Apne Karyal Jawan | Hazrat Ali Akbar (as) Noha | Muharrum 2023/1445 | Syed Murtaza Hamdani | Nohay

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 12 ต.ค. 2024
  • Bismillah
    Ya Ali as Madad
    New Kalam on Hazrat Ali Akbar (a.s) Shahadat
    Muharrum Noha Album | Maula Ali Akbar as | Marsiya
    Video Details ⬇️
    • Kalam - Apne Karyal Jawan
    • Reciter & Composer - Syed Murtaza Hamdani
    • Poet - Syed Meesam Mehdi
    • Chorus - Own Rizvi & Team
    • Audio - Lawa Studio
    • Video - JQ Productions
    • Creatives - SKM Designs
    • Location - Bargah Aal e Muhammad
    Noha Lyrics ⬇️
    Apne Karyal javaan ke laashay ko kaise baba zaeef utthaata hai
    Jis ki dosh-e-Nabi (saww) savaari thi, chal ke ghutnon ke bal wo aata hai
    1 Jis ki guftaar thi Payambar (saww) si, aur kirdaar bhi Payambar (saww) sa
    Wo tha hamshakl-e-Mustafa (saww) Akbar (as), jis ko Zainab (sa) ne khud hee paala tha
    Haye maidaan-e-Karbala mein wo, barchi seenay mein kaise khaata hai
    2 Larkharraatay hooway jo phoncha tha, laash-e-Akbar (as) pe laal Haider (as) ka
    Erridyon ne jo khat banaaya hai, khud mitaati hai haathon se Zahra (sa)
    Allah (swt) jaanay wo kaisa manzar tha, ashk zaalim bhi khud bahaata hai
    3 Hashr se pehle hashr ka lamha, Karbala mein bhi ik ye aaya tha
    Mout khud dekhti rahi ro kar, Qalb-e-Zainab (sa) bhi saath phatt-ta tha
    Kis tarha se pissar ke seenayy se, shah barchi ko ab churraata hai
    4 Ya Ali (as) keh ke mere Mola (as) ne, haye barchi nikaali seenay se
    Hausla denay apne betay ko, Mustafa (saww) aa gaey Madinay se
    Saath barchi ke dill nikal aaya, bus yehi gham qamar jhukaata hai
    5 Jis gharri aaya qaasid-e-Sughra (sa), shah ro kar ye bolay Akbar (as) se
    Tujh ko beemaar yaad karti hai, raah takti rahi hai wo ghar se
    Kaise Akbar (as) ki laash par Mola (as), haye khat khol ke sunaata hai
    6Noha ye bekassi-e-Sarwar ka, kaise likh paa raha hai tu Meesam
    Kya guzarti thi shah ke dil par, soch kar kaise na karoon matam
    Main to kya khud mere qalam ko bhi, raat din gham yehi rulaata hai
    Iltemase Dua
    #yahussain #hazrataliakbar #noha #muharrum #yamaula #nohay #prophetmuhammad #ashura #10thmuharrum

ความคิดเห็น • 6