ANJUMAN E GULZAR E QASIMI || iS ANDHERE CHALI AAE SAKEENA BABA || JNB SHAHRUJH SHB || TALIB ALLAHABD

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 27 ส.ค. 2024
  • ANJUMAN E GULZAR E QASIMI PRAYAGRAJ
    IS ANDHERE MAY NIKAL AAE SAKEENA BABA
    NOHAKHAWAN- JNB SHAHRUKH SHB
    KALAAM- TALIB ALLAHABADI
    #muharram #muharram2024 #prayagraj #prayagrajazadari #imamhussain #noha #labbaikyahussain #imamali #muharramulharam #allahabad

ความคิดเห็น • 4

  • @mashraqainrizvi7607
    @mashraqainrizvi7607 23 วันที่ผ่านมา +1

    Jazkallah

  • @alirizvi655
    @alirizvi655 หลายเดือนก่อน +1

    Mashallah 😢

  • @shadmanraza2691
    @shadmanraza2691 หลายเดือนก่อน

    Lyrics please 🙏

    • @AhlebaitAlaihussalam
      @AhlebaitAlaihussalam  หลายเดือนก่อน +2

      @@shadmanraza2691 Is andhere mai chali aayi sakina baba
      Dhundhte dhundhte bus aapka lasha baba
      Aapki jaan hoon mai aapki pyari mai hoon
      Dashte ghurbat mai bhare ghar ki dulari mai hoon
      Phir mujhe aapne kyu chorda hai tanha baba
      Apni rudad sunane k liye aayi hoon
      Khud ko aada se bacane k liye aayi hoon
      Kaise batalaun hua haal hai kaisa baba
      Is masayeb mai giraftar hazina hoon mai
      Ye sabhi jante hain sheh ki sakina hoon mai
      Kyu layeen mujhko bulate hain yateema baba
      Kya koi bhi nahi ansar bachane k liye
      Jalte khaimo ki lagi aag bujhane k liye
      Jal raha hai mere besheer ka jhula baba
      Qabre beshir ko jab dhundhne aya lashkar
      Bus tarayi ki taraf dekh rahi thi madar
      Jab nikala gaya bhai ka janaza baba
      Kya duhayi bhi nahi sunte hain yeh kamsin ki
      Kya nahi aati nazar unko yatimi meri
      Taziyano se lain dete hain pursa baba
      Akhiri waqt jo pahnaye they bunday mujhko
      Wo gohar they bhi meri jaan se pyare mujhko
      Shimr ne cheen liya aapka tohfa baba
      Mere rukhsar pe zulmat ke nisha dekh to lo
      Kis tarah khoon hai kano se rawa dekh to loaa
      Aisa zalim ne mujhe mara tamacha baba
      Apke pass hun baba toh na gum khaoungi
      Apke pairon pe sir rakh kar k mai so jaunga
      Apka teeron se chalni hai jo seena baba
      Kaise talib likhe masooma ki aaho fariyad
      Mar gai kaid mein woh karte hue baba ko yaad
      Lab pe bachi k fakat rehta tha baba baba