Sughra Ko Madina Acha Nahi Lagta | Anjuman Gulshane Islam Bhawra | Juloos e Amari Badagaon

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 14 ต.ค. 2024
  • Juloose Amari Badagaon Shahganj-Jaunpur 1441-2019
    Sughra Ko Madeena Acha Nahi Lagta Noha
    Anjuman Gulshane Islam Bhaura Sadat
    Recorded By :- Paigham-E-Azadari India
    Lyrics
    Tum jab se gaye ho ghar chord ke bhaiyya sughra ko madina acha nhi lagta
    Likhti hai ye khat me lachaar mariza
    sughra ko madina acha nhi lagta
    1)
    Baba Se Ijazat mil jaye agar to bimar bahen ko aa jao bulane
    Hum shakle payambar laila ki tamanna ghamkhwar bahen ko aa jao bulane
    Bin Tere baradar dushwar hai jeena
    sughra ko madina acha nhi lagta
    2)
    Itna to bata do lachaar bahen ko tanhai ke ye pal kis tarah guzare
    Hamrah mere ab koi bhi nahi hai zinda bhi rahoon to ab kiske sahare
    Ab pass nahi hai wo gesuo wala
    sughra ko madina acha nhi lagta
    3)
    Aye mere Baradar Pardes Me Jakar is tarah bahen ko bhoola nahi karte
    Bhaiyya mere koi bimar agar ho tanha use ghar me chorda nahi karte
    Mar jaigi bhaiyya ro-ro ke ye dukhiya
    sughra ko madina acha nhi lagta
    4)
    Aye mere Baradar baithi hai ye khwahar rahon me tumhari aankhon ko bhichaye
    Furqat me tumhari Betab Hai Sughra itna to bata do tum q nahi aaye
    Kya yaad nahi hai bhaiyya tumhe wada
    sughra ko madina acha nhi lagta
    5)
    Bimar bahen ki itni hai ghuzarish bhaiyya mere ghar tum jab laut ke aana
    Baba se ijazat mil jaye agar to tum sath me apne asgar ko bhi lana
    Viran pada hai besheer ka jhoola
    sughra ko madina acha nhi lagta
    6)
    Taqdeer Ne Kaisa Din Mujhko Dikhaya mai ghar me akeli pardes me kunba
    Furqat teri mujhko tadpati hai bhaiyya yaad aate hai mujhko asgar wo sakina
    Phirta hai nazar me har ek ka chehra
    sughra ko madina acha nhi lagta
    7)
    Ab Neend Bhi Meri Aankhon Me Nahi Hai Tadpata hai mujhko ye shab ka andhera
    Ummeed ki kirne bujh jati hai bhaiyya ek aisi qayamat lata hai sawera
    Darwaze pe baithi roti hoon mai tanha
    sughra ko madina acha nhi lagta
    8)
    Arman bada tha dil me mere bhaiyya ek din tere sar pe baandhungi mai sehra
    Aye mere baradar ab lagta hai mujhko poori nahi hogi sughra ki tamanna
    Kya janiye kyon dil ghabrata hai mera
    sughra ko madina acha nhi lagta
    9)
    Roodad Mai kaise beemar Ki Likhkhu
    Ghar walo K Gam Me kya Hall tha Uska
    Zindane Sitam se Jab Aabde Muztar
    Hasnain Koi bhii wapas Nii Aaya
    Wo Bekaso Dukhiya Karti Rahi nauha
    Sugra Ko Madina Acha Nii Lagta
    Copyright Information
    All rights are reserved by paighame azadari india.
    Copying and editing of any kind is prohibited and will be an Infringement of copyright.
    Telecast On Paigham-E-Azadari Live
    Channel Link :- / @paighameazadari
    Facebook Link :-
    / paigham-e-azadari-live...
    #Badagaon_Amari_2019 #Nauha #Jaunpur_Azadari #Paighame_Azadari
    #Gulshane_Islam #Paigham_Shirazi
    #Nauha_Bibi_Sakina #Nauha_Bibi_Sugra
    #Amari_Badagaon #sughra_ko_madina_acha_nahi_lagta
    Paighame Azadari Live
    Email :-Paighameazadarilive110@gmail.com
    Contact :- 9044774412
    All Rights Are Reserved
    For More Azadari Programs Plz Subscribe This Channel.
    ThankYou For Support.

ความคิดเห็น • 42