Gruh wala suji Ka halwa | اب بنائیں ایک کپ سوجی سے یہ مزیدار حلوہ | by Arifa Ansari kitchen

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 17 ต.ค. 2024
  • Asslam u alaikum kese hain ap sab umeed karty hun kheriyat se ho gay to aj hum apne kitchen main bana rahay hain gruh wala suji ka halwa to us k liye humae jin cheezon ki zrorat hai wo kuch yun hain
    Ingredients
    1: 2 glass water
    2:250 gram gurh
    3:1 cup ghee
    4: 1 cup suji
    pehly hum gruh ko pani main dal kar gurh ko dissolve kar lain gay phir ek boil ane dain ek boil ane k bad use thanda kar lain gay dusri trf ek pan main 1 cup ghee add karen gay aurus main 1 tbsp sugar add karen gay sugar k sath hi is main chopped nuts add karen gay ar use honey jesa colour ane dain gay ab jo gruh wala pani hain use ek bowl main dal dain gay aur us main suji add karen gay use ache se mix kar lain gay ab jo hum ne ghee ko medium flame pe rakha tha us flame ko hum lw kar dain gay aur gruh aur suji wala mixture add karen gay aur us pani ko dry kar lain gay ab ise hum surve kar lain gay to ap ne is recipe ko zaror try karna hai aur mujhe feedback dena hai k apko meri recipe kesi lagi hope fully ke apko pasand ae gi so is video ko like karen mere channel ko subscribe karen Arifa Ansari Kitchen

ความคิดเห็น • 1

  • @sultanakakitchen4474
    @sultanakakitchen4474 3 หลายเดือนก่อน

    w alaikum salaam ,gruh Halwa ,looks so delicious ,stay blessed