Shareek e dawat e Islam hai Abu Talib - Part-1 - Ali Rizvi Sachay

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 29 ส.ค. 2024
  • Shareek e dawat e Islam hai Abu Talib - Part-1 - Ali Rizvi Sachay and Team
    Shareeke Daawate Islam Hai Abu Talib
    Nabi Ko Haq Ka Ek Inaam Hain Abu Talib
    Hari May Wahi May Ilhaam Hain Abu Talib
    Haram Ke Azm Ka Ehraam Hain Abu Talib
    Ye Chunkay Laaye Jo Ghuncha Woh Phool Ho Jaye
    Phir Inki Godh May Pal Kar Rasool Ho Jaye
    Rasoolay Rab Ke Nigehbaan Hain Abu Talib
    Nabi Hain Deen Toh Emaan Hain Abu Talib
    Nuzoolay Wahi Ka Unwaan Hain Abu Talib
    Baghair Lafzon Ka Quran Hain Abu Talib
    Inhi Ke Dum Se Huwi Ibteda E Bismillah
    Inhi Ne Nuqta Diya Zeray Baa E Bismillah
    Payambari Ki Balaon Ka Rad Abu Talib
    Madad Khuda Ki Hai Shaklay Madad Abu Talib
    Nabi Ki Dhaal Damay Jiddo Kad Abu Talib
    Nishana Khatmay Rasul Aur Zad Abu Talib
    Jihad Inka Hai Pas Manzaray Jihad E Ali
    Ali Hain Baad May Inke Ye Pehlay Naaday Ali
    Nazar Chura Gayi Dunya Magar Abu Talib
    Kasay Thay Nusratay Haq Par Kamar Abu Talib
    Hazaron Taighein Thee(N) Aur Ek Pisar Abu Talib
    Rakhay Thay Apni Hathayli Pe Sar Abu Talib
    Lagan Jo Unko Na Hoti Charaghay Gul Hota
    Nabi Ka Fatiha Quran Ka Bhi Qul Hota
    Kahan Hai Tang Nazar Hum Se Bhi To Aankh Mila
    Hai Inke Kufr Ka Daawa To Kuch Saboot Bhi La
    Koyi Toh Rasm Jihalat Ki Inke Ghar May Dikha
    Buton Ke Aagay Jhuka Inka Sar Sar Apna Jhuka
    Khuda Ke Noor Pe Oh Khaak Daalnay Wale
    Ye But-Shikan Ko Hain Godhi May Paalnay Wale
    Rasool Inka Bara Ehteraam Karte Hain
    Sawab E Deed Se Tanzeem E Aam Karte Hain
    Seher Ko Uth Tay Hi Awwal Ye Kaam Karte Hain
    Inhe Namaz Se Pehlay Salam Karte Hain
    Nabi Agar Kisi Kaafir Ko Yoon Salami Hain
    Toh Phir Zaroor Nabuwwat May Koyi Khami Hain
    Inhi Ke Ghar May Hai Khairul Anaam Salle Alaa
    Pisar Nabi Ka Hai Qayam Maqam Salle Alaa
    Kisay Naseeb Hai Ye Ehteram Salle Alaa
    Ke Inke Khurd Hain Sare Imam Salle Alaa
    Khata Muaaf Ho Ye Bhi Agar Nahi Momin
    Toh Phir Jahan May Koyi Bashar Nahi Momin
    Na Janchiye Ye Rawayat Na Seerat O Kirdar
    Nabi Ke Ankh Se Ab Inko Dekhiye Ek Baar
    Ye Baargahay Risalat May Aap Ka Tha Viqaar
    Pacharh Khaa Ke Inhe Roye Ahmad E Mukhtar
    Woh Aam E Huzn Bana Inka Jab Visaal Hua
    Ye Gham Rasool Ke Ummat May Aik Saal Hua
    Ye Marnay Wala Gar Emaan Hi Na Laaya Tha
    Toh Kya Rasool Ne Kaafir Ka Gham Manaya Tha
    Zaban Pe Waa Abata Baar Baar Aaya Tha
    Wo Khud Bhi Roye Thay Auron Ko Bhi Rulaya Tha
    Jatadiya Tha Ke Jo Mohsin E Risalat Hai
    Toh Usko Rona Rulana Nabi Ki Sunnat Hai
    Ye Baat Agar Ho Ijazat Toh Pooch Loon Mai Yahin
    Hussain Ibne Ali Kya Nahi Thay Mohsin-E-Deen
    Hum Inko Roye Toh Phir Kyun Ho Koyi Cheen Bajeen
    Banay Thay Inka Toh Naaqa Rasoolay Arsh Nasheen
    Hussain Soye Shahay Mursaleen Ke Seenay Par
    Ghazab Hai Shimr Ka Zaanu Unhi Ke Seenay Par
    Bagoshe Hosh Kuch Abb Haalay Karbala Suniye
    Suna Jo Mere Tasavvur Ne Woh Zara Suniye
    Bayan E Himmat O Sabray Shahay Huda Suniye
    Wo Aati Hai Malakul Maut Ki Sada Suniye
    Mila Jo Hukm Ke Sar Se Nikaal Jaanay Hussain
    Kaha Ke Sakht Hai Ya Rab Ye Imtehanay Hussain
    Laga Hai Zakhmay Tabar Beh Raha Hai Sar Se Lahoo
    Bharay Hai Khoon May Jaanay Rasool Ke Gaysu
    Qareeb Jaakay Rakhoon Dil Pe Kis Tarha Qaboo
    Ke Iss Lahoo May Toh Hai Fatima Ke Doodh Ki Boo
    Nida Ye Aayi Ke Aankhein Toh Daal Aankhon May
    Kaha Behan Ka Hai Iss Dam Khayal Aankhon May
    Mein Phir In Ankhon Pe Dhaaun Sitam Ye Kya Hai Zaroor
    Bicharh Ke Jo Ali Akbar Se Hogayeen Bay Noor
    Nida Ye Aayi Dehen Se Nikaal Jaanay Huzoor
    Kaha Dehen May Toh Kaantay Parhay Hain Rabbay Ghafoor
    Ye Jaan Balab Sitam O Jor E Ashqiya Se Hain
    Zabaa(N) Hai Sukhi Huwi Theen Din Se Pyaase Hain
    Nida Ye Aayi Ki Gardan Se Khaynch Jaan Inki
    Kaha Mai Kya Karoon Gardan Pe Chal Rahi Hai Churi
    Churi Pakar Ke Ye Chillati Hai Koyi Bibi
    Na Zibha Kar Mere Bachay Ko Mai Dua Doongi
    Jahan Rawan Tere Khanjar Ki Aab Hai Zaalim
    Ye Bosagah E Risalat Maab Hai Zaalim
    Nida Ye Aayi Ki Seenay Se Qabz Karlay Jaan
    Kaha Ke Teeron Se Chalni Hai Ay Mere Rehman
    Abhi To Maarkay Barchi Hata Hai Ek Shaitan
    Aur Ab Toh Hai Tahay Zanu E Shimr Ye Quran
    Ye Karb Hai Ke Rukhay Paak Zard Hai Ya Rab
    Tere Hussain Ke Seenay May Dard Hai Ya Rab
    Nida Ye Aayi Ke Mazloomiyat Ke Rutba Shanaas
    Kamar Se Khaynch Lay Saabir Ki Jaan Bay Waswaas
    Kaha Malak Ne Tarap Kar Ba Dard O Hasrat O Yaas
    Kamar Toh Toot Gayi Jab Se Margaye Abbas
    Sadaye Ghaib Ye Aayi Bahaal Hai Chehra
    Kaha Kay Khoon Se Asghar Ke Laal Hai Chehra
    Ye Guftugu Thi Ke Murjha Gaya Rasool Ka Phool
    Falak Se Aagaye Roohul Amee(N)S Hazeen O Malool
    Kaha Pukar Ke Mooh Dhaamp Lo Bara-E-Rasool
    Pisar Ki Laash Pe Kholengi Apne Baal Batool
    Sada Ye Sunke Usi Simt Chal Parhi Zainab
    Tarap Ke Khaimay Se Bahar Nikal Parhi Zainab
    Naseem Udhar Se Toh Qudsi Ki Ye Sada Aayi
    Idhar Tarapti Huwi Bintay Murtaza Aayi
    Qareebay Laash Jo Khawhar Basad Buka Aayi
    Akhi Ke Halqay Bureeda Se Ye Sada Aayi
    Koyi Buzurg Na Ab Hai Na Khurd Hai Zainab
    Nabi Ki Aal Tumharay Sipurd Hai Zainab

ความคิดเห็น • 6

  • @user-no1vs9sw9h
    @user-no1vs9sw9h 9 หลายเดือนก่อน

    Beshak❤❤❤❤❤

  • @shamimfatima9533
    @shamimfatima9533 ปีที่แล้ว

    Beshak, JazakAllah

  • @subukfatima1757
    @subukfatima1757 3 ปีที่แล้ว +1

    marhaba marhaba... Dil ko sukun milta hae janabe abu tablib pe itna khoobsurat kalam sun kar
    jazakallah

  • @dilawarali5390
    @dilawarali5390 3 ปีที่แล้ว +2

    Jiey Salamt Rahen Hamesha (Ameen)

  • @mohammadrizvi3326
    @mohammadrizvi3326 2 ปีที่แล้ว

    Jaffer Bhai, nice!

  • @hkaxim
    @hkaxim 6 ปีที่แล้ว +1

    Mashallah! Ya Ali as Madad