lyrics:- Sunsaan ban wo raat wo uthta huwa dhuwan Nikli padar ko dhoondne nanhi si ek Jan Kahti thi baba Jaan batado ke ho kahan Ek laash ne ye roke kaha meri jan yahan Lekar isi sada ka sahara paoch gai Rote huwe nasheb me dukhya pahoch gai Besar jab apne baap ko dekha nasheb me Roi bahot yateem sakeena nasheb me 1 Maqtal me lash bap ki jab sar kati mili Thi umr char saal ki bachi tarap gayi Beti jab apne baap ko pehchan na saki Awaz ya abata ki yateema ne roke di Lasha ghareeb baap ka bola nasheb me 2 Likha hai rawiyo ne wo manzar bada ajeeb Jangal wo kali raat wo ghubat wo gham naseeb Awaz sunke baap ki pohchi hai jab qareeb Halat padar ki dekh ke royi bohat ghareeb Beti ke sath baap bhi roya nasheb me 3 Age badhi hussain ki mazloom ghamzada Teero se jism bap ka dekha bhara hua Ghabra ke teer jism se karne lagi juda Kamsin thi koi teer na us se nikal saka Paya na jab hussain ka seena nasheb me 4 Khali na pai jism pe teeron se koi jaa Karne lagi tawaf wo baba ki laash ka Mayoos ho ke paiti paithi wo gam zada Rukhsar apna baap ke talwon pe rakh diya Lekar padar ke paaun ka bosa nasheb me 5 Apne padar ki sash pe Le le ke siskiyan Wo apna dard baab se karne laghi bayan Ruk par bani thi saaf Jo zalim ki ungliyan Bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo Nishan Zakhmi badan husain ka tadpa nasheb me Fir ye kahne lagi ro ro ke yateema baba Mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba Mara zalim ne mujhe aisa tamacha baba Chha Gaya meri nigahon me andhera baba 6 Kahti thi Mai yateemi hun mujhpar na waar kar Ki minnaten bahot ki Zara intezaar kar Mai de Rahi thi shimr ko bunde utaar kar Chhine hain be rahem ne magar mujhko maar kar Ye dard jab padar ko sunaya nasheb me 7 Waiz likhe ga kaun yateema ki bekasi Lashe shahe Zaman se wo jis dam juda huwi Lagta tha ab jiye gi na Bachi husain ki Jane lagi nasheb se jab shah ki ladli Baba ko apne chor ke tanha nasheb me
Imam Hussain a.s ke qatilon pe laanat
Beshumaar lànat
😭😭😭😭
Can anyone send a lyrics of this noha 😢
lyrics:-
Sunsaan ban wo raat wo uthta huwa dhuwan Nikli padar ko dhoondne nanhi si ek Jan Kahti thi baba Jaan batado ke ho kahan Ek laash ne ye roke kaha meri jan yahan Lekar isi sada ka sahara paoch gai Rote huwe nasheb me dukhya pahoch gai
Besar jab apne baap ko dekha nasheb me Roi bahot yateem sakeena nasheb me
1 Maqtal me lash bap ki jab sar kati mili Thi umr char saal ki bachi tarap gayi Beti jab apne baap ko pehchan na saki Awaz ya abata ki yateema ne roke di Lasha ghareeb baap ka bola nasheb me
2 Likha hai rawiyo ne wo manzar bada ajeeb Jangal wo kali raat wo ghubat wo gham naseeb Awaz sunke baap ki pohchi hai jab qareeb Halat padar ki dekh ke royi bohat ghareeb Beti ke sath baap bhi roya nasheb me
3 Age badhi hussain ki mazloom ghamzada Teero se jism bap ka dekha bhara hua Ghabra ke teer jism se karne lagi juda Kamsin thi koi teer na us se nikal saka Paya na jab hussain ka seena nasheb me
4 Khali na pai jism pe teeron se koi jaa Karne lagi tawaf wo baba ki laash ka Mayoos ho ke paiti paithi wo gam zada Rukhsar apna baap ke talwon pe rakh diya Lekar padar ke paaun ka bosa nasheb me
5
Apne padar ki sash pe Le le ke siskiyan Wo apna dard baab se karne laghi bayan Ruk par bani thi saaf Jo zalim ki ungliyan Bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo Nishan Zakhmi badan husain ka tadpa nasheb me
Fir ye kahne lagi ro ro ke yateema baba Mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba Mara zalim ne mujhe aisa tamacha baba Chha Gaya meri nigahon me andhera baba
6
Kahti thi Mai yateemi hun mujhpar na waar kar Ki minnaten bahot ki Zara intezaar kar Mai de Rahi thi shimr ko bunde utaar kar Chhine hain be rahem ne magar mujhko maar kar Ye dard jab padar ko sunaya nasheb me
7
Waiz likhe ga kaun yateema ki bekasi Lashe shahe Zaman se wo jis dam juda huwi Lagta tha ab jiye gi na Bachi husain ki Jane lagi nasheb se jab shah ki ladli Baba ko apne chor ke tanha nasheb me