Imam Jafar sadique se Imam Abu Hanifa ne kuch nahi liya ke aitraz ka jawab by Syed Muzaffar Shah Sb

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 18 เม.ย. 2018
  • Imam Jafar sadique se Imam Abu Hanifa ne kuch nahi liya ke aitraz ka jawab by Allama Syed Muzaffar Hussain Shah Sb
    1. Ibne tamiya ne aitraz kiya ke Imam Jafar siddique se Imam Abu Hanifa ne kuch nahi liya
    2. Imam zahbi ne likha ke Imam Abu Hanifa ne farmaya ke maine Imam Jafar Sadique se bada kisi alim ko nhi dekha
    3. At takjeel ke ander Allama ibn e Hajar Asqalani ne ye waqya naql kiya hai (kam o besh)- Bahlool dana jo majzoob thy wo bazar mein khade khade pani aur khaba kha rahy thy to Imam Abu Hanifa ne roka aur farmaya Imam Jafar Siddique ki sohbat mein baithte ho aur khade khade kha pi rahy, isi se andaza lagaya jaye imam Jafar Siddique ka rutba kya hai Imam Abu Hanifa ki nazar mein.
    Yeh bat tohfa e asnasari mein Shah Abdul Azeez Sb ne bhi likhi hai.
    4. Tabqat e Hanfiya jild 1 mein Hazrat Imam Abu Yusuf (Imam Abu Hanifa ke sagird) kahte hain (kam o besh)- Imam Abu Hanifa masjid e haram mein fatwa de rahy thy aur Imam Jafar Siddique aa kar kisi sutoon ki aad mein khade ho gaye jab logo ki tawajjo idhar udhar hui to apne mud jar dekha to ap piche khade thy to apne kaha yeh kya ho gaya Aye Rasulallah ke bete ap aaye aur mujhe khabar na hui agar ap aaty to mujhe khabar hoti to duniya mujhe baitha hua nahi apke istaqbal mein qayam karta hua dekhti is per Imam Jafar Sadique ne muskura kar kaha theek hai baith jao fatwa do logon ko jo mere bap dadaon se tum tak pahuncha hai.
    ye shan hai Imam Jafar Siddique ki
    Download Link -
    t.me/mahfileislam/831 (Video)
    t.me/mahfileislam/832 (Audio)

ความคิดเห็น • 8