LA FATAH ILLA ALI, LA SAIF ILLA ZULFAQAR - Qadeemi Salaam - Sachey Bhai - Janab Mehshar Lakhnavi

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 24 มิ.ย. 2015
  • Old Nauha from Lucknow: la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    Poet: Janab Mehshar Lakhnavi
    Recited by: Sachey Bhai (Syed Ali Mhd Rizvi)
    -------------------------------------------------
    Shahe mardan Shere yazdan quwwate Parwardigar
    la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    is tarha chalti thi ran may tayghe shere kirdagaar
    har taraf se ashkiyan may al-amaan ki thi pukar
    kar chuka jab dhayr marhab ko shahe duldul sawar
    aa rahi thi ye sada dewaar o dar se baar baar
    Shahe mardan Shere yazdan quwwate Parwardigar
    la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    jis tarha koi Khuda e paak se badh kar nahi
    jis tarha koi Rasool Allah ka hamsar nahi
    ek hai dunya may Hyder doosra Hyder nahi
    misle Hyder ye kisi ki taygh may jauhar nahi
    ek taraf saari ibadat ek taraf Hyder ka waar
    la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    juz Ali ka kaun haq ke waaste sina sipar
    kaun uth-ta tha Rasool Allah ki awaaz par
    kisne qurban kardiya raahe Khuda may apna ghar
    is haqeeqat se bhala hum kis tarha phayre nazar
    hai isi awaaz par takbeer ka daar o madaar
    la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    yaad karlo door kyun jaate ho kal ki baat hai
    jang ke maidan may kaam aaya wo kiski zaat hai
    mehre hairat muttaqil lashkar pe kaayanat hai
    haq o nusrat aaj bhi name Ali ke saath hai
    goonjta hai Hyderi naaro se dashte kaarzaar
    la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    kaam aaya phir wohi jab waqt aaya imtihan
    naam se jiske larazte hai zameen o aasman
    laakh jalta ho Ali ke kaarnamo se jahan
    sabse afzal aaj hai dunya may Hyder ka nishan
    aaj bhi sajti hai seeno pe ek yehi yaadgaar
    la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    kehte thay Mohamed maadare ghamkhar se
    is tarha ran may ladenge lashkare kuffar se
    sab hame tashbeeh denge Jaffar e Tayyar se
    bach ke jaa payega koi kya hamare waar se
    khaynch denge taygh se hum badr ke naksh o nigaar
    la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    kya koi rokega humko matame Shabbir se
    baandh-de koi hame gar aahni zanjeer se
    mustaqil hojaye gardan bhi agar shamsheer se
    kyun na ho Mehshar* aqeedat Shahe khyber geer se
    ya Ali kehdenge jab ruk jayegi khanjar ki dhaar
    la fata illa Ali la saif illa Zulfaqar
    ======
    Please Comment / Like / Share / Subscribe.
    You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
    archive.org/details/BayaazOfO...
    Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
    #OldNohay #NohaWordings #QadeemiNauha #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #NauhaLyrics

ความคิดเห็น • 2

  • @ashadhusain8051
    @ashadhusain8051 3 ปีที่แล้ว +4

    JazakAllah..... Thanks for recording

  • @OldNohay
    @OldNohay  9 ปีที่แล้ว

    Please click on 'SHOW MORE' above to see complete words of this Old Nauha.
    Please Like / Comment / Share / Subscribe.
    Please visit www.wirasatali.com (th-cam.com/users/wirasatali) for datewise nauhas for all wafaats.