhe ran may shamsheer chalana mere kaam nahi sham o kufa na ulat doo to mere naam nahi
Zakire Husain (a.s.) ko aise hi dard bhare nohe parhne ki taufeeq de Aameeeen
Hay Hussain a.s jeain ap sab azadar mola salamat rakhin ameen ta qayamat parwardigar azadri qaim rahey.
Mashallah
Mashallah jeto raho beayta
😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭 JAZAK ALLAH
MASHA ALLAH
lyrics please anyone...
😭
nehr pe hazrate abbas ke laashe ke qareeb
ek behan khastatano kushta jigar khufta naseeb
benawa bekaso bepardao lachaar-o-ghareeb
lekin uspar bhi mohamad ke gharane ki naqeeb
zard chehre pe hai bikhre hue balon ki naqaab
jaise juzdanu may lipti hui ismat ki kitab
jabaja jism pe hai khoon ke dhabo ke nishan
jaise pidi may uthayi ho koi laahshe jawan
waram ankhon may kamal kham hai to khamosh zaban
zapt ka phir bhi ye aalam hai ke girya na fughan
kaun bibi hai jo is tarha se jaan khoti hai
jis tarha laash pe bhai ke behan roti hai
mehwiyat ka hai ye aalam ke nazar hat-ti nahi
choomti hai kabhi shane to kabhi jhuk ke jabeen
kabhi tharra-ta hai laasha kabhi maqtal ki zameen
khauf hai arshe ilaahi na ulat jaye na kahin
lashe abbas pe ye dukhtare hyder to nahi
dekhiye dekhiye ye zainabe muztar to nahi
roke kehti hai utho sahibe shamsheer utho
hydere asr utho waqt ke shabbir utho
aale tatheer ki soyi hui taqdeer utho
kaat do abide dilgeer ki zanjeer utho
aag hi aag hai bhadki hui qaimo may tamam
chin gayi sar se rida jati hoo mai suye sham
shane kya tere kate band gayi bazu may rasan
sar pe kya gurz laga hogayi beparda behan
teri kya jaan gayi maare gaye shahe zaman
fasle gul aisi luti hogaya barbaad chaman
chain se soyenge sab ahle sitam raton ko
khaufe aada se na so paenge hum raton ko
waqte ruqsat hai mere sher ijazat de mujhe
qafila chalne ko tayyar hai himmat de mujhe
qilmane kufr jala doo wo hararat de mujhe
yani taqreer may shamsheer ki qaslat de mujhe
ran may shamsheer chalana mere kaam nahi
sham o kufa na ulat doo to mere naam nahi
MashaAllah