How to prepare a monologue | Practise for an actor |Practise at home| Acting tips for beginners

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 4 ธ.ค. 2024
  • How to prepare a monologue for practise at home for beginners or aspiring actors .
    watch the video for basics and perform it
    keep learing
    ...................som.
    --------------------------------------------------------------------------------
    monologue
    About the character
    Migrated worker
    Gaon se ake shaher mein raheta hai, logo ke ghar mein kam kar ke paisa kamata hai, aur apna ek ghar kharid ne ka sapna hai uska.
    Location
    (ek bahut hi chota sa kamra ,jismein sab kuch faila hua hai , garibi ke nishan bharpur nazar ate hai)
    Script
    (Ek admi/aurat dance kar rahe hai, aur uske ek hath mein chaku ke upar ek alu laga hua hai, aur mobile mein fm chal raha hai.dance karte karte thak ke beith jata hai.)
    Tujhe pata hai main keya ban na chata hun ? Raja… nahi raja nahi , bada admi.
    Bada admi kaun hai pata hai ? haha ! Jiske pass paisa hai be. Jo sab ke sar pe chari ghumata hai.
    Lekin jo bhi ho , mein bada admi ban ne ke bad keya karunga pata hai, ek 2 bhk flat kharidunga,20 X 20 ke ek dining room ke sath , jismein do bathroom , ek hagne ,mut ne keliye aur ek nahane keliye . Hahahaah. Maza ayega na.
    Abe do bathroom kyun? Arey,
    Agar hum dono ko subha kam pe jana hua to ek sath ek poty mein kaise jayenge ? hahahha……
    Lekin , mujhe kyun kam pe jana ?
    Abe main to bada admi ban jaunga, bada admi sirf beith ke khayega aur hage ga, phir khayega phir hage ga, aur bich bich soye ga, news dekhe ga, aur sal mein ek bar vote dene jayega.
    Arey arey, main to kam wali bai rakhunga na ,
    Aur uspe hukum chalaunga...
    Ye pressure cooker pe khana kyun laga hai , e kal thoda jaldi ana, e yahan kone pe pocha laga, e bathroom kyun nahi saf kiya , e yeh kar, e wo kar e usko dekh , e isko dekh , e tera tankha kat lunga ,e mera sar khaja , e mera gala daba de , e e e e e e e …. …… (bahut gussa hoke wo chaku samet alu ko jor se diwar pe fek ke marta hai)
    Phir bahut der tak chup chap beitha raheta hai ,
    aur phir kuch soch te soch te phirse sabji katne lagta hai .
    (****you can chose any action , like bartan dhona, kapda sametna , khana banana , ghar saf karna etc.)
    -------------------------------------------------------------------------------------------------
    The Monologue
    • Hindi Monologue | NSD ...
    -----------------------------------------------------------------------------------------------------
    The Facebook Public Group
    / 619166238688685
    -------------------------------------------------------------------
    Mail me ► breadbuttertoast.b@gmail.com
    ------------------------------------------------------------------------------------
    Follow me on
    Facebook► som nath
    / somthisside
    -------------------------------------------------------------------
    Instagram► I'm on Instagram as @somthisside
    ...
    ----------------------------------
    twitter►
    / somthisside
    --------------------------------------------------------------------
    Original BBT
    #Actingtipsforbeginners
    #NSD
    #HindiMonolouge

ความคิดเห็น • 89