Ceenine - Lost In You | Prod. by Alex
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 24 ส.ค. 2024
- #urdurap #dhh #ceenine
Performer/Lyricist : Ceenine
Produced by : Alex
lyrics:
I didn't care abt drugs jab tha tera sath,
Nashili woh ankhein aur hathon mein hath,
Khuli teri zulfein joh dalti phanday,
Ek dujay main gum ham bas kartay rahay baat,
Dekhun ek kashti samadar kinaray,
Dagmagati bohot par lehrein sambhalein,
Par hava bhi jese hi rukh hai badalti,
Bikhar jata sab kuch sab dhondein saharay,
Main dhudun tujhy ab na janay kahan tu,
Na janay tu rooth k asay gaya kyun,
Na janay ab hoga kya tere sab wadon ka,
Ab bhi khayalon mein mere basa tu,
Chand tha mera woh badal mein chup gaya,
Lagta woh badal bhi wahin pr ruk gaya,
khuda k dar pe laga k yun aas,
Baitha main toh sar dua mein hi jhuk gya,
Janun main k tu ab meri nhi,
Aur dhundun tujhy toh tu milti nhi,
Bas itni si baat ka karlay ehsas,
K Im with you yadon mein hi sahi,
#
#
#
Mohabbat bhi teri yeh kesa nasha,
Yeh joh charh gaya sar pr utarta bhi na,
Tere hi sath thi shamein yeh dhalti,
Ab Ratein yeh zalim guzarti hi na,
Iss dunya ki bhir mein tanha khara,
Main na janun kyun khudse hi itna lara,
Main woh kitab joh tere thi maiz pe,
tunay ek pal bhi na mujhy parha,
Main Bikhra hua mazi sametun in kagaz k panon mein lazim nhi mujhpy,
Mein mazi parasti nhi karta,
par mazi mein tu toh yeh lazim hai mujhpy,
Khudka mein katil hun khudse naraz,
Toh dalun ilzam kya tujhpy,
Kese chorun main likhna yeh baat nhi aam,
Yeh kala ab basti hai mujhmy,
Kyu Kartay wafa k sab waday,
Andheron mein saya toh apna bhi sath nhi deta,
Waday joh karta hai bannay k marham,
Asal mein phir dard bhi wohi hai deta,
Tere hi dar pe kya ja kar dun dastakh,
Zakhmi yeh dil hai ijazat nhi deta,
Tera woh chehra joh deta sukun tha,
Karun ab gaur toh ansu hai deta,
Tum chalaty chalo main khara yahin,
Jab lag jaye thokar toh ana yahin,
Laga dein gey marham tumhary bhi zakhom pe,
Issi bahanay milein gey sahi,
Wow ❤🔥💯
Zaberdast ❤️❤️❤️❤️❤️❤️
Splendid ✨
This is fire 🔥
It's lit bro 🔥
i liked it ❤
❤
🔥🔥🔥🔥
❤❤❤❤
❤❤
💯💯❤
✨❤️
Bro ❤
khuda k dar pe laga k yun aas,
Baitha main toh sar dua mein hi jhuk gya, 🔥🔥
❤
❤️🔥
Sexi song bro 👌🏻💥🔥⚡
❤❤
🔥❤
❤