क्यूँ 14वें दिन गुरु द्रोण को हराना असंभव हो गया था | क्यूँ अर्जुन को द्रोण से दूर रखा श्री कृष्ण ने
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 6 ก.พ. 2025
- कुरुक्षेत्र युद्ध के 14वें दिन जब अर्जुन जयद्रथ को मारने के लिए तत्पर थे उस दिन उनके सामने गुरु द्रोण आ गए , उस दिन अर्जुन और श्री कृष्ण के लिए भी गुरु द्रोणाचार्य के साथ युद्ध करना कठिन हो गया था , क्या हुआ था उस दिन देखिये विस्तार से अर्जुन और गुरु द्रोण के युद्ध के बारे में
#arjun, #mahabharat, #drona
Radhe Radhe
Sachidanand wow 🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Brahman 🚩🚩🚩 jai brahmanatva
Jiske purn Bahu Bal ke samane koi bhi yodha yudh karne ki to door khada hone ki bhi nahi soch sakta aise Kunti Nandan Arjun ki Jai Ho🙏🙏🙏🙏
😂😂chodu 😅😂😂🥷
❤
Bhagwan Krishna 🙏🙏 ki Jai. Koti koti pranam
Guru guru hota hai shishya kitna hi shaktishali ho
Arjun aur guru Dronacharya ko ek dusre ke prati kitana sneh tha ye to jan lo
Bhishma pitamah ne kaha tha ki Dronacharya Arjun ka vadh kabhi nahi karge
Aur jab Dronacharya ne 15 din bhohot Thej yudh kar rahe the tab shree Krishna ne kaha tha ki aaj Dronacharya aadhe din bhi yudh karte rahe to pandaw sena nahi bachegi
Isliye Dronacharya ko rokane ki samta sirf Arjun me thi per vo kabhi apne pure man se yudh nahi karega
Isliye to Aswathama maragaya bolke unse sastra rakhva diya the
Bhai arjun mai itni shakti thi ki vo dronacharya ko rok paye lekin itni shakti bhi nahi thi ki jab tak dronacharya ke hatho mai sastra hai unhe hara paye dronacharya ne kabhi bhi apni puri shakti se yudh nahi kiya tha Arjuna ke sath agar vo pani puri shakti ke sath yudh karte toh Arjuna unko kabhi parajit nahi kar pate
@@Anmol_gamer-h6d Arjun aur guru Dronacharya ke bich ek pita putra jesa sambandh tha isliye dono mese koi ek dusre ko jaan se marne ke liye nahi lad rahe the
Jai shree krishna 💙
🚩जय श्री कृष्णा 🚩🙏
jai shri krishna
Ye itne tir late kha se the
Jaise aaj kla guns se war hoti hai to bullets jaise banti hai waise hi tab teer bante the
Hare Krishna
द्रोण के पास भीसम , अर्जुन , और कर्ण से ज्यादा अस्त्र शस्त्र थे , क्यु को परशुराम ने सभी अस्त्र शस्त्र द्रोण को दान में दे दिए थे।
Bhai Mahabharat me arjun se zyada divyastra kisi ke paas nahi the.shree Krishn ko list me nahi rakhunga.tumne khud kaha ki dronacharya ko bhagwan parshuram ji ne apne sare astra diye the but ye kahi nahi likha ki parshuram ji ke paas sare astra the.
🙏 Mam pls - Next video topic - अर्जुन ने अपनी पूर्ण शक्ति का प्रयोग कुरुक्षेत्र युद्ध में क्यों नहीं किया ?
Jarwat nahi padi
Kourvo ki taraf se yudh me bahut sare yodha aise the jo Arjun our Pandavo se bahut sneh rakhte the Arjun ne to Bhagwan Krishna ke Geeta ke updesh diya Jane ke Baad bhi Bhishm Drone Kripacharya Kritvarma ke samne kabhi bhi apni puri Kshamta ka prayog nahi kiya Arjun ne Wastav me yudh ke 14 din Jaidrath badh ke prayas me apni Dhanurvidya ki thodi se jhalak dikhai our usi din usne 7 Akshohini sena ko maar dala our sare Kourav Yodha dekhate raha gaye usi din Duryodhan ne kah diya tha ki Arjun ke rahte Mahabharata nahi jita ja sakta
Kyu ki uske pass koi Bal nahi tha , sri krishna ke piche chup kar ladta tha 😂😂😂
@@BEING_NIOS_DELED_online Aap ke comments se pata chal gaya ki Vedvayas ke baad Mahabharata ki sabse jayada jankari aap ko hi hai😃😃😃😃
@@RajeshRai-od2rk
Right
Arjun to thik se lad nahi raha tha. Isliye bhagwan Krishna bhi gussa hogaye the arjun ke upar. Sayed bhagwan Krishna the isliye nervous hogaya tha. Hare Krishna Hari bol 👍🙏😀
Abe lodu wo pitamah yudh ki baat hai
Jai Sri Krishna Jai Arjun Jai Abhimanyu
jai shri krishna
But 15 minutes later, Bhima badly defeated Drona by breaking his 16 chariot. And Arjuna never wanted to hurt Drona. So he never shoot to injure him. Even when he used Sammhonastra, he was feeling very guilty.
Aap bilkul sahi bole rahe hai👌👌
Rath tutna koi badi baat nahi hai sabh warrior ka rath arjun ki tarah divine nahi hai Arjun no doubt powerful warrior but uss time wo dron se haar gaye the isliye sri-krishna ne dron se duel fight karne se mana kia
@@knowledgeconsumer1289 Mai aap ki baat se agree nahi hu yudh ke 14 din Arjun ne Jaidrath badh ke prayas me Kourvo ki 7 Akshohini sena ko maar dala tha our Drone Ashawasthama Karan Kripacharya Kritvarma Duryodhan Dushashan sab dekhte rah Gaye the usi din Duryodhan ne kah diya tha ki Arjun ke rahte Mahabharata nahi jita ja sakta
Arjun us din Dron se parajit nahi hua tha Drone se Arjun ko alag karne ke pichhe planning ye thi ki Drone ko dusre Pandav Maharathio se uljha kar Arjun ko yek tarah se free kar diya Jaye isiliye pahle Satayaki fir Dhrishtdumn our last me Bhim ke sath Dronacharya ka yudh hua tha
Dron ne Bhim se kaha bhi tha ki tumhara Bhai Arjun abhi abhi mujhse yudh kiye bina hi chala Gaya hai fir tum kaha lagte ho Bhim ne kaha ki Guru ji meri budhi thodi kamjor hai mai niti niyam thoda Kam janta hu Arjun aaj bhi aap ko Bhagwan ke saman hi Manta hai isliye o aap se uljhana nhi chahta hai lekin mere liye aap yek shatru se badhkar kuchh nahi hai our Mai aap ke samne se hi jauga mujhe rok sakte hai to rok lijiye itna kahakar Bhim ne Drone ke najdik jakar unke Rath me gada lagakar Pure Rath ko Aasman me fek diya drone ka rath choor choor ho gaya our unko kisi tarah se apni Jaan bachani padi
Bhagwan Krishna ke Geeta ka updesh debe ke baad bhi Arjun Bhishm Drone Kripacharya ke sath kabhi bhi pure man ya shakti se nahi lada our yudh ke 12 dino tak normal yudh hi kiya yudh ke 13 din jab Abhimanyu Chakrbayhu me yudh kar raha tha usi din Arjun Sushrama our Samsaptak sena ke sath yudh kar rahe the Jo kinyek sena thi jinhone Duryodhan ke samne Ann jal Gau sabka daan dekar our apna antim sanskar karne ke baad yudh ke liye rawana hue the ki ya to Arjun ko maar ka aayege ya khud mar kar aayega ye yek suicide Group tha jisko har hall me apna task pura karna tha
Sirf 1 din ke liye Arjun ka Yudhbhumi se door hone Ke Karan Abhimanyu mare gaye usi din ke baad se hi Arjun apne asli roop me aaya our yudh ke 14 din usne Satyaki ke sath pralaya macha di thi Geeta press Gorakhpur ke hisab se Bhagwan Krishna ne Surya ko dhak diya tha lekin bori Addition ke hisab se Arjun ne Jaidrath ko khud ke samarthya se Surya ashta hone se pahale hi maar dala tha our Dronacharya dekhte rah Gaye the
@@RajeshRai-od2rk abe suno itna mahabharat mat likho Arjun with sri-krishna help ke uss din jayadrath ko nahi maar pata wo jayadrath tak pauch bhi nahi paya tha krishnaji ne surya ko dhak dia isliye jayadrath bhahar aa paya tha aur rahi baat dron ki to ye arjun khud ye baat bol chuke hai ki well equipped Drona ko arjun to kya dev aur asur bhi nahi hara sakte arjun ke pass divine chariot divine flag aur divine horses the jo indestructible tha socho agar ye sab dron ya phir bhisma me ke pass hota to tab hota equal fight upar khud krishnaji arjun guide kar rahe the to jab koi bhi story padte ho thoda unbiased ho ke socho aur pure shakti se to dron aur bhisma bhi nahi lade wo to duryodhan har roz shunate the isliye majburi me bhisma me 9th aur 10th day pe full potential dikhaya aur dron ne 15th day pe
@@knowledgeconsumer1289 pahle Bori addition padho ki Bhagwan Krishna ko Surya ko dhakte hue kahi nahi bataya gaya hai Arjun Shakt bayahu me ghuskar Jaidrath ko maar deta hai
Our ye jo likh rahe ho ki Arjun ke pass Divya Rath tha Bhagwan Krishna the Hanuman ji the to Bhai ji ye sab kisi ko aise nahi hasil ho jata hai iske liye kuchh karana padta hai jab Bhishm Drone Kripacharya Karan Ashwashthama mahalo me aaram ka jiwan ji rahe the tab Arjun 12 saal tak katin Tapasya karake Divyashtra our shiksha hasil ki thi
Karan ko hi dekho usne jo kuchh hasil kiya tha sab jhooth chori our dhokhe se hasil kiya tha fir ye sab faltu ki baat hai ki Krishna na hote to aisa ho jata Hanuman ji nahi hote to waisa ho jata Bhishm Drone Karan ko bhi apne karamo dwara Divya Rath hasil kar Lena tha sachai ye hai ki jo jis layak hot hai usko hi o chij di jata hai
Ashwashthama ko bhi Drone ne Bramhsir Ashtra diya tha jisko usko wapas Lena ka hi gayan nahi tha jiske chalte usne us Ashtra ko Uttara ke Garbh par attack kar diya
100 baat ki 1 baat ye hai ki jisne Mahadev tak ko prasanna karake Pashupatashtra hasil kiya tha us Yodha ki kaya quality hogi ye batane ki jarurat nhi hai
Arjun dron s ladna hi nahi chahate the
ARJUN 14th day par isi liye dron ko chod ke chale gaye kyoki shree KRISHNA jante the dron ka vadh kare Bina age badh ma asambhav hai our shree KRISHNA yah bhi jante the ki dron ki mrutyu drishtidyuman ke hatho likhi hai isi liye shree KRISHNA our ARJUN dron ki agya lekar chale gaye Varna dron ki mrutyu 14th day par hi ho jati
Jai shree krishna
Jai shree Krishna 🙏💗
Jai shri krishna
JAI SHREE KRISHNA MERA🙏❤🙏❤🙏❤ KOTI KOTI PARNAM PRABHU JI
Hare Krishna didi
Didi please shiv aur Vishnu ji ke bich huve सभी युद्ध के बारे मे बताये ना
sure
Hello ma'am please make a vedio on Virat parva....
already made
@@OMGANPATAYE okay
Arjun vs meghanad bare me video banaye please 🙏
Bhishma Or dronacharya ko chal se marna pada issne bada kya pramaan ho sakta he unke paraakram ka, arjun baccha tha unke saamne 😏
Kuruksetra Yudh me Arjuna ne kisi ko chhal se nahi mara. Apna parakram se vadh kiya. Fake TV serials and Fake TH-cam videos dekhke kuch nonsense faltu Bakwas karte hai.
@@jagatmajumder4456 Beta tune kya mahabharat padhi he kya jo itna bol raha he, andhbhakt tujhe bhi Sacchai nhi pata he 😏
@@siddharthnagla6135 Mein 2015 se BORI CE, KMG, Gita Press, Veda Vyasa and C. Rajagopalachari authentic mahabharata BOOKS study and analysis kar raha hu. Tu chahe toh proof bhej du.
Sabi bola bhai
Mahabharata fake story hai 😂😂
Tu apne hi baap ki aulad hai ye bhi fake story hai😂
Mam kya app marutho par ek video bana sakti hai please🙏
💗🙌
Jay shiv shambhu jay Shree Krishna jay madhusudhan
Ma'am why Arjun was not senapati of padavas ? Please tell.....
Pandavo ke bohot sare senapati the usme se arjun bhi tha. Hare Krishna Hari bol 👍🙏😀
@@harekrishna2291 pramukh senapati drishtadyumn hi tha......
@@EkanaEducation kiuki o dronacharya ko mar ne ke liye janma tha aur arjun bhisma aur dron ko marna nahi chahta tha isliye bhagwan ne use mukhiya senapati nahi banaya. Hare Krishna Hari bol 👍🙏😀
@@harekrishna2291 nice point..... 👍
Everyone knows Pandavas won the battle because of Shree Krishna otherwise only Gangaputra Bhisma was enough for whole Pandavas.Even Maharishi Parshuram,the 6th avtaar of Supreme God Vishnu,was unable to defeat Gangaputra Bhisma.
Bhai harana aur jaan se marne me deference hota hai.agar arjun apni puri takat se ladhta to definately bhishm ki haar hoti aur bhishm ka vadh arjun ne hi kiya tha ye mat bhulna
Or karn kya harta agar usne kabaj kundal nhi dan kia hote
Kya arjun use hara pta ?
Bhai hara to karn pehle bhi tha.kavach ke sath aur bhaga bhi tha.bas usko jaan nahi mara ja sakta tha.isme karn ki koi mahanta nahi thi.
Jay shree Krishna
jai shri krishna
Dekha fir arjun ki kami nhi nikali fir vo bhaga par ab bhi arjun ki side le rhi ha😂
Arjuna ka focus Jaydrath par tha.
Lekin Ardharathi Karna kya kar rahe the? Kya Arjuna ko rokne ka taqat Karna me nahi tha?
@@jagatmajumder4456 bhai bilkul parshuram ke teeno shishyo ko bina shri krishna ki help or bina cheating ke marna impossible tha agar aisa na hota to arjun jaisa yodha kyo god ki help leta fir bhi bss arjun ki jay bolti hai vo islia kyoki vo dharam ki taraf tha na ki adharam ki taraf
@@jbdrecords777 Bakwas band kar. Karna kyu nahi Arjuna ko rok paye? 14 Day Arjuna ko Vadh karne ka awashwk nahi tha only rokne ka awashwk tha. Firvi sare Kauravas army fail ho gaye? Aur Ardharathi Karna ne kya kiya?
@@jagatmajumder4456 mtlab tu sach bolta aur shri krishna jo khud karna ko shresth btate hai vo galat hai
@@jbdrecords777 Shri Krishna Ardharathi Karna ko shresth bataya 😄😄😄😄😄😄😄
Kis authentic mahabharata books me likha hai? Jara Proof bhejna......
Proof from BORI CE Translated by Bibek Debroy
Arjuna asked to Sri Krishna, if I killed by Karna.
This was Sri Krishna’s reply to Arjuna
"The Sun himself may fall down from his place, the Earth herself may split into a 1,000 fragments; fire itself may become cold. Still Karna will not be able to slay thee, O Dhananjaya! If, however, any such occurrence takes place, know then that the destruction of the universe will be at hand. As regards myself, I will, using my bare arms, slay both Karna and Shalya in battle."
Karna Parva: Section 87
यतो धर्मस्ततो जय
Yato Dharma, Tato Jaya🙏🙏
Aap ne Esme galat bataya Arjun ko koyi nhi hra sakta tha koyi manav ho chahiye danav Khali devta aur bhagwan ko chhodker
Jai Shree Krishna