Qasida -e- Ghausiya Mujhe Ishq -e- Elahi Se Visa'aal -e- Yaar Ke Yaksar Ata Hote Chale Jate Hain Pi'yale Khoob Bhar Bhar Kar Magar Phir Bhi Huzoor -e- Haq Ta'ala Kehta Rehta Hu'n Mujhe Sairaab Karta Jaa, Yu'n hi Mujh Pe Ina'ayat Kar ! Muqa'abil Mere Jaam -e- Marifat Aata hi Jaata Hai Mera Rutba Hareem -e- Haq Me Har Dam Badhta Jata Hai Me Is ko Aalam -e- Masti Me Pita Hu'n Sar -e- Mehfil Khuda -e- Lam Yazal Mujh Par Karam Farmata Jaata Hai Kaha Dunya Ke Aqtaabo Se Waliyo'n Se Chale Aa'ao Mere Halqe Me Shamil Ho Ke Mere Saath Aaa Ja'ao Wasile Se Mere Darbaar -e- Haq Me Mudda'a Kehdo Mere Sadqe Murade Apni Sari Tum Bhi Pa'a Ja'ao ! Diya Hai Saqi -e- Wehdat Ne Mujh ko Jaam Khud Badh kar Karo Himmat Piyo Tum Bhi Sharaab -e- Marifat Jam Kar Mere Hote Behek Ja'ao Ye Hargiz Ho Nahi Sakta Muhafiz Hu'n Tumhara Me, Na Ghabra'ao Me Hu'n Rehbar ! Shara'ab -e- Ishq Se Makhmoor Rooh Meri Sarasar Hai Bataao Kiya Koi Mardaan -e- Haq Mere Barabar Hai? Jo Mujhse Bach Gayi Aqtab -e- Aalam Ne Vo Ma'y Pee Hai Kisi Ki Hai Waha'n Masnad ? Meri Masnad Jaha'n Par Hai Tumhara Bhi Hua Hai Martaba Aakhir Bahut Upar Magar Mera Hamesha Ke liye'n Haq Ne Kiya Bartar Mera Sani Nahi Aaya Koi Ab Tak Zamaane Me Agar Behtar Hai Koi to Me hu'n Behtar Se Bhi Behtar ! Yagana Hai Mera Mansab Meri Sarkaar Aali Hai Khuda Ke Fazl se Har Auliya Mera Savaali Hai Magar Mere Liye bs Haq ta'ala Hai Mera Kaafi Taraqqi Qurb -e- Haq Me Meri Auro Se Niraali Hai Buland tar Aasmaan -e- Marifat Se Meri Rifa'at Hai Jise Jo Martaba Haq Ne Diyan Meri Badaulat Hai Me Hu'n Vo Ba'az Ash'hab, Hai Koi Hamsar Mera laao Jaha'n Bhar Ke Mashaikh Par Mujhe Hasil Fazeelat Hai ! Mujhe Paushaaq -e- Azm -e-Rasikh O Himmat Ata Ki Hai Baya'n Se Baalatar Dekho Inaayat Ye Khuda Ki Hai Kamaalaato Ke Dhero Taj Sar Par Hain Saje Mere Kiya Haq Ne Mujhe Qadir Bahut Qudrat Ata Ki Hai ! Qadeemi Raaz Se Apne Mujhe Aagah Kiya Haq Ne Jo Mene Chaha Dam Bhar Me Vo Poora Kar Diya Haq Ne Gale Me Izzato Ke Haar Pehnaaye Gaye Mere Jo Mera Ho Gaya Usko Bhi Apna Kar Liya Haq Ne ! Khuda Ne Mujh Ko Aqtaab -e- Zamana Par Hukoomat Di Har Ek Bande Ko Apne Mere Sadqe Se Wila'ayat Di Hukum Jaari Mera Hota Hai Har Halaat Me Sunlo Na Uljho Is Behes Me Tum Mujhe Kiya Kiya Ijazat Di ! Agar Me Raaz-e-Ishq Apna Aya'n Kadu'n To Kiya Hoga Zemee'n Hilne Lagegi Or Falak Hairat Zada Hoga ! Had -e- Idraak Me Hargiz Tumha'are Aa Nahi Sakta Samandar Khushk Padh Jaye Yakayak Or Kiya Hoga ! Pahado Par Khule Gar Bhed Mera Phat Ke Gir Ja'aye'n Chattane Toot Ja'ayen Phoot Ja'ayen Kat Ke Gir Ja'aye'n Ghubaar -e- Raah Kardu'n Me Inhe Adna Ishaare Me Zamee'n Kiya Hukum Se Mere Zamane Tak Simat Ja'aye'n Ghulamo Ko Mere Khatre Me Hargiz Laa Nahi Sakti Ghadi Bhar Ko Muqabil Nar -e- Dozakh Aa Nahi Sakti Agar Me Aaag Ko Aagah Kardu'n Haal Se Apne Tapish Siire -e- Niha'n Ki Taab Mere Laa Nahi Sakti Haqeeqat Se Agar Apni Zamana Aashna'n Kardu'n Agar Qurb -e- Khuda Ka Raaz Murde Par Aya'n Kardu'n Khada Ho Ja'aye Hukum -e- Haq Se Murda Ek Thokar Me Jise Chahu'n Ata Usko Hayat -e- Javida'n Kardu'n ! Qabl Dunya Se Saal O Maah Mujh Par Aate Jaate Hain Mujhe Har Aane Wale Waqt Se Aagah Karaate Hain Lagate Hain Mere Darbaar Me Sab Ha'azri Aakar Mujhe Pehle Batakar Doosro Ko Phir Bata'ate Hain ! Na Kar Mujh Se Bahes Me Ek Lamhe Ko Nahi Ghafil Mere Paish -e- Nazar hai Haal Kiya Maazi Bhi Mustaqbil Zamane Sar Jhukate Hain Meri Sarkaar -e- Aali Me Ye Jumla Aalame'n Meri Hatheli Par Hai'n Misl -e- Til Mureedo Ishq -e- Yazda'n Me Chalo Sarshaar Ho Ja'ao Mere Khum Khana -e- Wehdaat Ke Sab Maikhaar Ho Ja'ao Tumha'ari Ba'ayt Ki Nisbaat Hui Hai Naam Se Mere Khushi Se Mast Ho kar Mehram -e- Asraar Ho Ja'ao ! Na Ghabra'o Kisi Se Mera Wali Ba'ari Ta'ala Hai Kara Haq Ne Mera Poora Zaba'n Se Jo Nika'ala Hai Ba Fazl -e- Rab -e- Kaba Mene Jo Manga Wahi Paya Bhatakta Phir Raha Hai Vo Jise Bhi Mene Ta'ala Hai ! Falak Par Danke Bajte Hain Hamesha Meri Azmat Ke Zamee'n Pe Sab Wali Qayal Hue Hain Meri Rifa'at Ke Sa'adat Or Khush Bakhti Ka Sehra Sar Saja Mere Buland Hain Aasmaano Par Alam Meri Wilayat Ke ! Azal Me Hi Khuda Ne Dil Musaffa Kar Diya Mera Hijaab -e- Ghaib Me Hi Rutba Aala Kar Diya Mera Ye Saare Mulk Mere Hain, Mera Farmaan Chalta Hai Do Alam Me Khuda Ne Bolbala Kar Diya Mera ! Nazaare -e- Qudrat -e- Haq Ne Jaha'n Par Bhi Saja'aye'n Hain Khuda Ne Jo Sheher Apne Jaha'n Par Bhi Basa'aye'n Hain Nazar Me Hain Meri Sab Mujhse Poshida Nahi Koi Muqabil Ra'ai Ke Daana Ke Manind Mere Aaye'n Hain ! Tariqa Apna Apna Hai Har Ek Allah Wale Ka Magar Mera Tariqa Hai Ujala Har Uja'ale Ka Tariqa Mera Ta'abe Sunnat -e- Khair Ul Bashar Ke Hai Muhafiz Hu'n Azal se Raah -e- Haq Pe Chalne Wale Ka Ba'zariye Ilm Ke Ye Qutubiyaat Mil Gayi Mujh Ko Khuda Ka fazl Hai Jo Ye Sa'adat Mil Gayi Mujh ko Har Ek Allah Wala Martabe Se Hai Mere Agah Rahe Jo Da'ayimi Haq Se Vo Shohrat Mil Gayi Mujhko ! Jaha'n Me Koi Mere Ilm Ka Hamsar Dikha'aye To Barabar Mere Hone Ka Kare Dava Vo Aaye To Sabhi Abdaal O Autaad O Qutub Khadim Hue Mere Muqabil Mere Masnad Ke Koi Masnad Laga'aye To ! Mujahide Me Hai Khuddam Se Mere Koi Aage Rakhe Garmi Me Roza Or Phir Vo Raat Bhar Jaage Chamakta Hai Shab -e- Tarikiyo'n Me Noor Ki Manind Na Kyu'n Kar Dekh Ke Iblees Isko Door Tak Bhage ! Agar Koi Hai Bad Batin Mukhalif Kiya Karega Vo Mureedo Ke Muqabil Han Mere Aate Darega Vo Irada Qatl Ka Rakhta Hu'n Or Hu'n Jang Me Pukhta Kiye Ki Apne Aakhir Tak Saza Bhukta Karega Vo ! Me Hu'n Jeelaan Ka Lekin Hukoomat Hai Khuda'ai Par Meri Azmat Ke Jhandhe Hain Pahaado Ki Ucha'ai Par Mohi'udden Keh Kar ke Pukaare Hai Mujhe Khalqat Hain Sare Auliya Nazaa'n Mere Dar Ki Gada'ai Par ! Hukoomat Har Jagah Meri Arab Mera Ajam Mera Bade Hi Ja'ayega Hoga Kabhi Na Rutba Kam Mera Pisar Hu'n Me Hsan Ka Vo Mere Baba Hain Aey Logo Rakha Hai Har Wali Allah Ki Gardan Par Qadam Mera Mere Nana Muhammad Mustafa Shafa -e- Mehshar Hain Kamalaato Ka Sarchashma Hain Sardaar -e- Payambar Hain ! Hua Mash'oor Abdul Qadir Mera Naam Alam Me 'Muzammil' Hain Vo Yasee'n Hain Vo Taha Hain Vo Sarwar Hain
Masha Allah Subhan Allah Bhai Bahot Khoob Bahot Aala Dil Sukoon Pa Gaya 😍
Masha allah ta'ala ❤❤❤
Subhan'ALLAH ❣️😍
MashAllah
subhan Allah
nice and natural
Last main kish lines missing hay
Assallamma allikuum ji likha hoa be dede please
Qasida -e- Ghausiya
Mujhe Ishq -e- Elahi Se Visa'aal -e- Yaar Ke Yaksar
Ata Hote Chale Jate Hain Pi'yale Khoob Bhar Bhar Kar
Magar Phir Bhi Huzoor -e- Haq Ta'ala Kehta Rehta Hu'n
Mujhe Sairaab Karta Jaa, Yu'n hi Mujh Pe Ina'ayat Kar !
Muqa'abil Mere Jaam -e- Marifat Aata hi Jaata Hai
Mera Rutba Hareem -e- Haq Me Har Dam Badhta Jata Hai
Me Is ko Aalam -e- Masti Me Pita Hu'n Sar -e- Mehfil
Khuda -e- Lam Yazal Mujh Par Karam Farmata Jaata Hai
Kaha Dunya Ke Aqtaabo Se Waliyo'n Se Chale Aa'ao
Mere Halqe Me Shamil Ho Ke Mere Saath Aaa Ja'ao
Wasile Se Mere Darbaar -e- Haq Me Mudda'a Kehdo
Mere Sadqe Murade Apni Sari Tum Bhi Pa'a Ja'ao !
Diya Hai Saqi -e- Wehdat Ne Mujh ko Jaam Khud Badh kar
Karo Himmat Piyo Tum Bhi Sharaab -e- Marifat Jam Kar
Mere Hote Behek Ja'ao Ye Hargiz Ho Nahi Sakta
Muhafiz Hu'n Tumhara Me, Na Ghabra'ao Me Hu'n Rehbar !
Shara'ab -e- Ishq Se Makhmoor Rooh Meri Sarasar Hai
Bataao Kiya Koi Mardaan -e- Haq Mere Barabar Hai?
Jo Mujhse Bach Gayi Aqtab -e- Aalam Ne Vo Ma'y Pee Hai
Kisi Ki Hai Waha'n Masnad ? Meri Masnad Jaha'n Par Hai
Tumhara Bhi Hua Hai Martaba Aakhir Bahut Upar
Magar Mera Hamesha Ke liye'n Haq Ne Kiya Bartar
Mera Sani Nahi Aaya Koi Ab Tak Zamaane Me
Agar Behtar Hai Koi to Me hu'n Behtar Se Bhi Behtar !
Yagana Hai Mera Mansab Meri Sarkaar Aali Hai
Khuda Ke Fazl se Har Auliya Mera Savaali Hai
Magar Mere Liye bs Haq ta'ala Hai Mera Kaafi
Taraqqi Qurb -e- Haq Me Meri Auro Se Niraali Hai
Buland tar Aasmaan -e- Marifat Se Meri Rifa'at Hai
Jise Jo Martaba Haq Ne Diyan Meri Badaulat Hai
Me Hu'n Vo Ba'az Ash'hab, Hai Koi Hamsar Mera laao
Jaha'n Bhar Ke Mashaikh Par Mujhe Hasil Fazeelat Hai !
Mujhe Paushaaq -e- Azm -e-Rasikh O Himmat Ata Ki Hai
Baya'n Se Baalatar Dekho Inaayat Ye Khuda Ki Hai
Kamaalaato Ke Dhero Taj Sar Par Hain Saje Mere
Kiya Haq Ne Mujhe Qadir Bahut Qudrat Ata Ki Hai !
Qadeemi Raaz Se Apne Mujhe Aagah Kiya Haq Ne
Jo Mene Chaha Dam Bhar Me Vo Poora Kar Diya Haq Ne
Gale Me Izzato Ke Haar Pehnaaye Gaye Mere
Jo Mera Ho Gaya Usko Bhi Apna Kar Liya Haq Ne !
Khuda Ne Mujh Ko Aqtaab -e- Zamana Par Hukoomat Di
Har Ek Bande Ko Apne Mere Sadqe Se Wila'ayat Di
Hukum Jaari Mera Hota Hai Har Halaat Me Sunlo
Na Uljho Is Behes Me Tum Mujhe Kiya Kiya Ijazat Di !
Agar Me Raaz-e-Ishq Apna Aya'n Kadu'n To Kiya Hoga
Zemee'n Hilne Lagegi Or Falak Hairat Zada Hoga !
Had -e- Idraak Me Hargiz Tumha'are Aa Nahi Sakta
Samandar Khushk Padh Jaye Yakayak Or Kiya Hoga !
Pahado Par Khule Gar Bhed Mera Phat Ke Gir Ja'aye'n
Chattane Toot Ja'ayen Phoot Ja'ayen Kat Ke Gir Ja'aye'n
Ghubaar -e- Raah Kardu'n Me Inhe Adna Ishaare Me
Zamee'n Kiya Hukum Se Mere Zamane Tak Simat Ja'aye'n
Ghulamo Ko Mere Khatre Me Hargiz Laa Nahi Sakti
Ghadi Bhar Ko Muqabil Nar -e- Dozakh Aa Nahi Sakti
Agar Me Aaag Ko Aagah Kardu'n Haal Se Apne
Tapish Siire -e- Niha'n Ki Taab Mere Laa Nahi Sakti
Haqeeqat Se Agar Apni Zamana Aashna'n Kardu'n
Agar Qurb -e- Khuda Ka Raaz Murde Par Aya'n Kardu'n
Khada Ho Ja'aye Hukum -e- Haq Se Murda Ek Thokar Me
Jise Chahu'n Ata Usko Hayat -e- Javida'n Kardu'n !
Qabl Dunya Se Saal O Maah Mujh Par Aate Jaate Hain
Mujhe Har Aane Wale Waqt Se Aagah Karaate Hain
Lagate Hain Mere Darbaar Me Sab Ha'azri Aakar
Mujhe Pehle Batakar Doosro Ko Phir Bata'ate Hain !
Na Kar Mujh Se Bahes Me Ek Lamhe Ko Nahi Ghafil
Mere Paish -e- Nazar hai Haal Kiya Maazi Bhi Mustaqbil
Zamane Sar Jhukate Hain Meri Sarkaar -e- Aali Me
Ye Jumla Aalame'n Meri Hatheli Par Hai'n Misl -e- Til
Mureedo Ishq -e- Yazda'n Me Chalo Sarshaar Ho Ja'ao
Mere Khum Khana -e- Wehdaat Ke Sab Maikhaar Ho Ja'ao
Tumha'ari Ba'ayt Ki Nisbaat Hui Hai Naam Se Mere
Khushi Se Mast Ho kar Mehram -e- Asraar Ho Ja'ao !
Na Ghabra'o Kisi Se Mera Wali Ba'ari Ta'ala Hai
Kara Haq Ne Mera Poora Zaba'n Se Jo Nika'ala Hai
Ba Fazl -e- Rab -e- Kaba Mene Jo Manga Wahi Paya
Bhatakta Phir Raha Hai Vo Jise Bhi Mene Ta'ala Hai !
Falak Par Danke Bajte Hain Hamesha Meri Azmat Ke
Zamee'n Pe Sab Wali Qayal Hue Hain Meri Rifa'at Ke
Sa'adat Or Khush Bakhti Ka Sehra Sar Saja Mere
Buland Hain Aasmaano Par Alam Meri Wilayat Ke !
Azal Me Hi Khuda Ne Dil Musaffa Kar Diya Mera
Hijaab -e- Ghaib Me Hi Rutba Aala Kar Diya Mera
Ye Saare Mulk Mere Hain, Mera Farmaan Chalta Hai
Do Alam Me Khuda Ne Bolbala Kar Diya Mera !
Nazaare -e- Qudrat -e- Haq Ne Jaha'n Par Bhi Saja'aye'n Hain
Khuda Ne Jo Sheher Apne Jaha'n Par Bhi Basa'aye'n Hain
Nazar Me Hain Meri Sab Mujhse Poshida Nahi Koi
Muqabil Ra'ai Ke Daana Ke Manind Mere Aaye'n Hain !
Tariqa Apna Apna Hai Har Ek Allah Wale Ka
Magar Mera Tariqa Hai Ujala Har Uja'ale Ka
Tariqa Mera Ta'abe Sunnat -e- Khair Ul Bashar Ke Hai
Muhafiz Hu'n Azal se Raah -e- Haq Pe Chalne Wale Ka
Ba'zariye Ilm Ke Ye Qutubiyaat Mil Gayi Mujh Ko
Khuda Ka fazl Hai Jo Ye Sa'adat Mil Gayi Mujh ko
Har Ek Allah Wala Martabe Se Hai Mere Agah
Rahe Jo Da'ayimi Haq Se Vo Shohrat Mil Gayi Mujhko !
Jaha'n Me Koi Mere Ilm Ka Hamsar Dikha'aye To
Barabar Mere Hone Ka Kare Dava Vo Aaye To
Sabhi Abdaal O Autaad O Qutub Khadim Hue Mere
Muqabil Mere Masnad Ke Koi Masnad Laga'aye To !
Mujahide Me Hai Khuddam Se Mere Koi Aage
Rakhe Garmi Me Roza Or Phir Vo Raat Bhar Jaage
Chamakta Hai Shab -e- Tarikiyo'n Me Noor Ki Manind
Na Kyu'n Kar Dekh Ke Iblees Isko Door Tak Bhage !
Agar Koi Hai Bad Batin Mukhalif Kiya Karega Vo
Mureedo Ke Muqabil Han Mere Aate Darega Vo
Irada Qatl Ka Rakhta Hu'n Or Hu'n Jang Me Pukhta
Kiye Ki Apne Aakhir Tak Saza Bhukta Karega Vo !
Me Hu'n Jeelaan Ka Lekin Hukoomat Hai Khuda'ai Par
Meri Azmat Ke Jhandhe Hain Pahaado Ki Ucha'ai Par
Mohi'udden Keh Kar ke Pukaare Hai Mujhe Khalqat
Hain Sare Auliya Nazaa'n Mere Dar Ki Gada'ai Par !
Hukoomat Har Jagah Meri Arab Mera Ajam Mera
Bade Hi Ja'ayega Hoga Kabhi Na Rutba Kam Mera
Pisar Hu'n Me Hsan Ka Vo Mere Baba Hain Aey Logo
Rakha Hai Har Wali Allah Ki Gardan Par Qadam Mera
Mere Nana Muhammad Mustafa Shafa -e- Mehshar Hain
Kamalaato Ka Sarchashma Hain Sardaar -e- Payambar Hain !
Hua Mash'oor Abdul Qadir Mera Naam Alam Me
'Muzammil' Hain Vo Yasee'n Hain Vo Taha Hain Vo Sarwar Hain