Baat to aap ekdam sahi bol rhe .....bssc me bass ek hi faida h ki state me ho jaega ....lekin railway ya central govt me boht faida h....railway me bina ticket kahi bhi bina tension ka ghumiye,educationa allowance h natural promotion h aur departmental promotion bhi h ...isliye mere hisab se railway best h....❤❤❤yaha pe travelling allowance bhi h
Koi job bura nahi hai..karne wale kar rahe hain..jab job nahi hota to koi bhi job acha lagta hai or jab job ho jata hai to dusra job jyada acha lagta hai ye fact hai. Koi job kharab nahi hai bas patience rakhiye or positive mindset rakhye.or aise ulte fulte negetive logo se door rahiye.
Sir isme bolta h extra kamayi bahut jayda h ex- bolta h ji mukhiya or sachiv sab ka sabhi panchyat ka fund ma presentage bata rahata h ye clear kar dijiye
Are ye v to dekhiye family v important hoti h... sabkuch paisa hi ni hota... apne State me job hr koi chata h.. akhir ssc cgl me itne repeaters baar baar exam kyu dete h.. jara soche h kv
कितना भी निगेटिव बोल लो लेकिन हमलोग पंचायत सचिव बन कर रहेंगे और साथ साथ BPSC, Central SSC CGL का तैयारी करेंगे और उसमे भी सेलेक्शन लेकर रहेंगे,आपके जैसा नहीं बैठे रहेंगे
Kis chijh me pros and cons nhi hota. Agar kisi chijh ke bare me aadmi Kewal positive hi jankari rakhena to wo uske liye andha ban jayega aur me natiza pachhtawa. History padhne ki salah aadmi ko kyu di jati hai ?
Ha tution badhane ke liye aapke pass subah me v 9 bje tak time hai aur sam me 5 bje ke bad time hai. Isse aap extra income bahut achha kar sakte hai. Mai v pahle coaching chalata tha class 8 to 10 only maths ( cbse ) Aur bahut khush rahta tha income v achha tha job se v achha. You can search my coaching named fundamental classes sonpur
Lifestyle aur sahri jivan se dekha jaye to court clerk thik hai but work pressure bahut jyada hai lekin chhutti v bahut hai court me. Thora aaram ka job chahiye but sahri area nhi milega tab bssc.
Sachiv ji.....Me postal me job karta tha ab usko resign dekar panchayat sachiv join kiya hu ...to central govt ka hrms id and service book transfer hoga ya ....state govt me sab kuch naya banega.....
@@royalcareer dekha jaye to dono me pros and cons he....ghar k samne apne district me posting mil gaya isliye agaya(District cadre post he).....postal me chuti b nhi mil Raha tha .....4 and 1/2 year me ek b chuti nhi le paya tha....
@@royalcareer hamare district me 102 new posting huye he....70%candidate koi na koi job chod k Aya he......koi RPF..Forest Guard..postal.... Assistant Revenue Inspector..Amin...Junior Assistant....
Sir mera bhai cctc level 5 mursidabad mein kam karta hai, wo jharkhand panchayat sachiv ka tayyari kar rahe hai aur job lena chahta hai, uske liye kon sa best hai please batayen
Northern railway me POINTSMAN hu jalandhar punjab me aur mera ghar Bihar patna district hai mai bssc inter level ki taiyari kar rha hu ...mere liye kya sahi rhega
@@avijeet661 mera bhi aisa hi man karta tha railway me duty ke dauran. But yaha aane ke bad bahut kuchh calculation kiye aur finally central government job is better than bihar government job. But agar transfer ka koi chance lagta hai 4-5 sal me to wahi rahiye anyatha. Fileriya nirikshak, Rajashw karmchari aur panchayat sachiv ke liye aa sakte hai.
Aap to mere hi zila ke hai. Dekho bhai group D ka kathinai se mai wakif hu bahut dukh hota hoga na respect hai na standard work ho sakta hai 12 hours duty roster v ho. Night duty se aise hi paresani aur 5 degree thand me night duty, 42 degree garmi me din duty bahut kharab lagta hoga. But Mera suggestion yah hai ki pointsman group D me promotion ke lihaj se sabse achha job hai. To 6 sal man lo ki wanwas mila hai uske jindgi me char chand lag jayegi. BSSC me work profile achha hai job aasan hai but tension bahut hai promotion ke naam par kuchh v nhi. Officers sab ka bahut pressure rahega.
Sir bihar SSC k bare m aap bahut kuchh negative hi bata diye....Waise mai berojgar hun 4/5 sal se tayari kar raha hun kisi exam ka pre huaa to mains ni kisi ka mains huaa to merit ni bana.. lekin bssc ka positive aspect v batayiye taki jo tayari kar raha h apna last hope bssc ko maan k usko thora motivation mile
बिलकुल सही बोल रहे हो भाई एक तो बिहार में जल्दी नोकरी मिल नही रही और ये बोल रहा है दिमाग से ख्याल निकाल दो खुद का लग गया है तो दूसरो को DEMOTIVATE कर रहा ये इंसान
Bhai, main Railway me loco pilot ke pad par hoon, salary ₹65000 inhand mil jaati hai abhi. BSSC CGL ki tyari kar rha hoon, aana sahi rhega bhai. Abhi ghar se 500 km ke range me posted hian, Aana sahi rhega bhai BSSC CGL me
sir me postman hu ..... Department of post me .....pay level 3(grade pay 2000) ...in hand salary 37,000 kya muje Bihar inter level pe focus krna chahiye ya fir us chhod de.....
Bhaiya mere father's name ke spelling me kuch error tha,to maine chhpra board office ka jo branch h wha se correction karvaya h,to mujhe new documents mila,bhaiya dv me kuch issue to nhi hogi na Plzz reply
Main bihar me teacher hoon Panchayat savhiv me hua lekin join nhi kiya....kahi galati to nhi kiya...log bolta hai isme paisa bhut hai to kabhi kabhi pachtawa hota hai...😊
Crpf ka job kathin v hai , family life v nhi hai but paisa achha hai. Paisa se bahut jyada compromise karna parega aur sayad yaha paresan v ho sakte hai. So calculation kar lijiye.
@@royalcareer पैसा ही सबकुछ नहीं होता है भाई। CRPF की ड्यूटी बहुत ही कठिन है। साथ में अफसरशाही तथा क्षेत्रवाद कुट-कुट के भरा है इस फोर्स में। मन परेशान हो जाता है। मेंटली और फिजिकली दोनों प्रकार से टार्चर करता है।आ जंगल में रह-रहके जंगली जईसन जीवन हों गईल बा भाई। साला चार साल होने वाला है लेकिन अंदर से आज तक फिलिंग नहीं आया कि जॉब कर रहा हूं। बंधुआ मजदूर के जईसन जिंदगी हो गईल बा भाई। टाईम से छुट्टी भी नहीं देता है छुट्टी देने में भी क्षेत्रवाद करता है। कितना भी परेशानी हो लेकिन अपना राज्य में नौकरी बढ़िया बा भाई।आ रेलवे भी (घर से200-300km) तक ठीक बा लेकिन पहले से जॉब वालों के लिए।बिना जॉब वालों के लिए सब नौकरी बढ़िया है भाई।
Sir Mai DRM Office Mumbai Central, Mumbai me Junior Clerk ke post pe hu... Kya Bihar panchayat sachiv mere liye thik rhega ya nhi sir..??? 🤔.....pl. reply me sir.....
2 number ka paisa bhut hain ye batt real hain aab kitna bhi mana kre kyu ki mukhiya khayega tho aap bhi tho khayenge aab ye mat boliyega ki juth hain nhi thi phir aap kyu abhi tak yhi job kar rhe hain
भैया मैं group d में हूं तो बिहार आगामी exam के लिए आय प्रमाण पत्र बिहार में किसके नाम से बनेगा पिता है मेरे नाम से पिताजी मेरे किसान है और किसके किसके नाम से बना सकते है अगर मैं अपने नाम से banau तो आमदनी श्रोत में क्या क्या दू 😢
Central CGL bahut behtar hai. Bharat me sabse jyada student Central CGL ka taiyari hi karta hai Mai v centre CGL ka hi aspirant tha but final selection nhi le paya. Ant me jo mila use join karna para
Division ka promotion history dekh lo agar 6 sal hote hote waha ka pointsman sab ka promotion ho jata hai to 6 sal banvas samjh kar kaat lo aur promotion le kar wahi raho thik rahega. 2. BSSC CGL ka target rakho aur uske aao. 3. Railway ka operating aur commercial department ko chhor ke sare group D ko aa jana thik rahega bssc me Non clerical post ke liye.
Sir aapka bahut bahut dhanyawad❤ jo aapne apna kimti waqt nikal kar itni jaankari di.....
Baat to aap ekdam sahi bol rhe .....bssc me bass ek hi faida h ki state me ho jaega ....lekin railway ya central govt me boht faida h....railway me bina ticket kahi bhi bina tension ka ghumiye,educationa allowance h natural promotion h aur departmental promotion bhi h ...isliye mere hisab se railway best h....❤❤❤yaha pe travelling allowance bhi h
Please share to help others
Pure india ke kisi state ka job central ke samne kuch bhi nhi h
Haryana name sune ho
Patwari or gram sachiv 50+ salary lete h
Saturday Sunday off
Duty time 10 -04
Medical + child edu+ Ta etc sb milta h
@@infogauravacinsbko central job mil jye to itna asaan ni h.. central job me jindagi bhr ghumte rho all India... family bhul jana
ऊपरी कमाई पर संक्षिप्त टिप्पणी करें, मेरा मतलब कुल in come =salary+suvidh sulk
Koi job bura nahi hai..karne wale kar rahe hain..jab job nahi hota to koi bhi job acha lagta hai or jab job ho jata hai to dusra job jyada acha lagta hai ye fact hai. Koi job kharab nahi hai bas patience rakhiye or positive mindset rakhye.or aise ulte fulte negetive logo se door rahiye.
आति सुंदर आनंद भईया जी ❤❤🎉🎉
Bhai Aap ne jo bola bilkul sahi bola he.. aapko Realy acha experience he ....
Bhai mera ek dost bol raha hai ki panchayat sachiv me kam se kam 50000 monthly ho jata hai
100 percent sahi baat bataya aapne
Please share this video to help others.
कभी रेलवे हॉस्पिटल गए है डायरेक्ट यमराज से कॉन्ट्रैक्ट रहता है
Railway ka night duty narak sman hota h
Sari raat jogo or pura din fir nind ni aati thik se or firse rat aa jati h
Admi pagal hone lgta h
Bat to hai.
But 10 points me
Bihar government job me 2 points achha hai aur 8 points kharab
Jabki central me iske ulta hai.
Decide
Thanks sir
aapne bahut achhe tarike se samjhaya👌
Mai railway me hu mai yahi masti ka jindgi ji rha hu i am proud of railway.
Kis post pe ho aap railway me ?
@@rohit00796 pahle d me tha ab technician me hu Bhai ranchi me
Ye batao ki corruption Kitana hai isame
सही बात बोले हो। मैं राजस्व कर्मचारी हूं। वही दुख यहां भी है
Please share to help others who are already in central job other than level 1 .
Mera current salary 50k hai per month but mai bihar mai job karne lie tayari kar rahe hai
Sir i am from gopalganj. Mere rrc swr group d me v hua hai or bihar lrc ssa (je) contractual post par hua hai mujhe kaun join karna chahie suggest me
Contractual job thik nhi hota.
Join group D aur job ke sath padhate rahiye bina tension liye aur dusra job le lijiyega.
ITBP ME mera HC RADIO OPERATOR (level 4 )he best hai
Iss hisab se to
2013 se hu service me hu (ab level 5 ho gya hai) .
आउटर इनकम कितना ह इनकम कितना है भैया बताइए ना
Sir isme bolta h extra kamayi bahut jayda h ex- bolta h ji mukhiya or sachiv sab ka sabhi panchyat ka fund ma presentage bata rahata h ye clear kar dijiye
Main Accountant(level -5) ke post par Central Govt mein Gujarat posted hoon, kya mujhe Panchayat Sachiv ka exam dena chahiye?
Kabhi sochiye v nahi
Mai railway me technician post per apne hi district me 50 km ghar se dur hai to kya mujhe bssc me ana thik rahega ya nahi
Nhi technician hi achha hai
Mukhiya se kitna percent pr bat hai
मैं आपकी बातो से सहमत हूं लेकिन अदर कमाई 10%प्रतिसत है
Are ye v to dekhiye family v important hoti h... sabkuch paisa hi ni hota... apne State me job hr koi chata h.. akhir ssc cgl me itne repeaters baar baar exam kyu dete h.. jara soche h kv
Alp bhusawal maharastra me hai kya bssc inter leval try karna chahiye plz reply
Sir Accountant cum it assistant jo panchayat m rahta h usme job m kitna bound rahta h .please pta karke batoye
Mukhiya se kitna comission leta hai ye nhi bataya
Kya is job mai rah kar dusra job ke taiyari kar sakte hai.....
कितना भी निगेटिव बोल लो लेकिन हमलोग पंचायत सचिव बन कर रहेंगे और साथ साथ BPSC, Central SSC CGL का तैयारी करेंगे और उसमे भी सेलेक्शन लेकर रहेंगे,आपके जैसा नहीं बैठे रहेंगे
Right bro kisi bhi nagative batao per dhyan nahi dena hai
Beta job ke sath preparation krna fat ke hath mai aa jayega
Sach bolna negative hota h be
Kis chijh me pros and cons nhi hota.
Agar kisi chijh ke bare me aadmi Kewal positive hi jankari rakhena to wo uske liye andha ban jayega aur me natiza pachhtawa.
History padhne ki salah aadmi ko kyu di jati hai ?
आउटी इनकम भी तो है ५%
Sach bol diye😂😂
Thanks brother for this information
Mai bhi is post ke liye aana chahte the central government me LDC ko chhor kar
सर आप ए बताइये मैं bssc मे आकर अलग से ट्युशन पढा सकते हैं बच्चों को प्लीज बताईऐ
Ha tution badhane ke liye aapke pass subah me v 9 bje tak time hai aur sam me 5 bje ke bad time hai. Isse aap extra income bahut achha kar sakte hai.
Mai v pahle coaching chalata tha class 8 to 10 only maths ( cbse )
Aur bahut khush rahta tha income v achha tha job se v achha.
You can search my coaching named fundamental classes sonpur
Sir main bhi tekari se hoon aap tekari mein kha posting hain
Bilkul apka baat shi hai mere Bhai block me jee hai koi bhi prav tevhar me chhuti nhi milta hai majistret bana deta hai
Please suggest …
Sr. Section engineer / Railway vs Assistant section office
ASO
Good information bro
Bihar court clerk vs Bihar BSSC 10+2 me kon aachha hoga..
Lifestyle aur sahri jivan se dekha jaye to court clerk thik hai but work pressure bahut jyada hai lekin chhutti v bahut hai court me.
Thora aaram ka job chahiye but sahri area nhi milega tab bssc.
@royalcareer thanks
आप लोगो के समय किस पोस्ट की कट ऑफ सबसे अधिक गया था?? और कितना गया था
Very informative video..
Please share in your groups to help others.
सैलरी छोड़ो कमाए कितना उसको भी बताओ तो जाने 😅
E btaiye bhi out income annual 9-10 lakh hai ye nhi btaiyega
Bssc inter level exam kb tk hoga
Railways CCTC ghr s 1500 km dur ya fir panchayat secretary ghr s 50 km dur konsi post better h
Please reply
CCTC
Sachiv ji.....Me postal me job karta tha ab usko resign dekar panchayat sachiv join kiya hu ...to central govt ka hrms id and service book transfer hoga ya ....state govt me sab kuch naya banega.....
State government ka naya banega
Kya aapko usse behtar job lag raha hai panchayat sachiv ka ?
@@royalcareer dekha jaye to dono me pros and cons he....ghar k samne apne district me posting mil gaya isliye agaya(District cadre post he).....postal me chuti b nhi mil Raha tha .....4 and 1/2 year me ek b chuti nhi le paya tha....
@@ajaykindo914 hme bilkul hi achha job nhi lag rha hai. Ghar becha jayega is job me
@@royalcareer hamare district me 102 new posting huye he....70%candidate koi na koi job chod k Aya he......koi RPF..Forest Guard..postal....
Assistant Revenue Inspector..Amin...Junior Assistant....
Sir kya timing hota hai office Jane aur aane ka kya job karte hue study ko aage continue rakh sakte hai reply please
Ha study karne ka bahut time milega.
देख रहा है विनोद कैसे घुमा घुमा के बात कर रहे है सचिव जी😅😅😅
Aaiye fir yaad kariyega meri baton ko.
Sir mera bhai cctc level 5 mursidabad mein kam karta hai, wo jharkhand panchayat sachiv ka tayyari kar rahe hai aur job lena chahta hai, uske liye kon sa best hai please batayen
Present post hi thik hai.
Panchayat sachiv me aane ke baad pachhane ke shiva kuchh nahi hoga.
Bihar govt me clerk ka kon sa job hai bina prasasanik wala pls reply??????
Northern railway me POINTSMAN hu jalandhar punjab me aur mera ghar Bihar patna district hai mai bssc inter level ki taiyari kar rha hu ...mere liye kya sahi rhega
Ha bro aapke liye bahut sahi hai. Jee jaan laga dijiye
Tumhare jaisa depressed insan main aajtak nahi dekha ..itna dukh hai to chor ke kuch ar kaam kro mere vai
Shi baat h yha ek job ni mil rhi h . Or ye yha job ki burai kr rha h or ghr pe baitha h lol😂
Sir main railway me booking(2800 grade pay) clerk hu .yaha ke log bihari logo bauut nafrat karte hain .main abhi bssc ki taiyari kar rha hu
Kaha posting hai
@@royalcareer Western railway Mumbai division station ka naam hai gholvad
@@royalcareer Mumbai se 100 km dur Surat ke taraf hai
@@royalcareer bahut man ghabrata hai sir .kabhi kabhi lgta hai patri par let jau
@@avijeet661 mera bhi aisa hi man karta tha railway me duty ke dauran.
But yaha aane ke bad bahut kuchh calculation kiye aur finally central government job is better than bihar government job.
But agar transfer ka koi chance lagta hai 4-5 sal me to wahi rahiye anyatha.
Fileriya nirikshak, Rajashw karmchari aur panchayat sachiv ke liye aa sakte hai.
Bhaiya me bhi new pointsman, Sealdah division me join kiaa hu mera ghar bhi chhapra (khaira) hai. Me bssc enter level ka teyari kru?
Aap to mere hi zila ke hai.
Dekho bhai group D ka kathinai se mai wakif hu bahut dukh hota hoga na respect hai na standard work ho sakta hai 12 hours duty roster v ho.
Night duty se aise hi paresani aur 5 degree thand me night duty, 42 degree garmi me din duty bahut kharab lagta hoga.
But
Mera suggestion yah hai ki pointsman group D me promotion ke lihaj se sabse achha job hai.
To 6 sal man lo ki wanwas mila hai uske jindgi me char chand lag jayegi.
BSSC me work profile achha hai job aasan hai but tension bahut hai promotion ke naam par kuchh v nhi.
Officers sab ka bahut pressure rahega.
Mere se bat karne ke liye apna number comment me dal do mai call kar lunga.
Sir फलारिया inspector ki जॉब प्रोफाइल कैसी है please guide
Bhai sallary slip के साथ video बनाइए पंचायत सचिव का
Sir bihar SSC k bare m aap bahut kuchh negative hi bata diye....Waise mai berojgar hun 4/5 sal se tayari kar raha hun kisi exam ka pre huaa to mains ni kisi ka mains huaa to merit ni bana.. lekin bssc ka positive aspect v batayiye taki jo tayari kar raha h apna last hope bssc ko maan k usko thora motivation mile
बिलकुल सही बोल रहे हो भाई एक तो बिहार में जल्दी नोकरी मिल नही रही और ये बोल रहा है दिमाग से ख्याल निकाल दो खुद का लग गया है तो दूसरो को DEMOTIVATE कर रहा ये इंसान
बेरोजगार के लिए कोई भी जॉब ठीक है भाई। तैयारी करते रहिए
Agar aap job me nhi hai to bhai koi job mile join kariye .
Positive point v bataye hue hai bro pahle wale video me.
But 1-2 sal gujarne ke bad hi job ke bare sab kuchh pata chalta hai.
@@royalcareer han apki v bat sahi h
Bhai, main Railway me loco pilot ke pad par hoon, salary ₹65000 inhand mil jaati hai abhi.
BSSC CGL ki tyari kar rha hoon, aana sahi rhega bhai. Abhi ghar se 500 km ke range me posted hian, Aana sahi rhega bhai BSSC CGL me
Ha BSSC CGL kafi achha hai loco pilot se target ASO
Bhaiya loco pilot mein time milta hai padhne ka ?
@@diwakarkumar2229 unbalanced duty time rahta hai isiliye padhna thira kathin hai.
Aur black income ke bare me btaiye sir😅
बाबू हमलोग इतना पागल नही है की आपका बात मन ले
Sir mai bihar police me kya BR ssc me aa skte hai achha rhega
Bhai yr bhut dukh h aapke jivan me... Aise mr kr job lo or last me ye sb jhelna... 😅😅
Sir plz syllabus par video banane n, sacheev ke lie
मैं बिहार excise में constable हूँ तो क्या मुझे bssc देना चाहिए थोड़ा मार्गदर्शन कीजिए?
Non clerk post ke liye taiyari karna chahiye.
Aise target BSSC CGL le kar chaliye.
@@royalcareer thank you bhaiya🥰
Bihar SSC me job karte karte BPSC clear ho payega? @@kauwabiryani445
M junior account hu level5 chenai ntpc kya aana chahie apne bihar salary 50K ke aas paas ho jata h aana chahie yaa nhi
Agar mutual milne ka chance hai ya transfer hone ka 4-5 sal me to nhi aaiye.
Anyatha fileriya nirikshak, panchayat sachiv ke liye aa sakte hai
@@royalcareer loss nhi n hoga sir panchayat sachiv me ye nhi ki aa gye aur 50ke jagah 20hi bache
@@royalcareer mutual possible nhi lag rha qki bache jo north me bhare h wo south me aaega nhi aur south wale bache north side me form dalega nhi
@@Gundaraj-r4g 🤣🤣🤣🤣mai bhi isi me fasa hua hu bhai ki kahi railway se gaya to khane ke lale na pad jaye
Income kitna hota hai Black money ye bato n
Aa jao samajh me aa jayega
Sachiv g
namaskaar😊
Panchayat sachiv Kewal upari kamai 3 lakh ka mahina kamata hai
Kaise pta
Reply?
😂😂😂Acha bro
Kon kha h aapko 50k bhi nahi hota h ab😅
कोन से job best रहेगा बिहार tgt 9/10 class teacher ya bssc +2
Hum to bssc +2 ka तैयारी कर रहे है
Bssc +2 ka thik nahi rahega . BSSC CGL me lagiye
sir me postman hu ..... Department of post me .....pay level 3(grade pay 2000) ...in hand salary 37,000
kya muje Bihar inter level pe focus krna chahiye ya fir us chhod de.....
Taiyari karna chahiye aapko LDC post chhor kar
Extra income kitna ho jata h?
Bhaiya mere father's name ke spelling me kuch error tha,to maine chhpra board office ka jo branch h wha se correction karvaya h,to mujhe new documents mila,bhaiya dv me kuch issue to nhi hogi na
Plzz reply
Nhi hoga old aur new dono rakhna Aut av edit ho rha hai edit kar lo.
@@royalcareer edit krne per new wala date nhi le rha,kyuki inter ke bad ka issue date ho ja rha
Mai kya kru
Plz reply
@@royalcareer old wala to board jma karwa liya h
Don't worry new wala dena board verify kar lega.
@@royalcareer issue to nhi karega na bhaiya
Aap sidha btaiye 12th pass wale k liye 2 number paise kamane k liye kaunsi post best hain
1राजस्व कर्मचारी
2Panchayat sachiv
Nps basic aur da ka 10% cut hota 8000kaisw cut Raha
Pura bat nhi sune aap government contribution mila kar
@@royalcareer tab o gross me kaise dikhega 32000aarha to gross35000ke ass pass hoga
@@Travelingindia380 ha
Please tell me Bssc inter level 2 exam date
Pvt income kitni hai, sir
04:00 panchayat sachiv ka sahyogi Technical Assistant kbse hone laga ji😂😂😂....
@@MindXpand1 tb kya hota h
Jabse ye ta ka bahali hua
12th level k bssc ya chsl dono me se kis job jana chahiye plz reply sir
CHSL
Under the table income kitna kamate ho bhi wo to nhe batate ho
Mai bhi chapra se hu aur railway me tech 3rd gorakhpur workshop me hu
Chuti aur salary acchi hai to railway me rahe ya bssc
Night duty bhi nahi hai aur transfer bhi nahi hai
Railway me
Gaya me kaha posting h bhai
Sir ji Panchayat Executive assistant aur Panchayat Secretary....yeah konsi better jay job load aur promotion kya hisab se ???
Panchayat secretary
Sanvida pe h ya sarkari???
Main bihar me teacher hoon Panchayat savhiv me hua lekin join nhi kiya....kahi galati to nhi kiya...log bolta hai isme paisa bhut hai to kabhi kabhi pachtawa hota hai...😊
Bahut achha job me hai aap agar ghar ke najdik hai to.
मैं crpf me job कर रहा हूं मेरा सैलरी 50k+ मिलता है me BSSC inter level me aana chahta hu .....thik rhe ga hmare liye
Crpf ka job kathin v hai , family life v nhi hai but paisa achha hai.
Paisa se bahut jyada compromise karna parega aur sayad yaha paresan v ho sakte hai.
So calculation kar lijiye.
@@royalcareer पैसा ही सबकुछ नहीं होता है भाई। CRPF की ड्यूटी बहुत ही कठिन है। साथ में अफसरशाही तथा क्षेत्रवाद कुट-कुट के भरा है इस फोर्स में। मन परेशान हो जाता है। मेंटली और फिजिकली दोनों प्रकार से टार्चर करता है।आ जंगल में रह-रहके जंगली जईसन जीवन हों गईल बा भाई। साला चार साल होने वाला है लेकिन अंदर से आज तक फिलिंग नहीं आया कि जॉब कर रहा हूं। बंधुआ मजदूर के जईसन जिंदगी हो गईल बा भाई। टाईम से छुट्टी भी नहीं देता है छुट्टी देने में भी क्षेत्रवाद करता है। कितना भी परेशानी हो लेकिन अपना राज्य में नौकरी बढ़िया बा भाई।आ रेलवे भी (घर से200-300km) तक ठीक बा लेकिन पहले से जॉब वालों के लिए।बिना जॉब वालों के लिए सब नौकरी बढ़िया है भाई।
Shi bole Bhaiya ji .ye ulta sidha video banake sbko bhatka rha h ..@@manishkushwaha97
Es parkar k job m sirf kamjor pariwar k log k liye Sahi hai.sab log ko es me aane ki zarurat nahi hai
Sir Mai DRM Office Mumbai Central, Mumbai me Junior Clerk ke post pe hu... Kya Bihar panchayat sachiv mere liye thik rhega ya nhi sir..??? 🤔.....pl. reply me sir.....
Bahut chijho par depend karta hai. Aapka requirement hai ?
Gaya sr hum bhi bhaiya kaha pr hai posted
Bhaiya aapka gaya ke
kaun se block me duty hai
Tekari
Mai police me hu kya muje bssc 12 me aane par pachhtawa nhi n hoga please reply sir
Kis police me
@@royalcareer Bihar police me
Tab aa sakte hai life aasan ho jayega . But kuchh post hi sahi hoga.
Bssc CGL ka v aa rha hai uspar focus kariye
Pls sir syllogs padha dijiye na...ache s
Sir syllabus pe video bnaiye please
Sir ham tte me hai level 3me madurai me hai kya bihar ssc me jana chahiye
Waha kya problem lag rha hai ?
Bhai bhaag jao madurai se level 6 rhta to mana bhi krte hm agr ho jata hai to nikal do
Baat kadawi hai but sach yahi hai
2 number ka paisa bhut hain ye batt real hain aab kitna bhi mana kre kyu ki mukhiya khayega tho aap bhi tho khayenge aab ye mat boliyega ki juth hain nhi thi phir aap kyu abhi tak yhi job kar rhe hain
भैया मैं group d में हूं तो बिहार आगामी exam के लिए आय प्रमाण पत्र बिहार में किसके नाम से बनेगा पिता है मेरे नाम से पिताजी मेरे किसान है और किसके किसके नाम से बना सकते है अगर मैं अपने नाम से banau तो आमदनी श्रोत में क्या क्या दू 😢
Father ka income diya jata hai
Black kitna kamaye hai
Sir ssc cgl k job kaisa hai bihar cgl aur central cgl m kon sa behtar hai sir
Central CGL bahut behtar hai.
Bharat me sabse jyada student Central CGL ka taiyari hi karta hai
Mai v centre CGL ka hi aspirant tha but final selection nhi le paya.
Ant me jo mila use join karna para
क्या बिहार एसएससी में salary time to time milta h या नहीं भैया
2-3 months pr
Bhai Mai pointsman me hu apna division me bssc thik rhega??
Division ka promotion history dekh lo agar 6 sal hote hote waha ka pointsman sab ka promotion ho jata hai to 6 sal banvas samjh kar kaat lo aur promotion le kar wahi raho thik rahega.
2. BSSC CGL ka target rakho aur uske aao.
3. Railway ka operating aur commercial department ko chhor ke sare group D ko aa jana thik rahega bssc me Non clerical post ke liye.
Bssc cgl . राज्य निर्वाचन आयोग department wale candidate ka posting kaha hota h please reply me sir pls
Kisi v district me
Mai rly me group D Post pe hu Aaj pta chla Rly me education allowance ka mhtv
Tekari