bhaiya aapne 1) 2022 MEIN liya tha na admission 2)aapki jee mein rank Kiya thi [agar aap batana chaho to] 2)aapne KIET GHAZIABAD hi kyun liya 3) JSS and AKGEC aapko mile nahi ya aapne hi choose nahi Kiya please saath mein reason bhi batana 4)ek Mera bhi ki mujhe kiet CSE to mil jayegi and aap ye batao ki mujhe AKGEC or JSS ki taraf bhi jaana chahiye agar mile to
1) yes 2) 185k 3) good placements 3) jss nhi milta...but akg ka option tha which I rejected...and preferred kiet 4) akg ko drop karo...kiet aur jss me choose karo...my suggestion - kiet
bhai laundary service dete hai ya nhi? Aapne kaise karte ho yeh? Aur aapke PG mai room mil jayega??? Attendance criteria kya hai? Aur bhaiya notes mil jayege aapke and other stuffs like PYQ and assignment solutions???
Pg me laundry service nhi hoti Aadhe log khud se dhulte hai And aadhe log dhobi ko dete hai...vo aate hai har pg me Haa mere pg me kuch rooms khaali hai...round 3 ke baad aaoge toh shayad miljaye 75% Notes merepass second sem ke hai...first sem ke nhi... PYQ ke liye quantum aati hai vo google pr miljayegi
Bhai plz ek dedicated vid banado cse, cs, cse(AI), cse(AIML), cse(data science), cs(it), AIML, IT ke difference pr.... or placement opportunities har branch ki bcz saare college me sirf core CSE or IT ke hi package ke baare me bataya jaata hai specialisation ka kya..... or haa inn sabki priority list bhi....
@@arpitsaxena363kyuki unko koi guide karne vaala nhi hai....saare counselors cutoffs ke basis pr preference banate hai and then students ko bhi yhi lagta hai ki jiski cutoff sbse kam hai vo college sbse acha hai....and har saal log cutoff ke basis pr college lete hai isliye vhi purana trend cutoff ka chalta rehta hai Sad reality :(
Sir , Uptac Counseling ke uppar bhi video bnaiye, we need our Videos for support, We saw your past year video & review, we love it❤❤❤ So please Uptac aktu counseling pr video banaiya, Private colleges ka review kijiye🙏🙏🙏🙏 Like galgotias
Thanku bhaiya... Aapse ye puuchna tha ki kiet me cs or it lu yaa akg me cs or it.. Which would be better option... ? Aur ye bataiye partial drop ke liye time mill pata h? (As agla mains jan me he hai..)
@@SumitMishra77 i know.. Mai already lga hua hu prep me jab se jee adv ka result aya hh bs oct , nov, dec me thoda time kam milega... Attendance policy kitni h kiet ki?
Bhai upse mind mai hai or krna bhi hai ... kiet (IT) anna sahi decision hoga .... thora detail mai battyaiga time mangement kiet mai kya kaisai hoga .... plz reply
bro , 4 sept sai college direct adm walo ke liye khul rha , kya hoga ,kya clurse se related padheyge ya introduction and activites vagera ? aur cse core and cse speci mai kya ke liye baccho opptunities differ.. hogi ?
Bhaiya abhi kiet me placement is year nhi hui h kya sunne me aa rha h is year kiet ki placement bahot down h ....mujhe kiet ki csit mili h ..gl bajaj ki cse ai chor kr kiet wala choose kiya hu to kya ye decision shi h v ya nhi 😢😢
Bhaiya 1st yyear ke liye mil toh jata ha na college hostel kahi aktu late hone ki wajah se fill toh nhi ho jata?? Matlab physical reporting tak hote ha available
Bhaiya physical reporting ke time income certificate sabhi bachon se maangte hai? Agar na ho toh kuch time ka relaxation mil jaata hai ya seat Cancel ho jaati hai? Bhaiya please reply.
Bhaiya up ki scholarship ati h kya kiet me pls bta do kya process hota h i mean income certificate jo banwana hoga vo khali papa ka ya dono parents ka pls bta do
agar mother bhi earn karti hain toh fhir unka bhi banana pdega....vrna papa ka hee...and annual income 6 lakh se kam honi chahiye and branch nba accredited honi chahiye for scholarship
PG me shaanti rehti hai,,,,hostel me shor sharaba jyada rehta hai...but college life experience karne ko milta hai PG me freedom rehti hai,...and hostel me thodi jyada better facilities
Bajaj, abes me cse se leke IT tk ...chance hai milne ka Then kiet jss and akg ki ece Ye options best hai...gcet ya niet lene ki jarrurat nhi...unse acha kiet ki ece hai Baaki agar bajaj ya abes me IT vagarah miljaati hai then go for it
Badhiya scene hai...clubs ache hai yaha Maine join isliye nhi kiya kyuki kaafi time invest karna pdta hai clubs me...and mere pass jyada time rehta nhi hai
@@SumitMishra77 bhaiya aapko skit jecrc ka baraa mai pata h ya aap bas kiet ka baara mai janta ho isliya aacha kahrha....kyuki mujha skit and jecrc mai cs mil rhaa mai wo chorka kiet it lena ki soch rhaa
Bhaiya Kiet ECE kaisa h ?? Aur placement kaise h please reply 🙏🏽🙏🏽 kiet ece loo ya psit kanpur aur bhaiya koi scholarship milte h kya college mei financial condition acchi nahi h
@@SumitMishra77Uske liye koi timing hogi na ? Bahar hostel me jo rhte hai unke liye campus ke andar rhne ke liye timing kya hai ? Saturday aur sunday ko bhi campus ke andar rah sakte hai bahar hostel me rahne vale bacche ?
bhaiya ece ke liye kaisa college hai , aur kiet ke aas pass jada koi dikkat toh nahi hai na transportation ka, ece ka highest package kitna gaya tha 2023 mei? aur bhaiya mera jee mains mei around 5 Lakh rank tha toh kya mere ko ece mil jayega easily uptac ke councelling se? aur bhaiya yahan par ragging ka kya seen hai?
For first year girl student which one is better in security ? Private or college hostel? Are there any private hostels like that ? Can you review it? 🙂
@@rajdeepbaliyan-q1fhey I am also upcoming cse student so what u take Hostel,pg or rented rooms plz tell me extra things if u want that u must aware of it ......
@@ayushisaini4610so what u take hostel,pg or rented rooms plz tell extra things which u want I must be aware of before taking hostel,pg or rented rooms.......
Bhaiya kiet mai kaunse branch main scholarship aati hai?? Suna hai csit mai nahi milti hai Akgec abes mai milti hai scholarship agar cs branch hai ya ece??
Wifi khud se lagana pdta hai pgs me Ek floor ke sbhi log contribute karke lagvate hai Mess shi rehti hai...theek thaak types...kuch 2-3 badhiya tiffin services bhi hain jo badhiya khaana dete hai
Ab aage choice filling pe saara dhyaan (agar dates extend na ho toh :)
Want choice filling pdf Sumit sir.
@@bhaskardwivedi3030haa...I will provide it after some days
@@SumitMishra77bhaiya aap bhagwaan ho 🙏
@@technospes🫶✨️
chance hai round 3 ya 4 me milne ka....baaki IT or CS confirm hai@@ghoshalsingh7535
Much needed video
bhaiya aapne
1) 2022 MEIN liya tha na admission
2)aapki jee mein rank Kiya thi [agar aap batana chaho to]
2)aapne KIET GHAZIABAD hi kyun liya
3) JSS and AKGEC aapko mile nahi ya aapne hi choose nahi Kiya please saath mein reason bhi batana
4)ek Mera bhi ki mujhe kiet CSE to mil jayegi and aap ye batao ki mujhe AKGEC or JSS ki taraf bhi jaana chahiye agar mile to
1) yes
2) 185k
3) good placements
3) jss nhi milta...but akg ka option tha which I rejected...and preferred kiet
4) akg ko drop karo...kiet aur jss me choose karo...my suggestion - kiet
@@SumitMishra77bhaiya apki brnach
Perfect video 💕
bhai laundary service dete hai ya nhi? Aapne kaise karte ho yeh? Aur aapke PG mai room mil jayega??? Attendance criteria kya hai? Aur bhaiya notes mil jayege aapke and other stuffs like PYQ and assignment solutions???
Pg me laundry service nhi hoti
Aadhe log khud se dhulte hai
And aadhe log dhobi ko dete hai...vo aate hai har pg me
Haa mere pg me kuch rooms khaali hai...round 3 ke baad aaoge toh shayad miljaye
75%
Notes merepass second sem ke hai...first sem ke nhi...
PYQ ke liye quantum aati hai vo google pr miljayegi
Bhai ek first year experience pe bhi video banado . Kaisa hota hai first year , hostel/ pg life , security and most important ragging
Okay !
Difference between cs and CSIT in KIET please bta do bhaiya please 🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻
No difference
Bss cs me faculty thodi better hai csit se
@@SumitMishra77 syllabus or placements me bhi difference h kya kuch....?
koi difference nhi hai@@swastiksrivastava7324
@@SumitMishra77 cs or it me faculty kiska accha h placement wise
dono ki shi hai@@harshrajmusiclover1706
Bhai plz ek dedicated vid banado cse, cs, cse(AI), cse(AIML), cse(data science), cs(it), AIML, IT ke difference pr.... or placement opportunities har branch ki bcz saare college me sirf core CSE or IT ke hi package ke baare me bataya jaata hai specialisation ka kya..... or haa inn sabki priority list bhi....
Okay
Bhai sb log akg Ko kyo 2nd pr or kiet ko 3rd pr batate hai jbki package toh kiet ka jyada hai???
Nirf data ke according median package toh abesec ka jss, akg, kiet sbse jyda hai
@@arpitsaxena363kyuki unko koi guide karne vaala nhi hai....saare counselors cutoffs ke basis pr preference banate hai and then students ko bhi yhi lagta hai ki jiski cutoff sbse kam hai vo college sbse acha hai....and har saal log cutoff ke basis pr college lete hai isliye vhi purana trend cutoff ka chalta rehta hai
Sad reality :(
@@SumitMishra77toh bhaii abes main le admssim ya nhii?
Sir , Uptac Counseling ke uppar bhi video bnaiye, we need our Videos for support,
We saw your past year video & review, we love it❤❤❤
So please Uptac aktu counseling pr video banaiya,
Private colleges ka review kijiye🙏🙏🙏🙏
Like galgotias
Galgotias ka review pichle video me kara hai...baaki choice filling and rounds ke upar mai upload karunga aane vaale dino me
Bhaiya iss saal kiet me placement kaise hai?? Highest average median wagehrah...or CS and CS(it) ke bhi???
7-8 average chal rha is saal ka
Highest - 60 lpa
👌👌👌👌🙌
Bhai kiet or baki AKTU ke private college me branch upgradation ka option rehta hai jaise cs to cse ya cs(it) to cse??
yes
@@SumitMishra77 kitne cgpa pr upgrade kr skte hai??
9
Bhaiya kiet me internship college khud krwata hai ya students ko khud se bahar se krni padti hai??
3rd year me college karvata hai
2nd year ya 1st year me karni ho toh khud dhundni padti hai (clubs thodi help karte hai)
Thanku bhaiya...
Aapse ye puuchna tha ki kiet me cs or it lu yaa akg me cs or it.. Which would be better option... ? Aur ye bataiye partial drop ke liye time mill pata h? (As agla mains jan me he hai..)
kiet cs/it for sure
time mil toh jaata hai but jyada nhi...agar preparation karni hai toh kaafi mehnat karni pdegi
@@SumitMishra77 i know.. Mai already lga hua hu prep me jab se jee adv ka result aya hh bs oct , nov, dec me thoda time kam milega...
Attendance policy kitni h kiet ki?
@@AyushKumar-cc9ec75
Same bhai mae bhi partial ki soh rha hun tumhra kya scene rha time mil pata tha ?@@AyushKumar-cc9ec
@@intercept698 mat soch bhai partial ka ... Bekar h sb.. time nii milta hai aur upar se jee me itna comp badh gya h
Bhaiya Collg k first day and first week mai kya hoga?? 😊
Classroom activities
Auditorium me kuch events
Meri CRL 174000 hai.. OBC HOMESTATE. NOT ANY Categorie rank..... Cs Vali branch kha kha mil sakte hai bhai ❤..😊
Kiet me ...akg me IT miljayegi
Bajaj and abes me cse core bhi miljayegi
bhaiya 1st year ki classes kab se chalu hogi ..... abhi tak counselling nhi hui meri rank 1.5 lakh hai ....... halki see tension hai ab>
September End tk hojayengi
@@SumitMishra77 kiet mil sakta hai mujhe cs related branch me?
@@kartikmishra9413haa
Bhai upse mind mai hai or krna bhi hai ... kiet (IT) anna sahi decision hoga .... thora detail mai battyaiga time mangement kiet mai kya kaisai hoga .... plz reply
haa shi rhega...second year me IT me classes kam hoti hai compared to other branches
Thank you soo much bhai
Bhaiya physical reporting ke kitne tym baad classes start hongi...
3 oct
Bhaiya agar mene bahar room ya hostel liya hai toh mei colleges ke facility like gym, library ,canteen, wifi ye sb access kar sakte hai?
Haa kar skte ho raat me 8 bje tk
bro , 4 sept sai college direct adm walo ke liye khul rha , kya hoga ,kya clurse se related padheyge ya introduction and activites vagera ?
aur cse core and cse speci mai kya ke liye baccho opptunities differ.. hogi ?
Introduction and activities
12th ka revision and all
Same opportunities
Bhai tujhe kisne bola 4 sep se start h???
bhaiya saturday and sunday off rehta hai clg ki nhi mtlb week kitne din classes chlti hai for MCA??
Off rehta hai
Bhaiya kiet sari seats direct admission se bhar lega kya ??councelling ka wait ni karega ??
15-20% seats hee direct se bhari jaati hai
Thank you bhaiya ....water quality sahi hai bhaiya udhar side ki?
Ekdum
Bhaiya abhi kiet me placement is year nhi hui h kya sunne me aa rha h is year kiet ki placement bahot down h ....mujhe kiet ki csit mili h
..gl bajaj ki cse ai chor kr kiet wala choose kiya hu to kya ye decision shi h v ya nhi 😢😢
Bhaiya 1st yyear ke liye mil toh jata ha na college hostel kahi aktu late hone ki wajah se fill toh nhi ho jata?? Matlab physical reporting tak hote ha available
Haa round 3 ke baad jo physical reporting hoti hai usme aaram se miljaate hai hostels
Shukriya bhaiya
And bhaiya fees kya full year ka submit hota ha tuition ka ya semester wise??
full year@@parthbehal2048
Thanks bhaiya
Double seater rooms k rent akele utne dene hote h ya share krke. Ye bhtt bara confusion h mere liye. Plss btao
Tumko around 65-70k dene honge agar tum double seater me rhoge
30-35k room ke
And 30-35k mess ke
@@SumitMishra77kiet hostel price for 2/3 seater.
Kiet Hostel price for double seater? Or triple seater?
Bhaiya physical reporting ke time income certificate sabhi bachon se maangte hai? Agar na ho toh kuch time ka relaxation mil jaata hai ya seat Cancel ho jaati hai? Bhaiya please reply.
Haa sbhi se maangte hai jinke father ki private job hoti hai...
In case nhi de paoge reporting ke time toh 1 month ka time dete hai college vaale
@@SumitMishra77 bhaiya sure ho ap ki kuch time de dete hai na hone par? Kisi bache ka problem hua tha income certificate ka pichle saal? S
Sure hu
Maanlo agar problem ho bhi gya toh vo log 1 mahine ka time dete hai
Naya character banvana 1 din ka kaam hai
Vaise problem nhi hogi
@@SumitMishra77 character nhi bhaiya income certificate
Haa uske liye bhi vhi hai
Nhi de paaye toh 1 mahine ka time dete hai
Hello bhayia pg laundry include hota hain ?
Air bahyai tiffin service baale kitna lete hain.
Nhi laundry nhi hoti pg me
Tiffin vaale 3 to 3.5k lete hai ek mahine ka and 3 time ka khana dete hai (breakfast...lunch and dinner)
ACHA bhayia muradnagr Stastion se Rickshaw mill jata Kiet ke liye ?
Washing machine ?
@@SumitMishra77 Ya Phir Ghzaibad stastion see ghum ke ana pdega ?
@@jimmy-no6hl muradnagar railway station walking distance pr hai kiet se...and auto bhi miljaate hai
Agr dus mahine ke liye hostel hai toh baaki ke don mahine kaha rahenge?
ghar
Samaan bhi ghar lejana padega@@SumitMishra77
Nhi...
bhaiya agar kiet se guldhar gate tak jana ho auto se toh ye kitana charge krte hone ?
20
Bhaiya wifi ka kya price aur pg wale dete hai ya alag se lagwana padta hai
alag se lagwana pdta hai....saare floormates milke lagaoge toh maanlo 600-700 ka bhi recharge karvaoge tb bhi per person price 70-80 hee pdega
Summer mai bina ac ke rehna mushkil hoga kya pg mai y fan se chal jayega? Aur sabhi classes mai ac h kya?
Coolers dete hai pg vaale
Sirf fan se kaam nhi chalta
Haa saari classes me AC hai
Bhaiya agar mujhe 1st or 2nd round mein kiet mil jata hai toh , hostel toh mil jayega na full toh nahi hoga..
Please reply
Haa miljayega
👍👍👍
Bhaiya 1st year m PG le ya college hostel???
College hostel pg se kafi mehnga hota kya??
Haa thoda mehnga hota hai college hostel pg se
@@SumitMishra77 hostel m single seater available hota h??
Aur wifi ka bhi bata dijiye
College hostel me single seater nhi hota
And wifi hota hai
Bhaiya up ki scholarship ati h kya kiet me pls bta do kya process hota h i mean income certificate jo banwana hoga vo khali papa ka ya dono parents ka pls bta do
agar mother bhi earn karti hain toh fhir unka bhi banana pdega....vrna papa ka hee...and annual income 6 lakh se kam honi chahiye and branch nba accredited honi chahiye for scholarship
@@SumitMishra77 ok bhaiya scholarship generally AA jati h ya nhi pls ye or bta do
aajati hai@@PriyanshiGovil
@@SumitMishra77general homestate ki aa jati haina
Bhaiya how is the area around KIET ??
Decent...no issues
College ka hostel lene ke liye kya karna hoga taaki mil hii kaye ?
3rd round ke baad aajana reporting karne...miljayega
@@SumitMishra77 reply plz bhai
Bhaiya double seater ka jo rate hai voh 65-70k per person hai ya half half??
rates ab 90-95k phoch chuke hai and that is for each isme electricity bill and mess charges are included
@@SumitMishra77 thanks bhaiya but kiet me fw nhi mili hai isliye nhi liya hai😔
@@SumitMishra77bhai for double seater ke kitne hai price ab
90-95k
Including mess and electricity
Hostel lena shi h ya pg cons and pros btaye Please dono k
PG me shaanti rehti hai,,,,hostel me shor sharaba jyada rehta hai...but college life experience karne ko milta hai
PG me freedom rehti hai,...and hostel me thodi jyada better facilities
College jo hostel dega woh sasta padega ya bahar ma pg
Aur kiet ghaziabad ma hostel lena compulsory toh nh h na
Bahar pg sasta pdega
Nhi...compulsory nhi hai
Compalsary bachta hi nahi h bhai jagah hostel me
bhai mene central university of haryana me addmission le kar sahi kiya kya?? EE li hai cse chhod kar?
Shi hai
Bhaiya reporting ke time hi sab saman lekar jaye to room/pg turant mil jayega?
yes
Bhaiya Jaise first year mein hostel nahin mil Paya to second year mein hostel le sakte hai hai mil
Haa
Bhaiya meri rank 1.79L hai outside UP. Best option mere liye konse clg ki hai? Related to Cse..Koi 3-4 clg aap recommend kr skte hain?
Bajaj, abes me cse se leke IT tk ...chance hai milne ka
Then kiet jss and akg ki ece
Ye options best hai...gcet ya niet lene ki jarrurat nhi...unse acha kiet ki ece hai
Baaki agar bajaj ya abes me IT vagarah miljaati hai then go for it
@@SumitMishra77 bhaiya .... any chance of specialization in kiet?
@@sidhantkumar9583 yes
Slight chances of csit
bhaiya college me hostel nhi dega kya ki pg me rhna padega?
round 3 ke baad aaoge toh college ka hostel mil jayega....but round 4 ke baad nhi milta
@@SumitMishra77 ok broo
Thanks bhaii
Bhaiya 3 seater ya 4 seater
Mil sakata hai kya aur usaka rent Kitana padega
Bhay Mai tho footpath pe rehta tha fir eak din mere pe kisi ne Gadi chada de. Aur abhi ye mera bhoot comment kr rha h. ☠️
Lol💀
to tu yha kyo comment kr rha hai sallu bhai ke channel pe kr 💀💀
@@nikhil.singh7676telegram chor kar tu yaha bhi aagya?
Hello bhaiya..!!
Kiet ( CS&IT ) vs GL bajaj ( CSE specialization AIML ) vs ABESEC (CSE Specialization AIML)
In me se kon sa best option hai..??
Kiet csit > bajaj spec > abes spec
@@SumitMishra77bhaiya iss order me jss ECE bhi rhega toh uska order kya hoga?
Same h bhai mera bhi JSS ECE bhi mil jaegi
@@meow2meow236 Bhai ECE se badhiya koi dusre clg me cse le lo
@@abhisheksingh6493 mai bhi wohi soch rha hu lekin phir opportunities toh same hi hoti h ECE as CSE isliye puch rha tha
Bhaiya, agar raat me truck chalte hai toh accident bhi hote hoge na
Haa hote hain...road cross karna kaafi dangerous hai yaha specially raat me...
Ek din maar jaayege , kuthe ki maut , ja me sab khelege ........😂😂😂😂
@@amanshukla6261😂💀
Bhai college fee 138k h but kya iske alawa fee extra fee ke naam pe college leta h kya plzz....reply bhayia❤❤
nhi
@@SumitMishra77 bhai book bhi isi fee me milta h kya
yes@@harshrajmusiclover1706
@@SumitMishra77 bhai mujhe 2nd round me cs and it dono mil skta h to pehle kya prefer kre 😊😊
@@harshrajmusiclover1706 bhai ap batao mujhe kya lena chahiye aiml,ai,cs,csit,it please reply
College ke hostel me wifi milta hai
Haa
Bhaiya kiet CSIT or akgec IT which is best according to you plzz reply😊❤
Kiet csit
Bhaiya is baar zero session hoga kya aap clg se puchkar confirm kar dijiye bahut tension me hun 😔😔😭????
Nhi hoga
Ignore that news
Bhayia plzz reply ki pg fee monthly jama kr skte h 🙏🙏
haa
shivom pg mei room no 6 lelo usme monthly jama kar skte ho.
Very nice
kiet me club ka seen hai bhaiya and aapne koi clube joinr kiya hai ya nahi
Badhiya scene hai...clubs ache hai yaha
Maine join isliye nhi kiya kyuki kaafi time invest karna pdta hai clubs me...and mere pass jyada time rehta nhi hai
Bhaiya agar gcet mei cse ai ml mil rhi ho aur kiet mei csit toh kaun sa lena chahiye
kiet csit
Bhaiya kiet ki tution fees kya hai ?site p sirf total show hora
Same bhai pta चलेगा to btaiyega
1.39 lakhs...jisme se 20k tum de chuke...toh reporting ke time 1.19 lakhs dena hoga
@@SumitMishra77 bhaiya tution fees me fw wala hu
1st year ki classes kb se start hongi ??
3 oct
Aur bhaiya kuch college suggest kr dijiye jo 3 to 4 lakh rank tk mil jae CSE ECE Or IT.
Bajaj/abes me IT ka chance hai
And niet me IT aaram se miljayegi...
Kiet and akg me ece miljayegi
bhai mujhe 2nd round me cs and it dono mil skta h to pehle kya prefer kre😊😊 plzz reply and choice filling krna h
cs
@@SumitMishra77khi khi IT bolte ho bhai 😢
Bhaiya...rtu ka top private colleges h like skit jecrc sa to better hoga na kiet
Yes
@@SumitMishra77 bhaiya aapko skit jecrc ka baraa mai pata h ya aap bas kiet ka baara mai janta ho isliya aacha kahrha....kyuki mujha skit and jecrc mai cs mil rhaa mai wo chorka kiet it lena ki soch rhaa
@@newuser0206shi soch rhe ho
Bhaiya Kiet ECE kaisa h ?? Aur placement kaise h please reply 🙏🏽🙏🏽 kiet ece loo ya psit kanpur aur bhaiya koi scholarship milte h kya college mei financial condition acchi nahi h
Kiet ece > psit cs
Agar general candidate ho toh scholarship nhi milegi
Hello bhaiya
Plz guide me
Mejhe bms banglore me aiml mil jayega aur kiet me cse dono mese kaunsa shi rhega
Bms banglore ka mujhe idea nhi dost
Bhaiya toilet aur bathroom sabka common rhta h kya?
pg me and cv raman hostel me common hai...but jo chandragupt hostel hai kiet ka vaha attached bathroom hai
Bhaiya abhi kiet me hostal full hogya hai???
Nhi
Agar bahar hostel lenge toh college mei gym and sports use kar sakte hai? Please Reply.
Yes
@@SumitMishra77Uske liye koi timing hogi na ?
Bahar hostel me jo rhte hai unke liye campus ke andar rhne ke liye timing kya hai ?
Saturday aur sunday ko bhi campus ke andar rah sakte hai bahar hostel me rahne vale bacche ?
8-9 bje tk reh skte hai bahar vaale campus ke andar...and saturday sunday bhi reh skte hai@@ayushkesharwani9024
bhaiya hs walon ki category rank lgti hai n upsee mein??
Nhi
Crl
can you please tell that if a student is from non nba accredited bracch so can he may face any problem for UP scholarship in KIET,AKGEC??
Ye may face some issues
SC walo ka kiss kiss branch me scholarship ati hai please tell me
Nba
Bhai medical certificate nhi rhega to koi prblm hoga kya
haa...medical certificate jarruri hai
1st yr k students ki ragging hoti h?
nhi
Bhaiya kiet mein 1st year mein sab ko internship milti hai??
Ek internship hoti hai 1st year me aktu ki taraf se...lekin vo paid nhi hoti
@@SumitMishra77bhaia 2 year me miljata paid internship
@@nitishojhaahaa
Toh bhaiya paid wali khul leni hoti hai yah woh bhi aktu yah college dilwata hai?
Khud
3rd year se college dilaata hai
Payment monthly krna rahta hai ki ek hi baar
some pg owners take rent in installments(monthly, quarterly) and kuch pg owners ek hee baar me lelete hai
Bhaiya kiet IT fw seat mili hai round 1 mai ...freeze krdi h ...bhadiya. h na?
ekdum
Bhaiya meko kiet me cs mil skti he but kya cs aur cse me kuch farak he ?
Kuch fark nhi hai
Bhaiya physical reporting ki dates 29 -30dikhara meko cse ai me fw milgya kya me phle reporting kr skta?
nhi...29-30 ko hee karni hai
Bhaiya bahar pg k bche andr sports facilities shaam ko use kr skt?
yes
@@SumitMishra77most of the people r saying after 5 pm, sb bhaga dete hn...
Elaborate please 😅
Bhaiya general walo ko scholarship aati h it branch me ya koi bhi nba acrre branch me ??
General (boys) ki nhi aati
@@SumitMishra77 bhaiya agar 1 lpa se kam ka income cert h toh???
bhaiya ece ke liye kaisa college hai , aur kiet ke aas pass jada koi dikkat toh nahi hai na transportation ka, ece ka highest package kitna gaya tha 2023 mei? aur bhaiya mera jee mains mei around 5 Lakh rank tha toh kya mere ko ece mil jayega easily uptac ke councelling se? aur bhaiya yahan par ragging ka kya seen hai?
Ece badhiya hai
Koi dikkat nhi
Highest 20s me tha
Miljayega aaram se
No ragging
@@SumitMishra77 Thankyou bhaiya🙌
Bhaiya kiet me cse(ai ml) vs cs, which one is better
Please reply 🙏
cs
@@SumitMishra77par bhaiya cutoff toh cse ai ml ki high ja rahi hai.. Aisa q !? Aur mera counselor bhi cse ai ml ko prefer kar raha cs ke upar
@@subham_1010 Bhai kya liya
Bhai sc walo ka scholarship ati hai jo NBA se affiliated hai plz bato do
Haa
Vai ab kiet autonomous ho gya hai to kya scholarship nhi aaygi???
Aayegi
@@SumitMishra77 bhai sirf it or cse me ati hai na?
Yes
Cse aiml jo specialization usme nhi ati kya bhaiya @@SumitMishra77
Do pgs provide food twice or three times a day
4
Thanks
bro please tell, is kiet now self-dependent (autonomous) or not. i need to know
please
No
But i guess it will become autonomous next year
@@SumitMishra77 dang it
bhai iska kya matlab hai
@@itsallaboutanime matlab aktu ka syllabus follow nhi karenge kiet vaale...khud ka syllabus hoga ..khud hee end sems conduct karvayenge...
Bhaiya Abes Se Kiet Kitna time lgta h ?
40-45 min
Hey nearest metro station from kiet college..?
Delhi metro - Shaheed Sthal
RapidX - Duhai
For first year girl student which one is better in security ? Private or college hostel?
Are there any private hostels like that ? Can you review it? 🙂
College hostels are much better for a first year girl student
hey..same first year girl in cs branch..in which branch u r taking admission
@@rajdeepbaliyan-q1fhey my branch is also cs
@@rajdeepbaliyan-q1fhey I am also upcoming cse student so what u take
Hostel,pg or rented rooms plz tell me extra things if u want that u must aware of it ......
@@ayushisaini4610so what u take hostel,pg or rented rooms plz tell extra things which u want I must be aware of before taking hostel,pg or rented rooms.......
Bhaiya hostel ke liye kab apply kre ki wo mil jaaye
3rd round ke baad
Agar branch nba nahi h to obc walo ko scholarships nahi milti h kya
scholarships k liye branch nba hona jruri hai
Bhaiya kiet me gym facilities hai kya , and meri rank 172k hai , obc+ defence quota, home state , kiet me cse core mil jayegi kya
Haa gym hai campus me...
Cse core toh nhi...IT miljayegi
Defence quota se kitna fayda milta hai uska idea nhi vaise mujhe :)
@@SumitMishra77cse core leave karke sari branch mil jayegi kya , jaise cs , csit , cse with specialization etc
Bhaiya kiet mai kaunse branch main scholarship aati hai??
Suna hai csit mai nahi milti hai
Akgec abes mai milti hai scholarship agar cs branch hai ya ece??
Kisi bhi college me non nba branches me nhi aati
Sirf nba me aati hai like cse core, IT, ECE
Inme wifi wagrah mil jaygi and food kya hisab hai
Wifi khud se lagana pdta hai pgs me
Ek floor ke sbhi log contribute karke lagvate hai
Mess shi rehti hai...theek thaak types...kuch 2-3 badhiya tiffin services bhi hain jo badhiya khaana dete hai
Bhaiya private hostel me fees per month deni hoti hai ya full year ki
Or pg ka kya seen hai
per month@@NSR21730
Bhaiya ews candidate hu financial condition utni shi nhi h, toh kya scholarship milegi kiet me aur milegi toh kon kon si branches me?
Miljayegi cse or IT me
@@SumitMishra77 thnku bhaiya❤️
bhaiya waha pe study aur attendance ka pressure kis level ka h
u have to maintain 75% attendance kaise bhi and padhai toh karni padegi :)
bhai tumhare pg mai restrictions b hai ??
freedom hai