Hajj Kaise Kare | How To Perform Hajj By

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 29 ต.ค. 2024

ความคิดเห็น • 101

  • @IRCTV
    @IRCTV  2 ปีที่แล้ว +22

    𝗛𝗮𝗷𝗷 𝗲 𝗧𝗮𝗺𝗮𝘁𝘁𝘂 𝗞𝗮 𝗠𝗮𝘀𝗻𝗼𝗼𝗻 𝗧𝗮𝗿𝗶𝗾𝗮 (𝟮𝟲 𝗣𝗼𝗶𝗻𝘁𝘀)
    00:00 - Start
    01:49 - 01) Miqaat Se Umrah Ka Ihram Bandh Kar Makkah Aana Aur Umrah Ada Karne Ke Baad Ihram Utar Dena
    02:18 - 02) 8 Zil Hajj (Yaum ut Tarwiyah) Ko Makkah Me Apni Qiyamgah Se Hajj Keliye Ihram Bandhna
    02:33 - 03) Ihram Bandhne Se Pehle "Labbaika Hajjan" Keh Kar Hajj Ki Niyyat Karna
    02:46 - 04) Ihram Bandhne Se Pehle Ghusl Karna Aur Jism Par Khushbu Lagana
    03:10 - 05) Mumkin Ho To Namaz e Zuhar Ada Karne Ke Baad Ihram Bandhna Mustahib Hai (Warna Point No. 07 Ke Mutabiq Zuhar Se Pehle Bhi Ihram Bandh Sakte Hai)
    03:14 - 06) Ihram Bandhne Ke Baad Buland Awaz Se Talbiyah Kehna Aur Ek Bar Ye Alfaz Ada Karna “Allahumma Hazihi Hajjatun Lariya'a Feeha Wala Sum'ah”
    03:51 - 07) 8 Zil Hajj Ko Ihram Bandhne Ke Baad Zuhar Se Pehle Talbiyah Kehte Huwe Mina Pahonchna Aur Waha Zuhar, Asr, Maghrib, Isha Aur Fajr Ki 5 Namaze Qasr Kar Ke Apne Apne Waqt Par Bajamat Ada Karna
    04:42 - 08) 9 Zil Hajj (Yaum e Arfa) Ko Tulu e Aaftab Ke Baad Takbeer, Tahleel Aur Talbiyah Kehte Huwe Mina Se Arfat Rawana Hona
    05:11 - 09) Arfat Ke Din Roza Na Rakhna

    05:20 - 10) Arfat Me Dakhil Hone Se Pehle Wadi e Nimrah Me Qayam Karna, Zuhar Ke Waqt Arfat Me Imam e Hajj Ka Khutba Sunna, Is Ke Baad Zuhar Aur Asr Ki Dono Namaze Ek Azan, 2 Aqamat Ke Sath Bajamat Qasr Kar Ke Ada Karna
    06:49 - 11) Zuhar Aur Asr Ki Namaze Ada Karne Ke Baad Arfat Me Dakhil Hona Aur Jabl e Rahmat Ke Daaman Me Ya Jaha Kahi Bhi Jagah Mayassar Aaye Waha Wuquf Karna, Qibla Rukh Khade Ho Kar Hath Buland Kar Ke Qurani Wo Nabvi Duaein Mangna Aur Darmiyan Me Takbeer Wo Tahleel Aur Talbiyah Bhi Kehna
    07:54 - 12) Ghurub e Aaftab Ke Baad Namaz e Maghrib Ada Kiye Baghair Sukoon Aur Waqar Ke Sath Talbiyah Kehte Huwe Muzdalfa Rawana Hona
    08:30 - 13) Muzdalfa Pahonch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namaze 1 Azan, 2 Iqamat Ke Sath Qasr Kar Ke Ekhatti Ada Karna
    08:57 - 14) Raat So Kar Guzaarna Aur 10 Zil Hajj Ki Namaz e Fajr Mamool Ke Waqt Se Thoda Pehle Ada Karna
    09:04 - 15) Namaz e Fajr Bajamat Ada Karne Ke Baad Mash’aril Haram Pahadi Ke Daaman Me Ya Jaha Kahi Bhi Jagah Mile Qibla Rukh Khade Ho Kar Hath Buland Kar Ke Suraj Tulu Hone Se Pehle Khoob Roshni Phailne Tak Takbeer Wo Tahleel Kehna Tauba Astaghfar Karna Aur Duaein Mangna

    09:38 - 16) Tulu e Aaftab Se Pehle Sukoon Aur Waqar Ke Sath Talbiyah Kehte Huwe Mina Rawana Hona Aur Raste Me Wadi e Muhassar Se Tezi Se Guzarna
    10:02 - 17) Mina Pahonch Kar Tulu e Aftab Ke Baad Jamarah Uqba Ki Rami Karna Aur Rami Se Pehle Talbiyah Kehna Band Kardena
    10:59 18) Jamarah Uqba Ki Rami Ke Baad Qurbani Karna Aur Ho Sake To Isse Kuch Paka Kar Khana
    11:19 - 19) Qurbani Ke Baad Halaq (Takla) Ya Taqseer (Pure Baal Chote) Karna Aur Ihram Ki Chadarein Utar Kar Aam Libas Pahenna
    11:42 - 20) Mina Se Makkah Mukarramah Jakar Tawaf e Ifaza Ada Karna, Zam Zam Pina Aur Kuch Hissa Sar Par Bahana
    12:18 - 21) Safa Wo Marwa Ki Saee Karna Aur Makkah Mukarramah Se Mina Wapas Aana
    14:48 - 22) Aiyam e Tashriq (11,12,13) Zil Hajj Ki Raatein Mina Me Guzaarna Aur Rozana Zawal e Aaftab Ke Baad Jamarah Ula, Usta Aur Uqba Ki Bittarteeb Rami Karna
    15:48 - 23) Jamarah Ula, Jamarah Usta Ki Rami Ke Baad Qibla Rukh Khade Ho Kar Duaein Mangna Laikin Jamarah Uqba Ki Rami Ke Baad Duaein Mange Baghair Wapas Palatna
    16:44 - 24) Qayam e Mina Ke Dauran Mumkin Ho To Rozana Tawaf Karna, Mumkin Ho To Masjid Kheef Me Bajamat Namaze Ada Karna Aur Mumkin Ho To Bakasrat Tahleel Wo Takbeer, Hamd Wo Sana, Tauba Astaghfar Aur Duaein Mangna
    17:19 - 25) 12 Zil Hajj Ko Mina Se Wapas Aana Hoto Ghurub e Aaftab Se Pehle Mina Se Nikalna Ya Phir 13 Zil Hajj Tak Rukna (Ye Sunnat Hai)

    17:41 - 26) Makkah Muazzama Pahonch Kar Ghar Rukhsat Hone Se Pehle Tawaf e Wida Ada Karna

    • @Mohammed-jw5jx
      @Mohammed-jw5jx 2 ปีที่แล้ว +2

      Jazakallah hu khair

    • @uzairneugen
      @uzairneugen 4 หลายเดือนก่อน

      ​@@Mohammed-jw5jx aap ki phati padi hai janab. Sabse pehle angrezon ka libaas utarkar sunnat wala libas pehno phir bayan karo

  • @shadabansari-vf6nj
    @shadabansari-vf6nj 2 หลายเดือนก่อน

    MashaAllah...JazakAllahu Khair.

  • @farhafahadbinmusallam1807
    @farhafahadbinmusallam1807 ปีที่แล้ว +1

    Mashallah subhanallah
    Aamin ya Rabbul alamin

  • @RehanM-p7k
    @RehanM-p7k 20 วันที่ผ่านมา

    Jazakallah

  • @qaiserjahan1589
    @qaiserjahan1589 10 หลายเดือนก่อน

    Ameen summa ameen bahut achha samjhaya hai masha Allah

  • @JamiatAhleHadees37
    @JamiatAhleHadees37 22 วันที่ผ่านมา

    ma sha allah

  • @Thunders-of-Kashmir
    @Thunders-of-Kashmir ปีที่แล้ว +1

    JazakAllahu khair... Bohot achi tarah samjhaya

  • @faisal_roolox
    @faisal_roolox 2 ปีที่แล้ว +6

    Mashallah mashallah humsab ko Allah Hajj naseeb kre

    • @syedasif5079
      @syedasif5079 2 ปีที่แล้ว

      Ameen summa ameen ya rabbul alamin 🤲

  • @JamiatAhleHadees37
    @JamiatAhleHadees37 22 วันที่ผ่านมา

    ma sta allah

  • @ZebaIshteyaque
    @ZebaIshteyaque 6 หลายเดือนก่อน +1

    Masha Allah bht hi achcha bayan Karte ho aap Faiz bhai

  • @muhsin7755
    @muhsin7755 6 หลายเดือนก่อน

    جزاکم الله خير الجزاء عزيز محترم
    بہہہہہہہہہت خوب صورت معلومات دی ہے اللہ پاک آپ کو سلامت رکھے آمین

  • @depp123
    @depp123 10 หลายเดือนก่อน

    mashallah allah ap ko jazai khair ata kare

  • @rafiqrana9708
    @rafiqrana9708 2 ปีที่แล้ว +1

    ماشاءاللہ، بہت ہی اچھی انفارمیشن دی

  • @zubairkaseri6315
    @zubairkaseri6315 ปีที่แล้ว

    MASHALLAH BARAKALLAH

  • @hamidriad8442
    @hamidriad8442 ปีที่แล้ว

    JAZAAK ALLAHO KHAIRUN KATEERUN TAYEBUN FEKUM AAMEEN YA RABBIL AALAMEEN ❤

  • @sageeralam3950
    @sageeralam3950 ปีที่แล้ว

    Jazak Allah khair ya Shaikh Faiz

  • @glemverystore9132
    @glemverystore9132 2 ปีที่แล้ว +2

    Jazakallah Khaira Faiz bhai.

  • @sre24live3
    @sre24live3 8 หลายเดือนก่อน

    आपने बहुत अच्छे से समझाया।
    शुक्रिया

  • @rparwez6206
    @rparwez6206 ปีที่แล้ว

    JazakAllahu Khair...

  • @samadbaig3711
    @samadbaig3711 ปีที่แล้ว +2

    Alhamdulillah, excellent way of explanation! very simple and precise. Masha Allah

  • @adeebahmed1420
    @adeebahmed1420 2 ปีที่แล้ว +1

    Jzakilah sir

  • @firdoskazi6991
    @firdoskazi6991 9 หลายเดือนก่อน

    Jazak allah khair brother..

  • @roshanfirdos2103
    @roshanfirdos2103 ปีที่แล้ว

    jazak Allah khair

  • @nikhatjahan7869
    @nikhatjahan7869 ปีที่แล้ว

    Jzak Allah khairan

  • @shehzad13179
    @shehzad13179 ปีที่แล้ว

    Jazak Allah khair 👍🏼

  • @mak9743
    @mak9743 4 หลายเดือนก่อน

    walaikum assalam warahmatullahi wabarakatuh Faiz Bhai jazakallah khair for explaining in an easy way. May Allah make it easy for us to do Hajj and Umrah. May Allah gives us taufeeq to prepare ourselves financially,physically,spritually. Moreover make our niyyah qalis.
    Allahumma Aameen

  • @haseenashaikh6779
    @haseenashaikh6779 4 หลายเดือนก่อน

    Masha Allah

  • @nadeemqureshi2823
    @nadeemqureshi2823 8 หลายเดือนก่อน

    🌹JazakAllahkhair🌹

  • @samsam-hc1ks
    @samsam-hc1ks 6 หลายเดือนก่อน

    JAZAKALLAH Faiz bhai.

  • @farhaayaan5891
    @farhaayaan5891 ปีที่แล้ว

    Jazakalla

  • @syedmohiuddin6605
    @syedmohiuddin6605 4 หลายเดือนก่อน

    you are the best orator speaker and also explanation very nice
    but steps of Haj you have explained very fast

  • @ajeebogareeb6899
    @ajeebogareeb6899 2 ปีที่แล้ว +1

    Allah ka shukr hum is dafa phir hajj pe ja rahy hain😇wesy toh pehly bhi kiye hain lekin is daffa zayadh khushi hai🥰

  • @farhatnaz6811
    @farhatnaz6811 ปีที่แล้ว

    Mashaallah

  • @ummykhan1040
    @ummykhan1040 2 ปีที่แล้ว

    Jazak Allah

  • @mdaminamin5426
    @mdaminamin5426 2 ปีที่แล้ว +2

    Subhan Allah 💘

  • @mdaminamin5426
    @mdaminamin5426 2 ปีที่แล้ว +2

    Masha Allah 💘

  • @Adnankaseri212
    @Adnankaseri212 6 หลายเดือนก่อน

    Ameen ☝️

  • @muhammadtalhabaig4908
    @muhammadtalhabaig4908 2 ปีที่แล้ว

    Jazak Allah ❤️

  • @mohammadqureshi3803
    @mohammadqureshi3803 ปีที่แล้ว

    Mashallah

  • @ZebaIshteyaque
    @ZebaIshteyaque 6 หลายเดือนก่อน

    Very well explained

  • @mdnazil2506
    @mdnazil2506 ปีที่แล้ว

    Masha allaah

  • @wahidakhan4400
    @wahidakhan4400 2 ปีที่แล้ว

    Masha Allah very well

  • @mdaminamin5426
    @mdaminamin5426 2 ปีที่แล้ว +1

    Beshak

  • @aniqaaltaf7192
    @aniqaaltaf7192 ปีที่แล้ว

    MashaAllah ❤️

  • @LivestockPlus
    @LivestockPlus 2 ปีที่แล้ว +1

    MashAllah

  • @faridakhatun510
    @faridakhatun510 2 ปีที่แล้ว

    ameen🥰

  • @Adnankaseri212
    @Adnankaseri212 6 หลายเดือนก่อน

    Mashallaha 🫡

  • @Ummabdu89
    @Ummabdu89 6 หลายเดือนก่อน

  • @ajeebogareeb6899
    @ajeebogareeb6899 2 ปีที่แล้ว

    Ameen

  • @nagmaraunak1436
    @nagmaraunak1436 ปีที่แล้ว

    अस्सलाम वालेकुम, आप मेरे मरहूम वालिदैन के लिए अल्लाह पाक से उनके लिए गुनाहों की माफ़ी और जन्नतुल फ़िरदौस में उनके दाखिले के लिए अल्लाह पाक से दुआ कर दिजिए आमिना

  • @tahzeebkhan814
    @tahzeebkhan814 ปีที่แล้ว

    Mashallah subhanallah ❤️

  • @zeenatshaikh1994
    @zeenatshaikh1994 2 ปีที่แล้ว +5

    assalam walaikum

    • @syedzain14345
      @syedzain14345 2 ปีที่แล้ว +1

      Walikumassalam khriyat

  • @AafiyaAmjad
    @AafiyaAmjad 8 วันที่ผ่านมา

    Assalamualaikum ❤❤❤

  • @singinghindi1238
    @singinghindi1238 2 ปีที่แล้ว +3

    Nice

  • @firozbhocha9332
    @firozbhocha9332 2 ปีที่แล้ว +2

    Asw faiz bhai please aap sallallahu alaihi wasallam ki sirat ka complete lecture ka video banaye

  • @javeedabdulsattar696
    @javeedabdulsattar696 2 ปีที่แล้ว +3

    V fast explanation

  • @akeelmujawar6285
    @akeelmujawar6285 4 หลายเดือนก่อน

    How about prayer Zohar asar and isha on 10th 11th 12th zul hajj?

  • @sheikhnaser1163
    @sheikhnaser1163 5 หลายเดือนก่อน

    Tawaf e ifada ke baad maqaam e ibrahim per 2 rakaat namaz padhni hai ya nahi

  • @shahidanwer1350
    @shahidanwer1350 4 หลายเดือนก่อน

    Asslamulekum
    Jamarah Uqba ki rami karne k baad tawaf e Ifaza ada karsakte hain, fir uske baad qurbani or Halaqa.

  • @zainabfahim4509
    @zainabfahim4509 ปีที่แล้ว

    Assalam O Alaikum

  • @Abdulrahmanbinmohammad
    @Abdulrahmanbinmohammad 2 ปีที่แล้ว +10

    As Salam alaikum I invite you all to listen the glorious Qur'an

    • @MdaslamQuadri-f1v
      @MdaslamQuadri-f1v 6 หลายเดือนก่อน

      Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh....
      jazakallah khair

  • @varishamalik719
    @varishamalik719 5 หลายเดือนก่อน

    Asalamu alaikum
    11:42 - 20) mina se makkah Mukarramah jakar Tawaf e ifaza Ada karne ke baad maqam e ibraheem ke piche 2 nafil ada krne hai kya.?

  • @555sammmy
    @555sammmy 5 หลายเดือนก่อน

    Assalam o alaikum
    Tawaf e ifaza me tawaf karne ke baad maqame e Ibrahim par 2 rakaat namaz padhni hai ya nahi

  • @zainabfahim4509
    @zainabfahim4509 ปีที่แล้ว

    Assalam O Alaikum, hume tamatto hajj ke liye niyat hajj ki karni ya umrah ki?

  • @arshiabasheer75
    @arshiabasheer75 ปีที่แล้ว

    Is tawaf e wida as important as tawaf e ifada

  • @AnjumUsmani-xq8zq
    @AnjumUsmani-xq8zq 4 หลายเดือนก่อน

    Assalamu Alaikum
    Twaf karne k baad two rakat namaz nahi padhni hoti h kya makam e Ibrahim k pass?

  • @Mohsinahmed43
    @Mohsinahmed43 ปีที่แล้ว

    Assalamualaikum brother
    One of my friend said there is Extended Mina now, they increased tents and extended from the actual land of Mina and it enters in muzdalifa, if it is so then our haj rituals will still be accepted if we are in extended Mina tents? Plz bataye local haj economy extended mina tent se qabool hojayega?

  • @iamfastindianiamlastindian2860
    @iamfastindianiamlastindian2860 2 ปีที่แล้ว

    عورت صفا مروہ کے درمیان چلے گی یا دوڑے گی حوالہ کے ساتھ بتائیں

  • @faizaanjum4311
    @faizaanjum4311 2 ปีที่แล้ว

    Assalamu alaikum

  • @mumtajaalam8285
    @mumtajaalam8285 2 ปีที่แล้ว

    Pleas kuch bataey

  • @mkislam6795
    @mkislam6795 2 ปีที่แล้ว

    Assalamu alaikum hujur...humare oulad nehi ho rahee please aap kuch aisa amal bataiye taki hum usse kare or humari sari bimari or ek nek oulad Allah Pak humain de...

  • @mindshift326
    @mindshift326 9 หลายเดือนก่อน

    As salaam aliqum bhai .
    Mujhe please koi bataiga ke kya mai apne father ko hajj pe leke ja sakta hu ke nahi , wo 75 plus age ke hai ...
    Kaise leke ja sakta hu
    Kyu ke sab log ka kehna hai bahot muskil hai .
    Please guide me

  • @abdulganimulla5324
    @abdulganimulla5324 ปีที่แล้ว

    Ahram ki halat me wzoo kese kry

  • @naseemaansari5723
    @naseemaansari5723 ปีที่แล้ว

    Auraton ka hajj ka tariqa bhi bataye Bhai
    Assalamualaikum

  • @dr.samirahmed-yi7op
    @dr.samirahmed-yi7op 8 หลายเดือนก่อน

    Khasar namaz kyun ada karega jab 40 days ka stay hai?

  • @ShabnamKhan-mc2im
    @ShabnamKhan-mc2im 2 ปีที่แล้ว

    Assalamu alaikum sir sabse pehle toh apki City mei murder cases bht hore aap uss pr bayan de taki ye youth hai jo aj ki inko kuc samjme.aye

  • @laeeqahmad9482
    @laeeqahmad9482 2 ปีที่แล้ว

    Faiz bhai ma na tawaf e efaza 13 Tariq to Kia ha, Kia mara hajj ho gaya ya Dan Dana ho ga?

    • @IRCTV
      @IRCTV  2 ปีที่แล้ว

      Assalamu Alaykum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh
      Agar Koi Sawal Ya Masla Ho To Hame Call Kare 80-5545-5545

  • @mumtajaalam8285
    @mumtajaalam8285 2 ปีที่แล้ว

    Kaya sauhar thora thora kar ke mehar ka paisa de sakte hai

  • @fizakagathra7391
    @fizakagathra7391 2 ปีที่แล้ว

    Parde ki halat me Haj aur Umrah karsakte hai

    • @ajeebogareeb6899
      @ajeebogareeb6899 2 ปีที่แล้ว

      Ahram ki halat main chehry ka pardah nahin karna hajj main. Hajj ke elwa joh din hain us main kar sakthy hain😇

  • @khaderbashashaik1768
    @khaderbashashaik1768 2 ปีที่แล้ว

    As

  • @layers9019
    @layers9019 4 หลายเดือนก่อน

    Maqaam e Ibraheemi par 2 Rika'at Namaz ke baare batane bhool gaye ya namaz padhna saabit nahi hai??🤔

  • @mumtajaalam8285
    @mumtajaalam8285 2 ปีที่แล้ว

    Ham bahut paresan rahte hai.kaya bina paisa liy ham apne sauhar ka muhardain bakss sakte hai

    • @sabar7861
      @sabar7861 2 ปีที่แล้ว

      Haan ji bilkul...

  • @classicenterprises7110
    @classicenterprises7110 2 ปีที่แล้ว

    Pata nahi log hajj kaise kar lete hain

  • @nehalmughal509
    @nehalmughal509 8 หลายเดือนก่อน

    Is Hajj mandatory for a woman who has no personal wealth, while her husband possesses ample resources and agrees to finance her Umrah but not Hajj? In this scenario, what actions should the woman take? Would it be considered a sin for either the husband or the wife in this situation?

    • @ashrafmukhtarali1350
      @ashrafmukhtarali1350 5 หลายเดือนก่อน

      Its not mandatory on woman to do hajj if she has no financial means of her own

  • @mumtajaalam8285
    @mumtajaalam8285 2 ปีที่แล้ว

    Mere sauhar kamate 10000 hai to wo yek bar me mughe 50000 kaha se denge

    • @misbahkhan2926
      @misbahkhan2926 2 ปีที่แล้ว

      Please refer to Surah Nisa, this will be a mutual agreement settlement for Maher.

  • @mohsinkkhan636
    @mohsinkkhan636 2 ปีที่แล้ว

    Ek Firdaus naam se aadami hai Haj Kar Gaya ya Aur yateemo Ko Pareshan karna Jhooth bolna namaj padhna jayaj hai ya nahin Hai Is Kadar beiman Jhooth aur Dadhi Rakh Li iska comment jawab bhejen main aapko photo bhi dikhata hun Har Waqt yatriyon Ko Pareshan karna Kuchh Kahane ka Nahin uski haram ki Daulat Is Kadar Hai Kuchh Kahane ka Nahin Ham yakin Hai Hamare Upar julm karta hai aur had bhi Kar Gaya Hai Koi Kami paison Ki Nahin Hai Kya iska namaj Kabul hoti hai ya nahin hoti hai yah jayaj hai ya nahin jayaj hai

  • @mohdusman633
    @mohdusman633 2 ปีที่แล้ว

    Masha Allah

  • @mixdiy829
    @mixdiy829 2 ปีที่แล้ว +2

    MashaAllah

  • @tasneemhasmi818
    @tasneemhasmi818 ปีที่แล้ว

  • @ahmed123poly
    @ahmed123poly ปีที่แล้ว

    Ma sha Allah