Dare Khalid ke deewane sada sarshaar rehte hai | Ashrafi's mehfil..

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 25 ต.ค. 2024

ความคิดเห็น • 2

  • @honesthindustaani8118
    @honesthindustaani8118 ปีที่แล้ว +1

    Manqibat Ba Baargah e Hazrath Zerra Nawaaz Shah Abul Faiz Badruddin Shah Mohammed *KHALED WAJOODI Rh* (On this day of Friday The 17th March 2023)
    1) Teri Yaad Dil se Khaalid Kabhi Kam na ho Duwa hai
    Tere Qadmo'n pe maroo'n mai meri bas ye Muddu'a hai
    2) Tere Der ki ye Ghulaami Mere Zindagi ka haasil
    Tu bana le mujh ko apna meri bas ye iltija hai
    3) Tu Ata e Shams e Dee'n hai - hai Wajoodi ka Dulaara
    Teri her Ada pe Khaaled Meri Jaan o Dil Fida hai
    4) Tere her Gada mei'n Khaled - Teri Aashiqui basi hai
    Tere Jaa'n nisaar hai'n ye - jo ke - sab ke sab fida hai
    5) Tere Naksh e Paa ke sadqe Aye Wajoodi ke Dulaa're
    Tera Der jo mil gaya hai Mere Rab ki ye Ata hai
    6) Tujhe Dekhne ko Khaled Mera Dil Tadap raha hai
    Teri Deed mei'n yaqeenan Ham Ghulaamo'n ki baqa hai
    7) Mere Khwaja bas tujhi se Mere Zindagi basi hai
    Tere Qadmo'n pe Mai Qurbaa'n Tu hi Mera Dilruba hai
    8) Teri Deed hi mei'n Khaled Mai ne Paa liya hai Rab ko
    Mujhe Naaz hai ye khudper Mujhe Haqq numa Mila hai
    9) Mere Khwaja ki Nazer se Meri Aankhe'n jo ladi hai
    Tujhe *Khaak* kya bataoo'n Mujhe kya Maza Mila hai
    10) Tere Der ke Ham Gada hai ha'me'n Tera Aasra hai
    Tere Der ki *Khaak* hai ham - Tere Naam pe fida hai
    Alhamdulillaah Rab ki Ata se, Peer Ashraf Khaledi Sahab Rh ke Karam se ye Manqibat likhne ka Sharf Ata huwa hai. Alhamdulillaah !
    Duwao'n ka Taalib : Md Moizuddin (Majid Ashrafi ul Khaledi *KHAAK* - Khaak e Paa e Auliya)

  • @mohdamjadkhanmohdamjadkhan4911
    @mohdamjadkhanmohdamjadkhan4911 10 หลายเดือนก่อน

    Asalamialikum