Jazbaat 2 | Instrumental | Nabeel Akbar | Jokhay | Talha Anjum | {Prod. By Jokhay)

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 5 ม.ค. 2025

ความคิดเห็น • 2

  • @shehrozemajid9244
    @shehrozemajid9244 4 ปีที่แล้ว +4

    Verse 1: Nabeel Akbar
    Nazaron mein tw sabki par aata nhi nazar,
    Mehnat ki dil se chori na koi kasar,
    Sab kuch gawaa dia or kitna sabar,
    Nhi hota mehsoos nai hota kuch asar,
    Musafir hu dunya mein karta bus safar,
    haathon se apnay khud khod raha qabar,
    Karte sab qadar khojaanay k baad,
    Zindagi mukhtasar mile ek hee baar,
    Palat k nhi aatay moqay lagataar,
    Sab moqay kho deta Parwardigaar,
    hu gunahgaar apni ghalti tasleem karta,
    jeena dushvaar, par Tjhpar yaqeen karta,
    bus ik funkaar, dil ki tafseer karta,
    Gaya thak haar, par ab tk umeed rakhta,
    achay dino ki, mehnat k silon ki,
    umeedein judi mjhse kaafiyon ki,
    Deewar hasraton ki, lachar muddatton ki,
    sar pe sawaar horahi sarfaroshi,
    Kesi madhoshi, ye kesi khamoshi,
    kiun jeeta ye zindagi mujrimo si,
    kiun jeeta ye zindagi dil jalon si,
    lar chuka boht, ab mar chuka khof,
    Raazi hun Maalik ab teri Raza mein,
    likhi ho chaahay phir manzil ya maut
    Hook: Jokhay
    Har roz larhta jung khud apne aap se
    Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
    Afsos sub chehre dhakay naqaab se
    Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain x2
    Verse 2: Jokhay
    Aisa kuch falsafa mila sab se
    Jeene ko kuchalne hai khwaab apne
    Maazi mei band qaid duniya hai meri
    Aur mein nikal parha hu qismat se larhne
    Roz mein sochta kya chhorhdu yeh sub kuch
    Haar dun khud ko taake log mere sub khush
    Ya hojaaun khud kush aur khud ko mein maardu
    Par apne fun ko kaise mein zinda gaarhdu
    Na koi hai aarzu no den kisi ko dagha
    Par jaib mei na ho taka, to koi kaise mera sagha?
    zindagi Jung hai ya zindagi yeh sazaa
    Mehnat ki khaatay na koi chhota na koi bara
    Kesa ye marz meri koi dawa nahi,
    Par bina is dard ke jeene ka maza nahi,
    Kam horaha qarz par dhal rahi jawani,
    Khaya mei tars khud pe kabhi zara nahi,
    Ab jo hona hone do,
    kia bacha khone ko,
    Kia faida rone ko,
    Raat k kuch ponay do,
    Karwatain leraha taras raha mein sone ko
    Khuli aankh se dekhta khuaab, hu mei paranoid
    Phir log mujhe kaatne ko bethe
    Gine chune log dard baatne ko bethe
    Gham jaanchne ko bethay
    Jokhay you’re not focused, sb daantne ko bethe
    Kabhi na mile phir bhi naam mera lete,
    Na jaante na maante par yaar bane bethe,
    Dete thay saath nahi par aaj dekho kaise,
    Mehnat mein meri hissedaar bane bethe,
    Daavedaar bane bethe,
    kaamiyaabi ki ye meray zimmedaar bane bethe,
    Inquilaabu hu mei jaise, peeche saath chalain mere,
    Qurbaani deta mei aur yeh bus saamp bane bethe
    Hook: Jokhay
    Har roz larhta jung khud apne aap se
    Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
    Afsos sub chehre dhakay naqaab se
    Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain x2
    Verse 3: Talha Anjum
    2020, mujhay rap bore karay rap pe uboor mera,
    Ye gaanay addictive aur phenku back to back tou tootay na suroor mera,
    Aja baat karein zindagi ki, yu'n he agar milay gi zindagi ke mor par,
    Mere chaaro taraf gandagi thi, tullay khaatay rishwat, paidagiri road par,
    Mein 17 mein bigra mein 23 sambhlaa mein 16 ka famous,
    Maara maari aur jhagra, aur laanjo ne jakra par likhaari tagra, mein likh likh nai thakk raha,
    Rehta hu jangi haalat mein, ready for war ye qalam ki maar hai,
    aadhay rappers inspired hain mere se, aur jo nai hain wo mujhse bezaar hain,
    The guy who sang marijuana, mere saath chikkay marijuana, over time, out of city hota ana jaana,
    Real talk tumhein mushkil hai samajh ana
    And the guy who sang jo tu na mila, usay face to face tu kabhi na mila, ye larkay sab hustle pe chaltay hain, in larko ko apne se na milaa,
    Famous tabhi low key, tujhay koi report nai mein kis se kab kahan mila,
    Hum video banatay he nai hain, kis mu se kaho ge shakal pe kaam mila?
    Tujhse bara network tujhse zyada net worth mein nai banta rapstar kabhi internet par, laya rap map par, lekin mein nai rap god, agar mein nai rap god, Abay tou phir tu kaun?
    Mein ghar tha Urdu rap ka, mujhay maloom hai kaun yahan mehmaan,
    Mujhse beef karlo do hazaar bees mein koi,
    I'll smack that bitch like I'm Akon,
    Jaikant shikray mein is game ka
    Leke bethay mandate kaafi der ka,
    Tu aaj aya kal gaya hum rahein der paa,
    Tu raakh hua jall gaya bujh ke andher tha
    Hook: Jokhay
    Har roz larhta jung khud apne aap se
    Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
    Afsos sub chehre dhakay naqaab se
    Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain x2

  • @jaswindersaini3107
    @jaswindersaini3107 4 ปีที่แล้ว

    🔥