Mufti sahab mene 8 saal se islam qabul kiya he mene nikha kiya he muslim se or alhamdulillah me khush bhi bohut hu lekin in 8 saalo me mere sath bohot kuch ho gya matlab mere 3 bacche inteqal kar gye 4 mahine ka beta 3 saal ki beti 5 mahine ka beta mere ghr wale bhi mujhse nhi milte lekin me allah ki raza me razi hu har haal me allah ka shukar hai
Asslamu alaikum mufti shab. Alhamdulillah mufti sahab bahut bahut sukriya aaj ke episode me mera sawal liya gaya h mujhe bahut khui hui he zazakallah. Me apki sari video dekhti hu. Aur tafseer ki class bhi dekhti hu Allah se dua kijiye mufti sahab ki mujhe khub ilm se nawaje mujhe bhut chaht hai nek banne ki.
Assalamualaikum wa rahmatullahi wa barakathu aap se bhut kuch sikha h 3,4 saal se aap ki video dekhti bhot sacchi hoti h ab yaha tak ke koi bhe masayl faste h to aap ki video search 🔍 karti hu aap bhut acha kaam kar rahe h allah aap ko sehat dieen ka kaam karte rahe pahle baar message kara h yu to quins karne ki zarurat nhi padte aap ke video me sare jawab mil jate h
Astagfirullah 😢lasht wala sawal to mujhe lg raha tha mere liye hai bahut pareshan 😢😢 hokar gusse me namaz nahi padi 😢 astagfirullah please sab dua kare sari pareshani dur ho jaye ameen 😥
Maine soona hai ki Allah jisase mohbbat karta hai use hi aajmaise deta hai lekin , lekin hume to koi aajmaise nahi mil rahi hai lekin ye ahsaas hota hai Allah hamse mohbbat karta hai. Fir ek ek baar lgata hai Allah mujhase nakhush to nahi hai na isliye mujhe aajmaise nahi de raha hi
Assalamu alaikum. Aise nahi bolte hain, Alhamdullilah Mashallah ki aap ki zindagi bht khubsurat aur aasaan h, Kya pata vo aapse aapke isi haal me apka imtehan le rha ho. Humesha uska shukr ada kro, aur Allah SWT se aasaani or aafiyat maango. ❤
Waah ji waah aapto kamaal ho kya baat hai aapki.. aap duniya ki pahli insan ho jise koi pareshani nhi aur aap isi baat ko lekar itni pareshan ho...😂 varna humari to poori ki poori life hi aajmaiso me guzri ja rahi hai hum Allah se duaon me jo dil se mangte wo kabhi nhi milta par jo yunhi kabhi achanak se soch lete hai wo kabhi na kabhi poora ho jata hai.. lekin jiski bhi hume bahut jyada zarurat hoti hai har wo cheej humse door ho jati hai.. is liye ab humara bhi man kuch hat sa gaya hai dua mangne se par Allah ka shukr hamesha hi ada karte rahte hai..😔💔
ghazala kasgar muzaffar nagar assalamualekum mere kuch sawal hai 1.ladki ke riste ke namaj ladki ko padni chahiye ya uske maa baap ko.2.ladki ke riste ki photo ., wa ladka wa ladki ki aapas mai mobile per baat kar sakte hai.3.khana bed per khana chahiye ya niche baith ker daster khan per.4.kya janaje ki namaj baith ker padh sakte hai. 5.agar imam sahab takreer kare to kya ham tasbeeh padh sakte hai. dua mai yaad rakhna..
Assalamualaikum Mufti sahab Allah apko ese hi hume talim Dene ki taofeeq dete rahen hum kanpur se hain mere kuch sawal hai 1mgrib ki farz me ayatal kursi pdhi jati hai ya nai 2 period me ayatal kursi dum apne upar dum kr skte hain ya nai 3 16 saeedon ke roze beech me rakhne band kr diye ho to uska kya kffara hoga... please batiye aj hum teesri baar puch rahe hain
Assalamu alekum muftisahab.. Mera aik sawal hai. Kya hum umra ko jane ke baad hotal ke room mein lage TV per chal rahi namaz ke sath namaz padh sakte hai kya?
Assalamu Alaikum , 283 Sunday comment box mein mere sawaal zaruur lijiyega (1) kya rui or mirch se nazar utaarna shirk h ? (2) Agr hamara rishtedaar sharab peekar hamare ghr aaye to kya use apne ghr ke bartano mein khilaana jaiz h ? (3) Kya security pe kamra lena jaiz h ? Security pe kamra lene se mtlb h ki hum unhe 3 ya 4 lakh rupye dete h , hum makaandar ke ek floor pe rehte h 11 se 12 mahine ke liye jisme hamein kiraya nahi dena padta har mahine bs bijli ka bill dena pdta h or 11 mahine baad jab hum us floor ko Khali krte h to wo 3 , 4 lakh rupye hamein waapas mil jate h to ye paise hamare liye jaiz hain ya nahi? Ab isme ek condition h maanlo wo paise hum na le unhe wapas Krna chahe lekin agr wo na le to tb bhi najaiz honge wo paise? (4) Aizal (ऐज़ल) naam ke maayne kya hain?
Assalamu alaikum mufti sahab Bahut dino ke baad sawal kiye hai mete sa walo k jawab jaroor dena (1) mufti sahab is baar main inter (12) class me hu to mujhe aisi koi dua bata de ya koi amal bata de jisse mera dimag padhne me tez ho jaye jo kuch bhi yaad kare hamesha ke liye yaad ho jaye (2) Mufti sahab mere School me 3:20 pe chutti hoti hai aor 4 baje Asar ki azan hoti hai to 3:20 se 4 bajne ke andar hi ham Zohar ki namaz padh sakte hai ya nahi Please batana
Assalamu alaikum Mufti sahab ham gair muslim ke pass Kam kar rahe hai pas me masjid bhi nahi ham wahi namaz padh lete hai agar wo bhi agar bole ki yaha namaz mat padho to kya kare
Assalamualaikum Mufti sahab Allah apko bohot taraqqi de aur hume or humare bachho ko hidayat de Ameen Mufti sahab plz mere question ka answer de dijiye bohot tension ma hu
Nazreen assalamualekum mere 5 sawal hai.1.kya 2 bahan ek bed per so sakti hai.2 mard ke baal ud jate hai aurto ke bal kyo nahi udte hai.3.kya shop mai tabeej wa naksh lagana mana hai.4.kya janaje ki namaj hone ke baad mayyat ka raste mai muh dekh sakte hai.5.tasbih toot jay to dane kaha rakhe.❤❤❤❤❤❤❤
Asslamualekum. Mufti sahib.umid hai ke aap khairiyat se honge mera name md aminullah hai mai app ka video aaj se 4 years se dekh raha hun mai aap se bahut mohabat rakata hun lekin aaj tak ek bhi masla nahi pucha lekin aaj pucha raha hun ki duniya mai hamara jo Dimag hai kya zannat mai ayesha hi dimag hoga.allah hafiz
Assalamu alaikum Mufti Sahab ummid hai aap khairiyat se honge Mere kuch sawal hai 1. Nabi ka naam aaye to kya ham par durood shareef padhna wajib ho jata hai 2. Sirf nabi ka naam Muhammad sallallahu alaihi wa aalihee wasallam aane par hi durood shareef padhna wajib hota hai ya fir Nabi ka naam Ahmad or nabi Rasoolallah aaqa sarkar aane par bhi durood shareef padhna wajib hota hai 3. Durood e Ibrahim aadhi padhe matlab allahumma bariq wali na padhe to kya durood shareef maan li jayegi 4. Diwali par jo khile or khilone bikte hai kya unhe khana jayez hai kuch log kehte hai ki inhe teen din tak nhi khana chahiye jo insan in teen dino me inhe khayega use upar Allah ke yahan sone ke khilone khilaye jayenge iski kya haqikat hai bataiyega zarur Please admin sahab mere sawal zarur lijiyega please
Assalamualaikum Mufti Sahab my name is Misbah Sunday comment ka Badi besabri se intezar rahata hai per jab hamara comment nahin liya jata to Dil Bada udaas hota hai Mufti Sahab you are my inspiration aapse bahut kuchh sikhane Ko milta hai is bar Mera comment jarur lijiyega please mere kuch sawal hai number 1 Kuran Sharif ki tilawat sunte waqt sar dhakna zaroori hai by chance aisa hota hai kam mein masroof hote hain aur sar se dupatta hat jata hai number 2 half sleeves mein namaz padh sakte hain Bada sa dupatta ya Ahram pahankar number 3 night suit mein namaz padh sakte hain number 4 dua ke bich mein Quran Sharif padhne ke bich mein kuchh jaruri baat bol sakte hain please jarur answer kijiega kuchh galat poochh liya ho to maaf kijiega
Aslamualekum mufti shab Allah aapko jazaye khair de mere kuch sawalat h ummid h aap jawab denge... 1. me 12th class me padti hu mere paas history subject h toh kuch chapter aese hote h jinme hindu bhaiyo ke bhagwano ke bare me bataya hota h....naam bhi mention hote h jaise Raam, krishna vagerah toh unke naam padne padte h toh kya isse hamare imaan ko koi khatra hoga?? 2. Mene dekha h ke bhot baar log jo fakeer hote h ya maangne wale hote h toh unhe log kehte h ke bhai acchi khasi health h tumhari kuch kaam hi kar liya karo unhe baate sunate h toh kya aese logo se Allah khafa hota h???
Assalamualaikum mukti sahab....mai bihar se hu bhagalpur jile se hu....name sahnaz...bahut hi dino se aapke video dekh rahi hu 2021se hi aapke video bahut achha lagta hai aapke video se bahut kuch sikh ne ko milta hai......zamzam ke pani zamin par gir gayi bhul se to kya iska anzam bura hoga....mukti sahab....sawal ka jawab jarur dijiye ga
Assalamualaikum mufti sahab Aur sab khairiyat Sawal no 1 juma ka pahle aur baad ka sunna ghar pe padh sakte hai ya nahi Sawal no 2 aesha ki namaj me hame bahut nind aata hai 12 ghante company me duty karte hai nind me rekat bhi bhul jate hai samajh me nahi aata hai ki ham kyaa kare
Assalamualaikum Mufti sahab mera name Naziya Bano hai mai Up se hu aap swalo ke jwab bahut achhe se samjhate hai mere kuch swal hai plz le lijiyega koi hame bahut taqlif de toh kya ham uske liye baddua kar sakte hai dusara swal hai tahajjud ka sahi waqt kya hai tisara swal hai ramzan me mere kuch roze chhoot gaye the lekin mujhe ye yad nhi hai ki wo roze Maine rakhe hai ya nhi kabhi lagta hai ki rakh liye hai kabhi lagta hai nhi mujhe kya karna chahiye
Assalamualaikum Mera name mohd salim hai mera suwal hai 1.keya ham mobail kisto par le sakte hai 2.namaz ki pahale rakat me roko me samil hone se rakat ho jati hai
Assalamwalkum mufti sahab ap khriyat se h mai 4 sal se dekh rhi hu apka video mashallah bahut kuch sikhi hun apse ek sawal h ky quran 12 baje nhi padhna chahie ap jarur bataiyega please apse ek par or sawal ki thi kuch reply nhi diye dusra Sawal ki please
Assalamualaikum Mufti sahab mera aap se ek question hai ki hum logon se kehte hain ki mere liye dua karna lekin mera manna ye hai ki Allah rabbul izzat to hum sab ki dua sunta hai to hume apne liye khud hi dua kar leni chahiye logo se kehne ki kiya zarurat reply zaroor zaroor dijiyega please Allah Hafiz
Assalamu alaikum mufti Sahab, Hikmat kise kehte hain aur Allah Pak se iski dua kaise maang skte hain? Allah pak ka qurb paaney ka tareeka batayein. Jazakallah Khair
Akhir ke sawal ke liye kuch kahna chahta hu ki bahan ko sabr ke saath rahna chahiye jaise Palestine ke log misaal ban gye Palestine ke musalmano ki tarah sabr krne wala nahi, Allah apne pyare ko azmata h isliye thoda sabr kren bahan hum sab ki duae apke sath hai Allah sab ki pareshani ko door kre khairo barkat de naseeb buland kre ameen
Assalamu alaikum Mufti sahab me kafi time se comment kar raha hu abhi tak mera ek bhi sawal nahi liya gaya hai meri aapse guzarish hai is baar mere sawal zaroor le mere kuch sawal hai 1. sayba ya sahiba dono naamo me se kon sa naam rakhna chahiye dono naam ke mayne kya hai 2. Agar kaam karne ghar se 10-15 km door jaate ho or kabhi kisi wajah se napaak ho to kya napaki ki haalat me masjid ki toilet bathroom istemal kar sakte hai 3. Salaam ka jawab kaise dena chahiye waleikum mussalaam waleikum assalaam ya waleikum salaam kon sa tarika sahi hai
Assalamualaikum Mufti sahab kaise hain ummid hai ki aap khairo aafiyat se honge aalah aapko aise hi khush rakhe Mera sawal hai ki agar aaspas kahin masjid nahi to ko 5 waqt ki namaz Ghar per padhne se kya sawab Kam milta hai jamat ke mukable
Assalamualaikum Mufti sahab mai agra se hu mera Naam Reshma hai mera sawal yah hai ki mere Ghar ki mere Parivar walon ki sab ki Jo hai hifajat ke liye koi dua bataiye jisko padhne se mera karobar sab kuchh hifajat mein rahe
Assalamu alaikum mufti shahab mere sawalo ka jawab plz reply kijiye mujhe bar bar fever hota h 1 month ya 2 month me hota hi raha h plz koi wazifa bataiye bukhar se chhutkara pane ka ❤❤
Mufti Sahab assalam walekum Mera pahla sawal hai meri tabiyat kharab rahti hai main baithkar namaj padh sakti hun Mere sir mein bahut taklif rahti hai bete bete sajda karne mein chakkar aate Hain
Assalamwalaikum Mufti Sahab, 1. Kya Masjid Mai Kisi Bimar Ke liya dua Karana Jaiz hai? 2. Hamara yha Jab koi bacha Quran Pura padh leta hai toh Mithai ya kuch Khane ki cheez maholle, rishtedaaron wagera mai batti jaati hai, toh ye biddat hai krna ya jaiz hai? 3. Kya Emergency Mai Kisi Naa Mahram ko touch kar sakte hain jaise kisi ka accident hogya hoo yaa phir unhe kisi madad ki jarurat hoo? 4. Agar Subah suraj Tulu hone ke baad ankh khole toh jabhi namaz padh le ya tulu se 20 minutes hone ke baad padhe? 5. Aur ase hi same agar gurub hone mai 20 minutes se kam time bcha ho toh asar padh sakte hai aur mai Alhamdulillah sahib-e-tarteeb hoo toh mai magrib ki jamaat bhi nahi le sakta agar asar na padhi.
Mufti sahab mai 5 saal se hasthmaithun se pareshan hua kosis karta hu 5 din 10 din 15 din tak hi control kar pata hua please meri khudha ke waaste madad kijiyea 😭😭😭😭😭😭😭
Plz Mufti sab mere sawal ka jawab jarur dena. Mere pas pehle bahot Sara gold tha. Jo ab nai he. Muj par pehle hajj farz thi ab nai he. To ab mere liye kya hukum he muje par hajj farz he ya nahi,? Sath sath mere liye dua kijiye ke hamare riqz me barkat ho
Assalamualaikum Bhai ummeed hai aap khairiyat se honge..... Maa sha Allah me jab bhi sawal karti hu mujhe mere jawab mil jate hai or mere sare dawts clear ho jate hain..... Mera koii Bhai nahi hai Aapko dekhti hun to lagta hai Kaash Mera bhi koii Bhai hota...kya aap mere Bhai banenge...... Me Ganjdundwara se hun aap aaiyega hamare ghar pe Ganjdundwara...... Mere kuchh sawal hain...... 1_ koii bhi insaan apne imaan se kin kin bajah se kharij hota hai? 2_ magrib ke baad surah waqya padhne se Rizq me barqat hoti hai ? Kisi ne hame bataya ki 40 din lagataar padhna chahiye lekin khawateen ke liye ye possible nahi hai to kya karen ? 3_ koii kaam ki bajah se Namaz thodi late ho jaye to gunaah hoga? 4_ Namaz padhte time zabaiyan aye to kya karen? 5_ fajar ke baad ham Qaza namazain padh sakte hain? 6_ kya poori Azan ka jawab dena chahiye.....kisi ne hame bataya tha ki Hayya Alasalah Hayya Alalfalah ka jawab nahi dena chahiye.....aap bataiye dena chahiye ya nahi? 7_ Namaz padhte time Nazrein kab Kahan honi chahiye? 8_ Sajda karte waqt Pehle naak or baad me matha zameen par lagana chahiye or uthte waqt Pehle sar or baad me naak uthana chahiye?
Assalamualaikum Mufti sahab plz Mere sawal ka jawab dejiye Mufti sahab Mera paas lic ka pesa aane wala ha kya hum un peso se apna ghar banwa sakte ha hamara ghar pakka nahi ha us k chhat ki halat kharab ha plz reply me
Assalamualaikum mufti shahb.. kese h ap? Mera sawal ye hai ki 👇👇👇👇👇👇👇 Agar koi musalman diwali ke mouke par market me apni shop ko decorate krwa leta hai jaise gair muslim krate hai.. or us musalman ki apni shop decorate krane ki niyat ye ho ki isse hmari shop dur se nazar aayegi or isse maal jyada bikega.. to kya ye sahi hai.... Kyuki maine hadees me suna hai ki jo jiski musAbihat ikhtiyar karega vo qayamat ke din uske sath hi uthaya jayega lkn yha sawal me niyat change ho gyi hai.. to kya sahi hai plzzz detail me bata dijiye.. mai bahut confuse hu is sawal me..
Assalamualaikum Mufti sb Mai Yasmeen Bihar se hu....Mera sawal h Jb koi ladka hukka pita ho to un ladko se shadi krna kaisa h Please Mufti sb jaroor bataiyega
Assalamulaikum mufti sahab. Mera aapse ye sawal hai mere covered mai ek side kpde rkhe hai or ek side quran e paak rakha hai to bha quran pak rakh skte hai ki nhi
Assalamu alaikum Mufti saheb Mai Aafrin gopalganj jile se hu Mera ekk swal hai aap mera swal jarur lijiye ga please Q.1 Diwali ke din apne ghar ko light se saja sakte hai Q.2. .mind me hamesha Islam ke प्रति galat khyal aaye to kaise bache mai nhi sochna chahti hu fir bhi negative khyal aate hai Q.3. Mannat mang kar agar pura nhi hua to majar pe nhi Jane par kya hota hai
Walekum Assalam (Mai Mufti ni aur mai aapke padosi jile Siwan se hu😅 aur In sawalo ke jawab mujhe pta h isiliye mai comment me hi de de rha hu...) Jawabat: 1. Nahi Saja sakte... Sakht mana h... 2. Agar negative khyal aate h to aap namaz kasrat se padhiye, Qur'an Sharif ko Tarjuma aur Tafseer ke sath padhiye {recommended: Kanzul Iman by Imam Ahmed Raza rahmatullah alaih} aur deegar Islamic Kitabon ka mutalya kijiye... 3. Kuch nahi hota aur esi mannate na mana karein... Iss Topic pe aap Sufi Mufti Kaleem Hanafi Razvi ka bayan dekh sakti ho....
Assalamu alaikum mufti shahab umid hai aap khairo aafiyat se honge mera naam Fatima hai. Sunday comment box 83 mere sawal ka jawab jarur dijiye ga kisi aur ke wasile se dua mangna kaisa hai. Kya ham apne hujur ka wasila laga sakte hai. Mere gaw ke hafiz ji kahte hai begair wasila ke dua qubool hi nhi hoti hai. Kahate hai ki sab gause se pak murde ko jinda kar diya karte the kya ye sahi hai.
Assalamualaikum Mufti sahab mere 2 swal hai 1) mene ek hadees me suna hai ki quran Hafiz quran ti tilawat kar te kar te jannat me jayega age koi quran e Hafiz bich me hi atag gya to kya hoga ? 2) agar quran me kuch surah or ayat me bhul padti ho to kya tab bhi wo quran e Hafiz kahela he ga???
Mufti sahab mene 8 saal se islam qabul kiya he mene nikha kiya he muslim se or alhamdulillah me khush bhi bohut hu lekin in 8 saalo me mere sath bohot kuch ho gya matlab mere 3 bacche inteqal kar gye 4 mahine ka beta 3 saal ki beti 5 mahine ka beta mere ghr wale bhi mujhse nhi milte lekin me allah ki raza me razi hu har haal me allah ka shukar hai
😢😢
Bhut achi bt h ap bht khush naseeb jisko Allah ne hidayat di h
Walekum assalam .. Mufti Sahab ........,...... Yakeenan aapka samjhane Ka Tarika bahut hi behtar hai shukriya sahi tarika samjhane ke liye
Assalamu alaikum Mufti Sahab
Aap ke samjhane ka andaz bahut aasan hota hai ek hi baar me samjh aa jata hai
Right
Ham ko bhi Aata h
Asslamu alaikum mufti shab. Alhamdulillah mufti sahab bahut bahut sukriya aaj ke episode me mera sawal liya gaya h mujhe bahut khui hui he zazakallah. Me apki sari video dekhti hu. Aur tafseer ki class bhi dekhti hu Allah se dua kijiye mufti sahab ki mujhe khub ilm se nawaje mujhe bhut chaht hai nek banne ki.
Assalamualaikum wa rahmatullahi wa barakathu aap se bhut kuch sikha h 3,4 saal se aap ki video dekhti bhot sacchi hoti h ab yaha tak ke koi bhe masayl faste h to aap ki video search 🔍 karti hu aap bhut acha kaam kar rahe h allah aap ko sehat dieen ka kaam karte rahe pahle baar message kara h yu to quins karne ki zarurat nhi padte aap ke video me sare jawab mil jate h
🌺🌟Naseeb ke pyare Hote hai Woh Jinhe Khud ALLAH Apni Talab me Laga deta hai 🌟🌺
Beshak
Beshak ❤❤
Beshak subhaan Allah❤❤❤❤❤
Beshak Mufti sahab aapka 11 baat bahut achhi hai bahut bahut sukriya
Besaq 👍
Allah ham sabko namazi bana de ameen 🤲💞💞
Astagfirullah 😢lasht wala sawal to mujhe lg raha tha mere liye hai bahut pareshan 😢😢 hokar gusse me namaz nahi padi 😢 astagfirullah please sab dua kare sari pareshani dur ho jaye ameen 😥
Shukriya Mufti sahb aap bahut ache se samjhate hain
❤ walekum assalam 😊
Maine soona hai ki Allah jisase mohbbat karta hai use hi aajmaise deta hai lekin , lekin hume to koi aajmaise nahi mil rahi hai lekin ye ahsaas hota hai Allah hamse mohbbat karta hai. Fir ek ek baar lgata hai Allah mujhase nakhush to nahi hai na isliye mujhe aajmaise nahi de raha hi
Kyu aapko koi preshani nhi aati kya
Assalamu alaikum. Aise nahi bolte hain, Alhamdullilah Mashallah ki aap ki zindagi bht khubsurat aur aasaan h, Kya pata vo aapse aapke isi haal me apka imtehan le rha ho. Humesha uska shukr ada kro, aur Allah SWT se aasaani or aafiyat maango. ❤
Walekum asslam sukriya hume nashihat dene ke liye
Waah ji waah aapto kamaal ho kya baat hai aapki.. aap duniya ki pahli insan ho jise koi pareshani nhi aur aap isi baat ko lekar itni pareshan ho...😂
varna humari to poori ki poori life hi aajmaiso me guzri ja rahi hai hum Allah se duaon me jo dil se mangte wo kabhi nhi milta par jo yunhi kabhi achanak se soch lete hai wo kabhi na kabhi poora ho jata hai.. lekin jiski bhi hume bahut jyada zarurat hoti hai har wo cheej humse door ho jati hai.. is liye ab humara bhi man kuch hat sa gaya hai dua mangne se par Allah ka shukr hamesha hi ada karte rahte hai..😔💔
Allahtala hamare baccho ko hafij or alum bana de ameen❤summa ameen
Bahut bahut aap ka sukriya mufti sahab masha Allah mujhe bahut khushi hui aap ne mere sawal ka jawab diya jazakallah hu khairan kashira
Assalamu alekum bhai jaan Allah ap ko salamat rakhe apne hifzooaaman me rakhe🤲
Walaikum assalam ustaad ji ji alhamdulillah jazakallah hu khaira assalamualaikum ustaad ji 🙋🏻♀️😊💐
Assalam walekum Mufti sahab ka video
ghazala kasgar muzaffar nagar assalamualekum mere kuch sawal hai 1.ladki ke riste ke namaj ladki ko padni chahiye ya uske maa baap ko.2.ladki ke riste ki photo ., wa ladka wa ladki ki aapas mai mobile per baat kar sakte hai.3.khana bed per khana chahiye ya niche baith ker daster khan per.4.kya janaje ki namaj baith ker padh sakte hai. 5.agar imam sahab takreer kare to kya ham tasbeeh padh sakte hai. dua mai yaad rakhna..
Assalamualaikum mufti Saab ❤❤❤❤ MashaAllah
Mufti sahab ye rahnumai kare ki fatiha kitne years ke baad padha sakte hai
😊❤ walekum assalam Mufti sahab 😊❤ allah ka shukr hai 😊 jazakallah 😊❤🎉
Assalamualaikum Mufti sahab Allah apko ese hi hume talim Dene ki taofeeq dete rahen hum kanpur se hain mere kuch sawal hai 1mgrib ki farz me ayatal kursi pdhi jati hai ya nai 2 period me ayatal kursi dum apne upar dum kr skte hain ya nai 3 16 saeedon ke roze beech me rakhne band kr diye ho to uska kya kffara hoga... please batiye aj hum teesri baar puch rahe hain
Achche nasib k liye har insaan mohtaz hote h , isliye apne rab se dua kre achche nasib k liye ❤❤
Mufti sahb mujhe pesab ki bimari h jis wajah se m nmaj nhi pdh pati hun mai nmaj pehna chahti hun pr m pak nhi rhti Mai kya krun pls mujhe btaye
Assalam alaikum mufti sahab sunday episode badhiya lga mashallah 👍
Dua kijiye mere sohar ko namaj padhne ki tofiq farmaye
Assalamu alekum muftisahab.. Mera aik sawal hai. Kya hum umra ko jane ke baad hotal ke room mein lage TV per chal rahi namaz ke sath namaz padh sakte hai kya?
MashaALLAH ALLAH aap ko jjaykhar dy ameen
Mashallah jazakallah khair mere bhai
Assalamu Alaikum , 283 Sunday comment box mein mere sawaal zaruur lijiyega
(1) kya rui or mirch se nazar utaarna shirk h ?
(2) Agr hamara rishtedaar sharab peekar hamare ghr aaye to kya use apne ghr ke bartano mein khilaana jaiz h ?
(3) Kya security pe kamra lena jaiz h ?
Security pe kamra lene se mtlb h ki hum unhe 3 ya 4 lakh rupye dete h , hum makaandar ke ek floor pe rehte h 11 se 12 mahine ke liye jisme hamein kiraya nahi dena padta har mahine bs bijli ka bill dena pdta h or 11 mahine baad jab hum us floor ko Khali krte h to wo 3 , 4 lakh rupye hamein waapas mil jate h to ye paise hamare liye jaiz hain ya nahi?
Ab isme ek condition h maanlo wo paise hum na le unhe wapas Krna chahe lekin agr wo na le to tb bhi najaiz honge wo paise?
(4) Aizal (ऐज़ल) naam ke maayne kya hain?
Assalamu alaikum mufti sahab
Bahut dino ke baad sawal kiye hai mete sa walo k jawab jaroor dena
(1) mufti sahab is baar main inter (12) class me hu to mujhe aisi koi dua bata de ya koi amal bata de jisse mera dimag padhne me tez ho jaye jo kuch bhi yaad kare hamesha ke liye yaad ho jaye
(2) Mufti sahab mere School me 3:20 pe chutti hoti hai aor 4 baje Asar ki azan hoti hai to 3:20 se 4 bajne ke andar hi ham Zohar ki namaz padh sakte hai ya nahi Please batana
Assalamualaikum Alekum mufti sahab bahut bahut shukriya
Assalamu alaikum Mufti sahab ham gair muslim ke pass Kam kar rahe hai pas me masjid bhi nahi ham wahi namaz padh lete hai agar wo bhi agar bole ki yaha namaz mat padho to kya kare
Assalamualaikum Mufti sahab Allah apko bohot taraqqi de aur hume or humare bachho ko hidayat de Ameen Mufti sahab plz mere question ka answer de dijiye bohot tension ma hu
Salam walekum Mufti Sahab
Walekum assalam ❤
Nazreen assalamualekum mere 5 sawal hai.1.kya 2 bahan ek bed per so sakti hai.2 mard ke baal ud jate hai aurto ke bal kyo nahi udte hai.3.kya shop mai tabeej wa naksh lagana mana hai.4.kya janaje ki namaj hone ke baad mayyat ka raste mai muh dekh sakte hai.5.tasbih toot jay to dane kaha rakhe.❤❤❤❤❤❤❤
Mei pehli baar sawal kr rhi jawab zarur dena aurate namaz phadte hua sajde m khoni zameen se milaye ya upar ko utha kr rhake
Asslamualekum. Mufti sahib.umid hai ke aap khairiyat se honge mera name md aminullah hai mai app ka video aaj se 4 years se dekh raha hun mai aap se bahut mohabat rakata hun lekin aaj tak ek bhi masla nahi pucha lekin aaj pucha raha hun ki duniya mai hamara jo Dimag hai kya zannat mai ayesha hi dimag hoga.allah hafiz
Assalamu alaikum Mufti Sahab ummid hai aap khairiyat se honge
Mere kuch sawal hai
1. Nabi ka naam aaye to kya ham par durood shareef padhna wajib ho jata hai
2. Sirf nabi ka naam Muhammad sallallahu alaihi wa aalihee wasallam aane par hi durood shareef padhna wajib hota hai ya fir Nabi ka naam Ahmad or nabi Rasoolallah aaqa sarkar aane par bhi durood shareef padhna wajib hota hai
3. Durood e Ibrahim aadhi padhe matlab allahumma bariq wali na padhe to kya durood shareef maan li jayegi
4. Diwali par jo khile or khilone bikte hai kya unhe khana jayez hai kuch log kehte hai ki inhe teen din tak nhi khana chahiye jo insan in teen dino me inhe khayega use upar Allah ke yahan sone ke khilone khilaye jayenge iski kya haqikat hai bataiyega zarur
Please admin sahab mere sawal zarur lijiyega please
Assalamualaikum Mufti Sahab my name is Misbah Sunday comment ka Badi besabri se intezar rahata hai per jab hamara comment nahin liya jata to Dil Bada udaas hota hai Mufti Sahab you are my inspiration aapse bahut kuchh sikhane Ko milta hai is bar Mera comment jarur lijiyega please mere kuch sawal hai number 1 Kuran Sharif ki tilawat sunte waqt sar dhakna zaroori hai by chance aisa hota hai kam mein masroof hote hain aur sar se dupatta hat jata hai number 2 half sleeves mein namaz padh sakte hain Bada sa dupatta ya Ahram pahankar number 3 night suit mein namaz padh sakte hain number 4 dua ke bich mein Quran Sharif padhne ke bich mein kuchh jaruri baat bol sakte hain please jarur answer kijiega kuchh galat poochh liya ho to maaf kijiega
Aslamualekum mufti shab Allah aapko jazaye khair de mere kuch sawalat h ummid h aap jawab denge...
1. me 12th class me padti hu mere paas history subject h toh kuch chapter aese hote h jinme hindu bhaiyo ke bhagwano ke bare me bataya hota h....naam bhi mention hote h jaise Raam, krishna vagerah toh unke naam padne padte h toh kya isse hamare imaan ko koi khatra hoga??
2. Mene dekha h ke bhot baar log jo fakeer hote h ya maangne wale hote h toh unhe log kehte h ke bhai acchi khasi health h tumhari kuch kaam hi kar liya karo unhe baate sunate h toh kya aese logo se Allah khafa hota h???
अस्सलाम वालेकुम मुफ्ती साहब क्या अल्लाह से वसीले से दुआ मांगना जरूरी है प्लीज मेरी सलाह कीजिए
Ameen summa aameen ❤
Main aapka Sunday comment box dekhti hun
Assalam walekum Mufti Sahab ham Agra se bol rahi hai
Walaikum assalam Mufti sahab na nakaki ki halat mein shukrane ka sajda kar sakte hain
Assalamualaikum Mufti sahab
Assalamualaikum mukti sahab....mai bihar se hu bhagalpur jile se hu....name sahnaz...bahut hi dino se aapke video dekh rahi hu 2021se hi aapke video bahut achha lagta hai aapke video se bahut kuch sikh ne ko milta hai......zamzam ke pani zamin par gir gayi bhul se to kya iska anzam bura hoga....mukti sahab....sawal ka jawab jarur dijiye ga
Assalamualaikum mufti sahab
Aur sab khairiyat
Sawal no 1 juma ka pahle aur baad ka sunna ghar pe padh sakte hai ya nahi
Sawal no 2 aesha ki namaj me
hame bahut nind aata hai 12 ghante company me duty karte hai nind me rekat bhi bhul jate hai samajh me nahi aata hai ki ham kyaa kare
Assalamualaikum Mufti sahab mera name Naziya Bano hai mai Up se hu aap swalo ke jwab bahut achhe se samjhate hai mere kuch swal hai plz le lijiyega koi hame bahut taqlif de toh kya ham uske liye baddua kar sakte hai dusara swal hai tahajjud ka sahi waqt kya hai tisara swal hai ramzan me mere kuch roze chhoot gaye the lekin mujhe ye yad nhi hai ki wo roze Maine rakhe hai ya nhi kabhi lagta hai ki rakh liye hai kabhi lagta hai nhi mujhe kya karna chahiye
Assalamualaikum Mufti Saab dua kijiyega Allah mujhe ek bht pyari si beti ataa kar de or mere bete ki zindagi me barkat kare please zaroor dua krna aap
Assalamualaikum Mufti Sahab
Mera sawal agle session me jarur le
1:- Kya Nikah se pahle apne biwi ke bare me sochna haram hai
Asslam alaikum mufti sahab from Saudi Arabia
Bhot.bhot.sukriya.kafi.dauts.kiler.hogaye
Assallam alaikum mufti sahab mere liye bhi duwa kijiy allah mujko nek aoulad se nawaj de ameen summa ameen🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲
Assalamualaikum Mera name mohd salim hai mera suwal hai
1.keya ham mobail kisto par le sakte hai
2.namaz ki pahale rakat me roko me samil hone se rakat ho jati hai
Assalamwalkum mufti sahab ap khriyat se h mai 4 sal se dekh rhi hu apka video mashallah bahut kuch sikhi hun apse ek sawal h ky quran 12 baje nhi padhna chahie ap jarur bataiyega please apse ek par or sawal ki thi kuch reply nhi diye dusra Sawal ki please
Assalamualaikum
Mufti sahab mera aap se ek question hai ki hum logon se kehte hain ki mere liye dua karna lekin mera manna ye hai ki Allah rabbul izzat to hum sab ki dua sunta hai to hume apne liye khud hi dua kar leni chahiye logo se kehne ki kiya zarurat reply zaroor zaroor dijiyega please
Allah Hafiz
Main aapki sari videos dekhti hun
Assalamu alaikum mufti Sahab, Hikmat kise kehte hain aur Allah Pak se iski dua kaise maang skte hain? Allah pak ka qurb paaney ka tareeka batayein. Jazakallah Khair
Ass
lamwalekum Mufti shab Mera name rahat he Mera ye sawal he kya julus nikalna jaij he ka nahi aap ye bataye
Akhir ke sawal ke liye kuch kahna chahta hu ki bahan ko sabr ke saath rahna chahiye jaise Palestine ke log misaal ban gye Palestine ke musalmano ki tarah sabr krne wala nahi, Allah apne pyare ko azmata h isliye thoda sabr kren bahan hum sab ki duae apke sath hai Allah sab ki pareshani ko door kre khairo barkat de naseeb buland kre ameen
Assalamu alaikum Mufti sahab me kafi time se comment kar raha hu abhi tak mera ek bhi sawal nahi liya gaya hai meri aapse guzarish hai is baar mere sawal zaroor le mere kuch sawal hai
1. sayba ya sahiba dono naamo me se kon sa naam rakhna chahiye dono naam ke mayne kya hai
2. Agar kaam karne ghar se 10-15 km door jaate ho or kabhi kisi wajah se napaak ho to kya napaki ki haalat me masjid ki toilet bathroom istemal kar sakte hai
3. Salaam ka jawab kaise dena chahiye waleikum mussalaam waleikum assalaam ya waleikum salaam kon sa tarika sahi hai
Assalamualaikum Mufti sahab kaise hain ummid hai ki aap khairo aafiyat se honge aalah aapko aise hi khush rakhe Mera sawal hai ki agar aaspas kahin masjid nahi to ko 5 waqt ki namaz Ghar per padhne se kya sawab Kam milta hai jamat ke mukable
A/s aur khairiyat hai Maulana shb. Koi wakeya wali. Kitab bataye
Assalamualaikum Mufti sahab mai agra se hu mera Naam Reshma hai mera sawal yah hai ki mere Ghar ki mere Parivar walon ki sab ki Jo hai hifajat ke liye koi dua bataiye jisko padhne se mera karobar sab kuchh hifajat mein rahe
Mufti shab mera beta 8 saal ka h aur quraan prdta h aur hifj kar rha h
Assalamualaikum warahmatullahi wabarkatu mufti sahab aap kis imaam ko follow karte Hai bataiye
4 imamon se
Assalamu alaikum mufti shahab mere sawalo ka jawab plz reply kijiye mujhe bar bar fever hota h 1 month ya 2 month me hota hi raha h plz koi wazifa bataiye bukhar se chhutkara pane ka ❤❤
Asalamu walekum bhae jan mai aapka sari video dekhti hu mujhe bahut achha lgta hai
Mashaallah ❤❤
Assalamu alaikum
Assalam walekum Mufti Sahab mashallah ummid hai ki aap khairiyat se honge aamne samne❤❤❤❤
Assalamualaikum bhaijaan kya ham ramzaan ki Pancho wakt ki namajo k saat kazae umri ki namaz padh sakte h
Mufti sahab mujhe pata nahi tha ki jalsa e istirahat sirf rahat ke liye karna chahiye to kya meri namaz nahi hogi
walekum assalam ❤❤
Deewali special ki mehedi banana you tube PE upload karna kaisa hai Mufti sahab please reply
Assalumu alaikum Mufti Sahab me jharkhand lohardaga jile ke rampur gaon se hu mera 1 sawal h ki school Jane se jumme ki namaj chut jati h to kya kare
Ameen summa ameen 🤲
Mufti Sahab assalam walekum
Mera pahla sawal hai meri tabiyat kharab rahti hai main baithkar namaj padh sakti hun
Mere sir mein bahut taklif rahti hai bete bete sajda karne mein chakkar aate Hain
Assalamwalaikum Mufti Sahab,
1. Kya Masjid Mai Kisi Bimar Ke liya dua Karana Jaiz hai?
2. Hamara yha Jab koi bacha Quran Pura padh leta hai toh Mithai ya kuch Khane ki cheez maholle, rishtedaaron wagera mai batti jaati hai, toh ye biddat hai krna ya jaiz hai?
3. Kya Emergency Mai Kisi Naa Mahram ko touch kar sakte hain jaise kisi ka accident hogya hoo yaa phir unhe kisi madad ki jarurat hoo?
4. Agar Subah suraj Tulu hone ke baad ankh khole toh jabhi namaz padh le ya tulu se 20 minutes hone ke baad padhe?
5. Aur ase hi same agar gurub hone mai 20 minutes se kam time bcha ho toh asar padh sakte hai aur mai Alhamdulillah sahib-e-tarteeb hoo toh mai magrib ki jamaat bhi nahi le sakta agar asar na padhi.
Molana shab Mera ek sawal hai aap se . Sapne me apni shadi hote hue dekhna kesa hai
Mufti sahab mai 5 saal se hasthmaithun se pareshan hua kosis karta hu 5 din 10 din 15 din tak hi control kar pata hua please meri khudha ke waaste madad kijiyea 😭😭😭😭😭😭😭
Assalamu alaikum Mufti sahab Mera sawal ye hai ki kya mard hazrat diamond ya platinum ki ring pahan sakte hain
Plz Mufti sab mere sawal ka jawab jarur dena. Mere pas pehle bahot Sara gold tha. Jo ab nai he. Muj par pehle hajj farz thi ab nai he. To ab mere liye kya hukum he muje par hajj farz he ya nahi,?
Sath sath mere liye dua kijiye ke hamare riqz me barkat ho
Assalamalakum me aapki kafi old member hu .. meri daughter ke Ghar gold k work hota hai to uska peasa kesa hai family wlo k lye..
Assalamualaikum Bhai ummeed hai aap khairiyat se honge.....
Maa sha Allah me jab bhi sawal karti hu mujhe mere jawab mil jate hai or mere sare dawts clear ho jate hain.....
Mera koii Bhai nahi hai Aapko dekhti hun to lagta hai Kaash Mera bhi koii Bhai hota...kya aap mere Bhai banenge......
Me Ganjdundwara se hun aap aaiyega hamare ghar pe Ganjdundwara......
Mere kuchh sawal hain......
1_ koii bhi insaan apne imaan se kin kin bajah se kharij hota hai?
2_ magrib ke baad surah waqya padhne se Rizq me barqat hoti hai ? Kisi ne hame bataya ki 40 din lagataar padhna chahiye lekin khawateen ke liye ye possible nahi hai to kya karen ?
3_ koii kaam ki bajah se Namaz thodi late ho jaye to gunaah hoga?
4_ Namaz padhte time zabaiyan aye to kya karen?
5_ fajar ke baad ham Qaza namazain padh sakte hain?
6_ kya poori Azan ka jawab dena chahiye.....kisi ne hame bataya tha ki Hayya Alasalah Hayya Alalfalah ka jawab nahi dena chahiye.....aap bataiye dena chahiye ya nahi?
7_ Namaz padhte time Nazrein kab Kahan honi chahiye?
8_ Sajda karte waqt Pehle naak or baad me matha zameen par lagana chahiye or uthte waqt Pehle sar or baad me naak uthana chahiye?
Khuda Hafiz frmay AAP ko.❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Assalamualaikum mufti sahab
Mera sawaal ye h ki diwali me patakhe bechna haraam h
Assalamualaikum Mufti sahab plz Mere sawal ka jawab dejiye Mufti sahab Mera paas lic ka pesa aane wala ha kya hum un peso se apna ghar banwa sakte ha hamara ghar pakka nahi ha us k chhat ki halat kharab ha plz reply me
Ameen
Assalamualaikum mufti shahb.. kese h ap?
Mera sawal ye hai ki
👇👇👇👇👇👇👇
Agar koi musalman diwali ke mouke par market me apni shop ko decorate krwa leta hai jaise gair muslim krate hai.. or us musalman ki apni shop decorate krane ki niyat ye ho ki isse hmari shop dur se nazar aayegi or isse maal jyada bikega.. to kya ye sahi hai....
Kyuki maine hadees me suna hai ki jo jiski musAbihat ikhtiyar karega vo qayamat ke din uske sath hi uthaya jayega lkn yha sawal me niyat change ho gyi hai.. to kya sahi hai plzzz detail me bata dijiye.. mai bahut confuse hu is sawal me..
Assalamualaikum Mufti sb
Mai Yasmeen Bihar se hu....Mera sawal h
Jb koi ladka hukka pita ho to un ladko se shadi krna kaisa h
Please Mufti sb jaroor bataiyega
Assalamulaikum mufti sahab. Mera aapse ye sawal hai mere covered mai ek side kpde rkhe hai or ek side quran e paak rakha hai to bha quran pak rakh skte hai ki nhi
Meri dua dusron ke liye qabool hoti hen kekin apne liye nahi hoti me kya karu ki meri duaa apne liye bhi qabool ho
Assalamualaikum Mufti shab kya 7 kan chid bana sunnat hai
Molna sahab mujko malum nahe hay ke aap tak sawal kasay pahcatay hay mujko bhe aapsay kuch pucahna tha mujko Aap kay vedoi bahut pasand hay
Assalamu alaikum Mufti saheb
Mai Aafrin gopalganj jile se hu
Mera ekk swal hai aap mera swal jarur lijiye ga please
Q.1 Diwali ke din apne ghar ko light se saja sakte hai
Q.2. .mind me hamesha Islam ke प्रति galat khyal aaye to kaise bache mai nhi sochna chahti hu fir bhi negative khyal aate hai
Q.3. Mannat mang kar agar pura nhi hua to majar pe nhi Jane par kya hota hai
Walekum Assalam (Mai Mufti ni aur mai aapke padosi jile Siwan se hu😅 aur
In sawalo ke jawab mujhe pta h isiliye mai comment me hi de de rha hu...)
Jawabat:
1. Nahi Saja sakte... Sakht mana h...
2. Agar negative khyal aate h to aap namaz kasrat se padhiye, Qur'an Sharif ko Tarjuma aur Tafseer ke sath padhiye {recommended: Kanzul Iman by Imam Ahmed Raza rahmatullah alaih} aur deegar Islamic Kitabon ka mutalya kijiye...
3. Kuch nahi hota aur esi mannate na mana karein... Iss Topic pe aap Sufi Mufti Kaleem Hanafi Razvi ka bayan dekh sakti ho....
Assalamu alaikum mufti shahab umid hai aap khairo aafiyat se honge mera naam Fatima hai. Sunday comment box 83 mere sawal ka jawab jarur dijiye ga kisi aur ke wasile se dua mangna kaisa hai. Kya ham apne hujur ka wasila laga sakte hai. Mere gaw ke hafiz ji kahte hai begair wasila ke dua qubool hi nhi hoti hai.
Kahate hai ki sab gause se pak murde ko jinda kar diya karte the kya ye sahi hai.
Assalamualaikum Mufti sahab mere 2 swal hai
1) mene ek hadees me suna hai ki quran Hafiz quran ti tilawat kar te kar te jannat me jayega age koi quran e Hafiz bich me hi atag gya to kya hoga ?
2) agar quran me kuch surah or ayat me bhul padti ho to kya tab bhi wo quran e Hafiz kahela he ga???