Urdu Divas Special : Kya Kehta Hai Lucknow

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 9 พ.ย. 2024

ความคิดเห็น • 16

  • @erdevanshu
    @erdevanshu 4 ปีที่แล้ว +8

    Hindi and Urdu are two great languages of Awadh region of India. Ye dono zabane ghulam Hindustan ki Awadh riyasat ki mukhtalif zabane thin aur hamesha rahengi, hamen inse muhabbat honi chahiye.
    Kisi zaban ko mazhab se jodna sahi nahi hai lekin badkismati se naye zamane me yahi ho raha hai.
    Aap beshaq kisi bhi zaban me guftgu kariye aapki marzi lekin dusri zaban ki mukhalfat karna ya beizzati karna tehzeeb nahi hai. Ye dono hi zabane alhada hote hue bhi ek jaisi hain.
    Yahan par be fizool ki nafrat mat failaiye. Mazakraat karne me koi burai nahi hai lekin gandgi failana nafrat failana gunah hai. Aap Hindu ke nukht-e-nazar se dekhenge to aapko Hindi se muhabbat hogi aur hona lazimi bhi hai lekin Urdu se nafrat nahi honi chahiye. Aur yahi baat hamare musalman bhaiyo ko bhi samajhna hoga Hindi unki bhi utni hi zaban hai jaise Urdu hai.
    Aaj bahot sare Hindu khaalis Hindi bolna nahi jante aur sare Muslim khaalis Urdu nahi jante, bahot se to Urdu, Farsi likh padh bhi nahi paate. Bahot se logon ko Urdu ke hurufon ka talafuzz bhi theek se nahi aata. Aise me kisi zaban par itna ghurur karna theek nahi hai.
    Aapas me nafrat mat rakhiye. Isse kaumi yakjehti aur badhegi. Wo kaisa manzar hoga jisme Hindu kaum Urdu, Farsi seekhen aur Muslim bhai Hindi, Sanskrit seekhen.
    Kisi zaban ke liye ek dusre ke mazhab ko gaali mat dijiye.
    Shukriya!
    ----
    Kunwar (Prince) Devanshu Srivastava,
    8th generation direct descendant of Raja Jhau Lal Srivastava of Awadh (Lucknow).

  • @imranfaisal9091
    @imranfaisal9091 ปีที่แล้ว

    Very good video

  • @shababify
    @shababify 3 ปีที่แล้ว

    Big fan jamshed sir❤️

  • @shaikamair8130
    @shaikamair8130 4 ปีที่แล้ว +1

    Daore jaha nhi ,daore zama hamara

  • @ahmadjutt6440
    @ahmadjutt6440 4 ปีที่แล้ว +1

    Alama iqbal born Sialkot punjab pakistan

  • @kazimraza1
    @kazimraza1 3 ปีที่แล้ว +1

    yaume urdu ke nam pr lucknow se peshkarda ye video dekh kr waqai bada afsos ho raha he...
    afsos ye he k anchor khud urdu ke muta'alliq kuch khas nahi janta... magar afsos ke lucknow ki urdu search karne pr ye video hame dekhne ko mili jisme koi sahi tareeqe se urdu shayari bhi nahi suna paya...

  • @yasirkhanhameedi8976
    @yasirkhanhameedi8976 5 ปีที่แล้ว +1

    sahab yeh purane Lucknow ka ilaqa nahi hai

    • @muhammadmirza5225
      @muhammadmirza5225 5 ปีที่แล้ว

      Bhai ye Purana lucknow hi hai nawabo k tym ka

  • @thuchuk
    @thuchuk 5 ปีที่แล้ว +2

    bulbulay phat gaye hindustan k...

  • @fahadshams99
    @fahadshams99 5 ปีที่แล้ว

    pakistani honay k natay chunkay urdu hamari qomi zubaan hai mujhe tajassus tha k lakhnow mein urdu ka kya haal hai ... q k hum punjab mein rehtey hain aur hum urdu k muamley mein ehle zubaan nahi aur hum lakhnow aur hyderabad deccan ko smjhtay hai k wahan khalis urdu boli jati hai lekin ye video clip dekh k afsos hua k urdu tw lakhnow jese sheher mein damm torr chuki hai

    • @muhammadmirza5225
      @muhammadmirza5225 5 ปีที่แล้ว +1

      Bhai Urdu logo ko ab zyada ati nai kuch log Jo hai jinko jazba hai ya nawab hai Jo rhety hai puranre lucknow me..par Bhai abhi bhi bhot log hai jinhe acchi Urdu ati hai .. lucknow ki Urdu bhot alag hai mazi me logo ko aur aala ati thi par afsos daur ak sa nai rheta ..meer anees ne Urdu ko Naya rang Diya tha .. وسلام

    • @fahadshams99
      @fahadshams99 5 ปีที่แล้ว +1

      Muhammad Mirza zubaan jab boli ni jaye gi tw wo mar hi jati hai.. is lehaz se pakistan mein urdu zinda hai lekin koi khas kaam ni hora isko mazeed parwaan charrhanay k liye ... hum log urdu sirf imtehan mein pass honay k liye parhtay hain ... roz marra ki zindgi mein sindhi urdu mein thorri sindhi shamil krleta hai punjabi punjabi krleta hai pakhtoon pashto aur bss milawat wali urdu aam logo se sunney ko milti hai...
      hmaray haan agar kisi ney urdu ko sahi maano mein zinda kiye rkha hai tw wo mahajir log UP se aaye huay jo ab karachi walay kehlaye jatay hain karachi mein rehtey hain...

    • @muhammadmirza5225
      @muhammadmirza5225 5 ปีที่แล้ว

      @@fahadshams99 ji ha U.p sooba hai Lucknow uska capital par Lucknow me hai ham log Hindi nai bolty Urdu hi bolty hai ha mix zubaan hai Original Urdu to bhot hard hai ab Chand log hi Bache hai par lucknow me abhi bhi zinda hai

    • @fahadshams99
      @fahadshams99 5 ปีที่แล้ว

      Muhammad Mirza afsos ki baat hai... bharat mein tw phir urdu likhney bolnay walay hi khatm hojayengay

    • @muhammadmirza5225
      @muhammadmirza5225 5 ปีที่แล้ว

      @@fahadshams99 aisa nai hai Bhai abhi bhi bhot community hai Jo Urdu ko bachaye hai All over India kafi news channels hai Urdu k bhot programs hoty hai Urdu shyari aur bhi Deegar cheeze hai