Bhaiya Ka Gala Katate Huye Dekha Hai Maine | Raza Abbas Sultanpuri | New Noha 2024
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 13 ต.ค. 2024
- Bhaiya Ka Gala Katate Huye Dekha Hai Maine | Raza Abbas Sultanpuri | New Noha 2024 | Live Nauhakhani At Lucknow Alamnagar
Title - Bhaiya Ka Gala Katate Huye Dekha Hai Maine
Related - Imam Hussain Janabe Zainab
Reciter - Raza Abbas Sultanpuri
Poet -- Arshi Maulai Akbarpuri
Venue - Lucknow Alamnagar
Lyrics (English )
Zainab ne kaha qabre payambar se lipatkar
Bhaiya ka gala katate huye dekha hai maine
Mai bhool nahi paugi aye Nana wo manzar
Bhaiya ka gala katate huye dekha hai maine
1. Jab shimre layin bhai ke seene pe Chadha tha
Us waqt zami aur zama kaanp Raha tha
Kar payi na kuch chalta raha shimr ka khanjar
2 furqat mere bhai ki mujhe jeene na degi
Ye chain ki ek sans mujhe lene na degi
Hai mujhko yaqeen Mai bhi guzar jaugi ghutkar
3 tha teen shabo roz ka pyasa mera bhai
Maqtal se har ek lash ko laya mera bhai
Pani bhi pila payi na Bhai ko mai lakar
4 dukh ye hai ki qatil bhi musalman the Nana
Jitne bhi the sab qariye quraan the Nana
Zulm aapki ummat ne kiya hampe ye kyu kar
5 chadar ko layino ne Saro se hai utara
Balwe me hame apki ummat ne phiraya
Abbas ka lasha bhi tadpta tha naher par
6 sar sare shaheedo ka bhi naize pe Chadha tha
Par Ghazi ka sar ghode ki gardan me bandha tha
Qki na thi nana mere sar par meri chadar
7 bunde bhi sakeena ke layino ne utare
Us Chand si bachi ke tamache bhi hai mare
Sunkar ye sada hilne lagi qabre payambar
8 Allah kisi ko na kabhi din ye dikhaye
Pardes ghar lut ke wo is tarah na aaye
Arshi o Raza kahti Rahi zainabe muztar
Acces :-
Zainab Ne kaha Qabre payambar se lipatkar
Bhaiya Ka Gala Katate Huye Dekha Hai Maine
Noha Raza Abbas
Raza Sultanpuri nohay
Amari Noha
Safar Noha
#nohay2024 #noha2024 #azadar #razaabbas #razasultanpuriofficial #razaabbasnoha #amarinoha
#julooseamari #28safarstatus #molahussain #imamhusain #nohaimamhussain #nohabibizainab
#yahussain #yazainabس #sultanpurnoha
MASHALLAH BHAI MAULA SALAMAT RAKHE
subhan allah
🙌🇮🇳🏴💔😭😭😭
😭😭😭😭😭😭
Mashallah
😢😢😢😢