प्रेमानंद महाराज जी के दर्शन और टोकन कैसे मिलते हैं? Oct,27,2024 latest video
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 26 ธ.ค. 2024
- Ye VİDEO DIWALI SE 3 DIN PEHLE KA SHOOT KIYA GAYA HAI
27-10-2024
Premanand ji maharaj se milne ke 2 raste hai joki is video me batata gaya hai.
1- Token ke davara
2- parikarma marg me
1-Token ke davara-: yadi apka koi prashan hai to use puchne ke liye ap token le sakte hai, token apko radha keli kunj me morning me 8-9 baje ke bich milega lekin token ki jo line hai vo rat me 10-11 baje se hi lagna suru ho jati hai.
2-Parikarma Marg-: maharaj ji Parikrama marg se radha keli kunj paidal jate hai, to us time agal bagal aap khade hokar darshan kar sakte hai.apko radha keli kunj ke pas khade hona hai darshan ke liye. Vaha apko aur bhi kai log mil jayenge. Maharaj ji ke liye ap rangoli bhi bana sakte ha. Rangoli ka saman vaha milta hai…
Note-:
1- maharaj ji rat ko 2:00 - 2:30 baje ke bich chalna suru karte hai aur 3:00-3:30 tak radha keli kunj pauch jate hai.
2- apko token lena ho ya kuch bhi jankari chaiye ho to ap radha keli kunj pauch ke vaha jo bhi mile unse ek bar us din ka update jarur le ligiye.
3- morning me 10:00 se 3:00-4:00 baje tak aur shaam 7:00 baje ke bad sant nivas radha keli kunj band rehta hai to vaha apko koi sant nahi dikenge jinse aap koi bhi Jankari le sake. Ager gaurd sahab mil jaye to ap unse bhi jankari le sakte hai pauch ke.
4- BHEED SE BACHE & ARAM SE SHANTI SE DARSHAN KARE, MAHARAJ JI KE UPER PHOOL FEKNA VARJEET HAI.
I hope ki apko jankari achi lagi hogi…
Radhe radhe
JAI SHREE KRISHNA