Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghadi Hai Ayyam e Fatimya sa
ฝัง
- เผยแพร่เมื่อ 15 ม.ค. 2025
- 1)haath me jiske mera haath diya tha tumne
Kehke man kunto jise maula kaha tha tumne
Maine har mod pe baba
Saath uska hai nibhaaya
Kya mera jurm yahi hai
2)teri ummat ne banaadi hai ye haalat baba
Koi pasli bhi nahi meri salamat baba
Saas leti hu mai jis dam
Rukne lagta hai mera dam
Sirf marne ki kami hai
3)kabhi darbaar me peshi ko bulaate hai hame
Kabhi darwaaze pe aa aake sataate hai hame
Mere ye phool se bachhe
Puchte hai yahi mujhse
Kya khata hamse hui hai
Sharm aati hai bhala tumko bataau kaise
Ye tamacho ke nishaa tumko dikhaau kaise
Tum na pehchaan sakoge
Dekhkar mujhko kahoge
Kya meri zahra yahi hai
Ye aziat ye khamoshi nahi dekhi jaati
Mujhse tanhaai ali ki nahi dekhi jaati
Tera paigham sunane
Haq wilayat ka batane
Zahra ghar ghar me gayi hai
Aapke sog me tareek na dekha gaya ghar
Aag darwaaze pe ummat ne lagaadi aakar
Babajaa baad tumhare
Dekhiye gharme hamare
Roshni kaise hui hai
Kabre zahra se takallum ye sada aati hai
Kitni sadiyo se meri kabr pe veerani hai
Phool turbat pe chadaake
Ek diya laake jalaake
Kya madine me koi hai