MASHA ALAH, A SOUL TOUCHING CREATION ,SURELY IT IS A GREAT LITRIC GIFT BY MAULA ALI [AS ] IT WILL BE REMEMBERED AND RECITED FOR EVER ......LONG LIVE Janab Shuja Rizvi sahab
Farhan Ali Karbala muntazir e ma\'ast biya taberaweem Jaade raah'ast muhayya'ast biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 1. Raasta humko shahadat ka bahattar se mila azm kitna hume zakhm e ali akbar se mila khoon kitna hume abbas e dilawar se mila hausla faujo ko nanhe ali asghar se mila kitne maula ke hai ehsaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 2. Raah purkhaar hai dushwaar hai chalne ke liye kuch sahara nahi girte ko sambhalne ke liye muntazir khoon hai gardan se nikalne ke liye ghode tayyar hai laashe ko kuchalne ke liye shaah hai aap ke mehmaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 3. Tashnalab logo ke ye khoon ka darya dekho tukde tukde jo hai qasim ka ye lasha dekho bhai abbas ke ye daste burida dekho lashe asghar liye ye kaun hai tanha dekho bhargaya laasho se maidaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 4. Wo yazeedi jo the duniya ke hawis ke maare kardiye deen ke ehkam mo'attal saare farsh par toot gaye arsh e khuda ke taare khaak aur khoon me ghalta the wo bikhre paare nauke naiza pe hai qur'aan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 5. Koi eezaa na pohoch paye nabi ghar ko raahe shabbir me hum ab bhi kata de sar ko teer lag jae na hurmal ka ali asghar ko koi barchi nahi lag jae ali akbar ko jaan par waar do tum jaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 6. Jism pamaal hai qasim ka shikasta sar hai laash reti pe hai ab muh se zaba bahar hai jiske sine se ubalta hai lahu akbar hai teer gardan me hai jiske ye ali asghar hai hai lahu tahade imkaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 7. Qaid khane ki musibat me koi aas nahi baap ka sar bhi tasalli ke liye paas nahi aaj bachi ki madad ke liye abbas nahi kab se pyasi hai sakina tumhe ehsaas nahi ye sada deta hai zindaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 8. Muntaqim karbobala ka wo abhi aayega jo husaini hai wo lashkar me abhi pohchega kaun aulad ko nusrat ke liye bhejega kaun akbar ke kaleje se sina khechega ye husaini ka hai paighaam biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 9. Aapko zaat ke patthar se bhi ladna hoga aapko arzo e zan se bhi ladna hoga aapko nafs ke lashkar se bhi ladna hoga sirf bahar nahi andar se bhi ladna hoga maanglo jung ka samaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 10. Nasire mehdiye haq janibe kaaba aaja chhod kar daulat e duniya ki tamanna aaja faisla hurr ki tarah karke tu aaja aaja muntazir tere hi ghaibat me hai maula aaja tujhpe qurbaan meri jaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 11. Kaash aye kaash koi hota wafa ka meyaar kaash aye kaash koi rakhta mukammal qirdar koi tameer kara deta baqaiyye ka mazaar kaash hum me koi hota janabe mukhtar hai kaha aisa musalmaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem 12. Kaash aye kaash bane karbobala ka lashkar Kaash aye kaash mile aakhri wo fath o zafar Kaash jaari rahe maula ki ye nusrat ka safar karbala muntazir e mehdiye daura hai qamar dekho tayyar hai maidaan biya taberaweem Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem Husain husain husain
میں سنی ہندوستانی ہوں اور انکا نوحہ سن کر بڑا دل کو شکون ملتا ہے ماشاءالله
مولا سلامت رکھے جلد امام مہدی علیہ السّلام کا ظہور ھو جائے امین
شجاع بھائی مولا آپکو صحت و تندرستی والی طویل زندگی عطا فرمائے اور آپ یوں ہی پیغام کربلا دنیا میں عام کرتے رہیں۔ آمین یا رباللعالمین
Main qurban apke...Jabse sunra hu tabse apne desh ki azadari yaad agayi bina suna reh nai sakre maula apko Salamath rakhe
Kitne Mola ke han ahsan bia taberaweem😢❤️
Bibi Zhera (salamullah ale)aap ki tufiqat main izafa farmain.👍
MashAllah 2023 moharam
Aap kalam aur awaz bahut payre he
AAP ka voice bhaut accha hai Jio Hussaini labbaik ya hussai
MASHA ALAH, A SOUL TOUCHING CREATION ,SURELY IT IS A GREAT LITRIC GIFT BY MAULA ALI [AS ] IT WILL BE REMEMBERED AND RECITED FOR EVER ......LONG LIVE Janab Shuja Rizvi sahab
Mashaallah maula salamat rakhey apne azadar ko
Subhanallah
Love this noha v much am dunni love nohas prsy Almighty Allah 2 dhed differences within muslims
Masa'Allah..... Jazak'Allah khaira..............Maula Salamat Rakhein
Like this
😭 ya matam Hussain
Really touch heart.
Yes its realy nice qalam.ya ali
Mashallah mola salamt rakhy salam ya hussain as
Beautifully written and recited.
MashAllaH Allah apko jaza daey
Wah bri pyri voice or lyrics
Mashallah
It was really good and it was touch with heart.
heart touching noha♡
ماشااللہ بہوت خوب
What is meaning of Persian verses in urdu.plz someone give its urdu translation
my favriout nauha
mashallah jazakallah
bhut Dil ki chune wala nhuoa
mashallah
Jazakallah Really heart tuch
Mashaallah!
Masha Allah
What a beautiful voice ❤️
Excellent
😭😭😭😭🤲😭😭😭😭HYDERABAD INDIA 🇮🇳
2:43 Nasir Abbas
Urdu version of persion noha
subhan allaha exellent
salamt rahe ap hmesha
Rouh main utarty hain ye lafz
Kia koi momin is nohay k lyrics Urdu (اردو) likh k day skta hai???
its already given in its original noha. let me send u the link
th-cam.com/video/ZmzcvUjeBj0/w-d-xo.html
isko open ker k is video ka description box open keryin. full n complete lyrics likhy hue hain bhht mehnat say
hay allah mera akela molla
jio sayed salamt raho
Biya taberavee ka matlab urdu kia hai plzzz kui btaey ga
"Aao chaley"
@@syeidziaahassan3064 Jaade Raah'ast?
@@murtuza87" jaade wa aasb"
Raasta aur ghoda
@@syeidziaahassan3064 JazakAllah
Mashllha molla samat rakky
Ya Ali Madad
Your voice is so painfull
can some one send me urdu writing of this Nohaa
Farhan Ali
Karbala muntazir e ma\'ast biya taberaweem
Jaade raah'ast muhayya'ast biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
1. Raasta humko shahadat ka bahattar se mila
azm kitna hume zakhm e ali akbar se mila
khoon kitna hume abbas e dilawar se mila
hausla faujo ko nanhe ali asghar se mila
kitne maula ke hai ehsaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
2. Raah purkhaar hai dushwaar hai chalne ke liye
kuch sahara nahi girte ko sambhalne ke liye
muntazir khoon hai gardan se nikalne ke liye
ghode tayyar hai laashe ko kuchalne ke liye
shaah hai aap ke mehmaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
3. Tashnalab logo ke ye khoon ka darya dekho
tukde tukde jo hai qasim ka ye lasha dekho
bhai abbas ke ye daste burida dekho
lashe asghar liye ye kaun hai tanha dekho
bhargaya laasho se maidaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
4. Wo yazeedi jo the duniya ke hawis ke maare
kardiye deen ke ehkam mo'attal saare
farsh par toot gaye arsh e khuda ke taare
khaak aur khoon me ghalta the wo bikhre paare
nauke naiza pe hai qur'aan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
5. Koi eezaa na pohoch paye nabi ghar ko
raahe shabbir me hum ab bhi kata de sar ko
teer lag jae na hurmal ka ali asghar ko
koi barchi nahi lag jae ali akbar ko
jaan par waar do tum jaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
6. Jism pamaal hai qasim ka shikasta sar hai
laash reti pe hai ab muh se zaba bahar hai
jiske sine se ubalta hai lahu akbar hai
teer gardan me hai jiske ye ali asghar hai
hai lahu tahade imkaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
7. Qaid khane ki musibat me koi aas nahi
baap ka sar bhi tasalli ke liye paas nahi
aaj bachi ki madad ke liye abbas nahi
kab se pyasi hai sakina tumhe ehsaas nahi
ye sada deta hai zindaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
8. Muntaqim karbobala ka wo abhi aayega
jo husaini hai wo lashkar me abhi pohchega
kaun aulad ko nusrat ke liye bhejega
kaun akbar ke kaleje se sina khechega
ye husaini ka hai paighaam biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
9. Aapko zaat ke patthar se bhi ladna hoga
aapko arzo e zan se bhi ladna hoga
aapko nafs ke lashkar se bhi ladna hoga
sirf bahar nahi andar se bhi ladna hoga
maanglo jung ka samaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
10. Nasire mehdiye haq janibe kaaba aaja
chhod kar daulat e duniya ki tamanna aaja
faisla hurr ki tarah karke tu aaja aaja
muntazir tere hi ghaibat me hai maula aaja
tujhpe qurbaan meri jaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
11. Kaash aye kaash koi hota wafa ka meyaar
kaash aye kaash koi rakhta mukammal qirdar
koi tameer kara deta baqaiyye ka mazaar
kaash hum me koi hota janabe mukhtar
hai kaha aisa musalmaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
12. Kaash aye kaash bane karbobala ka lashkar
Kaash aye kaash mile aakhri wo fath o zafar
Kaash jaari rahe maula ki ye nusrat ka safar
karbala muntazir e mehdiye daura hai qamar
dekho tayyar hai maidaan biya taberaweem
Karbala muntazir e ma'ast biya taberaweem
Husain husain husain
Farhan Ali thanks for lyrics ❤
❤
It was really good and it was touch with heart.
mashallah