Joun Eliya | Zameen Ka Bhoj Halka | Voice Muneeb Ahmad | By MC Writes

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 8 ก.ย. 2024
  • Edited By : MC Writes
    Voice : Muneeb Ahmad Muneeb
    Poetry : Joun Eliya
    Fb link:
    / dexent.chudhary
    Lyrics:
    Naya ik rishta paida kiyun krein hum
    bichrna hai to jhagra kiyun krein hum
    khmoshi se ada ho rasm e doori
    koi hungama barpa kiyun krein hum
    ye kaafi hai k hum dushman nhi hain
    wafadaari ka dawa kiyun krein hum
    wafa, ikhlaas, qurbani, mahabbat
    ab in lafzon ka peecha kiyun krein hum
    zulaikha e azeeza'n baat ye hai
    bhla ghaatey ka soda kiyun krein hum
    hamari hi tamanna kiyun kro tum
    tumhari hi tamanna kiyun krein hum
    utha kr kiyun na phai'nkei'n saari cheezai'n
    faqat kamron mai ttehla kiyun krein hum
    nhi duniya ko jab parwah hamari
    to phir duniya ki parwah kiyun krien hum
    parri rehney do insaano'n ko laashei'n
    zamee'n ka bhoj halka kiyun krein hum
    ye basti hai musalmano'n ki basti
    yaha'n kaar e maseeha kiyun krein hum
    Joun Eliya....

ความคิดเห็น • 4