Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho - Ali Rizvi Sachay

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 12 ส.ค. 2021
  • Noha: Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho - Ali Rizvi Sachay and Team
    Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho
    Jis Ghari Chaara Garay Dard E Nehaan Koyi Na Ho
    Humsafar Koyi Na Ho Rahat E Jaan Koyi Na Ho
    Kaam Aatay Hain Wahan Ashk Jahaan Koyi Na Ho
    Bay Saharon Ka Sahara Bhi Madadgaar Bhi Hai
    Dhaal Bhi Hai Yehi Mazloom Ki Talwar Bhi Hai
    Jis Ko Ehsaas E Mohabbat Hai Voh Royega Zaroor
    Jis Kay Seenay Mein Haraarat Hai Voh Royega Zaroor
    Dard Jis Dil Mein Amanat Hai Voh Royega Zaroor
    Jis Ko Kuch Khauf E Mashiat Hai Voh Royega Zaroor
    Waqt Parh Jaye Toh Har Ahl E Zameen Rota Ha
    Sirf Shaitan Zamanay Mein Nahi Rota Hai
    Ashk Kamzor Kay Iraadon Ke Alamat Hain Agar
    Girya Kun Qaum Zamanay Mein Hai Zinda Kyun Kar
    Gham Kay Takraey Hain Dunya Mein Wohee Deeda E Tar
    Shaam O Baghdad Ki Tareekh Se Poocho Ja Kar
    Haan Ye Sach Hai Ke Rahay Zulm Mein Agay To Na Thay
    Ronay Walay Kabhi Maidaan Se Bhagay Toh Na Thay
    Kehtay Ho Khauf Ki Bunyad Hai Ye Ashk E Rawaan
    Tum Nay Dekha Nahi Shayad Abhi Andaaz E Fughaan
    Hotay Hain Taighon Ki Jhankaar Mein Hum Noha Kunaan
    Kartay Hain Tazkira E Dard Sar E Nok E Sinaan
    Pasti E Seerat O Kirdar Mein Rotay Nahi Hum
    Darkay Faujon Se Kabhi Ghaar Mein Rotay Nahi Hum
    Kaun Rokay Ga Issay Sabr Ka Ye Dhaara Hai
    Ab Ye Gham Azmat E Kirdaar Ka Minara Hai
    Kahin Shabnam Kahin Moti Hai Kahin Taara Hai
    Ab Toh Har Ashk Dehekta Huwa Angaara Hai
    Gham E Shabbir Se Takra Ke Pigal Jaaogay
    Haath Rakhogay Inn Ashkon Pe Toh Jal Jaaogay
    Kya Kaha Jurm Hai Islam Mein Ye Ashk E Rawaan
    Kya Kaha Deen Mein Bidat Ha Ghareebon Ki Zaban
    Kya Kaha Haq Ka Gunahgaar Hai Har Noha Kunaan
    Gham Ki Tauheen Bohot Kar Chukay Aye Ahl E Jahan
    Apnay Khud Saakhta Fatwon Ki Dukaan Band Karo
    Sun Na Lein Madar E Shabbir Zubaan Band Karo
    Voh Bhi Din Thay Kay Inn Ashkon Pay Lagay Thay Pehray
    Hukm Tha Dard Ke Maaron Ko Kay Ansoo Na Bahay
    Al Atash Ki Lab E Tashna Pe Sada Aa Na Sakay
    Laash Pamal Ho Bhai Ki Behen Uff Na Karay
    Daagh Mamta Ka Kalejay Se Na Dhonay Paaye
    Maa Jawan Laal Ki Mayyat Pe Na Ronay Paaye
    Sogaya Raat Ki Baahon Mein Jo Maidaan E Bala
    Aur Mazloom Sakina Ko Pidar Yaad Aaya
    Nikli Khaimay Ke Andheron Se Woh Masroof E Buqa
    Har Qadam Par Ye Sada Thi Ke Kahan Ho Baba
    Bhoolay Iss Pyasi Ko Abbas E Dilawar Ki Tarah
    Tum Bhi Maidaan Se Na Lautay Ali Akbar Ki Tarha
    Paani Deta Hai Koyi Aur Na Ghiza Deta Hai
    Maa Ki Godi Mein Jo Bethoon Toh Uttha Deta Hai
    Jo Bhi Aata Hai Tamaacha Woh Laga Deta Hai
    Bay Pidar Dekh Ke Har Aik Saza Deta Hai
    Bachkay Jaltay Huway Khaimon Se Kidhar Jaati Mein
    Phuppi Amma Na Bacha Leti Toh Mar Jaati Mein
    Koyi Sunta Nahi Faryaad Bilakti Hoon Mein
    Ab Toh Khaimon Ki Taraf Dekh Ke Darti Hoon Mein
    Aap Ki Raah Barhi Der Se Takti Hoon Mein
    Jaantay Ho Ke Kayi Roz Ki Pyasi Hoon Mein
    Gham Naseebon Ko Dam E Aab O Ghiza Kuch Na Mila
    Hogayi Shaam Tamachon Ke Siva Kuch Na Mila
    Uff Woh Nanni Si Musafar Woh Rahay Gham Ka Safar
    Ya Ali Kehti Thi Ghabraa Kay Jo Lagti Thokar
    Aati Thi Thi Bun Ki Hawaon Mein Jo Khushbu E Pidar
    Mutmain Ho Ke Teher Jaata Tha Tha Nanna Sa Jigar
    Kehti Thi Bun Mein Balaaon Ka Basera Hai Bohot
    Ungliyaan Thaam Lo Baba Ke Andhera Hai Bohot
    Kabhi Kehti Thi Mujhay Paas Sula Lo Baba
    Apni Agosh Mein Bekas Ko Chupa Lo Baba
    Sogaya Hai Kahin Jangal Mein Uttha Lo Baba
    Mere Nannay Ali Asghar Ko Bula Lo Baba
    Woh Fughaan Thi Ke Fiza Dasht Ki Tharranay Lagi
    Yak Ba Yak Halq E Buridaan Se Sada Anay Lagi
    Aayi Awaazay Shah E Deen Jo Sahara Ban Kar
    Dorhi Maqtal Ki Taraf Binte Shahay Tashna Jigar
    Rakh Diya Seena E Shabbir Pe Mazloom Ne Sar
    Lab Pe Tha Haye Pidar Haye Pidar Haye Pidar
    Kehti Thi Rokay Yahin Hashr Uttha Oongi Mein
    Ab Tumhay Chor Kay Wapas Nahi Jaoongi Mein
    Jismay Sheh Se Kabhi Ghabra Kay Nikalay Soofaar
    Dhoond Thi Thi Kabhi Ghesoo E Shahay Arsh Wiqaar
    Haath Pehlaaya Ke Lag Jaaye Galay Se Aik Baar
    Chaahti Thi Kabhi Rukhsaaron Pe Rakhday Rukhsaar
    Uff Voh Bachi Jo Andheron Mein Sahar Dhoondti Thi
    Baap Ki Laash Se Lipti Huwi Sar Dhoondti Thi
    Aah Karti Thi Toh Hil Jaata Tha Maidan E Bala
    Kehti Thi Rokay Bas Ab Khaak Se Uttho Baba
    Ronay Waalon Na Suno Tazkira E Jor O Jafa
    Jis Tarha Bachi Huwi Baap Ke Seenay Se Juda
    Laash Shabbir Ki Maidan Mein Tharrati Rahi
    Der Tak Shimr Ke Durron Ki Sada Aati Rahi

ความคิดเห็น • 12

  • @shoaibUAE
    @shoaibUAE หลายเดือนก่อน +1

    کمال کا کلام ❤

  • @mushtaquehaider110
    @mushtaquehaider110 2 ปีที่แล้ว +3

    Ya Ali A.s Madad Sayed

  • @seemaraza5314
    @seemaraza5314 2 ปีที่แล้ว +2

    Mashallah bahut khoob 👌

  • @mohdmehdi5229
    @mohdmehdi5229 2 ปีที่แล้ว +1

    Mashallah jio mola salamat rakhkhe ali bhai aap sabko

  • @hilal5622
    @hilal5622 2 ปีที่แล้ว +1

    Bohat hi zabadast
    Zindabad Ali

  • @seemaraza5314
    @seemaraza5314 2 ปีที่แล้ว +2

    Beshak jis ke dil me hararat hai wo royega zaroor 😭

  • @alipahelwanhussaini4543
    @alipahelwanhussaini4543 ปีที่แล้ว +1

    Subhan Allah mashallah

  • @s.srizvi6388
    @s.srizvi6388 ปีที่แล้ว +1

    Ali Raza Sachay Allaha Mola Ali ap koSallamat rakeen.

  • @insiyafatimanaqvi6619
    @insiyafatimanaqvi6619 2 ปีที่แล้ว +2

    👌👌

  • @HasanRizvi
    @HasanRizvi 2 ปีที่แล้ว +1

    Salamat Rahain!

  • @startingpoint398
    @startingpoint398 ปีที่แล้ว

    😭😭😭haaye bibi

  • @startingpoint398
    @startingpoint398 ปีที่แล้ว

    Slamat rhay bhai