WALLAH - SOS x 30KEY! (Official Audio)

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 6 ก.พ. 2025
  • Wallah [I Swear] is a powerful anthem that tackles societal criticism and the pervasive issues plaguing the world. The lyrics paint a vivid picture of a society manipulated by unseen forces, where individuals are reduced to mere pawns in a larger game. Through sharp commentary, the song addresses topics like inequality, corruption, and apathy, urging listeners to wake up and recognize their role in this twisted chess match. With a hard-hitting beat and provocative verses, the track challenges the status quo and inspires a call to action.
    Written by: Tufail Nazir (SOS)
    Produced by : 30KEY!
    Mix And Mastered : Arif Mir
    Lyrics:
    Pre hook :
    Sach ka dena koi na sath
    Sach ko de na koi haat
    Sach toh rahega raaz
    Sach hai rooh ka ghubaar
    Sach na hota bardasht
    Hook :
    Wallah
    Na inmein imaan ye ana mein dabbe sab
    Wallah
    hai chehre hazar, ye badle ku kaise kab ?
    Wallah
    Ane se pehle humaare ye baje kab ?
    Wallah
    abh boli sach baat toh daanto se kaate lab
    Verse 1 :
    Haat se jo nikle duniya gareeb
    Dil se jo nikle duniya waleeh
    Mehshar tha jiske dil ke qareeb
    Duniya se nikle banke ameer
    mai khudko jo samaj baitha kabeer
    bhul chuka duniya kitni sageer
    Woh toh az har do aalaam gani
    Iqbal bhi jo banu mai par man faqeer
    mai kaise likhu ye sab insaan galeez
    mai
    haan likhta bohat badtareen mai
    naak chidi lagta tumko khanzeer mai
    haan pehanta mehangi kameez mai
    nahi milta tumse tameez se
    khudnuma haan ladka razeel mai
    Ana aur qibr ke mazeed toh
    Ghamand he ek mera azeez hai
    khuda bane phire yaha saat aath sau kyu ?
    Inke haat khali uthte hai taak raat ko kyu ?
    Inki mehfilo ke mozu hum baat baat pa kyu ?
    Gaane likhu jaagu mai raat raat ko kyu ?
    Udaas dekhu mere mai maa baap ko kyu ?
    Bayaan karu mere mein haalaat ko kyu ?
    Meri shayari ko fenkoge taalaab mein tum
    Jab haraam hai moseeqi aur nasaaz ye dhun
    Verse 2 :
    Bache ye jahil hai ku karu behes
    Likhne pa Ghalib par asal mein fahesh
    Gaano mein sab hai dikhawa munafiq ye dunga ni abh inhe rehne mai rehesia
    Milne pa shehed ye peeche baghawate, geebatein karte hai khoob
    Shohrat ki pyaas hai inmein bujaate jo peeke shaheedo ka khoon
    Cheenu sukoon abh inke jo kholu mai raaz
    mai kaise karunga bardasht
    ek haat mein leke sharaab
    ek haat se de inqalab
    Tanaza kare istemaal
    hai paisa he inka bhagwan
    ye wallahi saare bakwas
    utaare har verse libaas
    Lino ka tarjuma karke ye chode angrezo ke bars
    Afsos ye toh poora zor dete kheenchne ko neeche par hai inki baat pa ni khada koi
    Bas roz salah deen ki ye denge gunehgaar padhe paanch mein se ek bhi na salah koi
    Mat bol mujhe bhai bhai munafe mein tere yaha bina waliden ke ni saga koi
    Maine bola thana bete tu beta mai tera walid neeche baith tere baap se ni bada koi
    Iss naam ka matlab he zariya hai
    Tufail ek waseeh nazariya hai
    Har gaane mein pehne ye taaj mai laata sehlaab doobe 14 ke dariya mein
    Shehryaar tera gir raha qillah
    Shehryaar saare inna lillah
    Teri kashti tooti teri basti doobi sath upar wala khali bacha mera zilla
    Mai haaru bhi hasske uthu hum hote na yaha pa mayoos dawood
    Tu chala sone ki talwar ek luqme mein hazam qaroon waroon
    Mai khada lohe ki deewaar ye rapper sab chotey yajooj majooj
    Darwesh iss qalam se bana mai pehle aur rap game mein phir thehra Mahmoud
  • เพลง

ความคิดเห็น • 227